abhi ek shor sa utha hai kahin
abhi ik shor sa utha hai kahin
koi khamosh ho gaya hai kahin
hai kuchh aisa ki jaise ye sab kuchh
is se pahle bhi ho chuka hai kahin
tujh ko kya ho gaya ki chizon ko
kahin rakhta hai dhundhta hai kahin
jo yahan se kahin na jaata tha
vo yahan se chala gaya hai kahin
aaj shamshan ki si bu hai yahan
kya koi jism jal raha hai kahin
ham kisi ke nahin jahan ke siva
aisi vo khaas baat kya hai kahin
tu mujhe dhund main tujhe dhundun
koi ham men se rah gaya hai kahin
kitni vahshat hai darmiyan-e-hujum
jis ko dekho gaya hua hai kahin
main to ab shahr men kahin bhi nahin
kya mira naam bhi likha hai kahin
isi kamre se koi ho ke vidaa
isi kamre men chhup gaya hai kahin
mil ke har shakhs se hua mahsus
mujh se ye shakhs mil chuka hai kahin
abhi ek shor sa utha hai kahin
koi khamosh ho gaya hai kahin
hai kuchh aisa ki jaise ye sab kuchh
is se pahle bhi ho chuka hai kahin
tujh ko kya ho gaya ki chizon ko
kahin rakhta hai dhundhta hai kahin
jo yahan se kahin na jata tha
wo yahan se chala gaya hai kahin
aaj shamshan ki si bu hai yahan
kya koi jism jal raha hai kahin
hum kisi ke nahin jahan ke siwa
aisi wo khas baat kya hai kahin
tu mujhe dhund main tujhe dhundun
koi hum mein se rah gaya hai kahin
kitni wahshat hai darmiyan-e-hujum
jis ko dekho gaya hua hai kahin
main to ab shahr mein kahin bhi nahin
kya mera nam bhi likha hai kahin
isi kamre se koi ho ke widaa
isi kamre mein chhup gaya hai kahin
mil ke har shakhs se hua mahsus
mujh se ye shakhs mil chuka hai kahin
pura dukh aur aadha chand
puura dukh aur aadha chand
hijr ki shab aur aisa chand
din men vahshat bahal gai
raat hui aur nikla chand
kis maqtal se guzra hoga
itna sahma sahma chand
yadon ki abad gali men
ghuum raha hai tanha chand
meri karvat par jaag utthe
niind ka kitna kachcha chand
mere munh ko kis hairat se
dekh raha hai bhola chand
itne ghane badal ke pichhe
kitna tanha hoga chand
aansu roke nuur nahae
dil dariya tan sahra chand
itne raushan chehre par bhi
suraj ka hai saaya chand
jab paani men chehra dekha
tu ne kis ko socha chand
bargad ki ik shakh hata kar
jaane kis ko jhanka chand
badal ke resham jhule men
bhor samay tak soya chand
raat ke shane par sar rakkhe
dekh raha hai sapna chand
sukhe patton ke jhurmut par
shabnam thi ya nanha chand
haath hila kar rukhsat hoga
us ki surat hijr ka chand
sahra sahra bhatak raha hai
apne ishq men sachcha chand
raat ke shayad ek baje hain
sota hoga mera chand
pura dukh aur aadha chand
hijr ki shab aur aisa chand
din mein wahshat bahal gai
raat hui aur nikla chand
kis maqtal se guzra hoga
itna sahma sahma chand
yaadon ki aabaad gali mein
ghum raha hai tanha chand
meri karwat par jag utthe
nind ka kitna kachcha chand
mere munh ko kis hairat se
dekh raha hai bhola chand
itne ghane baadal ke pichhe
kitna tanha hoga chand
aansu roke nur nahae
dil dariya tan sahra chand
itne raushan chehre par bhi
suraj ka hai saya chand
jab pani mein chehra dekha
tu ne kis ko socha chand
bargad ki ek shakh hata kar
jaane kis ko jhanka chand
baadal ke resham jhule mein
bhor samay tak soya chand
raat ke shane par sar rakkhe
dekh raha hai sapna chand
sukhe patton ke jhurmut par
shabnam thi ya nanha chand
hath hila kar rukhsat hoga
us ki surat hijr ka chand
sahra sahra bhatak raha hai
apne ishq mein sachcha chand
raat ke shayad ek baje hain
sota hoga mera chand
apni dhun mein rahta hun
apni dhun men rahta huun
main bhi tere jaisa huun
o pichhli rut ke sathi
ab ke baras main tanha huun
teri gali men saara din
dukh ke kankar chunta huun
mujh se aankh milae kaun
main tera aina huun
mera diya jalae kaun
main tira khali kamra huun
tere siva mujhe pahne kaun
main tire tan ka kapda huun
tu jivan ki bhari gali
main jangal ka rasta huun
aati rut mujhe roegi
jaati rut ka jhonka huun
apni lahr hai apna rog
dariya huun aur pyasa huun
apni dhun mein rahta hun
main bhi tere jaisa hun
o pichhli rut ke sathi
ab ke baras main tanha hun
teri gali mein sara din
dukh ke kankar chunta hun
mujh se aankh milae kaun
main tera aaina hun
mera diya jalae kaun
main tera khali kamra hun
tere siwa mujhe pahne kaun
