hota hai mitne hi ke liye har laga hua
hota hai mitne hi ke liye har laga hua lekin vo ek daaghh na lag kar laga hua dil baith baith jaata hai aina dekh kar jaane ye kaisa rog hai bhitar laga hua aise hi baat baat pe rota nahin huun main ik zakhm hai kahin mire andar laga hua andar bichha hua hai koi jaal aur hi daam aur hai dukan ke bahar laga hua darta bhi huun ki ho hi na jaae kahin vo kaam ik 'umr se huun jis men barabar laga hua hota nahin javan ladakpan ke baa'd bhi lagta nahin ghharib ka number laga hua vo ittifaq se mira mahbub hai to kya jachta hai ek shakhs hi afsar laga hua 'javvad' zindagi ki tarah thi koi sadak donon taraf qatar men kikar laga hua hota hai mitne hi ke liye har laga hua lekin wo ek dagh na lag kar laga hua dil baith baith jata hai aaina dekh kar jaane ye kaisa rog hai bhitar laga hua aise hi baat baat pe rota nahin hun main ek zakhm hai kahin mere andar laga hua andar bichha hua hai koi jal aur hi dam aur hai dukan ke bahar laga hua darta bhi hun ki ho hi na jae kahin wo kaam ek 'umr se hun jis mein barabar laga hua hota nahin jawan ladakpan ke ba'd bhi lagta nahin gharib ka number laga hua wo ittifaq se mera mahbub hai to kya jachta hai ek shakhs hi afsar laga hua 'jawwad' zindagi ki tarah thi koi sadak donon taraf qatar mein kikar laga hua