dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aae kyun
dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aae kyuun
roenge ham hazar baar koi hamen satae kyuun
it's just a heart, no stony shard; why shouldn't it fill with pain
i will cry a thousand times,why should someone complain?
dair nahin haram nahin dar nahin astan nahin
baithe hain rahguzar pe ham ghhair hamen uthae kyuun
neither door nor threshold 'tis, no temple 'tis nor mosque
why should rivals bid me leave? the street's public domain
jab vo jamal-e-dil-faroz surat-e-mehr-e-nim-roz
aap hi ho nazara-soz parde men munh chhupae kyuun
when she has a lustrous face, as bright as the sun at noon
a burning spectacle is she, why veiled does she remain?
dashna-e-ghhamza jan-sitan navak-e-naz be-panah
tera hi aks-e-rukh sahi samne tere aae kyuun
dagger-like glances, arrow-like airs, fatal well could be
thus even from facing you, your image should refrain
qaid-e-hayat o band-e-ghham asl men donon ek hain
maut se pahle aadmi ghham se najat paae kyuun
prison of life and sorrow's chains in truth are just the same
then relief from pain, ere death,why should man obtain
husn aur us pe husn-e-zan rah gai bul-havas ki sharm
apne pe e'timad hai ghhair ko azmae kyuun
beauty and its self-esteem did spare my rival shame
when she is self-confident, in testing him what gain?
vaan vo ghhurur-e-izz-o-naz yaan ye hijab-e-pas-e-vaza'
raah men ham milen kahan bazm men vo bulae kyuun
she won't call me to her house, by the wayside i can't meet
she is proud of name and grace, and i by form refrain
haan vo nahin khuda-parast jaao vo bevafa sahi
jis ko ho diin o dil aziiz us ki gali men jaae kyuun
let her a non-believer be, unfaithful too, and therefore
if you value faith and heart, then from her street abstain
'ghhalib'-e-khasta ke baghhair kaun se kaam band hain
roiye zaar zaar kya kijiye haae haae kyuun
in poor ghalib's absence say, what tasks are stopped today
then why shed such copious tears, why lament in vain?
dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aae kyun
roenge hum hazar bar koi hamein satae kyun
it's just a heart, no stony shard; why shouldn't it fill with pain
i will cry a thousand times,why should someone complain?
dair nahin haram nahin dar nahin aastan nahin
baithe hain rahguzar pe hum ghair hamein uthae kyun
neither door nor threshold 'tis, no temple 'tis nor mosque
why should rivals bid me leave? the street's public domain
jab wo jamal-e-dil-faroz surat-e-mehr-e-nim-roz
aap hi ho nazara-soz parde mein munh chhupae kyun
when she has a lustrous face, as bright as the sun at noon
a burning spectacle is she, why veiled does she remain?
dashna-e-ghamza jaan-sitan nawak-e-naz be-panah
tera hi aks-e-rukh sahi samne tere aae kyun
dagger-like glances, arrow-like airs, fatal well could be
thus even from facing you, your image should refrain
qaid-e-hayat o band-e-gham asl mein donon ek hain
maut se pahle aadmi gham se najat pae kyun
prison of life and sorrow's chains in truth are just the same
then relief from pain, ere death,why should man obtain
husn aur us pe husn-e-zan rah gai bul-hawas ki sharm
apne pe e'timad hai ghair ko aazmae kyun
beauty and its self-esteem did spare my rival shame
when she is self-confident, in testing him what gain?
wan wo ghurur-e-izz-o-naz yan ye hijab-e-pas-e-waza'
rah mein hum milen kahan bazm mein wo bulae kyun
she won't call me to her house, by the wayside i can't meet
she is proud of name and grace, and i by form refrain
han wo nahin khuda-parast jao wo bewafa sahi
jis ko ho din o dil aziz us ki gali mein jae kyun
let her a non-believer be, unfaithful too, and therefore
if you value faith and heart, then from her street abstain
'ghaalib'-e-khasta ke baghair kaun se kaam band hain
roiye zar zar kya kijiye hae hae kyun
in poor ghalib's absence say, what tasks are stopped today
then why shed such copious tears, why lament in vain?