main tere tan ka kapda hun
tu jiwan ki bhari gali
main jangal ka rasta hun
aati rut mujhe roegi
jati rut ka jhonka hun
apni lahr hai apna rog
dariya hun aur pyasa hun
pareshan raat sari hai sitaro tum to so jao
pareshan raat saari hai sitaro tum to so jaao
sukut-e-marg taari hai sitaro tum to so jaao
hanso aur hanste hanste dubte jaao khalaon men
hamin pe raat bhari hai sitaro tum to so jaao
hamen to aaj ki shab pau phate tak jagna hoga
yahi qismat hamari hai sitaro tum to so jaao
tumhen kya aaj bhi koi agar milne nahin aaya
ye baazi ham ne haari hai sitaro tum to so jaao
kahe jaate ho ro ro kar hamara haal duniya se
ye kaisi razdari hai sitaro tum to so jaao
hamen bhi niind aa jaegi ham bhi so hi jaenge
abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jaao
pareshan raat sari hai sitaro tum to so jao
sukut-e-marg tari hai sitaro tum to so jao
hanso aur hanste hanste dubte jao khalaon mein
hamin pe raat bhaari hai sitaro tum to so jao
hamein to aaj ki shab pau phate tak jagna hoga
yahi qismat hamari hai sitaro tum to so jao
tumhein kya aaj bhi koi agar milne nahin aaya
ye bazi hum ne haari hai sitaro tum to so jao
kahe jate ho ro ro kar hamara haal duniya se
ye kaisi raazdari hai sitaro tum to so jao
hamein bhi nind aa jaegi hum bhi so hi jaenge
abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jao
koi ham-dam na raha koi sahaara na raha
koi ham-dam na raha koi sahara na raha
ham kisi ke na rahe koi hamara na raha
shaam tanhai ki hai aaegi manzil kaise
jo mujhe raah dikha de vahi taara na raha
ai nazaro na hanso mil na sakunga tum se
tum mire ho na sake main bhi tumhara na raha
kya bataun main kahan yunhi chala jaata huun
jo mujhe phir se bula le vo ishara na raha
koi ham-dam na raha koi sahaara na raha
hum kisi ke na rahe koi hamara na raha
sham tanhai ki hai aaegi manzil kaise
jo mujhe rah dikha de wahi tara na raha
ai nazaro na hanso mil na sakunga tum se
tum mere ho na sake main bhi tumhaara na raha
kya bataun main kahan yunhi chala jata hun
jo mujhe phir se bula le wo ishaara na raha
uske dushman hain bahut aadmi achchha hoga
us ke dushman hain bahut aadmi achchha hoga
vo bhi meri hi tarah shahr men tanha hoga
itna sach bol ki honton ka tabassum na bujhe
raushni khatm na kar aage andhera hoga
pyaas jis nahr se takrai vo banjar nikli
jis ko pichhe kahin chhod aae vo dariya hoga
mire baare men koi raae to hogi us ki
us ne mujh ko bhi kabhi tod ke dekha hoga
ek mahfil men kai mahfilen hoti hain sharik
jis ko bhi paas se dekhoge akela hoga
us ke dushman hain bahut aadmi achchha hoga
wo bhi meri hi tarah shahr mein tanha hoga
itna sach bol ki honton ka tabassum na bujhe
raushni khatm na kar aage andhera hoga
pyas jis nahr se takrai wo banjar nikli
jis ko pichhe kahin chhod aae wo dariya hoga
mere bare mein koi rae to hogi us ki
us ne mujh ko bhi kabhi tod ke dekha hoga
ek mahfil mein kai mahfilen hoti hain sharik
jis ko bhi pas se dekhoge akela hoga
ho jaegi jab tum se shanasai zara aur
ho jaegi jab tum se shanasai zara aur
badh jaegi shayad miri tanhai zara aur
kyuun khul gae logon pe miri zaat ke asrar
ai kaash ki hoti miri gahrai zara aur
phir haath pe zakhmon ke nishan gin na sakoge
ye uljhi hui dor jo suljhai zara aur
tardid to kar sakta tha phailegi magar baat
is taur bhi hogi tiri rusvai zara aur
kyuun tark-e-taalluq bhi kiya laut bhi aya?
achchha tha ki hota jo vo harjai zara aur
hai diip tiri yaad ka raushan abhi dil men
ye khauf hai lekin jo hava aai zara aur
ladna vahin dushman se jahan gher sako tum
jitoge tabhi hogi jo paspai zara aur
badh jaenge kuchh aur lahu bechne vaale
ho jaae agar shahr men mahngai zara aur
ik dubti dhadkan ki sada log na sun len
kuchh der ko bajne do ye shahnai zara aur
ho jaegi jab tum se shanasai zara aur
badh jaegi shayad meri tanhai zara aur
kyun khul gae logon pe meri zat ke asrar
ai kash ki hoti meri gahrai zara aur
phir hath pe zakhmon ke nishan gin na sakoge
ye uljhi hui dor jo suljhai zara aur
tardid to kar sakta tha phailegi magar baat
is taur bhi hogi teri ruswai zara aur
kyun tark-e-talluq bhi kiya laut bhi aaya?
