haalat-e-haal ke sabab haalat-e-haal hi gai
halat-e-hal ke sabab halat-e-hal hi gai
shauq men kuchh nahin gaya shauq ki zindagi gai
tera firaq jan-e-jan aish tha kya mire liye
yaani tire firaq men khuub sharab pi gai
tere visal ke liye apne kamal ke liye
halat-e-dil ki thi kharab aur kharab ki gai
us ki umid-e-naz ka ham se ye maan tha ki aap
umr guzar dijiye umr guzar di gai
ek hi hadsa to hai aur vo ye ki aaj tak
baat nahin kahi gai baat nahin suni gai
baad bhi tere jan-e-jan dil men raha ajab saman
yaad rahi tiri yahan phir tiri yaad bhi gai
us ke badan ko di numud ham ne sukhan men aur phir
us ke badan ke vaste ek qaba bhi si gai
mina-ba-mina mai-ba-mai jam-ba-jam jam-ba-jam
naf-piyale ki tire yaad ajab sahi gai
kahni hai mujh ko ek baat aap se yaani aap se
aap ke shahr-e-vasl men lazzat-e-hijr bhi gai
sehn-e-khayal-e-yar men ki na basar shab-e-firaq
jab se vo chandna gaya jab se vo chandni gai
haalat-e-haal ke sabab haalat-e-haal hi gai
shauq mein kuchh nahin gaya shauq ki zindagi gai
tera firaq jaan-e-jaan aish tha kya mere liye
yani tere firaq mein khub sharab pi gai
tere visal ke liye apne kamal ke liye
haalat-e-dil ki thi kharab aur kharab ki gai
us ki umid-e-naz ka hum se ye man tha ki aap
umr guzar dijiye umr guzar di gai
ek hi hadsa to hai aur wo ye ki aaj tak
baat nahin kahi gai baat nahin suni gai
baad bhi tere jaan-e-jaan dil mein raha ajab saman
yaad rahi teri yahan phir teri yaad bhi gai
us ke badan ko di numud hum ne sukhan mein aur phir
us ke badan ke waste ek qaba bhi si gai
mina-ba-mina mai-ba-mai jam-ba-jam jam-ba-jam
naf-piyale ki tere yaad ajab sahi gai
kahni hai mujh ko ek baat aap se yani aap se
aap ke shahr-e-wasl mein lazzat-e-hijr bhi gai
sehn-e-khayal-e-yar mein ki na basar shab-e-firaq
jab se wo chandna gaya jab se wo chandni gai
insha-ji utho ab kuch karo is shahr mein ji ko lagana kya
'insha'-ji utho ab kuuch karo is shahr men ji ko lagana kya
vahshi ko sukun se kya matlab jogi ka nagar men thikana kya
is dil ke darida daman ko dekho to sahi socho to sahi
jis jholi men sau chhed hue us jholi ka phailana kya
shab biiti chand bhi duub chala zanjir padi darvaze men
kyuun der gae ghar aae ho sajni se karoge bahana kya
phir hijr ki lambi raat miyan sanjog ki to yahi ek ghadi
jo dil men hai lab par aane do sharmana kya ghabrana kya
us roz jo un ko dekha hai ab khvab ka aalam lagta hai
us roz jo un se baat hui vo baat bhi thi afsana kya
us husn ke sachche moti ko ham dekh saken par chhu na saken
jise dekh saken par chhu na saken vo daulat kya vo khazana kya
us ko bhi jala dukhte hue man ik shoala laal bhabuka ban
yuun aansu ban bah jaana kya yuun maati men mil jaana kya
jab shahr ke log na rasta den kyuun ban men na ja bisram kare
divanon ki si na baat kare to aur kare divana kya
'insha'-ji utho ab kuch karo is shahr mein ji ko lagana kya
wahshi ko sukun se kya matlab jogi ka nagar mein thikana kya
is dil ke darida daman ko dekho to sahi socho to sahi
jis jholi mein sau chhed hue us jholi ka phailana kya
shab biti chand bhi dub chala zanjir padi darwaze mein
kyun der gae ghar aae ho sajni se karoge bahana kya
phir hijr ki lambi raat miyan sanjog ki to yahi ek ghadi