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to
ye ghham kya dil ki 'adat hai nahin to
kisi se kuchh shikayat hai nahin to
kisi ke bin kisi ki yaad ke bin
jiye jaane ki himmat hai nahin to
hai vo ik khvab-e-be-taabir us ko
bhula dene ki niyat hai nahin to
kisi surat bhi dil lagta nahin haan
to kuchh din se ye halat hai nahin to
tire is haal par hai sab ko hairat
tujhe bhi is pe hairat hai nahin to
ham-ahangi nahin duniya se teri
tujhe is par nadamat hai nahin to
hua jo kuchh yahi maqsum tha kya
yahi saari hikayat hai nahin to
aziyyat-nak ummidon se tujh ko
amaan paane ki hasrat hai nahin to
tu rahta hai khayal-o-khvab men gum
to is ki vajh fursat hai nahin to
sabab jo is judai ka bana hai
vo mujh se khub-surat hai nahin to
ye gham kya dil ki 'adat hai nahin to
kisi se kuchh shikayat hai nahin to
kisi ke bin kisi ki yaad ke bin
jiye jaane ki himmat hai nahin to
hai wo ek khwab-e-be-tabir us ko
bhula dene ki niyat hai nahin to
kisi surat bhi dil lagta nahin han
to kuchh din se ye haalat hai nahin to
tere is haal par hai sab ko hairat
tujhe bhi is pe hairat hai nahin to
ham-ahangi nahin duniya se teri
tujhe is par nadamat hai nahin to
hua jo kuchh yahi maqsum tha kya
yahi sari hikayat hai nahin to
aziyyat-nak ummidon se tujh ko
aman pane ki hasrat hai nahin to
tu rahta hai khayal-o-khwab mein gum
to is ki wajh fursat hai nahin to
sabab jo is judai ka bana hai
wo mujh se khub-surat hai nahin to
bada ehsan hum farma rahe hain
bada ehsan ham farma rahe hain
ki un ke khat unhen lauta rahe hain
nahin tark-e-mohabbat par vo raazi
qayamat hai ki ham samjha rahe hain
yaqin ka rasta tai karne vaale
bahut tezi se vapas aa rahe hain
ye mat bhulo ki ye lamhat ham ko
bichhadne ke liye milva rahe hain
ta'ajjub hai ki ishq-o-ashiqi se
abhi kuchh log dhoka kha rahe hain
tumhen chahenge jab chhin jaogi tum
abhi ham tum ko arzan pa rahe hain
kisi surat unhen nafrat ho ham se
ham apne aib khud ginva rahe hain
vo pagal mast hai apni vafa men
miri ankhon men aansu aa rahe hain
dalilon se use qaail kiya tha
dalilen de ke ab pachhta rahe hain
tiri banhon se hijrat karne vaale
nae mahaul men ghabra rahe hain
ye jazb-e-ishq hai ya jazba-e-rahm
tire aansu mujhe rulva rahe hain
ajab kuchh rabt hai tum se ki tum ko
ham apna jaan kar thukra rahe hain
vafa ki yadgaren tak na hongi
miri jaan bas koi din ja rahe hain
bada ehsan hum farma rahe hain
ki un ke khat unhen lauta rahe hain
nahin tark-e-mohabbat par wo raazi
qayamat hai ki hum samjha rahe hain
yaqin ka rasta tai karne wale
bahut tezi se wapas aa rahe hain
ye mat bhulo ki ye lamhat hum ko
bichhadne ke liye milwa rahe hain
ta'ajjub hai ki ishq-o-ashiqi se
abhi kuchh log dhoka kha rahe hain
tumhein chahenge jab chhin jaogi tum
abhi hum tum ko arzan pa rahe hain
kisi surat unhen nafrat ho hum se
hum apne aib khud ginwa rahe hain
wo pagal mast hai apni wafa mein
meri aankhon mein aansu aa rahe hain
dalilon se use qail kiya tha
dalilen de ke ab pachhta rahe hain
teri banhon se hijrat karne wale
nae mahaul mein ghabra rahe hain
ye jazb-e-ishq hai ya jazba-e-rahm
tere aansu mujhe rulwa rahe hain
ajab kuchh rabt hai tum se ki tum ko
hum apna jaan kar thukra rahe hain
wafa ki yaadgaren tak na hongi
meri jaan bas koi din ja rahe hain
raaz-e-ulfat chhupa ke dekh liya
raz-e-ulfat chhupa ke dekh liya
dil bahut kuchh jala ke dekh liya
aur kya dekhne ko baaqi hai
aap se dil laga ke dekh liya
vo mire ho ke bhi mire na hue
un ko apna bana ke dekh liya
aaj un ki nazar men kuchh ham ne
sab ki nazren bacha ke dekh liya
'faiz' takmil-e-ghham bhi ho na saki
ishq ko aazma ke dekh liya
raaz-e-ulfat chhupa ke dekh liya
dil bahut kuchh jala ke dekh liya
aur kya dekhne ko baqi hai
aap se dil laga ke dekh liya
wo mere ho ke bhi mere na hue
un ko apna bana ke dekh liya
aaj un ki nazar mein kuchh hum ne
sab ki nazren bacha ke dekh liya
'faiz' takmil-e-gham bhi ho na saki
ishq ko aazma ke dekh liya
ya-rab gham-e-hijran mein itna to kiya hota
ya-rab ghham-e-hijran men itna to kiya hota
jo haath jigar par hai vo dast-e-dua hota
