bada ehsan hum farma rahe hain
bada ehsan ham farma rahe hain
ki un ke khat unhen lauta rahe hain
nahin tark-e-mohabbat par vo raazi
qayamat hai ki ham samjha rahe hain
yaqin ka rasta tai karne vaale
bahut tezi se vapas aa rahe hain
ye mat bhulo ki ye lamhat ham ko
bichhadne ke liye milva rahe hain
ta'ajjub hai ki ishq-o-ashiqi se
abhi kuchh log dhoka kha rahe hain
tumhen chahenge jab chhin jaogi tum
abhi ham tum ko arzan pa rahe hain
kisi surat unhen nafrat ho ham se
ham apne aib khud ginva rahe hain
vo pagal mast hai apni vafa men
miri ankhon men aansu aa rahe hain
dalilon se use qaail kiya tha
dalilen de ke ab pachhta rahe hain
tiri banhon se hijrat karne vaale
nae mahaul men ghabra rahe hain
ye jazb-e-ishq hai ya jazba-e-rahm
tire aansu mujhe rulva rahe hain
ajab kuchh rabt hai tum se ki tum ko
ham apna jaan kar thukra rahe hain
vafa ki yadgaren tak na hongi
miri jaan bas koi din ja rahe hain
bada ehsan hum farma rahe hain
ki un ke khat unhen lauta rahe hain
nahin tark-e-mohabbat par wo raazi
qayamat hai ki hum samjha rahe hain
yaqin ka rasta tai karne wale
bahut tezi se wapas aa rahe hain
ye mat bhulo ki ye lamhat hum ko
bichhadne ke liye milwa rahe hain
ta'ajjub hai ki ishq-o-ashiqi se
abhi kuchh log dhoka kha rahe hain
tumhein chahenge jab chhin jaogi tum
abhi hum tum ko arzan pa rahe hain
kisi surat unhen nafrat ho hum se
hum apne aib khud ginwa rahe hain
wo pagal mast hai apni wafa mein
meri aankhon mein aansu aa rahe hain
dalilon se use qail kiya tha
dalilen de ke ab pachhta rahe hain
teri banhon se hijrat karne wale
nae mahaul mein ghabra rahe hain
ye jazb-e-ishq hai ya jazba-e-rahm
tere aansu mujhe rulwa rahe hain
ajab kuchh rabt hai tum se ki tum ko
hum apna jaan kar thukra rahe hain
wafa ki yaadgaren tak na hongi
meri jaan bas koi din ja rahe hain
wo jo viran phira karta hai
vo jo viran phira karta hai
us ke sar men koi sahra hoga
tujh se dil tere parastaron ka
tutte tutte tuuta hoga
jhuk ke jo aap se milta hoga
us ka qad aap se uncha hoga
vo jo marne pe tula hai 'akhtar'
us ne ji kar bhi to dekha hoga
wo jo viran phira karta hai
us ke sar mein koi sahra hoga
tujh se dil tere parastaron ka
tutte tutte tuta hoga
jhuk ke jo aap se milta hoga
us ka qad aap se uncha hoga
wo jo marne pe tula hai 'akhtar'
us ne ji kar bhi to dekha hoga
phir koi naya zakhm naya dard ata ho
phir koi naya zakhm naya dard ata ho
us dil ki khabar le jo tujhe bhuul chala ho
ab dil men sar-e-sham charaghhan nahin hota
shoala tire ghham ka kahin bujhne na laga ho
kab ishq kiya kis se kiya jhuut hai yaaro
bas bhuul bhi jaao jo kabhi ham se suna ho
darvaza khula hai ki koi laut na jaae
aur us ke liye jo kabhi aaya na gaya ho
shayad ki tire qurb se aa jaae mayassar
vo dard ki jo dard-e-judai se siva ho
ab meri ghhazal ka bhi taqaza hai ye tujh se
andaz-o-ada ka koi uslub naya ho
phir koi naya zakhm naya dard ata ho
us dil ki khabar le jo tujhe bhul chala ho
ab dil mein sar-e-sham charaghan nahin hota
shoala tere gham ka kahin bujhne na laga ho
kab ishq kiya kis se kiya jhut hai yaro
bas bhul bhi jao jo kabhi hum se suna ho
darwaza khula hai ki koi laut na jae
aur us ke liye jo kabhi aaya na gaya ho