achchha tha ki hota jo wo harjai zara aur
hai dip teri yaad ka raushan abhi dil mein
ye khauf hai lekin jo hawa aai zara aur
ladna wahin dushman se jahan gher sako tum
jitoge tabhi hogi jo paspai zara aur
badh jaenge kuchh aur lahu bechne wale
ho jae agar shahr mein mahngai zara aur
ek dubti dhadkan ki sada log na sun len
kuchh der ko bajne do ye shahnai zara aur
aap ki aankh se gahra hai meri ruh ka zakhm
aap ki aankh se gahra hai miri ruuh ka zakhm
aap kya soch sakenge miri tanhai ko
main to dam tod raha tha magar afsurda hayat
khud chali aai miri hausla-afzai ko
lazzat-e-ghham ke siva teri nigahon ke baghhair
kaun samjha hai mire zakhm ki gahrai ko
main badhaunga tiri shohrat-e-khush-bu ka nikhar
tu dua de mire afsana-e-rusvai ko
vo to yuun kahiye ki ik qaus-e-quzah phail gai
varna main bhuul gaya tha tiri angdai ko
aap ki aankh se gahra hai meri ruh ka zakhm
aap kya soch sakenge meri tanhai ko
main to dam tod raha tha magar afsurda hayat
khud chali aai meri hausla-afzai ko
lazzat-e-gham ke siwa teri nigahon ke baghair
kaun samjha hai mere zakhm ki gahrai ko
main badhaunga teri shohrat-e-khush-bu ka nikhaar
tu dua de mere afsana-e-ruswai ko
wo to yun kahiye ki ek qaus-e-quzah phail gai
warna main bhul gaya tha teri angdai ko
jahan talak bhi ye sahra dikhai deta hai
jahan talak bhi ye sahra dikhai deta hai
miri tarah se akela dikhai deta hai
na itni tez chale sar-phiri hava se kaho
shajar pe ek hi patta dikhai deta hai
bura na maniye logon ki aib-jui ka
unhen to din ka bhi saaya dikhai deta hai
ye ek abr ka tukda kahan kahan barse
tamam dasht hi pyasa dikhai deta hai
vahin pahunch ke giraenge badban ab to
vo duur koi jazira dikhai deta hai
vo alvidaa ka manzar vo bhigti palken
pas-e-ghhubar bhi kya kya dikhai deta hai
miri nigah se chhup kar kahan rahega koi
ki ab to sang bhi shisha dikhai deta hai
simat ke rah gae akhir pahad se qad bhi
zamin se har koi uncha dikhai deta hai
khili hai dil men kisi ke badan ki dhuup 'shakeb'
har ek phuul sunahra dikhai deta hai
jahan talak bhi ye sahra dikhai deta hai
meri tarah se akela dikhai deta hai
na itni tez chale sar-phiri hawa se kaho
shajar pe ek hi patta dikhai deta hai
bura na maniye logon ki aib-jui ka
unhen to din ka bhi saya dikhai deta hai
ye ek abr ka tukda kahan kahan barse
tamam dasht hi pyasa dikhai deta hai
wahin pahunch ke giraenge baadban ab to
wo dur koi jazira dikhai deta hai
wo alwidaa ka manzar wo bhigti palken
pas-e-ghubar bhi kya kya dikhai deta hai
meri nigah se chhup kar kahan rahega koi
ki ab to sang bhi shisha dikhai deta hai
simat ke rah gae aakhir pahad se qad bhi
zamin se har koi uncha dikhai deta hai
khili hai dil mein kisi ke badan ki dhup 'shakeb'
har ek phul sunahra dikhai deta hai
~ Shakeb Jalali
zaban rakhta hun lekin chup khada hun
zaban rakhta huun lekin chup khada huun
main avazon ke ban men ghir gaya huun
mire ghar ka daricha puchhta hai
main saara din kahan phirta raha huun
mujhe mere siva sab log samjhen
main apne aap se kam bolta huun
sitaron se hasad ki intiha hai
main qabron par charaghhan kar raha huun
sambhal kar ab havaon se ulajhna
main tujh se pesh-tar bujhne laga huun
miri qurbat se kyuun khaif hai duniya
samundar huun main khud men gunjta huun
mujhe kab tak sametega vo 'mohsin'
main andar se bahut tuuta hua huun
zaban rakhta hun lekin chup khada hun
main aawazon ke ban mein ghir gaya hun
mere ghar ka daricha puchhta hai
main sara din kahan phirta raha hun
mujhe mere siwa sab log samjhen
main apne aap se kam bolta hun
sitaron se hasad ki intiha hai
main qabron par charaghan kar raha hun
sambhal kar ab hawaon se ulajhna
main tujh se pesh-tar bujhne laga hun
meri qurbat se kyun khaif hai duniya
samundar hun main khud mein gunjta hun
mujhe kab tak sametega wo 'mohsin'
main andar se bahut tuta hua hun
main hun raat ka ek baja hai
main huun raat ka ek baja hai
khali rasta bol raha hai
aaj to yuun khamosh hai duniya
jaise kuchh hone vaala hai
kaisi andheri raat hai dekho
apne aap se dar lagta hai
aaj to shahr ki ravish ravish par
patton ka mela sa laga hai
aao ghaas pe sabha jamaen
mai-khana to band pada hai
phuul to saare jhad gae lekin
teri yaad ka zakhm hara hai
tu ne jitna pyaar kiya tha
dukh bhi mujhe utna hi diya hai
ye bhi hai ek tarah ki mohabbat
main tujh se tu mujh se juda hai
ye tiri manzil vo mira rasta
tera mera saath hi kya hai
main ne to ik baat kahi thi
kya tu sach-much ruuth gaya hai
aisa gahak kaun hai jis ne
sukh de kar dukh mol liya hai
tera rasta takte takte