ik ishq ka ghham aafat aur us pe ye dil aafat
ya ghham na diya hota ya dil na diya hota
nakam-e-tamanna dil is soch men rahta hai
yuun hota to kya hota yuun hota to kya hota
ummid to bandh jaati taskin to ho jaati
vaada na vafa karte vaada to kiya hota
ghhairon se kaha tum ne ghhairon se suna tum ne
kuchh ham se kaha hota kuchh ham se suna hota
ya-rab gham-e-hijran mein itna to kiya hota
jo hath jigar par hai wo dast-e-dua hota
ek ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat
ya gham na diya hota ya dil na diya hota
nakaam-e-tamanna dil is soch mein rahta hai
yun hota to kya hota yun hota to kya hota
ummid to bandh jati taskin to ho jati
wada na wafa karte wada to kiya hota
ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne
kuchh hum se kaha hota kuchh hum se suna hota
~ Chiragh Hasan Hasrat
mere jaise ban jaoge jab ishq tumhein ho jaega
mere jaise ban jaoge jab ishq tumhen ho jaega
divaron se sar takraoge jab ishq tumhen ho jaega
har baat gavara kar loge minnat bhi utara kar loge
taavizen bhi bandhvaoge jab ishq tumhen ho jaega
tanhai ke jhule kholenge har baat purani bhulenge
aine se tum ghabraoge jab ishq tumhen ho jaega
jab suraj bhi kho jaega aur chand kahin so jaega
tum bhi ghar der se aaoge jab ishq tumhen ho jaega
bechaini badh jaegi aur yaad kisi ki aaegi
tum meri ghhazlen gaoge jab ishq tumhen ho jaega
mere jaise ban jaoge jab ishq tumhein ho jaega
diwaron se sar takraoge jab ishq tumhein ho jaega
har baat gawara kar loge minnat bhi utara kar loge
tawizen bhi bandhwaoge jab ishq tumhein ho jaega
tanhai ke jhule kholenge har baat purani bhulenge
aaine se tum ghabraoge jab ishq tumhein ho jaega
jab suraj bhi kho jaega aur chand kahin so jaega
tum bhi ghar der se aaoge jab ishq tumhein ho jaega
bechaini badh jaegi aur yaad kisi ki aaegi
tum meri ghazlen gaoge jab ishq tumhein ho jaega
mahfilen lut gain jazbaat ne dam tod diya
mahfilen lut gaiin jazbat ne dam tod diya
saaz khamosh hain naghhmat ne dam tod diya
har masarrat ghham-e-diroz ka unvan bani
vaqt ki god men lamhat ne dam tod diya
an-ginat mahfilen mahrum-e-charaghhan hain abhi
kaun kahta hai ki zulmat ne dam tod diya
aaj phir bujh gae jal jal ke umidon ke charaghh
aaj phir taron bhari raat ne dam tod diya
jin se afsana-e-hasti men tasalsul tha kabhi
un mohabbat ki rivayat ne dam tod diya
jhilmilate hue ashkon ki ladi tuut gai
jagmagati hui barsat ne dam tod diya
haae adab-e-mohabbat ke taqaze 'saghhar'
lab hile aur shikayat ne dam tod diya
mahfilen lut gain jazbaat ne dam tod diya
saz khamosh hain naghmat ne dam tod diya
har masarrat gham-e-diroz ka unwan bani
waqt ki god mein lamhat ne dam tod diya
an-ginat mahfilen mahrum-e-charaghan hain abhi
kaun kahta hai ki zulmat ne dam tod diya
aaj phir bujh gae jal jal ke umidon ke charagh
aaj phir taron bhari raat ne dam tod diya
jin se afsana-e-hasti mein tasalsul tha kabhi
un mohabbat ki riwayat ne dam tod diya
jhilmilate hue ashkon ki ladi tut gai
jagmagati hui barsat ne dam tod diya
hae aadab-e-mohabbat ke taqaze 'saghar'
lab hile aur shikayat ne dam tod diya
ranj hai haalat-e-safar haal-e-qayam ranj hai
ranj hai halat-e-safar hal-e-qayam ranj hai
subh-ba-subh ranj hai sham-ba-sham ranj hai
us ki shamim-e-zulf ka kaise ho shukriya ada
jab ki shamim ranj hai jab ki masham ranj hai
said to kya ki said-kar khud bhi nahin ye janta
daana bhi ranj hai yahan yaani ki daam ranj hai
mani-e-javedan-e-jan kuchh bhi nahin magar ziyan
saare kalim hain zubun saara kalam ranj hai
baaba alif miri numud ranj hai aap ke ba-qaul
kya mira naam bhi hai ranj haan tira naam ranj hai
kaasa gadagari ka hai naf-piyala yaar ka
bhuuk hai vo badan tamam vasl tamam ranj hai
jiit ke koi aae tab haar ke koi aae tab
jauhar-e-teghh sharm hai aur niyam ranj hai
dil ne padha sabaq tamam buud to hai qalaq tamam
haan mira naam ranj hai haan tira naam ranj hai
paik-e-qaza hai dam-ba-dam 'jaun' qadam qadam shumar
laghhzish-e-gam ranj hai husn-e-khiram ranj hai
baaba alif ne shab kaha nashsha-ba-nashsha kar gile
jura-ba-jura ranj hai jam-ba-jam ranj hai
aan pe ho madar kya buud ke rozgar ka