jo dil mein hai lab par aane do sharmana kya ghabrana kya
us roz jo un ko dekha hai ab khwab ka aalam lagta hai
us roz jo un se baat hui wo baat bhi thi afsana kya
us husn ke sachche moti ko hum dekh saken par chhu na saken
jise dekh saken par chhu na saken wo daulat kya wo khazana kya
us ko bhi jala dukhte hue man ek shoala lal bhabuka ban
yun aansu ban bah jaana kya yun mati mein mil jaana kya
jab shahr ke log na rasta den kyun ban mein na ja bisram kare
diwanon ki si na baat kare to aur kare diwana kya
kiya hai pyar jise humne zindagi ki tarah
kiya hai pyaar jise ham ne zindagi ki tarah
vo ashna bhi mila ham se ajnabi ki tarah
kise khabar thi badhegi kuchh aur tariki
chhupega vo kisi badli men chandni ki tarah
badha ke pyaas miri us ne haath chhod diya
vo kar raha tha muravvat bhi dil-lagi ki tarah
sitam to ye hai ki vo bhi na ban saka apna
qubul ham ne kiye jis ke ghham khushi ki tarah
kabhi na socha tha ham ne 'qatil' us ke liye
karega ham pe sitam vo bhi har kisi ki tarah
kiya hai pyar jise hum ne zindagi ki tarah
wo aashna bhi mila hum se ajnabi ki tarah
kise khabar thi badhegi kuchh aur tariki
chhupega wo kisi badli mein chandni ki tarah
badha ke pyas meri us ne hath chhod diya
wo kar raha tha murawwat bhi dil-lagi ki tarah
sitam to ye hai ki wo bhi na ban saka apna
qubul hum ne kiye jis ke gham khushi ki tarah
kabhi na socha tha hum ne 'qatil' us ke liye
karega hum pe sitam wo bhi har kisi ki tarah
sab se behtar hai ki mujh par mehrban koi na ho
sab se behtar hai ki mujh par mehrban koi na ho
ham-nashin koi na ho aur raz-dan koi na ho
mariye is hasrat men gar qatil na haath aave kahin
roiye apne pe khud gar nauha-khvan koi na ho
biich men hai mere us ke tu hi ai ah-e-hazin
sulh kyunkar hove jab tak darmiyan koi na ho
shikva kis se kijiye khaliq ki marzi hai yahi
nukta-chin paida hon lakhon nukta-dan koi na ho
mujh talak qatil to qatil maut bhi aati nahin
kis ko diije jaan jab khvahan-e-jan koi na ho
maane gar koi nasihat 'arif'-e-dil-khasta ki
bhuul kar bhi vala-e-atish-bajan koi na ho
sab se behtar hai ki mujh par mehrban koi na ho
ham-nashin koi na ho aur raaz-dan koi na ho
mariye is hasrat mein gar qatil na hath aawe kahin
roiye apne pe khud gar nauha-khwan koi na ho
bich mein hai mere us ke tu hi ai aah-e-hazin
sulh kyunkar howe jab tak darmiyan koi na ho
shikwa kis se kijiye khaliq ki marzi hai yahi
nukta-chin paida hon lakhon nukta-dan koi na ho
mujh talak qatil to qatil maut bhi aati nahin
kis ko dije jaan jab khwahan-e-jaan koi na ho
mane gar koi nasihat 'arif'-e-dil-khasta ki
bhul kar bhi wala-e-atish-bajaan koi na ho
kya ho gaya kaisi rut palti mera chain gaya meri nind gai
kya ho gaya kaisi rut palti mira chain gaya miri niind gai
khulti hi nahin ab dil ki kali mira chain gaya miri niind gai
main laakh rahun yunhi khak-basar shadab rahen tire sham-o-sahar
nahin us ka mujhe shikva bhi koi mira chain gaya miri niind gai
main kab se huun aas lagae hue ik sham-e-umid jalae hue
koi lamha sakun ka mile to sahi mira chain gaya miri niind gai
'javed' kabhi main shadan tha mire saath tarab ka tufan tha
phir zindagi mujh se ruuth gai mira chain gaya miri niind gai
