Poetry Collection

Khizan

Autumn is not only a season in poetry; it is also a powerful symbol. It represents a state of life that is the opposite of spring, and brings suffering. This is represented as a season of separation in the life of a lover. It may also be a symbol of suffering in life. Read some of these verses and consider its multiple representations.

Total

20

Sher

19

Ghazal

1

Nazm

0

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin jise tere gham se ho wasta wo khizan bahaar se kam nahin

GhazalRead Full

khizan mein duba hua hai bahaar ka mausam

khizan men duuba hua hai bahar ka mausam bujha bujha sa hai dil ke dayar ka mausam mile hain hijr ke lamhe mata’-e-ulfat men lutae baithe hain dil ke qarar ka mausam nihal-e-umr pe aisi khizan utar aai kahin pe kho gaya rang-o-bahar ka mausam dhuan dhuan hain badan sokhta gulabon ke ravish ravish men basa hai chinar ka mausam na puchh haal ki dil ka 'ajib 'alam hai kabhi hai jabr kabhi ikhtiyar ka mausam kharosh-e-dil hai ki hai shor koi maqtal men ulajh raha hai rag-e-jan se daar ka mausam hava ki guunj men bhi tum sunai dete ho dar-e-junun ne diya hai pukar ka mausam ravana hone ko hai shauq ka har ik lamha badalne vaala hai shahr-e-nigar ka mausam nigah-e-zist abhi tak hai mehrban 'saulat' hai nakhl-e-jan pe abhi barg-o-bar ka mausam khizan mein duba hua hai bahaar ka mausam bujha bujha sa hai dil ke dayar ka mausam mile hain hijr ke lamhe mata’-e-ulfat mein lutae baithe hain dil ke qarar ka mausam nihaal-e-umr pe aisi khizan utar aai kahin pe kho gaya rang-o-bahaar ka mausam dhuan dhuan hain badan sokhta gulabon ke rawish rawish mein basa hai chinar ka mausam na puchh haal ki dil ka 'ajib 'alam hai kabhi hai jabr kabhi ikhtiyar ka mausam kharosh-e-dil hai ki hai shor koi maqtal mein ulajh raha hai rag-e-jaan se dar ka mausam hawa ki gunj mein bhi tum sunai dete ho dar-e-junun ne diya hai pukar ka mausam rawana hone ko hai shauq ka har ek lamha badalne wala hai shahr-e-nigar ka mausam nigah-e-zist abhi tak hai mehrban 'saulat' hai nakhl-e-jaan pe abhi barg-o-bar ka mausam

putliyan tak bhi to phir jati hain dekho dam-e-naza waqt padta hai to sab aankh chura jate hain

khizan ka zahr sare shahr ki rag rag mein utra hai gali-kuchon mein ab to zard chehre dekhne honge

us ko khizan ke daur mein baghi samajh ke chum jo bhi shajar pe aakhiri patta dikhai de

kaisi rut thi sabz ummiden bhi pili pad gain ab se pahle mere kuche mein khizan aisi na thi

You have reached the end.

Explore Similar Collections

Khizan FAQs

Khizan collection me kya milega?

Khizan se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.