shayad ki tere qurb se aa jae mayassar
wo dard ki jo dard-e-judai se siwa ho
ab meri ghazal ka bhi taqaza hai ye tujh se
andaz-o-ada ka koi uslub naya ho
nigahon mein chamak dil mein khushi mahsus karta hun
nigahon men chamak dil men khushi mahsus karta huun
ki tere bas men apni zindagi mahsus karta huun
thaka deti hain jab kaunain ki pahnaiyan mujh ko
tire dar par pahunch kar tazgi mahsus karta huun
ba-majburi muqaddar ke ufuq se jhankne vaale
tiri ankhon men ik sharmindagi mahsus karta huun
javani ko saza-e-lazzat-e-ehsas de dena
main is had par khuda ko aadmi mahsus karta huun
shab-e-akhir falak par timtima kar dubte taare
main apne saath tera dard bhi mahsus karta huun
nigahon mein chamak dil mein khushi mahsus karta hun
ki tere bas mein apni zindagi mahsus karta hun
thaka deti hain jab kaunain ki pahnaiyan mujh ko
tere dar par pahunch kar tazgi mahsus karta hun
ba-majburi muqaddar ke ufuq se jhankne wale
teri aankhon mein ek sharmindagi mahsus karta hun
jawani ko saza-e-lazzat-e-ehsas de dena
main is had par khuda ko aadmi mahsus karta hun
shab-e-akhir falak par timtima kar dubte tare
main apne sath tera dard bhi mahsus karta hun
jis qadar fasle badhae hain
jis qadar fasle badhae hain
aap utna hi paas aae hain
qasido jaan maang lo chahe
gar khabar aap un ki laae hain
ham ko likhta ki ja chala ja tu
kaise jaaen ki tere saae hain
ek main hi nahin makin apna
aap mehman bin bulae hain
khaak koi hasin nazar aae
aap jab aankh men samae hain
aap to de ke zakhm bhuul gae
ham ne marham vo sab banae hain
'ishq ke rog ne sataya tha
ab tabibon ke ham satae hain
aap ko zindagi kaha aise
zindagi ko bhi ham na bhaae hain
manta huun vafa nahin lazim
khvab kyuun ba-vafa dikhae hain
kaun kafir kare jafa 'abrak'
vo khayalon men muskurae hain
jis qadar fasle badhae hain
aap utna hi pas aae hain
qasido jaan mang lo chahe
gar khabar aap un ki lae hain
hum ko likhta ki ja chala ja tu
kaise jaen ki tere sae hain
ek main hi nahin makin apna
aap mehman bin bulae hain
khak koi hasin nazar aae
aap jab aankh mein samae hain
aap to de ke zakhm bhul gae
hum ne marham wo sab banae hain
'ishq ke rog ne sataya tha
ab tabibon ke hum satae hain
aap ko zindagi kaha aise
zindagi ko bhi hum na bhae hain
manta hun wafa nahin lazim
khwab kyun ba-wafa dikhae hain
kaun kafir kare jafa 'abrak'
wo khayalon mein muskurae hain
har waqt zamane pe nazar rakkhe hue hain
har vaqt zamane pe nazar rakkhe hue hain
kis haal men hain dost khabar rakkhe hue hain
raton ki siyahi ka asar kuchh nahin un par
vo log jo ankhon men sahar rakkhe hue hain
tohfe jo mohabbat men kabhi tum se mile the
ab tak badi tartib se ghar rakkhe hue hain
bedar agar ho bhi gae uth na sakenge
ham aise hi ik zaanu pe sar rakkhe hue hain
murjhae hue biit gaya ek zamana
vo phuul kitabon men magar rakkhe hue hain
ham ne bhi kamae hain mohabbat ke khazane
jholi men hamari bhi guhar rakkhe hue hain
didar ki khvahish men har ik vaqt hi 'najmi'
ham us ke dariche pe nazar rakkhe hue hain
har waqt zamane pe nazar rakkhe hue hain
kis haal mein hain dost khabar rakkhe hue hain
raaton ki siyahi ka asar kuchh nahin un par
wo log jo aankhon mein sahar rakkhe hue hain