dam hama-dam hai duun ye dam vahm-e-davam ranj hai
razm hai khuun ka hazar koi bahae ya bahe
rustam o zaal hain malal yaani ki saam ranj hai
ranj hai haalat-e-safar haal-e-qayam ranj hai
subh-ba-subh ranj hai sham-ba-sham ranj hai
us ki shamim-e-zulf ka kaise ho shukriya ada
jab ki shamim ranj hai jab ki masham ranj hai
said to kya ki said-kar khud bhi nahin ye jaanta
dana bhi ranj hai yahan yani ki dam ranj hai
mani-e-jawedan-e-jaan kuchh bhi nahin magar ziyan
sare kalim hain zubun sara kalam ranj hai
baba alif meri numud ranj hai aap ke ba-qaul
kya mera nam bhi hai ranj han tera nam ranj hai
kasa gadagari ka hai naf-piyala yar ka
bhuk hai wo badan tamam wasl tamam ranj hai
jit ke koi aae tab haar ke koi aae tab
jauhar-e-tegh sharm hai aur niyam ranj hai
dil ne padha sabaq tamam bud to hai qalaq tamam
han mera nam ranj hai han tera nam ranj hai
paik-e-qaza hai dam-ba-dam 'jaun' qadam qadam shumar
laghzish-e-gam ranj hai husn-e-khiram ranj hai
baba alif ne shab kaha nashsha-ba-nashsha kar gile
jura-ba-jura ranj hai jam-ba-jam ranj hai
aan pe ho madar kya bud ke rozgar ka
dam hama-dam hai dun ye dam wahm-e-dawam ranj hai
razm hai khun ka hazar koi bahae ya bahe
rustam o zal hain malal yani ki sam ranj hai
jab khizan aae to patte na samar bachta hai
jab khizan aae to patte na samar bachta hai
khali jholi liye viran shajar bachta hai
nukta-chin shauq se din raat mire 'aib nikal
kyunki jab 'aib nikal jaaen hunar bachta hai
saare dar bas isi dar se hain ki kho jaae na yaar
yaar kho jaae to phir kaun sa dar bachta hai
roz pathrav bahut karte hain duniya vaale
roz mar mar ke mira khvab-nagar bachta hai
ghham vo rasta hai ki shab bhar use tai karne ke baad
subh-dam dekhen to utna hi safar bachta hai
bas yahi soch ke aaya huun tiri chaukhat par
dar-ba-dar hone ke baa'd ik yahi dar bachta hai
ab mare 'aib zada shahr ke shar se sahib
shaz-o-nadir hi koi ahl-e-hunar bachta hai
'ishq vo 'ilm-e-riyazi hai ki jis men faris
do se jab ek nikalen to sifar bachta hai
jab khizan aae to patte na samar bachta hai
khali jholi liye viran shajar bachta hai
nukta-chin shauq se din raat mere 'aib nikal
kyunki jab 'aib nikal jaen hunar bachta hai
sare dar bas isi dar se hain ki kho jae na yar
yar kho jae to phir kaun sa dar bachta hai
roz pathraw bahut karte hain duniya wale
roz mar mar ke mera khwab-nagar bachta hai
gham wo rasta hai ki shab bhar use tai karne ke baad
subh-dam dekhen to utna hi safar bachta hai
bas yahi soch ke aaya hun teri chaukhat par
dar-ba-dar hone ke ba'd ek yahi dar bachta hai
ab mare 'aib zada shahr ke shar se sahib
shaz-o-nadir hi koi ahl-e-hunar bachta hai
'ishq wo 'ilm-e-riyazi hai ki jis mein faris
do se jab ek nikalen to sifar bachta hai
aankhon se ku-e-yar ka manzar nahin gaya
ankhon se ku-e-yar ka manzar nahin gaya
halanki das baras se main us ghar nahin gaya
us ne mazaq men kaha main ruuth jaungi
lekin mare vajud se ye dar nahin gaya
sansen udhar le ke guzari hai zindagi
hairan vo bhi thi ki main kyon mar nahin gaya
sham-e-vidaa laakh tasalli ke bavajud
ankhon se us ki dukh ka samundar nahin gaya
us ghar ki sidhiyon ne sadaen to diin magar
main khvab men raha kabhi uupar nahin gaya
bachchon ke saath aaj use dekha to dukh hua
un men se koi ek bhi maan par nahin gaya
pairon men naqsh ek hi dahliz thi 'hasan'
us ke siva main aur kisi dar nahin gaya
aankhon se ku-e-yar ka manzar nahin gaya
haalanki das baras se main us ghar nahin gaya
us ne mazaq mein kaha main ruth jaungi
lekin mare wajud se ye dar nahin gaya
sansen udhaar le ke guzari hai zindagi
hairan wo bhi thi ki main kyon mar nahin gaya
sham-e-widaa lakh tasalli ke bawajud
aankhon se us ki dukh ka samundar nahin gaya
us ghar ki sidhiyon ne sadaen to din magar
main khwab mein raha kabhi upar nahin gaya
bachchon ke sath aaj use dekha to dukh hua
un mein se koi ek bhi man par nahin gaya
pairon mein naqsh ek hi dahliz thi 'hasan'
us ke siwa main aur kisi dar nahin gaya
kahin se maut ko lao ki gham ki raat kate
kahin se maut ko laao ki ghham ki raat kate
mira hi sog manao ki ghham ki raat kate