khet gagan ka suukh chala hai
khidki khol ke dekh to bahar
der se koi shakhs khada hai
saari basti so gai 'nasir'
tu ab tak kyuun jaag raha hai
main hun raat ka ek baja hai
khali rasta bol raha hai
aaj to yun khamosh hai duniya
jaise kuchh hone wala hai
kaisi andheri raat hai dekho
apne aap se dar lagta hai
aaj to shahr ki rawish rawish par
patton ka mela sa laga hai
aao ghas pe sabha jamaen
mai-khana to band pada hai
phul to sare jhad gae lekin
teri yaad ka zakhm hara hai
tu ne jitna pyar kiya tha
dukh bhi mujhe utna hi diya hai
ye bhi hai ek tarah ki mohabbat
main tujh se tu mujh se juda hai
ye teri manzil wo mera rasta
tera mera sath hi kya hai
main ne to ek baat kahi thi
kya tu sach-much ruth gaya hai
aisa gahak kaun hai jis ne
sukh de kar dukh mol liya hai
tera rasta takte takte
khet gagan ka sukh chala hai
khidki khol ke dekh to bahar
der se koi shakhs khada hai
sari basti so gai 'nasir'
tu ab tak kyun jag raha hai
kahin log tanha kahin ghar akele
kahin log tanha kahin ghar akele
kahan tak main dekhun ye manzar akele
gali men havaon ki sargoshiyan hain
gharon men magar sab sanobar akele
numaish hazaron nigahon ne dekhi
magar phuul pahle se badh kar akele
ab ik tiir bhi ho liya saath varna
parinda chala tha safar par akele
jo dekho to ik lahr men ja rahe hain
jo socho to saare shanavar akele
tiri yaad ki barf-bari ka mausam
sulagta raha dil ke andar akele
irada tha ji lunga tujh se bichhad kar
guzarta nahin ik december akele
zamane se 'qasir' khafa to nahin hain
ki dekhe gae hain vo aksar akele
kahin log tanha kahin ghar akele
kahan tak main dekhun ye manzar akele
gali mein hawaon ki sargoshiyan hain
gharon mein magar sab sanobar akele
numaish hazaron nigahon ne dekhi
magar phul pahle se badh kar akele
ab ek tir bhi ho liya sath warna
parinda chala tha safar par akele
jo dekho to ek lahr mein ja rahe hain
jo socho to sare shanawar akele
teri yaad ki barf-bari ka mausam
sulagta raha dil ke andar akele
irada tha ji lunga tujh se bichhad kar
guzarta nahin ek december akele
zamane se 'qasir' khafa to nahin hain
ki dekhe gae hain wo aksar akele
kathin tanhaiyon se kaun khela main akela
kathin tanhaiyon se kaun khela main akela
bhara ab bhi mire gaanv ka mela main akela
bichhad kar tujh se main shab bhar na soya kaun roya
ba-juz mere ye dukh bhi kis ne jhela main akela
ye be-avaz banjar ban ke baasi ye udasi
ye dahshat ka safar jangal ye bela main akela
main dekhun kab talak manzar suhane sab purane
vahi duniya vahi dil ka jhamela main akela
vo jis ke khauf se sahra sidhare log saare
guzarne ko hai tufan ka vo rela main akela
kathin tanhaiyon se kaun khela main akela
bhara ab bhi mere ganw ka mela main akela
bichhad kar tujh se main shab bhar na soya kaun roya
ba-juz mere ye dukh bhi kis ne jhela main akela
ye be-awaz banjar ban ke basi ye udasi
ye dahshat ka safar jangal ye bela main akela
main dekhun kab talak manzar suhane sab purane
wahi duniya wahi dil ka jhamela main akela
wo jis ke khauf se sahra sidhaare log sare
guzarne ko hai tufan ka wo rela main akela
din ko bhi itna andhera hai mere kamre mein
din ko bhi itna andhera hai mire kamre men
saaya aate hue darta hai mire kamre men
ghham thaka-hara musafir hai chala jaega
kuchh dinon ke liye thahra hai mire kamre men
subh tak dekhna afsana bana dalega
tujh ko ik shakhs ne dekha hai mire kamre men
dar-ba-dar din ko bhatakta hai tasavvur mera
haan magar raat ko rahta hai mire kamre men
chor baitha hai kahan soch raha huun main 'zafar'
kya koi aur bhi kamra hai mire kamre men
din ko bhi itna andhera hai mere kamre mein
saya aate hue darta hai mere kamre mein
gham thaka-haara musafir hai chala jaega
kuchh dinon ke liye thahra hai mere kamre mein
subh tak dekhna afsana bana dalega
tujh ko ek shakhs ne dekha hai mere kamre mein
dar-ba-dar din ko bhatakta hai tasawwur mera
han magar raat ko rahta hai mere kamre mein
chor baitha hai kahan soch raha hun main 'zafar'
kya koi aur bhi kamra hai mere kamre mein
mariz-e-gham ke sahaaro koi to baat karo
mariz-e-ghham ke saharo koi to baat karo
udaas chand sitaro koi to baat karo
kahan hai duub chuka ab to dubne vaala
shikasta-dil se kinaro koi to baat karo
mire nasib ko barbadiyon se nisbat hai
luti hui si baharo koi to baat karo
kahan gaya vo tumhara bulandiyon ka junun
bujhe bujhe se shararo koi to baat karo
isi tarah se ajab kya jo kuchh sukun mile
ghham-e-firaq ke maaro koi to baat karo
tumhara ghham bhi mitati hain mastiyan ki nahin
sharab-e-nab ke maaro koi to baat karo
tumhari khaak udata nahin 'shakeb' to kya