tohfe jo mohabbat mein kabhi tum se mile the
ab tak badi tartib se ghar rakkhe hue hain
bedar agar ho bhi gae uth na sakenge
hum aise hi ek zanu pe sar rakkhe hue hain
murjhae hue bit gaya ek zamana
wo phul kitabon mein magar rakkhe hue hain
hum ne bhi kamae hain mohabbat ke khazane
jholi mein hamari bhi guhar rakkhe hue hain
didar ki khwahish mein har ek waqt hi 'najmi'
hum us ke dariche pe nazar rakkhe hue hain
koi khushi ghami ho main tab yaad aaunga
koi khushi ghhami ho main tab yaad aunga
har haal dhund lunga sabab yaad aunga
sab mausamon ko bin mire chahe guzar lo
barsat jab bhi aaegi tab yaad aunga
khoega jab jahan hasinon ki bhiid men
main chand koi aisi hi shab yaad aunga
ankhon men le chhupa ki khayalon men dafn kar
ban kar main ek khvab-e-tarab yaad aunga
tu yaad kar na kar mujhe ye to gavara hai
sochega jab tu ghhair ko tab yaad aunga
aisi bhi mere dost faraghhat nahin mujhe
baitha huun intizar men kab yaad aunga
yuun ho ke khush-guman guzari hai zindagi
jab yaad aunga to ghhazab yaad aunga
kab tak guzaroge yahan auron ki zindagi
jab hogi tum ko apni talab yaad aunga
khush-fahmi ka ye silsila 'abrak' daraz hai
uth jaunga jahan se main tab yaad aunga
koi khushi ghami ho main tab yaad aaunga
har haal dhund lunga sabab yaad aaunga
sab mausamon ko bin mere chahe guzar lo
barsat jab bhi aaegi tab yaad aaunga
khoega jab jahan hasinon ki bhid mein
main chand koi aisi hi shab yaad aaunga
aankhon mein le chhupa ki khayalon mein dafn kar
ban kar main ek khwab-e-tarab yaad aaunga
tu yaad kar na kar mujhe ye to gawara hai
sochega jab tu ghair ko tab yaad aaunga
aisi bhi mere dost faraghat nahin mujhe
baitha hun intizar mein kab yaad aaunga
yun ho ke khush-guman guzari hai zindagi
jab yaad aaunga to ghazab yaad aaunga
kab tak guzaroge yahan auron ki zindagi
jab hogi tum ko apni talab yaad aaunga
khush-fahmi ka ye silsila 'abrak' daraaz hai
uth jaunga jahan se main tab yaad aaunga
raat din aasan hote ja rahe hain
raat din asan hote ja rahe hain
jab se ham anjan hote ja rahe hain
saans the ham jaan the ham zindagi the
ab kidhar vo dhyan hote ja rahe hain
kya gila ab kijiye ik dusre se
dil hi be-iman hote ja rahe hain
tum bhi ab vo apsara si kab rahi ho
ham bhi ab insan hote ja rahe hain
jis ko jo chahe samajhta hai samajh le
is qadar asan hote ja rahe hain
dekh ham ko vapsi ke raston par
raste hairan hote ja rahe hain
ghham alam tanhaiyan vo ratjage sab
mere bin viran hote ja rahe hain
ham ne socha tha bahut mushkil hai jiina
khud-ba-khud asan hote ja rahe hain
is tarah azad hain ab sab fazaen
qaid khud zindan hote ja rahe hain
ham tire bin aaj yuun zinda hain 'abrak'
zindagi ki jaan hote ja rahe hain
raat din aasan hote ja rahe hain
jab se hum anjaan hote ja rahe hain
sans the hum jaan the hum zindagi the
ab kidhar wo dhyan hote ja rahe hain
kya gila ab kijiye ek dusre se
dil hi be-iman hote ja rahe hain
tum bhi ab wo apsara si kab rahi ho
hum bhi ab insan hote ja rahe hain
jis ko jo chahe samajhta hai samajh le
is qadar aasan hote ja rahe hain
dekh hum ko wapsi ke raston par
raste hairan hote ja rahe hain
gham alam tanhaiyan wo ratjage sab
mere bin viran hote ja rahe hain