kare na pichha mira zindagi ko samjha do
ye raah us ko bhulao ki ghham ki raat kate
kaho baharon se ab shakh-e-dil na hogi hari
khizan ke giit sunao ki ghham ki raat kate
na chara-gar ki zarurat na kuchh dava ki hai
dua ko haath uthao ki ghham ki raat kate
kahin se maut ko lao ki gham ki raat kate
mera hi sog manao ki gham ki raat kate
kare na pichha mera zindagi ko samjha do
ye rah us ko bhulao ki gham ki raat kate
kaho bahaaron se ab shakh-e-dil na hogi hari
khizan ke git sunao ki gham ki raat kate
na chaara-gar ki zarurat na kuchh dawa ki hai
dua ko hath uthao ki gham ki raat kate
kisi ke chhut jaane ka use kyon gham nahin hota
kisi ke chhut jaane ka use kyon ghham nahin hota
tira dil hai ki patthar hai kabhi jo nam nahin hota
parinde gungunate hain tumhare shahr men lekin
hamare shahr ka aisa kabhi mausam nahin hota
ba-zahir jugnuon ki raushni se ghar to raushan hai
magar phir bhi mire ghar ka andhera kam nahin hota
khuda se gar tujhe manga nahin hota du'aon men
tujhe khone ka phir ham ko zara bhi ghham nahin hota
nigahon ne hamari ek manzar vo bhi dekha hai
jahan apnon ke marne ka koi matam nahin hota
kisi ke chhut jaane ka use kyon gham nahin hota
tera dil hai ki patthar hai kabhi jo nam nahin hota
parinde gungunate hain tumhaare shahr mein lekin
hamare shahr ka aisa kabhi mausam nahin hota
ba-zahir jugnuon ki raushni se ghar to raushan hai
magar phir bhi mere ghar ka andhera kam nahin hota
khuda se gar tujhe manga nahin hota du'aon mein
tujhe khone ka phir hum ko zara bhi gham nahin hota
nigahon ne hamari ek manzar wo bhi dekha hai
jahan apnon ke marne ka koi matam nahin hota
udne ki aarzu mein hawa se lipat gaya
udne ki aarzu men hava se lipat gaya
patta vo apni shakh ke rishton se kat gaya
khud men raha to ek samundar tha ye vajud
khud se alag hua to jaziron men bat gaya
andhe kuen men band ghutan chikhti rahi
chhu kar munder jhonka hava ka palat gaya
udne ki aarzu mein hawa se lipat gaya
patta wo apni shakh ke rishton se kat gaya
khud mein raha to ek samundar tha ye wajud
khud se alag hua to jaziron mein bat gaya
andhe kuen mein band ghutan chikhti rahi
chhu kar munder jhonka hawa ka palat gaya
har ek shakl mein surat nai malal ki hai
har ek shakl men surat nai malal ki hai
hamare charon taraf raushni malal ki hai
ham apne hijr men tera visal dekhte hain
yahi khushi ki hai saat, yahi malal ki hai
hamare khana-e-dil men nahin hai kya kya kuchh
ye aur baat ki har shai isi malal ki hai
abhi se shauq ki azurdagi ka ranj na kar
ki dil ko taab khushi ki na thi malal ki hai
kisi ka ranj ho, apna samajhne lagte hain
vabal-e-jan ye kushada-dili malal ki hai
nahin hai khvahish-e-asudgi-e-vasl hamen
javaz-e-ishq to bas tishnagi malal ki hai
guzishta raat kai baar dil ne ham se kaha
ki ho na ho ye ghutan akhiri malal ki hai
ragon men chikhta phirta hai ek sail-e-junun
agarche lahje men shaistagi malal ki hai
ajiib hota hai ehsas ka talavvun bhi
abhi khushi ki khushi thii, abhi malal ki hai
ye kis umiid pe chalne lagi hai bad-e-murad?
khabar nahin hai use, ye ghadi malal ki hai
dua karo ki rahe darmiyan ye be-sukhani
ki guftugu men to be-pardagi malal ki hai
tiri ghhazal men ajab kaif hai magar 'irfan'
darun-e-ramz-o-kinaya kami malal ki hai
har ek shakl mein surat nai malal ki hai
hamare chaaron taraf raushni malal ki hai
hum apne hijr mein tera visal dekhte hain
yahi khushi ki hai saat, yahi malal ki hai
hamare khana-e-dil mein nahin hai kya kya kuchh
ye aur baat ki har shai isi malal ki hai
abhi se shauq ki aazurdagi ka ranj na kar
ki dil ko tab khushi ki na thi malal ki hai
kisi ka ranj ho, apna samajhne lagte hain
wabaal-e-jaan ye kushada-dili malal ki hai
nahin hai khwahish-e-asudgi-e-wasl hamein
jawaz-e-ishq to bas tishnagi malal ki hai
guzishta raat kai bar dil ne hum se kaha
ki ho na ho ye ghutan aakhiri malal ki hai
ragon mein chikhta phirta hai ek sail-e-junun
agarche lahje mein shaistagi malal ki hai
ajib hota hai ehsas ka talawwun bhi
abhi khushi ki khushi thi, abhi malal ki hai
ye kis umid pe chalne lagi hai baad-e-murad?
