bada ehsan hum farma rahe hain
bada ehsan ham farma rahe hain
ki un ke khat unhen lauta rahe hain
nahin tark-e-mohabbat par vo raazi
qayamat hai ki ham samjha rahe hain
yaqin ka rasta tai karne vaale
bahut tezi se vapas aa rahe hain
ye mat bhulo ki ye lamhat ham ko
bichhadne ke liye milva rahe hain
ta'ajjub hai ki ishq-o-ashiqi se
abhi kuchh log dhoka kha rahe hain
tumhen chahenge jab chhin jaogi tum
abhi ham tum ko arzan pa rahe hain
kisi surat unhen nafrat ho ham se
ham apne aib khud ginva rahe hain
vo pagal mast hai apni vafa men
miri ankhon men aansu aa rahe hain
dalilon se use qaail kiya tha
dalilen de ke ab pachhta rahe hain
tiri banhon se hijrat karne vaale
nae mahaul men ghabra rahe hain
ye jazb-e-ishq hai ya jazba-e-rahm
tire aansu mujhe rulva rahe hain
ajab kuchh rabt hai tum se ki tum ko
ham apna jaan kar thukra rahe hain
vafa ki yadgaren tak na hongi
miri jaan bas koi din ja rahe hain
bada ehsan hum farma rahe hain
ki un ke khat unhen lauta rahe hain
nahin tark-e-mohabbat par wo raazi
qayamat hai ki hum samjha rahe hain
yaqin ka rasta tai karne wale
bahut tezi se wapas aa rahe hain
ye mat bhulo ki ye lamhat hum ko
bichhadne ke liye milwa rahe hain
ta'ajjub hai ki ishq-o-ashiqi se
abhi kuchh log dhoka kha rahe hain
tumhein chahenge jab chhin jaogi tum
abhi hum tum ko arzan pa rahe hain
kisi surat unhen nafrat ho hum se
hum apne aib khud ginwa rahe hain
wo pagal mast hai apni wafa mein
meri aankhon mein aansu aa rahe hain
dalilon se use qail kiya tha
dalilen de ke ab pachhta rahe hain
teri banhon se hijrat karne wale
nae mahaul mein ghabra rahe hain
ye jazb-e-ishq hai ya jazba-e-rahm
tere aansu mujhe rulwa rahe hain
ajab kuchh rabt hai tum se ki tum ko
hum apna jaan kar thukra rahe hain
wafa ki yaadgaren tak na hongi
meri jaan bas koi din ja rahe hain
apni halat ka khud ehsas nahin hai mujh ko
main ne auron se suna hai ki pareshan huun main
wo jo viran phira karta hai
vo jo viran phira karta hai
us ke sar men koi sahra hoga
tujh se dil tere parastaron ka
tutte tutte tuuta hoga
jhuk ke jo aap se milta hoga
us ka qad aap se uncha hoga
vo jo marne pe tula hai 'akhtar'
us ne ji kar bhi to dekha hoga
wo jo viran phira karta hai
us ke sar mein koi sahra hoga
tujh se dil tere parastaron ka
tutte tutte tuta hoga
jhuk ke jo aap se milta hoga
us ka qad aap se uncha hoga
wo jo marne pe tula hai 'akhtar'
us ne ji kar bhi to dekha hoga
taklif mit gai magar ehsas rah gaya
khush huun ki kuchh na kuchh to mire paas rah gaya
agahi karb vafa sabr tamanna ehsas
mere hi siine men utre hain ye khanjar saare
nigahon mein chamak dil mein khushi mahsus karta hun
nigahon men chamak dil men khushi mahsus karta huun
ki tere bas men apni zindagi mahsus karta huun
thaka deti hain jab kaunain ki pahnaiyan mujh ko
tire dar par pahunch kar tazgi mahsus karta huun
ba-majburi muqaddar ke ufuq se jhankne vaale
tiri ankhon men ik sharmindagi mahsus karta huun
javani ko saza-e-lazzat-e-ehsas de dena
main is had par khuda ko aadmi mahsus karta huun
shab-e-akhir falak par timtima kar dubte taare
main apne saath tera dard bhi mahsus karta huun
nigahon mein chamak dil mein khushi mahsus karta hun
ki tere bas mein apni zindagi mahsus karta hun
thaka deti hain jab kaunain ki pahnaiyan mujh ko
tere dar par pahunch kar tazgi mahsus karta hun
