Poetry Collection

Basant

Spring is a season loved by us all - for the beauty and aroma it spread all around. It is a face of nature that poets have drawn upon frequently not only to portray a season but also a state of our lives. It has also been used as a metaphor in love poetry. We have made a selection of verses on this theme for you to read and enjoy.

Total

34

Sher

27

Ghazal

7

Nazm

0

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

GhazalRead Full

aaya basant phul bhi shoalon mein dhal gae

aaya basant phuul bhi shoalon men dhal gae main chumne laga to mire hont jal gae lapka mire khayal ka kaunda kuchh is tarah charon taraf jo lafz pade the pighal gae rangon ke ehtimam men surat bigad gai lafzon ki dhan men haath se maani nikal gae jhonke nai ruton ke jo guzre qarib se biite dinon ki dhuul mire munh pe mal gae sar par hamare dhuup ki chadar si tan gai ghar se chale to shahr ke manzar badal gae aaya basant phul bhi shoalon mein dhal gae main chumne laga to mere hont jal gae lapka mere khayal ka kaunda kuchh is tarah chaaron taraf jo lafz pade the pighal gae rangon ke ehtimam mein surat bigad gai lafzon ki dhan mein hath se mani nikal gae jhonke nai ruton ke jo guzre qarib se bite dinon ki dhul mere munh pe mal gae sar par hamare dhup ki chadar si tan gai ghar se chale to shahr ke manzar badal gae

GhazalRead Full

aaya basant phul bhi shoalon mein dhal gae

aaya basant phuul bhi shoalon men dhal gae main chumne laga to mire hont jal gae lapka mire khayal ka kaunda kuchh is tarah charon taraf jo lafz pade the pighal gae rangon ke ehtimam men surat bigad gai lafzon ki dhan men haath se maani nikal gae jhonke nai ruton ke jo guzre qarib se biite dinon ki dhuul mire munh pe mal gae sar par hamare dhuup ki chadar si tan gai ghar se chale to shahr ke manzar badal gae aaya basant phul bhi shoalon mein dhal gae main chumne laga to mere hont jal gae lapka mere khayal ka kaunda kuchh is tarah chaaron taraf jo lafz pade the pighal gae rangon ke ehtimam mein surat bigad gai lafzon ki dhan mein hath se mani nikal gae jhonke nai ruton ke jo guzre qarib se bite dinon ki dhul mere munh pe mal gae sar par hamare dhup ki chadar si tan gai ghar se chale to shahr ke manzar badal gae

GhazalRead Full

karta hai bagh-e-dahr mein nairangiyan basant

karta hai baghh-e-dahr men nairangiyan basant aaya hai laakh rang se ai baghhban basant ham-rang ki hai duun nikal ashrafi ke saath paata hai aa ke rang-e-talai yahan basant joban par in dinon hai bahar-e-nashat-e-baghh leta hai phuul bhar ke yahan jholiyan basant mubaf zard rang hai sumbul ki chot men khota hai bu-e-gul ki pareshaniyan basant navvab-e-nam-dar 'zafar-jang' ke huzur gaati hai aa ke zohra-e-gardun-makan basant jam-e-aqiq zard hai nargis ke haath men taqsim kar raha hai mai-e-arghhavan basant hote hain tairan-e-chaman nargisi kabab kah do ki is qadar na kare garmiyan basant chehre tamam zard hain daulat ke rang se kothi men ho gaya hai sarapa ayaan basant niila hua hai munh gul-e-sausan ka baaghh men leta hai ikhtilat men kya chutkiyan basant kadve dhare hue hain jo navvab ke huzur bahar hai apne jaame se ai baghhban basant pukhraj ke gilason men hai lala-gun sharab sone ka paani pi ke hai ratab-ul-lisan basant sarson jo phuli dida-e-jam-e-sharab men bint-ul-anab se karne laga shokhiyan basant zer-e-qadam hai farsh-e-basanti huzur ke masruf pa-e-boss men hai har zaman basant main gard-posh ho ke bana shakh-e-zaafaran lipta hua hai mere badan se yahan basant karta huun ab tamam dua par ye chand sher aaya pasand majmaa-e-ahl-e-zaman basant jab tak ki mahv-e-qahqaha huun gul hazar men rangin taar hai sifat-e-zaafaran basant yarab hazar saal salamat rahen huzur ho roz jashn-e-id yahan javedan basant ahbab surkh-ru rahen dushman hon zard-ru jab tak manaen mardum-e-hindostan basant zardi ki tarah baiza-e-bulbul men chhup rahe is baaghh se na jaae miyan-e-khizan basant taqdir men thi furqat-e-yaran-e-lucknow is shahr men 'munir' kahan tha kahan basant karta hai bagh-e-dahr mein nairangiyan basant aaya hai lakh rang se ai baghban basant ham-rang ki hai dun nikal ashrafi ke sath pata hai aa ke rang-e-talai yahan basant joban par in dinon hai bahaar-e-nashat-e-bagh leta hai phul bhar ke yahan jholiyan basant mubaf zard rang hai sumbul ki chot mein khota hai bu-e-gul ki pareshaniyan basant nawwab-e-nam-dar 'zafar-jang' ke huzur gati hai aa ke zohra-e-gardun-makan basant jam-e-aqiq zard hai nargis ke hath mein taqsim kar raha hai mai-e-arghawan basant hote hain tairan-e-chaman nargisi kabab kah do ki is qadar na kare garmiyan basant chehre tamam zard hain daulat ke rang se kothi mein ho gaya hai sarapa ayan basant nila hua hai munh gul-e-sausan ka bagh mein leta hai ikhtilat mein kya chutkiyan basant kadwe dhare hue hain jo nawwab ke huzur bahar hai apne jame se ai baghban basant pukhraj ke gilason mein hai lala-gun sharab sone ka pani pi ke hai ratab-ul-lisan basant sarson jo phuli dida-e-jam-e-sharab mein bint-ul-anab se karne laga shokhiyan basant zer-e-qadam hai farsh-e-basanti huzur ke masruf pa-e-boss mein hai har zaman basant main gard-posh ho ke bana shakh-e-zafaran lipta hua hai mere badan se yahan basant karta hun ab tamam dua par ye chand sher aaya pasand majma-e-ahl-e-zaman basant jab tak ki mahw-e-qahqaha hun gul hazar mein rangin tar hai sifat-e-zafaran basant yarab hazar sal salamat rahen huzur ho roz jashn-e-id yahan jawedan basant ahbab surkh-ru rahen dushman hon zard-ru jab tak manaen mardum-e-hindostan basant zardi ki tarah baiza-e-bulbul mein chhup rahe is bagh se na jae miyan-e-khizan basant taqdir mein thi furqat-e-yaran-e-lucknow is shahr mein 'munir' kahan tha kahan basant

