rakhta hai go qadim se buniyaad aagara
rakhta hai go qadim se buniyad agara akbar ke naam se hua abad agara yaan ke khandar na aur jagah ki imaraten yaaro ajab maqam hai dil-shad agara shaddad zar laga na banata bahisht ko gar janta ki hovega abad agara tode koi qile ko koi luute shahr ko ab kis se apni mange bhala daad agara ab to zara sa gaanv hai beti na de ise lagta tha varna chiin ka damad agara yak-bargi to ab mujhe ya-rab tu phir basa karta hai ab khuda se ye fariyad agara ik khub-ru nahin hai yahan varna ek din tha rashk-e-husn-e-balakh-va-naushad agara hargiz vatan ki yaad na aave use kabhi jo kar ke apni jaan ko kare shaad agara is men sada khushi se raha hai tira 'nazir' ya-rab hamesha rakhiyo to abad agara rakhta hai go qadim se buniyaad aagara akbar ke nam se hua aabaad aagara yan ke khandar na aur jagah ki imaraten yaro ajab maqam hai dil-shad aagara shaddad zar laga na banata bahisht ko gar jaanta ki howega aabaad aagara tode koi qile ko koi lute shahr ko ab kis se apni mange bhala dad aagara ab to zara sa ganw hai beti na de ise lagta tha warna chin ka damad aagara yak-bargi to ab mujhe ya-rab tu phir basa karta hai ab khuda se ye fariyaad aagara ek khub-ru nahin hai yahan warna ek din tha rashk-e-husn-e-balakh-wa-naushad aagara hargiz watan ki yaad na aawe use kabhi jo kar ke apni jaan ko kare shad aagara is mein sada khushi se raha hai tera 'nazir' ya-rab hamesha rakhiyo to aabaad aagara