khabar nahin hai use, ye ghadi malal ki hai
dua karo ki rahe darmiyan ye be-sukhani
ki guftugu mein to be-pardagi malal ki hai
teri ghazal mein ajab kaif hai magar 'irfan'
darun-e-ramz-o-kinaya kami malal ki hai
bichhadne wale ka kyunkar na gham kiya jae
bichhadne vaale ka kyunkar na ghham kiya jaae
ye bojh aisa nahin hai ki kam kiya jaae
ab intizar karen kya kisi muarrikh ka
chalo ye vaqia khud hi raqam kiya jaae
main ek baar nahin baar baar hansta huun
kisi tarah to udasi ko kam kiya jaae
koi sabil nahin pyaas ko bujhane ki
sivae is ke ki ankhon ko nam kiya jaae
ye khud se milne milane ki ek surat hai
ki rabta zara duniya se kam kiya jaae
vo aur honge jo insaf chahte hain tira
gunahgar huun mujh par karam kiya jaae
bichhadne wale ka kyunkar na gham kiya jae
ye bojh aisa nahin hai ki kam kiya jae
ab intizar karen kya kisi muarrikh ka
chalo ye waqia khud hi raqam kiya jae
main ek bar nahin bar bar hansta hun
kisi tarah to udasi ko kam kiya jae
koi sabil nahin pyas ko bujhane ki
siwae is ke ki aankhon ko nam kiya jae
ye khud se milne milane ki ek surat hai
ki rabta zara duniya se kam kiya jae
wo aur honge jo insaf chahte hain tera
gunahgar hun mujh par karam kiya jae
bas ek nigah mein qissa tamam hota hai
bas ik nigah men qissa tamam hota hai
to kya ye vaqa'i itna sa kaam hota hai
kisi ke sard ravayye pe khamushi ka lihaf
ye intiqam bhi kya intiqam hota hai
kabhi kabhi koi luqma kahin kahin koi kaam
halal hote hue bhi haram hota hai
firaq-e-yar se kya kya umiid thi lekin
ye ranj bhi koi do-char gaam hota hai
asiir asiir hi hota hai qaid koi bhi ho
kisi bhi shakl men ho daam daam hota hai
shu'ur jis men na ho us men sha'iri kya ho
jo khush-badan ho vahi khush-khiram hota hai
vo shakhs yuun to kisi kaam ka nahin lekin
suna hai us ke yahan intizam hota hai
kabhi kabhi badi mushkil men daal dete hain
vo jin ka dil men bahut ehtiram hota hai
khada huun kitne hi rishton ko thaam kar 'javvad'
aur aise men jo mira inhidam hota hai
bas ek nigah mein qissa tamam hota hai
to kya ye waqa'i itna sa kaam hota hai
kisi ke sard rawayye pe khamushi ka lihaf
ye intiqam bhi kya intiqam hota hai
kabhi kabhi koi luqma kahin kahin koi kaam
halal hote hue bhi haram hota hai
firaq-e-yar se kya kya umid thi lekin
ye ranj bhi koi do-chaar gam hota hai
asir asir hi hota hai qaid koi bhi ho
kisi bhi shakl mein ho dam dam hota hai
shu'ur jis mein na ho us mein sha'iri kya ho
jo khush-badan ho wahi khush-khiram hota hai
wo shakhs yun to kisi kaam ka nahin lekin
suna hai us ke yahan intizam hota hai
kabhi kabhi badi mushkil mein dal dete hain
wo jin ka dil mein bahut ehtiram hota hai
khada hun kitne hi rishton ko tham kar 'jawwad'
aur aise mein jo mera inhidam hota hai
ye gham to hai so hai ki gharib-ud-dayar hun
ye ghham to hai so hai ki ghharib-ud-dayar huun
lekin jahan-jahan huun main divana-var huun
is ke siva ba-vaqt-e-du'a kuchh na kah saka
main bhi to akhir ai mire parvardigar huun
teri 'ata hai arzu-e-rozgar-e-ghham
meri khata hai said-e-ghham-e-rozgar huun
us ki talash hai to mujhe dekh lijiye
main us ki azmaishon ka ishtihar huun
zanjir huun to uljhi hui apne aap se
main tiir huun to apne hi siine ke paar huun
main khaar tha to apne hi andar gada hua
azar tha to aaj talak barqarar huun
khamoshi thi to ab bhi vahi hai mira mizaj
ghham-koshi thi to ab bhi usi ka shikar huun
ghham ke liye kuchh aur khushi ke liye kuchh aur
ja-e-panah huun kahin rah-e-farar huun
ya'ni 'uruj hi men nihan hai mira zaval
pahle main dil-gudaz tha ab dil-figar huun
tu kaun hai tu vajh hai mere vujud ki
main kaun huun main arzuon ka mazar huun
qaaem rahen vo jin ki badaulat hai ye madar
daaim rahen vo jin ka main dar-o-madar huun
ye gham to hai so hai ki gharib-ud-dayar hun
lekin jahan-jahan hun main diwana-war hun
is ke siwa ba-waqt-e-du'a kuchh na kah saka
main bhi to aakhir ai mere parwardigar hun
teri 'ata hai aarzu-e-rozgar-e-gham
meri khata hai said-e-gham-e-rozgar hun
us ki talash hai to mujhe dekh lijiye
main us ki aazmaishon ka ishtihaar hun
zanjir hun to uljhi hui apne aap se
main tir hun to apne hi sine ke par hun
main khar tha to apne hi andar gada hua
aazar tha to aaj talak barqarar hun
khamoshi thi to ab bhi wahi hai mera mizaj
gham-koshi thi to ab bhi usi ka shikar hun
gham ke liye kuchh aur khushi ke liye kuchh aur
ja-e-panah hun kahin rah-e-farar hun