GhazalRead Full

koyal nin aa ke cock sunai basant rut

koyal niin aa ke kuuk sunai basant rut baurae khas-o-am ki aai basant rut vo zard-posh jis kuun bhar aghhosh men liya goya ki tab gale siin lagai basant rut vo zard-posh jis ka ki gun gavte hain ham shokhi niin us ki naach nachai basant rut ghhunche niin is bahar men kadvaya apna dil bulbul chaman men phuul ke gaai basant rut tesu ke phuul dashna-e-khuni hue use birhan ke ji kuun hai ye kasai basant rut gaae hindol aaj kalavant khulas khulas har taan biich kya ke phulai basant rut bulbul hua hai dekh sada rang ki bahar is saal 'abru' kuun ban aai basant rut koyal nin aa ke kuk sunai basant rut baurae khas-o-am ki aai basant rut wo zard-posh jis kun bhar aaghosh mein liya goya ki tab gale sin lagai basant rut wo zard-posh jis ka ki gun gawte hain hum shokhi nin us ki nach nachai basant rut ghunche nin is bahaar mein kadwaya apna dil bulbul chaman mein phul ke gai basant rut tesu ke phul dashna-e-khuni hue use birhan ke ji kun hai ye kasai basant rut gae hindol aaj kalawant khulas khulas har tan bich kya ke phulai basant rut bulbul hua hai dekh sada rang ki bahaar is sal 'abru' kun ban aai basant rut

GhazalRead Full

taswir-e-ru-e-yar dikhana basant ka

tasvir-e-ru-e-yar dikhana basant ka atkheliyon se dil ko lubhana basant ka har samt sabza-zar bichhana basant ka phulon men rang-o-bu ko lutana basant ka rashk-e-jinan chaman ko banana basant ka har har kali men rang dikhana basant ka paighham-e-lutf-e-khas sunana basant ka dariya-e-faiz-e-am bahana basant ka qudrat ki barkaten hain khazana basant ka kya khuub kya ajiib zamana basant ka dil ko bahut aziiz hai aana basant ka 'rahbar' ki zindagi men samana basant ka taswir-e-ru-e-yar dikhana basant ka atkheliyon se dil ko lubhana basant ka har samt sabza-zar bichhana basant ka phulon mein rang-o-bu ko lutana basant ka rashk-e-jinan chaman ko banana basant ka har har kali mein rang dikhana basant ka paigham-e-lutf-e-khas sunana basant ka dariya-e-faiz-e-am bahana basant ka qudrat ki barkaten hain khazana basant ka kya khub kya ajib zamana basant ka dil ko bahut aziz hai aana basant ka 'rahbar' ki zindagi mein samana basant ka

