aaya basant phul bhi shoalon mein dhal gae
aaya basant phuul bhi shoalon men dhal gae
main chumne laga to mire hont jal gae
lapka mire khayal ka kaunda kuchh is tarah
charon taraf jo lafz pade the pighal gae
rangon ke ehtimam men surat bigad gai
lafzon ki dhan men haath se maani nikal gae
jhonke nai ruton ke jo guzre qarib se
biite dinon ki dhuul mire munh pe mal gae
sar par hamare dhuup ki chadar si tan gai
ghar se chale to shahr ke manzar badal gae
aaya basant phul bhi shoalon mein dhal gae
main chumne laga to mere hont jal gae
lapka mere khayal ka kaunda kuchh is tarah
chaaron taraf jo lafz pade the pighal gae
rangon ke ehtimam mein surat bigad gai
lafzon ki dhan mein hath se mani nikal gae
jhonke nai ruton ke jo guzre qarib se
bite dinon ki dhul mere munh pe mal gae
sar par hamare dhup ki chadar si tan gai
ghar se chale to shahr ke manzar badal gae
karta hai bagh-e-dahr mein nairangiyan basant
karta hai baghh-e-dahr men nairangiyan basant
aaya hai laakh rang se ai baghhban basant
ham-rang ki hai duun nikal ashrafi ke saath
paata hai aa ke rang-e-talai yahan basant
joban par in dinon hai bahar-e-nashat-e-baghh
leta hai phuul bhar ke yahan jholiyan basant
mubaf zard rang hai sumbul ki chot men
khota hai bu-e-gul ki pareshaniyan basant
navvab-e-nam-dar 'zafar-jang' ke huzur
gaati hai aa ke zohra-e-gardun-makan basant
jam-e-aqiq zard hai nargis ke haath men
taqsim kar raha hai mai-e-arghhavan basant
hote hain tairan-e-chaman nargisi kabab
kah do ki is qadar na kare garmiyan basant
chehre tamam zard hain daulat ke rang se
kothi men ho gaya hai sarapa ayaan basant
niila hua hai munh gul-e-sausan ka baaghh men
leta hai ikhtilat men kya chutkiyan basant
kadve dhare hue hain jo navvab ke huzur
bahar hai apne jaame se ai baghhban basant
pukhraj ke gilason men hai lala-gun sharab
sone ka paani pi ke hai ratab-ul-lisan basant
sarson jo phuli dida-e-jam-e-sharab men
bint-ul-anab se karne laga shokhiyan basant
zer-e-qadam hai farsh-e-basanti huzur ke
masruf pa-e-boss men hai har zaman basant
main gard-posh ho ke bana shakh-e-zaafaran
lipta hua hai mere badan se yahan basant
karta huun ab tamam dua par ye chand sher
aaya pasand majmaa-e-ahl-e-zaman basant
jab tak ki mahv-e-qahqaha huun gul hazar men
rangin taar hai sifat-e-zaafaran basant
yarab hazar saal salamat rahen huzur
ho roz jashn-e-id yahan javedan basant
ahbab surkh-ru rahen dushman hon zard-ru
jab tak manaen mardum-e-hindostan basant
zardi ki tarah baiza-e-bulbul men chhup rahe
is baaghh se na jaae miyan-e-khizan basant
taqdir men thi furqat-e-yaran-e-lucknow
is shahr men 'munir' kahan tha kahan basant
karta hai bagh-e-dahr mein nairangiyan basant
aaya hai lakh rang se ai baghban basant
ham-rang ki hai dun nikal ashrafi ke sath
pata hai aa ke rang-e-talai yahan basant
joban par in dinon hai bahaar-e-nashat-e-bagh
leta hai phul bhar ke yahan jholiyan basant
mubaf zard rang hai sumbul ki chot mein
khota hai bu-e-gul ki pareshaniyan basant
nawwab-e-nam-dar 'zafar-jang' ke huzur
gati hai aa ke zohra-e-gardun-makan basant
jam-e-aqiq zard hai nargis ke hath mein
taqsim kar raha hai mai-e-arghawan basant
hote hain tairan-e-chaman nargisi kabab
kah do ki is qadar na kare garmiyan basant
chehre tamam zard hain daulat ke rang se
kothi mein ho gaya hai sarapa ayan basant
nila hua hai munh gul-e-sausan ka bagh mein
leta hai ikhtilat mein kya chutkiyan basant
kadwe dhare hue hain jo nawwab ke huzur
bahar hai apne jame se ai baghban basant
pukhraj ke gilason mein hai lala-gun sharab
sone ka pani pi ke hai ratab-ul-lisan basant