ba-majburi muqaddar ke ufuq se jhankne wale
teri aankhon mein ek sharmindagi mahsus karta hun
jawani ko saza-e-lazzat-e-ehsas de dena
main is had par khuda ko aadmi mahsus karta hun
shab-e-akhir falak par timtima kar dubte tare
main apne sath tera dard bhi mahsus karta hun
jis qadar fasle badhae hain
jis qadar fasle badhae hain
aap utna hi paas aae hain
qasido jaan maang lo chahe
gar khabar aap un ki laae hain
ham ko likhta ki ja chala ja tu
kaise jaaen ki tere saae hain
ek main hi nahin makin apna
aap mehman bin bulae hain
khaak koi hasin nazar aae
aap jab aankh men samae hain
aap to de ke zakhm bhuul gae
ham ne marham vo sab banae hain
'ishq ke rog ne sataya tha
ab tabibon ke ham satae hain
aap ko zindagi kaha aise
zindagi ko bhi ham na bhaae hain
manta huun vafa nahin lazim
khvab kyuun ba-vafa dikhae hain
kaun kafir kare jafa 'abrak'
vo khayalon men muskurae hain
jis qadar fasle badhae hain
aap utna hi pas aae hain
qasido jaan mang lo chahe
gar khabar aap un ki lae hain
hum ko likhta ki ja chala ja tu
kaise jaen ki tere sae hain
ek main hi nahin makin apna
aap mehman bin bulae hain
khak koi hasin nazar aae
aap jab aankh mein samae hain
aap to de ke zakhm bhul gae
hum ne marham wo sab banae hain
'ishq ke rog ne sataya tha
ab tabibon ke hum satae hain
aap ko zindagi kaha aise
zindagi ko bhi hum na bhae hain
manta hun wafa nahin lazim
khwab kyun ba-wafa dikhae hain
kaun kafir kare jafa 'abrak'
wo khayalon mein muskurae hain
maut ki pahli alamat sahib
yahi ehsas ka mar jaana hai
main us ke samne se guzarta huun is liye
tark-e-taalluqat ka ehsas mar na jaae
it is for this reason, i often pass her by
the pain of our breaking up, may not ever die
koi khushi ghami ho main tab yaad aaunga
koi khushi ghhami ho main tab yaad aunga
har haal dhund lunga sabab yaad aunga
sab mausamon ko bin mire chahe guzar lo
barsat jab bhi aaegi tab yaad aunga
khoega jab jahan hasinon ki bhiid men
main chand koi aisi hi shab yaad aunga
ankhon men le chhupa ki khayalon men dafn kar
ban kar main ek khvab-e-tarab yaad aunga
tu yaad kar na kar mujhe ye to gavara hai
sochega jab tu ghhair ko tab yaad aunga
aisi bhi mere dost faraghhat nahin mujhe
baitha huun intizar men kab yaad aunga
yuun ho ke khush-guman guzari hai zindagi
jab yaad aunga to ghhazab yaad aunga
kab tak guzaroge yahan auron ki zindagi
jab hogi tum ko apni talab yaad aunga
khush-fahmi ka ye silsila 'abrak' daraz hai
uth jaunga jahan se main tab yaad aunga
koi khushi ghami ho main tab yaad aaunga
har haal dhund lunga sabab yaad aaunga
sab mausamon ko bin mere chahe guzar lo
barsat jab bhi aaegi tab yaad aaunga
khoega jab jahan hasinon ki bhid mein
main chand koi aisi hi shab yaad aaunga
aankhon mein le chhupa ki khayalon mein dafn kar
ban kar main ek khwab-e-tarab yaad aaunga
tu yaad kar na kar mujhe ye to gawara hai
sochega jab tu ghair ko tab yaad aaunga
aisi bhi mere dost faraghat nahin mujhe
baitha hun intizar mein kab yaad aaunga
yun ho ke khush-guman guzari hai zindagi
jab yaad aaunga to ghazab yaad aaunga
kab tak guzaroge yahan auron ki zindagi
jab hogi tum ko apni talab yaad aaunga
khush-fahmi ka ye silsila 'abrak' daraaz hai
uth jaunga jahan se main tab yaad aaunga
raat din aasan hote ja rahe hain
raat din asan hote ja rahe hain