hum ne socha tha bahut mushkil hai jina
khud-ba-khud aasan hote ja rahe hain
is tarah aazad hain ab sab fazaen
qaid khud zindan hote ja rahe hain
hum tere bin aaj yun zinda hain 'abrak'
zindagi ki jaan hote ja rahe hain
tum apne shahr ke sare diye bujha dalo
tum apne shahr ke saare diye bujha daalo
isi bahane andheron ko aazma daalo
purane naqsh-e-qadam raah se mita daalo
agar hunar hai nae raste bana daalo
kabhi udaas agar ho to yaad kar lo hamen
kabhi jo yaad ham aaen hamen bhula daalo
tum apne shahr ke sare diye bujha dalo
isi bahane andheron ko aazma dalo
purane naqsh-e-qadam rah se mita dalo
agar hunar hai nae raste bana dalo
kabhi udas agar ho to yaad kar lo hamein
kabhi jo yaad hum aaen hamein bhula dalo
tere khutut ke purze shumar karte hue
tere khutut ke purze shumar karte hue
phaphak ke roya main tohfe shumar karte hue
main chahta huun mire ghar ke paas jangal ho
main din guzarun parinde shumar karte hue
bas itna padhna hai mujh ko ki pass ho jaun
kitab padhta huun safhe shumar karte hue
main aaj haar kar aaya phir ek aah bhari
purani jiit ke tamghhe shumar karte hue
hamari ginti men bas valdain aate hain
jahan bhar men se apne shumar karte hue
tere khutut ke purze shumar karte hue
phaphak ke roya main tohfe shumar karte hue
main chahta hun mere ghar ke pas jangal ho
main din guzarun parinde shumar karte hue
bas itna padhna hai mujh ko ki pass ho jaun
kitab padhta hun safhe shumar karte hue
main aaj haar kar aaya phir ek aah bhari
purani jit ke tamghe shumar karte hue
hamari ginti mein bas waldain aate hain
jahan bhar mein se apne shumar karte hue
ye fard-e-jurm hai mujh par ki us se pyar karta hun
ye fard-e-jurm hai mujh par ki us se pyaar karta huun
main is ilzam se filhal to inkar karta huun
jhatak deta hai khvab-e-vasl ka har rang ankhon se
ye koshish kya kahun har roz kitni baar karta huun
sabhi hairan hain kya tha vo samjhauta judai ka
na vo e'lan karta hai na main izhar karta huun
miri ankhon men phir jaati hai surat hu-ba-hu us ki
main us ke dekhne valon ka jab didar karta huun
'ajab kya hai agar ghata pada mujh ko mohabbat men
ye kar-o-bar hai aur men ye kar-o-bar karta huun
'zafar' tasvir ho sakti hai kab ne'mul-badal us ka
koi puchhe ye main kis chiiz par israr karta huun
ye fard-e-jurm hai mujh par ki us se pyar karta hun
main is ilzam se filhaal to inkar karta hun
jhatak deta hai khwab-e-wasl ka har rang aankhon se
ye koshish kya kahun har roz kitni bar karta hun
sabhi hairan hain kya tha wo samjhauta judai ka
na wo e'lan karta hai na main izhaar karta hun
meri aankhon mein phir jati hai surat hu-ba-hu us ki
main us ke dekhne walon ka jab didar karta hun
'ajab kya hai agar ghata pada mujh ko mohabbat mein
ye kar-o-bar hai aur mein ye kar-o-bar karta hun
'zafar' taswir ho sakti hai kab ne'mul-badal us ka
koi puchhe ye main kis chiz par israr karta hun
raha aakhirat se main be-khabar yun jahan-e-bagh-o-bahaar mein
raha akhirat se main be-khabar yuun jahan-e-baghh-o-bahar men
kabhi khushbuon ke safar men tha kabhi jugnuon ki qatar men
tiri dars-gah men tha magar na thi ruuh shamil-e-guftugu
mujhe khush-ravi bhi buri lagi vo kami thi dil ke qarar men