sarson jo phuli dida-e-jam-e-sharab mein
bint-ul-anab se karne laga shokhiyan basant
zer-e-qadam hai farsh-e-basanti huzur ke
masruf pa-e-boss mein hai har zaman basant
main gard-posh ho ke bana shakh-e-zafaran
lipta hua hai mere badan se yahan basant
karta hun ab tamam dua par ye chand sher
aaya pasand majma-e-ahl-e-zaman basant
jab tak ki mahw-e-qahqaha hun gul hazar mein
rangin tar hai sifat-e-zafaran basant
yarab hazar sal salamat rahen huzur
ho roz jashn-e-id yahan jawedan basant
ahbab surkh-ru rahen dushman hon zard-ru
jab tak manaen mardum-e-hindostan basant
zardi ki tarah baiza-e-bulbul mein chhup rahe
is bagh se na jae miyan-e-khizan basant
taqdir mein thi furqat-e-yaran-e-lucknow
is shahr mein 'munir' kahan tha kahan basant
koyal nin aa ke cock sunai basant rut
koyal niin aa ke kuuk sunai basant rut
baurae khas-o-am ki aai basant rut
vo zard-posh jis kuun bhar aghhosh men liya
goya ki tab gale siin lagai basant rut
vo zard-posh jis ka ki gun gavte hain ham
shokhi niin us ki naach nachai basant rut
ghhunche niin is bahar men kadvaya apna dil
bulbul chaman men phuul ke gaai basant rut
tesu ke phuul dashna-e-khuni hue use
birhan ke ji kuun hai ye kasai basant rut
gaae hindol aaj kalavant khulas khulas
har taan biich kya ke phulai basant rut
bulbul hua hai dekh sada rang ki bahar
is saal 'abru' kuun ban aai basant rut
koyal nin aa ke kuk sunai basant rut
baurae khas-o-am ki aai basant rut
wo zard-posh jis kun bhar aaghosh mein liya
goya ki tab gale sin lagai basant rut
wo zard-posh jis ka ki gun gawte hain hum
shokhi nin us ki nach nachai basant rut
ghunche nin is bahaar mein kadwaya apna dil
bulbul chaman mein phul ke gai basant rut
tesu ke phul dashna-e-khuni hue use
birhan ke ji kun hai ye kasai basant rut
gae hindol aaj kalawant khulas khulas
har tan bich kya ke phulai basant rut
bulbul hua hai dekh sada rang ki bahaar
is sal 'abru' kun ban aai basant rut
taswir-e-ru-e-yar dikhana basant ka
tasvir-e-ru-e-yar dikhana basant ka
atkheliyon se dil ko lubhana basant ka
har samt sabza-zar bichhana basant ka
phulon men rang-o-bu ko lutana basant ka
rashk-e-jinan chaman ko banana basant ka
har har kali men rang dikhana basant ka
paighham-e-lutf-e-khas sunana basant ka
dariya-e-faiz-e-am bahana basant ka
qudrat ki barkaten hain khazana basant ka
kya khuub kya ajiib zamana basant ka
dil ko bahut aziiz hai aana basant ka
'rahbar' ki zindagi men samana basant ka
taswir-e-ru-e-yar dikhana basant ka
atkheliyon se dil ko lubhana basant ka
har samt sabza-zar bichhana basant ka
phulon mein rang-o-bu ko lutana basant ka
rashk-e-jinan chaman ko banana basant ka
har har kali mein rang dikhana basant ka
paigham-e-lutf-e-khas sunana basant ka
dariya-e-faiz-e-am bahana basant ka
qudrat ki barkaten hain khazana basant ka
kya khub kya ajib zamana basant ka
dil ko bahut aziz hai aana basant ka
'rahbar' ki zindagi mein samana basant ka
jab nabi-sahib mein koh-o-dasht se aai basant
jab nabi-sahib men koh-o-dasht se aai basant
kar ke mujra shah-e-mardan ki taraf dhaai basant
khvaja-qutbuddin men phir gadva bana kar le gai
yaani un ki nazr ko sau phuul gul laai basant
vaan se phir hazrat-nizamuddin ki khidmat men chali
turbat-e-khusrav pe phir ho ke khade gaai basant
su-e-hazrat turkaman aai jo kar us ka tavaf
ho gai vohin bayabani-o-sahrai basant
vohin phir darbar-e-shah-e-hind men rakh kar qadam
nachne gaane lagi hans hans ba-zebai basant
phir janab asif-e-dauran men ba-sad aish-o-naz
ho gai aa kar ke masruf-e-jabin-sai basant
'mushafi' ab ik ghhazal likh tu ghhazal ki tarah se