udaas rah-guzaro koi to baat karo
mariz-e-gham ke sahaaro koi to baat karo
udas chand sitaro koi to baat karo
kahan hai dub chuka ab to dubne wala
shikasta-dil se kinaro koi to baat karo
mere nasib ko barbaadiyon se nisbat hai
luti hui si bahaaro koi to baat karo
kahan gaya wo tumhaara bulandiyon ka junun
bujhe bujhe se shararo koi to baat karo
isi tarah se ajab kya jo kuchh sukun mile
gham-e-firaq ke maro koi to baat karo
tumhaara gham bhi mitati hain mastiyan ki nahin
sharab-e-nab ke maro koi to baat karo
tumhaari khak udata nahin 'shakeb' to kya
udas rah-guzaro koi to baat karo
~ Shakeb Jalali
aankhon se ku-e-yar ka manzar nahin gaya
ankhon se ku-e-yar ka manzar nahin gaya
halanki das baras se main us ghar nahin gaya
us ne mazaq men kaha main ruuth jaungi
lekin mare vajud se ye dar nahin gaya
sansen udhar le ke guzari hai zindagi
hairan vo bhi thi ki main kyon mar nahin gaya
sham-e-vidaa laakh tasalli ke bavajud
ankhon se us ki dukh ka samundar nahin gaya
us ghar ki sidhiyon ne sadaen to diin magar
main khvab men raha kabhi uupar nahin gaya
bachchon ke saath aaj use dekha to dukh hua
un men se koi ek bhi maan par nahin gaya
pairon men naqsh ek hi dahliz thi 'hasan'
us ke siva main aur kisi dar nahin gaya
aankhon se ku-e-yar ka manzar nahin gaya
haalanki das baras se main us ghar nahin gaya
us ne mazaq mein kaha main ruth jaungi
lekin mare wajud se ye dar nahin gaya
sansen udhaar le ke guzari hai zindagi
hairan wo bhi thi ki main kyon mar nahin gaya
sham-e-widaa lakh tasalli ke bawajud
aankhon se us ki dukh ka samundar nahin gaya
us ghar ki sidhiyon ne sadaen to din magar
main khwab mein raha kabhi upar nahin gaya
bachchon ke sath aaj use dekha to dukh hua
un mein se koi ek bhi man par nahin gaya
pairon mein naqsh ek hi dahliz thi 'hasan'
us ke siwa main aur kisi dar nahin gaya
tanhai ki gali mein hawaon ka shor tha
tanhai ki gali men havaon ka shor tha
ankhon men so raha tha andhera thaka hua
siine men jaise tiir sa paivast ho gaya
tha kitna dil-kharash udasi ka qahqaha
yuun bhi hua ki shahr ki sadkon pe bar-ha
har shakhs se main apna pata puchhta phira
barson se chal raha hai koi mere saath saath
hai kaun shakhs us se main ik baar puchhta
dil men utar ke bujh gai yadon ki chandni
ankhon men intizar ka suraj pighal gaya
chhodi hai un ki chaah to ab lag raha hai yuun
jaise main itne roz andheron men qaid tha
main ne zara si baat kahi thi mazaq men
tum ne zara si baat ko itna badha liya
kamre men phailta raha cigarette ka dhuan
main band khidkiyon ki taraf dekhta raha
'azar' ye kis ki samt badhe ja rahe hain log
is shahr men to mere siva koi bhi na tha
tanhai ki gali mein hawaon ka shor tha
aankhon mein so raha tha andhera thaka hua
sine mein jaise tir sa paiwast ho gaya
tha kitna dil-kharash udasi ka qahqaha
yun bhi hua ki shahr ki sadkon pe bar-ha
har shakhs se main apna pata puchhta phira
barson se chal raha hai koi mere sath sath
hai kaun shakhs us se main ek bar puchhta
dil mein utar ke bujh gai yaadon ki chandni
aankhon mein intizar ka suraj pighal gaya
chhodi hai un ki chah to ab lag raha hai yun
jaise main itne roz andheron mein qaid tha
main ne zara si baat kahi thi mazaq mein
tum ne zara si baat ko itna badha liya
kamre mein phailta raha cigarette ka dhuan
main band khidkiyon ki taraf dekhta raha
'azar' ye kis ki samt badhe ja rahe hain log
is shahr mein to mere siwa koi bhi na tha
din dhala raat phir aa gai so raho so raho
din dhala raat phir aa gai so raho so raho
manzilon chha gai khamushi so raho so raho
saara din tapte suraj ki garmi men jalte rahe
thandi thandi hava phir chali so raho so raho
garm sunsan qariyon ki dharti mahakne lagi
khaak rashk-e-iram ban gai so raho so raho
razm-gah-e-jahan ban gai ja-e-aman-o-aman
hai yahi vaqt ki ragni so raho so raho
kaise sunsan hain asman chup khade hain makan
hai faza ajnabi ajnabi so raho so raho
thak gae naaqa o sarban tham gae karvan
ghantiyon ki sada so gai so raho so raho
chandni aur dhuen ke siva duur tak kuchh nahin
so gai shahr ki har gali so raho so raho
gardish-e-vaqt ki loriyan raat ki raat hain
phir kahan ye hava ye nami so raho so raho
saari basti ke log is madhur lai men khoe gae
duur bajne lagi bansuri so raho so raho
duur shakhon ke jhurmut men jugnu bhi gum ho gae
chand men so gai chandni so raho so raho
ghar ke divar-o-dar raah tak tak ke shal ho gae
ab na aaega shayad koi so raho so raho
sust raftar taare bhi ankhen jhapakne lage
ghham ke maaro ghadi do ghadi so raho so raho