jab se ham anjan hote ja rahe hain
saans the ham jaan the ham zindagi the
ab kidhar vo dhyan hote ja rahe hain
kya gila ab kijiye ik dusre se
dil hi be-iman hote ja rahe hain
tum bhi ab vo apsara si kab rahi ho
ham bhi ab insan hote ja rahe hain
jis ko jo chahe samajhta hai samajh le
is qadar asan hote ja rahe hain
dekh ham ko vapsi ke raston par
raste hairan hote ja rahe hain
ghham alam tanhaiyan vo ratjage sab
mere bin viran hote ja rahe hain
ham ne socha tha bahut mushkil hai jiina
khud-ba-khud asan hote ja rahe hain
is tarah azad hain ab sab fazaen
qaid khud zindan hote ja rahe hain
ham tire bin aaj yuun zinda hain 'abrak'
zindagi ki jaan hote ja rahe hain
raat din aasan hote ja rahe hain
jab se hum anjaan hote ja rahe hain
sans the hum jaan the hum zindagi the
ab kidhar wo dhyan hote ja rahe hain
kya gila ab kijiye ek dusre se
dil hi be-iman hote ja rahe hain
tum bhi ab wo apsara si kab rahi ho
hum bhi ab insan hote ja rahe hain
jis ko jo chahe samajhta hai samajh le
is qadar aasan hote ja rahe hain
dekh hum ko wapsi ke raston par
raste hairan hote ja rahe hain
gham alam tanhaiyan wo ratjage sab
mere bin viran hote ja rahe hain
hum ne socha tha bahut mushkil hai jina
khud-ba-khud aasan hote ja rahe hain
is tarah aazad hain ab sab fazaen
qaid khud zindan hote ja rahe hain
hum tere bin aaj yun zinda hain 'abrak'
zindagi ki jaan hote ja rahe hain
tanhai ke lamhat ka ehsas hua hai
jab taron bhari raat ka ehsas hua hai
reza reza kar diya jis ne mire ehsas ko
kis qadar hairan hai vo mujh ko yakja dekh kar
tere khutut ke purze shumar karte hue
tere khutut ke purze shumar karte hue
phaphak ke roya main tohfe shumar karte hue
main chahta huun mire ghar ke paas jangal ho
main din guzarun parinde shumar karte hue
bas itna padhna hai mujh ko ki pass ho jaun
kitab padhta huun safhe shumar karte hue
main aaj haar kar aaya phir ek aah bhari
purani jiit ke tamghhe shumar karte hue
hamari ginti men bas valdain aate hain
jahan bhar men se apne shumar karte hue
tere khutut ke purze shumar karte hue
phaphak ke roya main tohfe shumar karte hue
main chahta hun mere ghar ke pas jangal ho
main din guzarun parinde shumar karte hue
bas itna padhna hai mujh ko ki pass ho jaun
kitab padhta hun safhe shumar karte hue
main aaj haar kar aaya phir ek aah bhari
purani jit ke tamghe shumar karte hue
hamari ginti mein bas waldain aate hain
jahan bhar mein se apne shumar karte hue
ye fard-e-jurm hai mujh par ki us se pyar karta hun
ye fard-e-jurm hai mujh par ki us se pyaar karta huun
main is ilzam se filhal to inkar karta huun
jhatak deta hai khvab-e-vasl ka har rang ankhon se
ye koshish kya kahun har roz kitni baar karta huun
sabhi hairan hain kya tha vo samjhauta judai ka
na vo e'lan karta hai na main izhar karta huun
miri ankhon men phir jaati hai surat hu-ba-hu us ki
main us ke dekhne valon ka jab didar karta huun
'ajab kya hai agar ghata pada mujh ko mohabbat men
ye kar-o-bar hai aur men ye kar-o-bar karta huun
'zafar' tasvir ho sakti hai kab ne'mul-badal us ka
koi puchhe ye main kis chiiz par israr karta huun
ye fard-e-jurm hai mujh par ki us se pyar karta hun
main is ilzam se filhaal to inkar karta hun
jhatak deta hai khwab-e-wasl ka har rang aankhon se
ye koshish kya kahun har roz kitni bar karta hun
