Poetry Collection

Beniyazi

Not being overly concerned may take two forms. It may a negative attitude and make one careless of everything around. The other one is rather spiritualist and is a characteristic of the men of God. Urdu poetry has many images of the beloveds who remain unconcerned and cause misery to lovers. We have a small selection here taking various shades of this attitude into account.

Total

9

Sher

7

Ghazal

2

Nazm

0

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

GhazalRead Full

gham-e-ashiqi se kah do rah-e-am tak na pahunche

ghham-e-ashiqi se kah do rah-e-am tak na pahunche mujhe khauf hai ye tohmat tire naam tak na pahunche main nazar se pi raha tha to ye dil ne bad-dua di tira haath zindagi bhar kabhi jaam tak na pahunche vo nava-e-muzmahil kya na ho jis men dil ki dhadkan vo sada-e-ahl-e-dil kya jo avaam tak na pahunche mire tair-e-nafas ko nahin baghhban se ranjish mile ghar men ab-o-dana to ye daam tak na pahunche nai subh par nazar hai magar aah ye bhi dar hai ye sahar bhi rafta rafta kahin shaam tak na pahunche ye ada-e-be-niyazi tujhe bevafa mubarak magar aisi be-rukhi kya ki salam tak na pahunche jo naqab-e-rukh utha di to ye qaid bhi laga di uthe har nigah lekin koi baam tak na pahunche unhen apne dil ki khabren mire dil se mil rahi hain main jo un se ruuth jaun to payam tak na pahunche vahi ik khamosh naghhma hai 'shakil' jan-e-hasti jo zaban par na aae jo kalam tak na pahunche gham-e-ashiqi se kah do rah-e-am tak na pahunche mujhe khauf hai ye tohmat tere nam tak na pahunche main nazar se pi raha tha to ye dil ne bad-dua di tera hath zindagi bhar kabhi jam tak na pahunche wo nawa-e-muzmahil kya na ho jis mein dil ki dhadkan wo sada-e-ahl-e-dil kya jo awam tak na pahunche mere tair-e-nafas ko nahin baghban se ranjish mile ghar mein aab-o-dana to ye dam tak na pahunche nai subh par nazar hai magar aah ye bhi dar hai ye sahar bhi rafta rafta kahin sham tak na pahunche ye ada-e-be-niyazi tujhe bewafa mubarak magar aisi be-rukhi kya ki salam tak na pahunche jo naqab-e-rukh utha di to ye qaid bhi laga di uthe har nigah lekin koi baam tak na pahunche unhen apne dil ki khabren mere dil se mil rahi hain main jo un se ruth jaun to payam tak na pahunche wahi ek khamosh naghma hai 'shakil' jaan-e-hasti jo zaban par na aae jo kalam tak na pahunche

GhazalRead Full

marne ki duaen kyun mangun jine ki tamanna kaun kare

marne ki duaen kyuun mangun jiine ki tamanna kaun kare ye duniya ho ya vo duniya ab khvahish-e-duniya kaun kare jab kashti sabit-o-salim thi sahil ki tamanna kis ko thi ab aisi shikasta kashti par sahil ki tamanna kaun kare jo aag lagai thi tum ne us ko to bujhaya ashkon ne jo ashkon ne bhadkai hai us aag ko thanda kaun kare duniya ne hamen chhoda 'jazbi' ham chhod na den kyuun duniya ko duniya ko samajh kar baithe hain ab duniya duniya kaun kare marne ki duaen kyun mangun jine ki tamanna kaun kare ye duniya ho ya wo duniya ab khwahish-e-duniya kaun kare jab kashti sabit-o-salim thi sahil ki tamanna kis ko thi ab aisi shikasta kashti par sahil ki tamanna kaun kare jo aag lagai thi tum ne us ko to bujhaya ashkon ne jo ashkon ne bhadkai hai us aag ko thanda kaun kare duniya ne hamein chhoda 'jazbi' hum chhod na den kyun duniya ko duniya ko samajh kar baithe hain ab duniya duniya kaun kare

You have reached the end.

Explore Similar Collections

Beniyazi FAQs

Beniyazi collection me kya milega?

Beniyazi se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.