munh-andhere hi 'nasir' kise dhundne chal diye
duur hai subh-e-raushan abhi so raho so raho
din dhala raat phir aa gai so raho so raho
manzilon chha gai khamushi so raho so raho
sara din tapte suraj ki garmi mein jalte rahe
thandi thandi hawa phir chali so raho so raho
garm sunsan qariyon ki dharti mahakne lagi
khak rashk-e-iram ban gai so raho so raho
razm-gah-e-jahan ban gai ja-e-aman-o-aman
hai yahi waqt ki ragni so raho so raho
kaise sunsan hain aasman chup khade hain makan
hai faza ajnabi ajnabi so raho so raho
thak gae naqa o sarban tham gae karwan
ghantiyon ki sada so gai so raho so raho
chandni aur dhuen ke siwa dur tak kuchh nahin
so gai shahr ki har gali so raho so raho
gardish-e-waqt ki loriyan raat ki raat hain
phir kahan ye hawa ye nami so raho so raho
sari basti ke log is madhur lai mein khoe gae
dur bajne lagi bansuri so raho so raho
dur shakhon ke jhurmut mein jugnu bhi gum ho gae
chand mein so gai chandni so raho so raho
ghar ke diwar-o-dar rah tak tak ke shal ho gae
ab na aaega shayad koi so raho so raho
sust raftar tare bhi aankhen jhapakne lage
gham ke maro ghadi do ghadi so raho so raho
munh-andhere hi 'nasir' kise dhundne chal diye
dur hai subh-e-raushan abhi so raho so raho
duniya luti to dur se takta hi rah gaya
duniya luti to duur se takta hi rah gaya
ankhon men ghar ke khvab ka naqsha hi rah gaya
us ke badan ka loch tha dariya ki mauj men
sahil se main bahav ko takta hi rah gaya
duniya bahut qarib se uth kar chali gai
baitha main apne ghar men akela hi rah gaya
vo apna aks bhuul ke jaane laga to main
avaz de ke us ko bulata hi rah gaya
hamrah us ke saari baharen chali gaiin
meri zaban pe phuul ka charcha hi rah gaya
kuchh is ada se aa ke mila ham se 'ashk' vo
ankhon men jazb ho ke sarapa hi rah gaya
duniya luti to dur se takta hi rah gaya
aankhon mein ghar ke khwab ka naqsha hi rah gaya
us ke badan ka loch tha dariya ki mauj mein
sahil se main bahaw ko takta hi rah gaya
duniya bahut qarib se uth kar chali gai
baitha main apne ghar mein akela hi rah gaya
wo apna aks bhul ke jaane laga to main
aawaz de ke us ko bulata hi rah gaya
hamrah us ke sari bahaaren chali gain
meri zaban pe phul ka charcha hi rah gaya
kuchh is ada se aa ke mila hum se 'ashk' wo
aankhon mein jazb ho ke sarapa hi rah gaya
gunjta hai nala-e-mahtab aadhi raat ko
gunjta hai nala-e-mahtab aadhi raat ko
tuut jaate hain suhane khvab aadhi raat ko
bhagte sayon ki chikhen tutte taron ka shor
main huun aur ik mahshar-e-be-khvab aadhi raat ko
shaam hi se bazm-e-anjum nashsha-e-ghhaflat men thi
chand ne bhi pi liya zahrab aadhi raat ko
ik shikasta khvab ki kadiyan milane aae hain
der se bichhde hue ahbab aadhi raat ko
daulat-e-ehsas-e-ghham ki itni arzani hui
niind si shai ho gai nayab aadhi raat ko
gunjta hai nala-e-mahtab aadhi raat ko
tut jate hain suhane khwab aadhi raat ko
bhagte sayon ki chikhen tutte taron ka shor
main hun aur ek mahshar-e-be-khwab aadhi raat ko
sham hi se bazm-e-anjum nashsha-e-ghaflat mein thi
chand ne bhi pi liya zahrab aadhi raat ko
ek shikasta khwab ki kadiyan milane aae hain
der se bichhde hue ahbab aadhi raat ko
daulat-e-ehsas-e-gham ki itni arzani hui
nind si shai ho gai nayab aadhi raat ko
~ Shakeb Jalali
sath den log phir bhi tanhai
saath den log phir bhi tanhai
ya'ni main aur meri tanhai
mujh ko khud se saval karne hain
mujh ko de do na thodi tanhai
tu akela kahan hai main huun na
mujh se aa kar ke boli tanhai
main bhi maujud ab nahin khud men
bhar chuki mujh men itni tanhai
kis ne ki hain ye botalen khali
pi gaya kaun apni tanhai
sath den log phir bhi tanhai
ya'ni main aur meri tanhai
mujh ko khud se sawal karne hain
mujh ko de do na thodi tanhai
tu akela kahan hai main hun na
mujh se aa kar ke boli tanhai
main bhi maujud ab nahin khud mein
bhar chuki mujh mein itni tanhai
kis ne ki hain ye botalen khali
pi gaya kaun apni tanhai
hajla-e-zat se tanha nikla
hajla-e-zat se tanha nikla
mera ghham-khvar bhi mujh sa nikla
gar ye roka na gaya palkon se
rasta kaat ke dariya nikla
raat ke baa'd sahar bhi aai
apna ik khvab to sachcha nikla
kitna zalim nazar aaya tha raqib
vo bhi majbur-e-tamanna nikla
nukta-chin ya'ni vahi ahl-e-nazar
aankh rakhte hue andha nikla
be-zari kha gai dil valon ko
ghham-e-dil bhi ghham-e-duniya nikla
dil ki baat aur hai dekha kis ne
jism ka rang to ujla nikla
dar-o-divar ta'aqub men chale
ghar se main jab bhi akela nikla
raushni kar gai mujh ko taqsim
jism se kab mira saaya nikla
tha bahut shahr men bad-nam 'qatil'
yaar vo shakhs to achchha nikla
