Poetry Collection

Culture

Culture par curated selection jahan sher, ghazal aur nazm ko readable format me discover kiya ja sakta hai.

Total

13

Sher

13

Ghazal

0

Nazm

0

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

aap shahar mein khubsurat aur nafees gadiyaan dekhte hain... ye khubsurat aur nafees gadiyaan kooda-karkat uthane ke kaam nahi aa saktin. gandagi aur ghalaazat utha kar bahar phenkne ke liye aur gadiyaan maujood hain jinhein aap kam dekhte hain aur agar dekhte hain to fauran apni naak par rumaal rakh lete hain... in gadiyon ka wujood zaroori hai aur un aurton ka wujood bhi zaroori hai jo ghalaazat uthaati hain. agar ye aurtein na hotin to hamaare sab gali-kooche mardon ki ghaleez harakaat se bhare hote.

~ Saadat Hasan Manto

har aurat vaishya nahi hoti lekin har vaishya aurat hoti hai, is baat ko hamesha yaad rakhna chaahiye.

~ Saadat Hasan Manto

society ke usoolon ke mutaabiq mard mard rahta hai, khwaah uski kitaab-e-zindagi ke har waraq par gunaahon ki siyaahi lipi ho. magar woh aurat jo sirf eik martaba jawaani ke be-panaah jazbe ke zer-e-asar ya kisi laalach mein aakar ya kisi mard ki zabardasti ka shikaar ho kar eik lamhe ke liye apne raaste se hat jaaye, aurat nahi rahti. use haqaarat-o-nafrat ki nigaahon se dekha jaata hai. society us par woh tamaam darwaaze band kar deti hai jo eik siyaah-pesha mard ke liye khule rahte hain.

main tahzeeb-o-tamaddun aur society ki choli kya utaarunga jo hai hi nangi... main use kapde pahnaane ki koshish bhi nahi karta, isliye ki yeh mera kaam nahi, darziyon ka hai. log mujhe siyaah qalam kahte hain, main takhta-e-siyaah par kaali chaak se nahi likhta, safed chaak istemaal karta hoon ki takhta-e-siyaah ki siyaahi aur bhi ziyaada numaayaan ho jaaye. yeh mera khaas andaaz, mera khaas tarz hai jise fohsh-nigaari, taraqqi-pasandi aur khuda maloom kya kuch kahaa jaata hai. laanat ho s'aadat hasan manto par, kambakht ko gaali bhi saleeqe se nahi di jaati.

~ Saadat Hasan Manto

jis aurat ke darwaaze shahar ke har us shaksh ke liye khule hain jo apni jebon mein chaandi ke chand sikke rakhta ho. khwaah woh mochi ho ya bhangi, langda ho ya loola, khubsoorat ho ya karihatul manzar, uski zindagi ka andaaza ba-khoobi lagaya ja sakta hai.

~ Saadat Hasan Manto

vaishya paida nahi hoti, banaai jaati hai. ya khud banti hai. jis cheez ki maang hogi mandi mein zaroor aaegi. mard ki nafsaani khwaahishaat ki maang aurat hai. khwaah woh kisi shakl mein ho. chunaanche is maang ka asar ye hai ki har shahar mein koi na koi chakla maujood hai. agar aaj ye maang door ho jaaye to ye chakle khud ba khud ghaayab ho jaaenge.

~ Saadat Hasan Manto

vaishya paida nahi hoti, banaai jaati hai ya khud banti hai.

~ Saadat Hasan Manto

maujuda nizaam ke tahat jiski baag-dor sirf mardon ke haath mein hai, aurat khwaah woh ismat-farosh ho ya ba-ismat, hamesha dabi rahi hai. mard ko maujooda akhtiyaar hoga ki woh uske mutalliq jo chaahe raae qayam kare.

~ Saadat Hasan Manto

ismat-farosh aurat eik zamaane se duniya ki sabse zaleel hasti samjhi jati hai. magar kya humne ghaur kiya hai ki hum mein se aksar aisi zaleel-o-khwaar hastiyon ke dar par thokarein khaate hain, kya hamaare dil mein ye khayaal paida nahi hota ki hum bhi zaleel hain?

~ Saadat Hasan Manto

bazari aurtein samaaj ki paidaawaar hain aur samaaj ke waza-karda qawaaneen ki khaad unki parwarish karti hai. agar unko achcha banana darkaar hai to saare jism ke nizaam ko durust karne ki zaroorat hai. jab tak samaaj apne qawaaneen par az sar-e-nau ghaur na karega, woh "najaasat" door na hogi jo tahzeeb-o-tamaddun ke har shahr aur har basti ke andar maujood hai?

~ Saadat Hasan Manto

jab tak samaaj apne qawaaneen par az sa-e-nau ghaur na karega wo "najaasat" door na hogi jo tahzeeb-o-tamaddun ke is zamaane mein har shahar aur har basti ke andar maujood hai.

~ Saadat Hasan Manto

taajjub to is baat ka hai ki jab sadiyon se hum ye sun rahe hain ki vaishya ka dasa hua paani nahi mangta to hum kyun apne aapko isse daswaate hain aur phir kyun khud hi rona peetna shuroo kar dete hain. vaishya iraadatan ya kisi intiqaami jazbe ke zer-e-asar mardon ke maal-o-zar par haath nahi daalti. woh sauda karti hai aur kamaati hai.

~ Saadat Hasan Manto

vaishya ya tawaaef apne tijaarati usoolon ke ma-tahat har mard se jo uske paas gaahak ke taur par aata hai, ziyaada se ziyaada nafaa haasil karne ki koshish karegi. agar wo munaasib daamon par ya hairat-angez qeemat par apna maal bechti hai to ye uska pesha hai. baniya bhi to sauda tolte waqt dandi maar jaata hai. baaz dukaanein ziyaada qeemat par apna maal bechti hain baaz kam qeemat par.

~ Saadat Hasan Manto

You have reached the end.

Explore Similar Collections

Culture FAQs

Culture collection me kya milega?

Culture se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.