ya'ni 'uruj hi mein nihan hai mera zawal
pahle main dil-gudaz tha ab dil-figar hun
tu kaun hai tu wajh hai mere wujud ki
main kaun hun main aarzuon ka mazar hun
qaem rahen wo jin ki badaulat hai ye madar
daim rahen wo jin ka main dar-o-madar hun
mujhe khwab-e-sarab-e-azab diye meri ruh ka naghma chhin liya
mujhe khvab-e-sarab-e-azab diye miri ruuh ka naghhma chhin liya
ashob-e-malal ishrat-e-jan 'vijdan' se kya kya chhin liya
ik ranj-e-safar ki dhuul mire chehre pe gard-e-malal hui
ik kaif jo sangi sathi tha us kaif ka saaya chhin liya
mire haath bhi zakhm-e-dil ki tarah main tuut gaya sahil ki tarah
ai dard-e-ghham-e-hijran tu ne kya mujh ko diya kya chhin liya
in rangon men mira rang bhi tha in baton men miri baat bhi thi
mira rang mita miri baat kati kis ne mira rasta chhin liya
ai shahr-e-alam miri baat to sun tu khvab mire vapas kar de
main tera karam lauta dunga tu ne mira chehra chhin liya
main nauhagari tak bhuul gaya mire log jale mire shahr lute
is shahr-e-maishat ne mujh se ehsas ka dariya chhin liya
ye sud-o-ziyan ki baten hain in baton men kya rakkha hai
ik khvab-e-tamanna de ke mujhe ik khvab-e-tamanna chhin liya
mujhe khwab-e-sarab-e-azab diye meri ruh ka naghma chhin liya
aashob-e-malal ishrat-e-jaan 'wijdan' se kya kya chhin liya
ek ranj-e-safar ki dhul mere chehre pe gard-e-malal hui
ek kaif jo sangi sathi tha us kaif ka saya chhin liya
mere hath bhi zakhm-e-dil ki tarah main tut gaya sahil ki tarah
ai dard-e-gham-e-hijran tu ne kya mujh ko diya kya chhin liya
in rangon mein mera rang bhi tha in baaton mein meri baat bhi thi
mera rang mita meri baat kati kis ne mera rasta chhin liya
ai shahr-e-alam meri baat to sun tu khwab mere wapas kar de
main tera karam lauta dunga tu ne mera chehra chhin liya
main nauhagari tak bhul gaya mere log jale mere shahr lute
is shahr-e-maishat ne mujh se ehsas ka dariya chhin liya
ye sud-o-ziyan ki baaten hain in baaton mein kya rakkha hai
ek khwab-e-tamanna de ke mujhe ek khwab-e-tamanna chhin liya
tana-zan tha har koi hum par dil-e-nadan samet
ta'na-zan tha har koi ham par dil-e-nadan samet
ham ne chhoda shahr-e-rusvai dar-e-janan samet
is qadar afsurda-khatir kaun mahfil se gaya
har kisi ki aankh pur-nam hai dil-azaran samet
jashn-e-maqtal tha bapa aur sirf bismil the hamin
ham ne socha tha ki dekhenge ye din yaran samet
ik faqih-e-shahr ko kya dosh diije jab sabhi
mai-kade ke dushmanon men hon qadah-khvaran samet
ye ra'unat ta-ba-kai ai dil-figaran dekhna
ab girega turra-e-sultan sar-e-sultan samet
vo to kya aate shab-e-hijran to kya katti 'faraz'
bujh gaiin akhir ko sab sham'en charaghh-e-jan samet
ta'na-zan tha har koi hum par dil-e-nadan samet
hum ne chhoda shahr-e-ruswai dar-e-jaanan samet
is qadar afsurda-khatir kaun mahfil se gaya
har kisi ki aankh pur-nam hai dil-azaran samet
jashn-e-maqtal tha bapa aur sirf bismil the hamin
hum ne socha tha ki dekhenge ye din yaran samet
ek faqih-e-shahr ko kya dosh dije jab sabhi
mai-kade ke dushmanon mein hon qadah-khwaran samet
ye ra'unat ta-ba-kai ai dil-figaran dekhna
ab girega turra-e-sultan sar-e-sultan samet
wo to kya aate shab-e-hijran to kya katti 'faraaz'
bujh gain aakhir ko sab sham'en charagh-e-jaan samet
gham ka tufan guzar nahin jata
ghham ka tufan guzar nahin jaata
dil ka dariya utar nahin jaata
'umr guzri to ye khula ki koi
laakh tanha ho mar nahin jaata
shahr rakhta hai us ko avara
vo sar-e-sham ghar nahin jaata
kis ko dekha ki aaj tak dil se
khvab jaisa asar nahin jaata
us ke band-e-qaba ke khulte hi
husn kya kya nikhar nahin jaata
raah se jaise ho nishan na alag
sar se ye zakhm-e-sar nahin jaata
vaqt ka sail hi muqaddar hai
koi lamha thahar nahin jaata
gham ka tufan guzar nahin jata
dil ka dariya utar nahin jata
'umr guzri to ye khula ki koi
lakh tanha ho mar nahin jata
shahr rakhta hai us ko aawara
wo sar-e-sham ghar nahin jata
kis ko dekha ki aaj tak dil se
khwab jaisa asar nahin jata
us ke band-e-qaba ke khulte hi
husn kya kya nikhar nahin jata
rah se jaise ho nishan na alag
sar se ye zakhm-e-sar nahin jata
waqt ka sail hi muqaddar hai
koi lamha thahar nahin jata
kash is sadma-e-paiham ka janaza utthe
kaash is sadma-e-paiham ka janaza utthe
aisa kuchh ho ki mire ghham ka janaza utthe
ashk barsao manao use ta-ki us se
atish-e-hijr ke mausam ka janaza utthe
alam-e-ghham men bhi 'alam ki padi hai mujh ko