hajla-e-zat se tanha nikla
mera gham-khwar bhi mujh sa nikla
gar ye roka na gaya palkon se
rasta kat ke dariya nikla
raat ke ba'd sahar bhi aai
apna ek khwab to sachcha nikla
kitna zalim nazar aaya tha raqib
wo bhi majbur-e-tamanna nikla
nukta-chin ya'ni wahi ahl-e-nazar
aankh rakhte hue andha nikla
be-zari kha gai dil walon ko
gham-e-dil bhi gham-e-duniya nikla
dil ki baat aur hai dekha kis ne
jism ka rang to ujla nikla
dar-o-diwar ta'aqub mein chale
ghar se main jab bhi akela nikla
raushni kar gai mujh ko taqsim
jism se kab mera saya nikla
tha bahut shahr mein bad-nam 'qatil'
yar wo shakhs to achchha nikla
raat din aasan hote ja rahe hain
raat din asan hote ja rahe hain
jab se ham anjan hote ja rahe hain
saans the ham jaan the ham zindagi the
ab kidhar vo dhyan hote ja rahe hain
kya gila ab kijiye ik dusre se
dil hi be-iman hote ja rahe hain
tum bhi ab vo apsara si kab rahi ho
ham bhi ab insan hote ja rahe hain
jis ko jo chahe samajhta hai samajh le
is qadar asan hote ja rahe hain
dekh ham ko vapsi ke raston par
raste hairan hote ja rahe hain
ghham alam tanhaiyan vo ratjage sab
mere bin viran hote ja rahe hain
ham ne socha tha bahut mushkil hai jiina
khud-ba-khud asan hote ja rahe hain
is tarah azad hain ab sab fazaen
qaid khud zindan hote ja rahe hain
ham tire bin aaj yuun zinda hain 'abrak'
zindagi ki jaan hote ja rahe hain
raat din aasan hote ja rahe hain
jab se hum anjaan hote ja rahe hain
sans the hum jaan the hum zindagi the
ab kidhar wo dhyan hote ja rahe hain
kya gila ab kijiye ek dusre se
dil hi be-iman hote ja rahe hain
tum bhi ab wo apsara si kab rahi ho
hum bhi ab insan hote ja rahe hain
jis ko jo chahe samajhta hai samajh le
is qadar aasan hote ja rahe hain
dekh hum ko wapsi ke raston par
raste hairan hote ja rahe hain
gham alam tanhaiyan wo ratjage sab
mere bin viran hote ja rahe hain
hum ne socha tha bahut mushkil hai jina
khud-ba-khud aasan hote ja rahe hain
is tarah aazad hain ab sab fazaen
qaid khud zindan hote ja rahe hain
hum tere bin aaj yun zinda hain 'abrak'
zindagi ki jaan hote ja rahe hain
us ka arman uski hasrat kya
us ka arman us ki hasrat kya
vo nahin hai to phir mohabbat kya
aap dil ke makin ho gae hain
aap ko ab koi ijazat kya
hijr jab daimi sa ho jaae
saans lene ki phir zarurat kya
marna hai to maar daalo mujhe
is qadar 'ishq men muravvat kya
ek divangi si sar men hai
ban gai hai ye meri 'adat kya
kaan rakh kar zamin par dekho
aa rahi hai sada-e-ulfat kya
aaj kal koi mashghhala hi nahin
hai isi shai ka naam fursat kya
us ka arman us ki hasrat kya
wo nahin hai to phir mohabbat kya
aap dil ke makin ho gae hain
aap ko ab koi ijazat kya
hijr jab daimi sa ho jae
sans lene ki phir zarurat kya
marna hai to mar dalo mujhe
is qadar 'ishq mein murawwat kya
ek diwangi si sar mein hai
ban gai hai ye meri 'adat kya
kan rakh kar zamin par dekho
aa rahi hai sada-e-ulfat kya
aaj kal koi mashghala hi nahin
hai isi shai ka nam fursat kya
mujhe us se koi khatra nahin hai
mujhe us se koi khatra nahin hai
ki mera dost mujh jaisa nahin hai
ye kis basti men le aaya hai rasta
darakhton ka jahan saaya nahin hai
hava dar dar ke chalti hai yahan par
yahan dariya hai jo bahta nahin hai
kisi chehre se lab khurche hue hain
kisi avaz ka chehra nahin hai
vo but bhi ab parastish mangta hai
abhi patthar se jo nikla nahin hai
miyan takhti ko chhodo is makan men
koi is naam ka rahta nahin hai
likha rakkha hai 'ahd-e-tark-e-ulfat
magar dil dastakhat karta nahin hai
qayamat hai ki meri dastan men
koi bhi vaqi'a mera nahin hai
mujhe us se koi khatra nahin hai
ki mera dost mujh jaisa nahin hai
ye kis basti mein le aaya hai rasta
darakhton ka jahan saya nahin hai
hawa dar dar ke chalti hai yahan par
yahan dariya hai jo bahta nahin hai
kisi chehre se lab khurche hue hain
kisi aawaz ka chehra nahin hai
wo but bhi ab parastish mangta hai
abhi patthar se jo nikla nahin hai
miyan takhti ko chhodo is makan mein
koi is nam ka rahta nahin hai
likha rakkha hai 'ahd-e-tark-e-ulfat
magar dil dastakhat karta nahin hai
qayamat hai ki meri dastan mein
koi bhi waqi'a mera nahin hai
ab ki ganw ka mausam badla badla tha
ab ki gaanv ka mausam badla badla tha
shor bahut tha phir bhi ik sannata tha
main sach kahne par bhi kitna jhuta tha
jhuta tha vo phir bhi sab se achchha tha
main ne zaban rakh to di us ke honton par
lekin dariya mujh se ziyada pyasa tha
mere gird hisar tha us ki yadon ka
apne gird suna hai vo khud bikhra tha
ab ki ganw ka mausam badla badla tha
shor bahut tha phir bhi ek sannata tha