sar-e-khamushi ye sajavaten usi rang-o-bu ki misal hain
jo mahak ho qabr ke phuul men jo chamak ho sham'-e-mazar men
vo chaman tha mamba'-e-rang-o-bu kai phuul the sar-e-bostan
vo jo khushbuon ki misal hon koi ek do the hazar men
miri baat ‘razi’-e-nukta-chin jo buri lage to khamosh rah
tu ye 'umr yuun hi ganva na de miri laghhzishon ke shumar men
raha aakhirat se main be-khabar yun jahan-e-bagh-o-bahaar mein
kabhi khushbuon ke safar mein tha kabhi jugnuon ki qatar mein
teri dars-gah mein tha magar na thi ruh shamil-e-guftugu
mujhe khush-rawi bhi buri lagi wo kami thi dil ke qarar mein
sar-e-khamushi ye sajawaten usi rang-o-bu ki misal hain
jo mahak ho qabr ke phul mein jo chamak ho sham'-e-mazar mein
wo chaman tha mamba'-e-rang-o-bu kai phul the sar-e-bostan
wo jo khushbuon ki misal hon koi ek do the hazar mein
meri baat ‘raazi’-e-nukta-chin jo buri lage to khamosh rah
tu ye 'umr yun hi ganwa na de meri laghzishon ke shumar mein
uske gun gane pe ehsas hua ishq hua
us ke gun gaane pe ehsas hua 'ishq hua
khud pe itrane pe ehsas hua 'ishq hua
koi ruthe bhi to parvah nahin thi mujh ko
us ko manvane pe ehsas hua 'ishq hua
'ishq hote hue mahsus nahin hota hai
'ishq ho jaane pe ehsas hua 'ishq hua
vo nazar aaya to phir nazren chura kar us ko
dekhte jaane pe ehsas hua 'ishq hua
us ne jo baat kahi baat vo tanhai men
khud se duhrane pe ehsas hua 'ishq hua
chot jab us ko lagi khud ko aziyyat de kar
chot pahunchane pe ehsas hua 'ishq hua
tai-shuda ek mulaqat ke tal jaane se
khuub pachhtane pe ehsas hua 'ishq hua
us ke jaate hi mire gulshan-e-dil ke 'gauhar'
phuul murjhane pe ehsas hua 'ishq hua
us ke gun gane pe ehsas hua 'ishq hua
khud pe itrane pe ehsas hua 'ishq hua
koi ruthe bhi to parwah nahin thi mujh ko
us ko manwane pe ehsas hua 'ishq hua
'ishq hote hue mahsus nahin hota hai
'ishq ho jaane pe ehsas hua 'ishq hua
wo nazar aaya to phir nazren chura kar us ko
dekhte jaane pe ehsas hua 'ishq hua
us ne jo baat kahi baat wo tanhai mein
khud se duhrane pe ehsas hua 'ishq hua
chot jab us ko lagi khud ko aziyyat de kar
chot pahunchane pe ehsas hua 'ishq hua
tai-shuda ek mulaqat ke tal jaane se
khub pachhtane pe ehsas hua 'ishq hua
us ke jate hi mere gulshan-e-dil ke 'gauhar'
phul murjhane pe ehsas hua 'ishq hua
chappa chappa kona kona shahr ka humne chhana hai
chappa chappa kona kona shahr ka ham ne chhana hai
vaqt ne karvat badli ab har mod yahan an-jana hai
faani hai ye maal ye daulat ye duniya ki jhuti shaan
yaad rakho jab aae qaza to sab kuchh chhod ke jaana hai
nazren ghhair ki chizon par hain imanon ki khair nahin
farq vo shayad bhuul gae kya apna kya begana hai
din ke ujle-pan men shab ki tariki ham bhuul gae
shor-sharaba kar ke thak kar raat ko phir so jaana hai
aaj kitaben dekhin un ki asl vahan ma'lum hui
lafzon ke sauda-gar hain kuchh karna kuchh farmana hai
'razi' kaun khabar rakhta hai kis ko us ka qurb mila
kya hai qalandar kya suufi kya zahid kya divana hai
chappa chappa kona kona shahr ka hum ne chhana hai
waqt ne karwat badli ab har mod yahan an-jaana hai
fani hai ye mal ye daulat ye duniya ki jhuti shan
yaad rakho jab aae qaza to sab kuchh chhod ke jaana hai
nazren ghair ki chizon par hain imanon ki khair nahin