GhazalRead Full

jab nabi-sahib mein koh-o-dasht se aai basant

jab nabi-sahib men koh-o-dasht se aai basant kar ke mujra shah-e-mardan ki taraf dhaai basant khvaja-qutbuddin men phir gadva bana kar le gai yaani un ki nazr ko sau phuul gul laai basant vaan se phir hazrat-nizamuddin ki khidmat men chali turbat-e-khusrav pe phir ho ke khade gaai basant su-e-hazrat turkaman aai jo kar us ka tavaf ho gai vohin bayabani-o-sahrai basant vohin phir darbar-e-shah-e-hind men rakh kar qadam nachne gaane lagi hans hans ba-zebai basant phir janab asif-e-dauran men ba-sad aish-o-naz ho gai aa kar ke masruf-e-jabin-sai basant 'mushafi' ab ik ghhazal likh tu ghhazal ki tarah se ta kare aalam ka taraj-e-shakebai basant jab nabi-sahib mein koh-o-dasht se aai basant kar ke mujra shah-e-mardan ki taraf dhai basant khwaja-qutbuddin mein phir gadwa bana kar le gai yani un ki nazr ko sau phul gul lai basant wan se phir hazrat-nizamuddin ki khidmat mein chali turbat-e-khusraw pe phir ho ke khade gai basant su-e-hazrat turkaman aai jo kar us ka tawaf ho gai wohin bayabani-o-sahrai basant wohin phir darbar-e-shah-e-hind mein rakh kar qadam nachne gane lagi hans hans ba-zebai basant phir janab aasif-e-dauran mein ba-sad aish-o-naz ho gai aa kar ke masruf-e-jabin-sai basant 'mushafi' ab ek ghazal likh tu ghazal ki tarah se ta kare aalam ka taraj-e-shakebai basant

GhazalRead Full

tu ne lagai ab ki ye kya aag ai basant

tu ne lagai ab ki ye kya aag ai basant jis se ki dil ki aag uthe jaag ai basant kaifiyyat-e-bahar ke tu us ko de khabar mauj-e-nasim ki tarah ud laag ai basant har shakh zard o surkh o siyah hijr-e-yar men daste hain dil ko aan ke juun naag ai basant munh dekho ashiqon ke muqabil huun rang men bandhi hai mujh se kis liye tu laag ai basant tujh men kahan ye buqalamuni kahan ye sang dasht-o-jabal ko khair se ab bhaag ai basant juun tar-e-chang chhed na 'insha' ko baat men tera suna hua hai ye ghatrag ai basant tu ne lagai ab ki ye kya aag ai basant jis se ki dil ki aag uthe jag ai basant kaifiyyat-e-bahaar ke tu us ko de khabar mauj-e-nasim ki tarah ud lag ai basant har shakh zard o surkh o siyah hijr-e-yar mein daste hain dil ko aan ke jun nag ai basant munh dekho aashiqon ke muqabil hun rang mein bandhi hai mujh se kis liye tu lag ai basant tujh mein kahan ye buqalamuni kahan ye sang dasht-o-jabal ko khair se ab bhag ai basant jun tar-e-chang chhed na 'insha' ko baat mein tera suna hua hai ye ghatrag ai basant

GhazalRead Full

sad-barg gah dikhai hai gah arghawan basant

sad-barg gah dikhai hai gah arghhavan basant laai hai ek taaza shagufa yahan basant bhar bhar ke gulistan men mai-e-aish-o-jashn se deti hai har ghadi mujhe ritl-e-garan basant tu uth chala to zard hue sab ke rang-e-ru kal aa gai bahar men ye na-gahan basant aate nazar hain dasht-o-jabal zard har taraf hai ab ke saal aisi hai ai dostan basant shadabi-e-nasim se bahr-e-surur ko karti hai josh maar ke ab be-karan basant gar fil-masal malaika hon ahl-e-zohd sab le aave bahr-e-sair unhen mu-kashan basant patte nahin chaman men khadakte tire baghhair karti hai is libas men har-dam fughhan basant gar shakh-e-zaafaran use kahiye to hai rava hai farah-bakhsh vaqai is had kohan basant gurva bana ke rish-e-mokhazzab se mohtasib jaata hai us maqam men jaave jahan basant 'insha' se shaikh puchhta hai kya salah hai targhhib-e-bada di hai mujhe ai javan basant sad-barg gah dikhai hai gah arghawan basant lai hai ek taza shagufa yahan basant bhar bhar ke gulistan mein mai-e-aish-o-jashn se deti hai har ghadi mujhe ritl-e-garan basant tu uth chala to zard hue sab ke rang-e-ru kal aa gai bahaar mein ye na-gahan basant aate nazar hain dasht-o-jabal zard har taraf hai ab ke sal aisi hai ai dostan basant shadabi-e-nasim se bahr-e-surur ko karti hai josh mar ke ab be-karan basant gar fil-masal malaika hon ahl-e-zohd sab le aawe bahr-e-sair unhen mu-kashan basant patte nahin chaman mein khadakte tere baghair karti hai is libas mein har-dam fughan basant gar shakh-e-zafaran use kahiye to hai rawa hai farah-bakhsh waqai is had kohan basant gurwa bana ke rish-e-mokhazzab se mohtasib jata hai us maqam mein jawe jahan basant 'insha' se shaikh puchhta hai kya salah hai targhib-e-baada di hai mujhe ai jawan basant

basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahba hai khuda ke fazl se aish-o-tarab ki ab kami kya hai

Explore Similar Collections

Basant FAQs

Basant collection me kya milega?

Basant se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.