main sach kahne par bhi kitna jhuta tha
jhuta tha wo phir bhi sab se achchha tha
main ne zaban rakh to di us ke honton par
lekin dariya mujh se ziyaada pyasa tha
mere gird hisar tha us ki yaadon ka
apne gird suna hai wo khud bikhra tha
charagh-e-dahr yun jalta nahin hota
charaghh-e-dahr yuun jalta nahin hota
hava ka rukh agar badla nahin hota
rukun to phir koi manzil nahin dikhti
chalun to phir koi rasta nahin hota
pari-zadi hamen bhi dikhti ye duniya
agar ham ne tumhen dekha nahin hota
asir-e-'ishq huun shahr-e-mohabbat men
jo tanhai men bhi tanha nahin hota
ye paude dhuup men sanvla gae hote
agar in ke liye gamla nahin hota
jo banti jodiyan gar asmanon men
kisi ke saath phir dhoka nahin hota
mire hone se akhir kya hua hai 'raj'
na hota main agar to kya nahin hota
charagh-e-dahr yun jalta nahin hota
hawa ka rukh agar badla nahin hota
rukun to phir koi manzil nahin dikhti
chalun to phir koi rasta nahin hota
pari-zadi hamein bhi dikhti ye duniya
agar hum ne tumhein dekha nahin hota
asir-e-'ishq hun shahr-e-mohabbat mein
jo tanhai mein bhi tanha nahin hota
ye paude dhup mein sanwla gae hote
agar in ke liye gamla nahin hota
jo banti jodiyan gar aasmanon mein
kisi ke sath phir dhoka nahin hota
mere hone se aakhir kya hua hai 'raj'
na hota main agar to kya nahin hota
raat jab bhi udas hoti hai
raat jab bhi udaas hoti hai
vo mire as-pas hoti hai
jis ke milne se kuchh nahin milta
us ko paane ki aas hoti hai
tirgi zabt azmati hai
raushni ghham-shanas hoti hai
ab use ho sitam se kyon parhez
'ashiqi bad-havas hoti hai
khvab men jab bhi tum se milta huun
niind men ik mithas hoti hai
raat jab bhi udas hoti hai
wo mere aas-pas hoti hai
jis ke milne se kuchh nahin milta
us ko pane ki aas hoti hai
tirgi zabt aazmati hai
raushni gham-shanas hoti hai
ab use ho sitam se kyon parhez
'ashiqi bad-hawas hoti hai
khwab mein jab bhi tum se milta hun
nind mein ek mithas hoti hai
jab zaban rakkhi hai maine halqa-e-zanjir mein
jab zaban rakkhi hai main ne halqa-e-zanjir men
tab kahin aai hai shiddat she'r ki tasir men
canvas par zehn ke the yaad ke paikar 'ajib
parda-e-mazi se nikle chhup gae tasvir men
dushmanon ke khauf-o-vahshat ke liye kaafi rahi
jo khanak baaqi thi zang-alud is shamshir men
daftar-o-bazar khali har gali men khamushi
kya khabar thi ye bhi din the shahr ki taqdir men
chand chhup jaata tha aksar badalon ke darmiyan
chandni shamil thi phir bhi shokhi-e-shab-gir men
be-karan hain lazzaten 'razi' kisi bhi khvab ke
tuut jaane men mukammal hone men takhir men
jab zaban rakkhi hai main ne halqa-e-zanjir mein
tab kahin aai hai shiddat she'r ki tasir mein
canwas par zehn ke the yaad ke paikar 'ajib
parda-e-mazi se nikle chhup gae taswir mein
dushmanon ke khauf-o-wahshat ke liye kafi rahi
jo khanak baqi thi zang-alud is shamshir mein
daftar-o-bazar khali har gali mein khamushi
kya khabar thi ye bhi din the shahr ki taqdir mein
chand chhup jata tha aksar baadalon ke darmiyan
chandni shamil thi phir bhi shokhi-e-shab-gir mein
be-karan hain lazzaten 'raazi' kisi bhi khwab ke
tut jaane mein mukammal hone mein takhir mein
andheri raaton mein phir sath mein ujala gaya
andheri raton men phir saath men ujala gaya
shajar lagae jahan par padav daala gaya
jo vaqt milta to kuchh aur kaam kar lete
hamare jaison se bas 'ishq rog paala gaya
abhi jo haath hain malte malul baithe hain
na us ko rok hain paae na dil sanbhala gaya
gali gali men ghutan nafraton ke dere bane
vafa ki rasmon ko jab shahr se nikala gaya
hava uda ke chali hai bhara ghhubara nahin
ghharib shakhs ke hathon se ik nivala gaya
ghharib-e-shahr ki rozon ne laaj rakh li hai
agarche faqon ka qissa bahut uchhala gaya
nahin thi us ki zarurat ki kamra khali tha
so aage chabi chali pichhe pichhe taala gaya
kabhi to vaqt ne milne nahin diya hai mujhe
kabhi bahanon se mujh ko 'visal' taala gaya
andheri raaton mein phir sath mein ujala gaya
shajar lagae jahan par padaw dala gaya
jo waqt milta to kuchh aur kaam kar lete
hamare jaison se bas 'ishq rog pala gaya
abhi jo hath hain malte malul baithe hain
na us ko rok hain pae na dil sanbhaala gaya
gali gali mein ghutan nafraton ke dere bane
wafa ki rasmon ko jab shahr se nikala gaya
hawa uda ke chali hai bhara ghubara nahin
gharib shakhs ke hathon se ek niwala gaya
gharib-e-shahr ki rozon ne laj rakh li hai
agarche faqon ka qissa bahut uchhaala gaya
nahin thi us ki zarurat ki kamra khali tha
so aage chabi chali pichhe pichhe tala gaya
kabhi to waqt ne milne nahin diya hai mujhe
kabhi bahanon se mujh ko 'visal' tala gaya