kya ho gaya kaisi rut palti mera chain gaya meri nind gai
khulti hi nahin ab dil ki kali mera chain gaya meri nind gai
main lakh rahun yunhi khak-basar shadab rahen tere sham-o-sahar
nahin us ka mujhe shikwa bhi koi mera chain gaya meri nind gai
main kab se hun aas lagae hue ek sham-e-umid jalae hue
koi lamha sakun ka mile to sahi mera chain gaya meri nind gai
'jawed' kabhi main shadan tha mere sath tarab ka tufan tha
phir zindagi mujh se ruth gai mera chain gaya meri nind gai
khulenge jab talak asrar koi
khulenge jab talak asrar koi
utar jaega dariya paar koi
masiha der hoti ja rahi hai
kahin mar jaega bimar koi
main reza reza hota ja raha huun
mujhe darkar hai me'mar koi
main shab bhar todta rahta huun is ko
utha deta hai phir divar koi
mujhe maqtal sadaen de raha hai
kahin gunji hai phir lalkar koi
lada huun jis tarah main khud se tanha
hava hai barsar-e-paikar koi
ye mera des hai jannat khuda ki
hai varis koi da'vedar koi
kisi ne qaid kar liin fakhtaen
utha kar le gaya ashjar koi
mira ik dard ye bhi hai ki mera
kahani men nahin kirdar koi
to kya main bhi banata daere hi
jo mil jaati mujhe parkar koi
khulenge jab talak asrar koi
utar jaega dariya par koi
masiha der hoti ja rahi hai
kahin mar jaega bimar koi
main reza reza hota ja raha hun
mujhe darkar hai me'mar koi
main shab bhar todta rahta hun is ko
utha deta hai phir diwar koi
mujhe maqtal sadaen de raha hai
kahin gunji hai phir lalkar koi
lada hun jis tarah main khud se tanha
hawa hai barsar-e-paikar koi
ye mera des hai jannat khuda ki
hai waris koi da'wedar koi
kisi ne qaid kar lin fakhtaen
utha kar le gaya ashjar koi
mera ek dard ye bhi hai ki mera
kahani mein nahin kirdar koi
to kya main bhi banata daere hi
jo mil jati mujhe parkar koi
mera afsana-e-gham zikr ke qabil nahin hota
mira afsana-e-ghham zikr ke qabil nahin hota
taghhaful aap ka is men agar shamil nahin hota
na aae ashk palkon tak ye achchha hi hua varna
chala jaata bharam bhi aur kuchh hasil nahin hota
maza tufan se takrane ka jo ma'lum hai mujh ko
isi khatir to main minnat-kash-e-sahil nahin hota
hamari hi khataen rasta hamvar karti hain
‘azab-e-asmani be-sabab nazil nahin hota
badal di tu ne khu apni chalo ye maan lete hain
tire va'de pe kyuun lekin yaqin kamil nahin hota
main us ki kaj-adai ko nazar-andaz karta huun
main apne farz se yaaro kabhi ghhafil nahin hota
na jaane kaun si manzil pe aa pohncha huun main 'mahir'
ghhazal keh kar bhi ab mujh ko sukun hasil nahin hota
mera afsana-e-gham zikr ke qabil nahin hota
taghaful aap ka is mein agar shamil nahin hota
na aae ashk palkon tak ye achchha hi hua warna
chala jata bharam bhi aur kuchh hasil nahin hota
maza tufan se takrane ka jo ma'lum hai mujh ko
isi khatir to main minnat-kash-e-sahil nahin hota
hamari hi khataen rasta hamwar karti hain
‘azab-e-asmani be-sabab nazil nahin hota
badal di tu ne khu apni chalo ye man lete hain
tere wa'de pe kyun lekin yaqin kaamil nahin hota
main us ki kaj-adai ko nazar-andaz karta hun
main apne farz se yaro kabhi ghafil nahin hota
na jaane kaun si manzil pe aa pohncha hun main 'mahir'
ghazal keh kar bhi ab mujh ko sukun hasil nahin hota
You have reached the end.