farq wo shayad bhul gae kya apna kya begana hai
din ke ujle-pan mein shab ki tariki hum bhul gae
shor-sharaba kar ke thak kar raat ko phir so jaana hai
aaj kitaben dekhin un ki asl wahan ma'lum hui
lafzon ke sauda-gar hain kuchh karna kuchh farmana hai
'raazi' kaun khabar rakhta hai kis ko us ka qurb mila
kya hai qalandar kya sufi kya zahid kya diwana hai
rafta rafta khwahishen bhi be-zaban hoti gain
rafta rafta khvahishen bhi be-zaban hoti gaiin
talkhiyan jab vaqt ke sach ki 'ayan hoti gaiin
chand taron ki shu'a'en mehr-e-taban dekh kar
asman ki vus'aton men khud nihan hoti gaiin
mere lafzon par khayalon par qalam par zehn ki
rafta rafta kuchh na kuchh pabandiyan hoti gaiin
rabte tuute hain rishte rah gae hain naam ke
talkhiyan haael dilon ke darmiyan hoti gaiin
ye zamin-o-asman 'razi' ye dil-kash kainat
ek nuqte se hazaron kahkashan hoti gaiin
rafta rafta khwahishen bhi be-zaban hoti gain
talkhiyan jab waqt ke sach ki 'ayan hoti gain
chand taron ki shu'a'en mehr-e-taban dekh kar
aasman ki wus'aton mein khud nihan hoti gain
mere lafzon par khayalon par qalam par zehn ki
rafta rafta kuchh na kuchh pabandiyan hoti gain
rabte tute hain rishte rah gae hain nam ke
talkhiyan hael dilon ke darmiyan hoti gain
ye zamin-o-asman 'raazi' ye dil-kash kainat
ek nuqte se hazaron kahkashan hoti gain
kaf-e-imkan pe khayalat ki lau mein ghul kar
kaf-e-imkan pe khayalat ki lau men ghul kar
main naya rang bana rang-e-numu men ghul kar
ye khalal kaun-o-makan ko hi baha le jaata
main bahak jaata agar sail-e-subu men ghul kar
meri tafhim se vazeh hue ye arz-o-sama
raushni 'aks hui mere lahu men ghul kar
jaise aflak men ajram banate hain jagah
tu bhi chamka mire afkar ki lau men ghul kar
daad hai us ke fan-e-bakhiya-gari ko 'tauhid'
zakhm tatto sa hua tar-e-rafu men ghul kar
kaf-e-imkan pe khayalat ki lau mein ghul kar
main naya rang bana rang-e-numu mein ghul kar
ye khalal kaun-o-makan ko hi baha le jata
main bahak jata agar sail-e-subu mein ghul kar
meri tafhim se wazeh hue ye arz-o-sama
raushni 'aks hui mere lahu mein ghul kar
jaise aflak mein ajram banate hain jagah
tu bhi chamka mere afkar ki lau mein ghul kar
dad hai us ke fan-e-bakhiya-gari ko 'tauhid'
zakhm tattoo sa hua tar-e-rafu mein ghul kar
chhupa kar falsafa bhi ek pas-e-tahrir rakkha hai
chhupa kar falsafa bhi ik pas-e-tahrir rakkha hai
kaman-e-fikr men jab bhi sukhan ka tiir rakkha hai
sabhi khvabon ki ta'biren to ulti ho nahin saktin
to phir kyon zehn par ye khatra-e-ta'bir rakkha hai
mili hai kamyabi to hunar samjha use ham ne
faqat nakamiyon ka naam hi taqdir rakkha hai
vo likhte vaqt jis par aankh se aansu bhi tapke the
tira vo khat abhi tak surat-e-tasvir rakkha hai
na ho mujh par yaqin to dekh le khud hi kabhi aa kar
hifazat se kaleje men tira har tiir rakkha hai
chhupa kar falsafa bhi ek pas-e-tahrir rakkha hai
kaman-e-fikr mein jab bhi sukhan ka tir rakkha hai
sabhi khwabon ki ta'biren to ulti ho nahin saktin
to phir kyon zehn par ye khatra-e-ta'bir rakkha hai
mili hai kaamyabi to hunar samjha use hum ne
faqat nakaamiyon ka nam hi taqdir rakkha hai
wo likhte waqt jis par aankh se aansu bhi tapke the