sabhi hairan hain kya tha wo samjhauta judai ka
na wo e'lan karta hai na main izhaar karta hun
meri aankhon mein phir jati hai surat hu-ba-hu us ki
main us ke dekhne walon ka jab didar karta hun
'ajab kya hai agar ghata pada mujh ko mohabbat mein
ye kar-o-bar hai aur mein ye kar-o-bar karta hun
'zafar' taswir ho sakti hai kab ne'mul-badal us ka
koi puchhe ye main kis chiz par israr karta hun
mujh ko ehsas-e-rang-o-bu na hua
yuun bhi aksar bahar aai hai
har taraf apne hi apne haae tanhai na puchh
kis qadar khalti hai aksar ham ko binai na puchh
uske gun gane pe ehsas hua ishq hua
us ke gun gaane pe ehsas hua 'ishq hua
khud pe itrane pe ehsas hua 'ishq hua
koi ruthe bhi to parvah nahin thi mujh ko
us ko manvane pe ehsas hua 'ishq hua
'ishq hote hue mahsus nahin hota hai
'ishq ho jaane pe ehsas hua 'ishq hua
vo nazar aaya to phir nazren chura kar us ko
dekhte jaane pe ehsas hua 'ishq hua
us ne jo baat kahi baat vo tanhai men
khud se duhrane pe ehsas hua 'ishq hua
chot jab us ko lagi khud ko aziyyat de kar
chot pahunchane pe ehsas hua 'ishq hua
tai-shuda ek mulaqat ke tal jaane se
khuub pachhtane pe ehsas hua 'ishq hua
us ke jaate hi mire gulshan-e-dil ke 'gauhar'
phuul murjhane pe ehsas hua 'ishq hua
us ke gun gane pe ehsas hua 'ishq hua
khud pe itrane pe ehsas hua 'ishq hua
koi ruthe bhi to parwah nahin thi mujh ko
us ko manwane pe ehsas hua 'ishq hua
'ishq hote hue mahsus nahin hota hai
'ishq ho jaane pe ehsas hua 'ishq hua
wo nazar aaya to phir nazren chura kar us ko
dekhte jaane pe ehsas hua 'ishq hua
us ne jo baat kahi baat wo tanhai mein
khud se duhrane pe ehsas hua 'ishq hua
chot jab us ko lagi khud ko aziyyat de kar
chot pahunchane pe ehsas hua 'ishq hua
tai-shuda ek mulaqat ke tal jaane se
khub pachhtane pe ehsas hua 'ishq hua
us ke jate hi mere gulshan-e-dil ke 'gauhar'
phul murjhane pe ehsas hua 'ishq hua
chappa chappa kona kona shahr ka humne chhana hai
chappa chappa kona kona shahr ka ham ne chhana hai
vaqt ne karvat badli ab har mod yahan an-jana hai
faani hai ye maal ye daulat ye duniya ki jhuti shaan
yaad rakho jab aae qaza to sab kuchh chhod ke jaana hai
nazren ghhair ki chizon par hain imanon ki khair nahin
farq vo shayad bhuul gae kya apna kya begana hai
din ke ujle-pan men shab ki tariki ham bhuul gae
shor-sharaba kar ke thak kar raat ko phir so jaana hai
aaj kitaben dekhin un ki asl vahan ma'lum hui
lafzon ke sauda-gar hain kuchh karna kuchh farmana hai
'razi' kaun khabar rakhta hai kis ko us ka qurb mila
kya hai qalandar kya suufi kya zahid kya divana hai
chappa chappa kona kona shahr ka hum ne chhana hai
waqt ne karwat badli ab har mod yahan an-jaana hai
fani hai ye mal ye daulat ye duniya ki jhuti shan
yaad rakho jab aae qaza to sab kuchh chhod ke jaana hai
nazren ghair ki chizon par hain imanon ki khair nahin
farq wo shayad bhul gae kya apna kya begana hai
din ke ujle-pan mein shab ki tariki hum bhul gae
shor-sharaba kar ke thak kar raat ko phir so jaana hai
aaj kitaben dekhin un ki asl wahan ma'lum hui
lafzon ke sauda-gar hain kuchh karna kuchh farmana hai
'raazi' kaun khabar rakhta hai kis ko us ka qurb mila
kya hai qalandar kya sufi kya zahid kya diwana hai
hamen kam-bakht ehsas-e-khudi us dar pe le baitha
ham uth jaate to vo parda bhi uth jaata jo haail tha