chahta huun ghham-e-‘alam ka janaza utthe
us ki khvahish hai nae rishte ko ab dafn karen
yaani main tum hi rahen ham ka janaza utthe
aap misra' to uthaen bahut uncha lekin
aise mat gaaen ki sargam ka janaza utthe
fikr mayyit ki tumhen hai to du'a ye bhi karo
jism se pahle mire dam ka janaza utthe
sirf almari se ghar ki nahin chalta 'gauhar'
dil se bhi yadon ke album ka janaza utthe
kash is sadma-e-paiham ka janaza utthe
aisa kuchh ho ki mere gham ka janaza utthe
ashk barsao manao use ta-ki us se
aatish-e-hijr ke mausam ka janaza utthe
aalam-e-gham mein bhi 'alam ki padi hai mujh ko
chahta hun gham-e-‘alam ka janaza utthe
us ki khwahish hai nae rishte ko ab dafn karen
yani main tum hi rahen hum ka janaza utthe
aap misra' to uthaen bahut uncha lekin
aise mat gaen ki sargam ka janaza utthe
fikr mayyit ki tumhein hai to du'a ye bhi karo
jism se pahle mere dam ka janaza utthe
sirf almari se ghar ki nahin chalta 'gauhar'
dil se bhi yaadon ke album ka janaza utthe
kahin par phul khilte hain kamal-e-abyari hai
kahin par phuul khilte hain kamal-e-abyari hai
kahin par banjh hai khitta 'ajab dil ki kiyari hai
laga rakkha hai siine men jo ik nakhl-e-ghham-e-janan
usi ke saae men ham ne rah-e-hasti guzari hai
sitare aankh se niklen to ban jaate hain jugnu se
nigar-e-atish-e-dil se hi jag-mag duniya saari hai
ghataen jhumti hon ya havaen raqs karti hon
qafas valon ki qismat men vahi ik girya-zari hai
qafas men bhi saba se puchhte hain haal gulshan ka
vafa ki ye rivayat qaid men bhi ham ko pyari hai
misal-e-rang-o-bu ghulti hi jaati huun havaon men
naved-e-vasl aai hai ki mausam ki khumari hai
faza men nikhat-e-gul hai falak par chand hai raushan
savad-e-hijr men bhi ik tamasha-e-bahari hai
ye mitti sabz hai 'saulat' tumhari chashm-e-giryan se
ki ghham ki khaak men bhi zindagi ki abyari hai
kahin par phul khilte hain kamal-e-abyari hai
kahin par banjh hai khitta 'ajab dil ki kiyari hai
laga rakkha hai sine mein jo ek nakhl-e-gham-e-jaanan
usi ke sae mein hum ne rah-e-hasti guzari hai
sitare aankh se niklen to ban jate hain jugnu se
nigar-e-atish-e-dil se hi jag-mag duniya sari hai
ghataen jhumti hon ya hawaen raqs karti hon
qafas walon ki qismat mein wahi ek girya-zari hai
qafas mein bhi saba se puchhte hain haal gulshan ka
wafa ki ye riwayat qaid mein bhi hum ko pyari hai
misal-e-rang-o-bu ghulti hi jati hun hawaon mein
nawed-e-wasl aai hai ki mausam ki khumari hai
faza mein nikhat-e-gul hai falak par chand hai raushan
sawad-e-hijr mein bhi ek tamasha-e-bahaari hai
ye mitti sabz hai 'saulat' tumhaari chashm-e-giryan se
ki gham ki khak mein bhi zindagi ki aabyari hai
har lamha diye jate hain gham dekh raha hun
har lamha diye jaate hain ghham dekh raha huun
apnon ke ye andaz-e-karam dekh raha huun
sab chand sitaron ki taraf daud rahe hain
chhup chhup ke main bas apna sanam dekh raha huun
hanste hue ye kahna ki pahchana nahin hai
tuuta hai mira kaise bharam dekh raha huun
sach bolne vaale se sabhi tod ke rishte
jhute ki taraf badhte qadam dekh raha huun
lagta hai ki ab 'ishq mukammal hua mera
hota hua sar apna qalam dekh raha huun
aana unhen hota to 'nizam' aa gae hote
siine se nikalta hua dam dekh raha huun
har lamha diye jate hain gham dekh raha hun
apnon ke ye andaz-e-karam dekh raha hun
sab chand sitaron ki taraf daud rahe hain
chhup chhup ke main bas apna sanam dekh raha hun
hanste hue ye kahna ki pahchana nahin hai
tuta hai mera kaise bharam dekh raha hun
sach bolne wale se sabhi tod ke rishte
jhute ki taraf badhte qadam dekh raha hun
lagta hai ki ab 'ishq mukammal hua mera
hota hua sar apna qalam dekh raha hun
aana unhen hota to 'nizam' aa gae hote
sine se nikalta hua dam dekh raha hun
yun taghaful nahin kiya hoga
yuun taghhaful nahin kiya hoga
dard men dil hi mubtala hoga
zikr gulshan men jab mira hoga
rang gul ka uda uda hoga
koi dulhan kahin saji hogi
koi matam kahin bapa hoga
surkh jode men us ko dekha hai
akhir anjam dil ka kya hoga
aaj 'umman' kitne khali hain
koi dil se utar gaya hoga
yun taghaful nahin kiya hoga
dard mein dil hi mubtala hoga
zikr gulshan mein jab mera hoga
rang gul ka uda uda hoga
koi dulhan kahin saji hogi
koi matam kahin bapa hoga
surkh jode mein us ko dekha hai
aakhir anjam dil ka kya hoga
aaj 'umman' kitne khali hain
koi dil se utar gaya hoga
You have reached the end.