ta kare aalam ka taraj-e-shakebai basant
jab nabi-sahib mein koh-o-dasht se aai basant
kar ke mujra shah-e-mardan ki taraf dhai basant
khwaja-qutbuddin mein phir gadwa bana kar le gai
yani un ki nazr ko sau phul gul lai basant
wan se phir hazrat-nizamuddin ki khidmat mein chali
turbat-e-khusraw pe phir ho ke khade gai basant
su-e-hazrat turkaman aai jo kar us ka tawaf
ho gai wohin bayabani-o-sahrai basant
wohin phir darbar-e-shah-e-hind mein rakh kar qadam
nachne gane lagi hans hans ba-zebai basant
phir janab aasif-e-dauran mein ba-sad aish-o-naz
ho gai aa kar ke masruf-e-jabin-sai basant
'mushafi' ab ek ghazal likh tu ghazal ki tarah se
ta kare aalam ka taraj-e-shakebai basant
tu ne lagai ab ki ye kya aag ai basant
tu ne lagai ab ki ye kya aag ai basant
jis se ki dil ki aag uthe jaag ai basant
kaifiyyat-e-bahar ke tu us ko de khabar
mauj-e-nasim ki tarah ud laag ai basant
har shakh zard o surkh o siyah hijr-e-yar men
daste hain dil ko aan ke juun naag ai basant
munh dekho ashiqon ke muqabil huun rang men
bandhi hai mujh se kis liye tu laag ai basant
tujh men kahan ye buqalamuni kahan ye sang
dasht-o-jabal ko khair se ab bhaag ai basant
juun tar-e-chang chhed na 'insha' ko baat men
tera suna hua hai ye ghatrag ai basant
tu ne lagai ab ki ye kya aag ai basant
jis se ki dil ki aag uthe jag ai basant
kaifiyyat-e-bahaar ke tu us ko de khabar
mauj-e-nasim ki tarah ud lag ai basant
har shakh zard o surkh o siyah hijr-e-yar mein
daste hain dil ko aan ke jun nag ai basant
munh dekho aashiqon ke muqabil hun rang mein
bandhi hai mujh se kis liye tu lag ai basant
tujh mein kahan ye buqalamuni kahan ye sang
dasht-o-jabal ko khair se ab bhag ai basant
jun tar-e-chang chhed na 'insha' ko baat mein
tera suna hua hai ye ghatrag ai basant
sad-barg gah dikhai hai gah arghawan basant
sad-barg gah dikhai hai gah arghhavan basant
laai hai ek taaza shagufa yahan basant
bhar bhar ke gulistan men mai-e-aish-o-jashn se
deti hai har ghadi mujhe ritl-e-garan basant
tu uth chala to zard hue sab ke rang-e-ru
kal aa gai bahar men ye na-gahan basant
aate nazar hain dasht-o-jabal zard har taraf
hai ab ke saal aisi hai ai dostan basant
shadabi-e-nasim se bahr-e-surur ko
karti hai josh maar ke ab be-karan basant
gar fil-masal malaika hon ahl-e-zohd sab
le aave bahr-e-sair unhen mu-kashan basant
patte nahin chaman men khadakte tire baghhair
karti hai is libas men har-dam fughhan basant
gar shakh-e-zaafaran use kahiye to hai rava
hai farah-bakhsh vaqai is had kohan basant
gurva bana ke rish-e-mokhazzab se mohtasib
jaata hai us maqam men jaave jahan basant
'insha' se shaikh puchhta hai kya salah hai
targhhib-e-bada di hai mujhe ai javan basant
sad-barg gah dikhai hai gah arghawan basant
lai hai ek taza shagufa yahan basant
bhar bhar ke gulistan mein mai-e-aish-o-jashn se
deti hai har ghadi mujhe ritl-e-garan basant
tu uth chala to zard hue sab ke rang-e-ru
kal aa gai bahaar mein ye na-gahan basant
aate nazar hain dasht-o-jabal zard har taraf
hai ab ke sal aisi hai ai dostan basant
shadabi-e-nasim se bahr-e-surur ko
karti hai josh mar ke ab be-karan basant
gar fil-masal malaika hon ahl-e-zohd sab
le aawe bahr-e-sair unhen mu-kashan basant
patte nahin chaman mein khadakte tere baghair
karti hai is libas mein har-dam fughan basant
gar shakh-e-zafaran use kahiye to hai rawa
hai farah-bakhsh waqai is had kohan basant
gurwa bana ke rish-e-mokhazzab se mohtasib
jata hai us maqam mein jawe jahan basant
'insha' se shaikh puchhta hai kya salah hai
targhib-e-baada di hai mujhe ai jawan basant
You have reached the end.