tera wo khat abhi tak surat-e-taswir rakkha hai
na ho mujh par yaqin to dekh le khud hi kabhi aa kar
hifazat se kaleje mein tera har tir rakkha hai
bachaw ke chalan bekar hote ja rahe hain
bachav ke chalan bekar hote ja rahe hain
ye sab manzar lahu-asar hote ja rahe hain
vo apne haath se khud zulf ko sahla raha hai
ham us ko dekh kar sarshar hote ja rahe hain
shararat us ki ankhon men jhalakne lag gai hai
hamare khvab bhi bedar hote ja rahe hain
ghutan itni kushada shahr men phaili hui hai
badan ab bojh aur azar hote ja rahe hain
kahin jaane ki baten vo kisi se kar raha hai
yahan ham dar se phir divar hote ja rahe hain
bachaw ke chalan bekar hote ja rahe hain
ye sab manzar lahu-asar hote ja rahe hain
wo apne hath se khud zulf ko sahla raha hai
hum us ko dekh kar sarshaar hote ja rahe hain
shararat us ki aankhon mein jhalakne lag gai hai
hamare khwab bhi bedar hote ja rahe hain
ghutan itni kushada shahr mein phaili hui hai
badan ab bojh aur aazar hote ja rahe hain
kahin jaane ki baaten wo kisi se kar raha hai
yahan hum dar se phir diwar hote ja rahe hain
mera ehsas mujhko be-khabar hone nahin deta
mira ehsas mujh ko be-khabar hone nahin deta
kabhi tanha mujhe ye ham-safar hone nahin deta
khatakti hai jise kante ki surat dastan meri
vahi is dastan ko mukhtasar hone nahin deta
chhupa kar ghham ko honton par hamara ye hansi laana
hamare ghham se tum ko ba-khabar hone nahin deta
saf-e-aghhyar men shamil hai apna hi koi yaaro
hamare vaar ko jo kargar hone nahin deta
mukhalif fasl ka to baghhban hargiz nahin 'mahir'
nai shakhon ko lekin ba-samar hone nahin deta
mera ehsas mujh ko be-khabar hone nahin deta
kabhi tanha mujhe ye ham-safar hone nahin deta
khatakti hai jise kante ki surat dastan meri
wahi is dastan ko mukhtasar hone nahin deta
chhupa kar gham ko honton par hamara ye hansi lana
hamare gham se tum ko ba-khabar hone nahin deta
saf-e-aghyar mein shamil hai apna hi koi yaro
hamare war ko jo kargar hone nahin deta
mukhalif fasl ka to baghban hargiz nahin 'mahir'
nai shakhon ko lekin ba-samar hone nahin deta
kaise keh dun ki be-qarar hun main
kaise keh duun ki be-qarar huun main
khud se lipti hui bahar huun main
mujh se vabasta hai dayar-e-dil
'ahd-e-mazi ki yadgar huun main
vo na hota to surkh-ru hota
us ke hone se sharmsar huun main
jo rafiq-e-safar sa lagta hai
raste ka vahi ghhubar huun main
ek muddat se huun main thahra hua
dekhne men to abshar huun main
'ishq huun ghhaur se mujhe dekho
jo na utre vahi khumar huun main
halat-e-dil tire tavassut se
ab-dida huun ashk-bar huun main
khush-gumani hai aur kuchh bhi nahin
kishvar-e-dil ka tajdar huun main
kaise keh dun ki be-qarar hun main
khud se lipti hui bahaar hun main
mujh se wabasta hai dayar-e-dil
'ahd-e-mazi ki yaadgar hun main
wo na hota to surkh-ru hota
us ke hone se sharmsar hun main
jo rafiq-e-safar sa lagta hai
raste ka wahi ghubar hun main
ek muddat se hun main thahra hua
dekhne mein to aabshaar hun main
'ishq hun ghaur se mujhe dekho
jo na utre wahi khumar hun main
haalat-e-dil tere tawassut se
aab-dida hun ashk-bar hun main
khush-gumani hai aur kuchh bhi nahin
kishwar-e-dil ka tajdar hun main
You have reached the end.