na diya us kun ya diya qasid
na diya us kuun ya diya qasid sach bata naama kya kiya qasid na phira aah koi le ke javab jo gaya vaan so gum hua qasid aaj avega ya na avega mere ghar men vo dil-ruba qasid dil ko hai sakht intizar-e-javab kah shitabi se kya kaha qasid kucha-e-yar men mire zinhar jaiyo mat barahna-pa qasid khar-e-mizhgan-e-kushtagan-e-vafa vaan hain uftada ja-ba-ja qasid nama-e-shauq ko mire le kar yaar ke paas jab gaya qasid mohr ko khat ki dekh kahne laga kaun 'bedar' hai bata qasid jis ne bheja hai tere haath ye khat main nahin us se ashna qasid na diya us kun ya diya qasid sach bata nama kya kiya qasid na phira aah koi le ke jawab jo gaya wan so gum hua qasid aaj aawega ya na aawega mere ghar mein wo dil-ruba qasid dil ko hai sakht intizar-e-jawab kah shitabi se kya kaha qasid kucha-e-yar mein mere zinhaar jaiyo mat barahna-pa qasid khar-e-mizhgan-e-kushtagan-e-wafa wan hain uftada ja-ba-ja qasid nama-e-shauq ko mere le kar yar ke pas jab gaya qasid mohr ko khat ki dekh kahne laga kaun 'bedar' hai bata qasid jis ne bheja hai tere hath ye khat main nahin us se aashna qasid