tumhaari anjuman se uth ke diwane kahan jate
tumhari anjuman se uth ke divane kahan jaate
jo vabasta hue tum se vo afsane kahan jaate
departing from your company, where could your lovers go?
what would happen to those legends that around you grow?
nikal kar dair-o-kaaba se agar milta na mai-khana
to thukrae hue insan khuda jaane kahan jaate
if on leaving temple,mosque no tavern were be found
what refuge would outcasts find? this only god would know
tumhari be-rukhi ne laaj rakh li bada-khane ki
tum ankhon se pila dete to paimane kahan jaate
your indifference has managed to preserve the tavern's name
had we feasted from your eyes, what then would wine bestow?
chalo achchha hua kaam aa gai divangi apni
vagarna ham zamane bhar ko samjhane kahan jaate
twas a good thing that my madness was to some avail
else, for my state, what other reason could the world i show?
'qatil' apna muqaddar ghham se begana agar hota
to phir apne parae ham se pahchane kahan jaate
had pain and misery been strangers to my life somehow
how would then i know the difference between friend and foe
tumhaari anjuman se uth ke diwane kahan jate
jo wabasta hue tum se wo afsane kahan jate
departing from your company, where could your lovers go?
what would happen to those legends that around you grow?
nikal kar dair-o-kaba se agar milta na mai-khana
to thukrae hue insan khuda jaane kahan jate
if on leaving temple,mosque no tavern were be found
what refuge would outcasts find? this only god would know
tumhaari be-rukhi ne laj rakh li baada-khane ki
tum aankhon se pila dete to paimane kahan jate
your indifference has managed to preserve the tavern's name
had we feasted from your eyes, what then would wine bestow?
chalo achchha hua kaam aa gai diwangi apni
wagarna hum zamane bhar ko samjhane kahan jate
twas a good thing that my madness was to some avail
else, for my state, what other reason could the world i show?
'qatil' apna muqaddar gham se begana agar hota
to phir apne parae hum se pahchane kahan jate
had pain and misery been strangers to my life somehow
how would then i know the difference between friend and foe
naya hai shahr nae aasre talash karun
naya hai shahr nae aasre talash karun
tu kho gaya hai kahan ab tujhe talash karun
jo dasht men bhi jalate the fasl-e-gul ke charaghh
main shahr men bhi vahi aable talash karun
tu aks hai to kabhi meri chashm-e-tar men utar
tire liye main kahan aaine talash karun
tujhe havas ki avargi ka ilm kahan
kabhi main tujh ko tire samne talash karun
ghhazal kahun kabhi saada se khat likhun us ko
udaas dil ke liye mashghhale talash karun
mire vajud se shayad mile suraghh tira
kabhi main khud ko tire vaste talash karun
main chup rahun kabhi be-vajh hans padun 'mohsin'
use ganva ke ajab hausle talash karun
naya hai shahr nae aasre talash karun
tu kho gaya hai kahan ab tujhe talash karun
jo dasht mein bhi jalate the fasl-e-gul ke charagh
main shahr mein bhi wahi aable talash karun
tu aks hai to kabhi meri chashm-e-tar mein utar
tere liye main kahan aaine talash karun
tujhe hawas ki aawargi ka ilm kahan
kabhi main tujh ko tere samne talash karun
ghazal kahun kabhi sada se khat likhun us ko
udas dil ke liye mashghale talash karun
mere wajud se shayad mile suragh tera
kabhi main khud ko tere waste talash karun
main chup rahun kabhi be-wajh hans padun 'mohsin'
use ganwa ke ajab hausle talash karun
nahin ki nama-baron ko talash karte hain
nahin ki nama-baron ko talash karte hain
ham apne be-khabaron ko talash karte hain
mohabbaton ka bhi mausam hai jab guzar jaae
sab apne apne gharon ko talash karte hain
suna hai kal jinhen dastar-e-iftikhar mili
vo aaj apne saron ko talash karte hain
ye ishq kya hai ki izhar-e-arzu ke liye
harif nauhagaron ko talash karte hain
ye ham jo dhundte phirte hain qatl-gahon ko
dar-asl charagaron ko talash karte hain
riha hue pa ajab haal hai asiron ka
ki ab vo apne paron ko talash karte hain
'faraz' daad ke qabil hai justuju un ki
jo ham se dar-badaron ko talash karte hain
nahin ki nama-baron ko talash karte hain
hum apne be-khabaron ko talash karte hain
mohabbaton ka bhi mausam hai jab guzar jae
sab apne apne gharon ko talash karte hain
suna hai kal jinhen dastar-e-iftikhar mili
wo aaj apne saron ko talash karte hain
ye ishq kya hai ki izhaar-e-arzu ke liye
harif nauhagaron ko talash karte hain
ye hum jo dhundte phirte hain qatl-gahon ko
dar-asl chaaragaron ko talash karte hain
riha hue pa ajab haal hai asiron ka
ki ab wo apne paron ko talash karte hain
'faraaz' dad ke qabil hai justuju un ki
jo hum se dar-badaron ko talash karte hain
be-laus mohabbat ka sila dhundh raha hun
be-laus mohabbat ka sila dhundh raha huun
nadan huun ye is shahr men kya dhundh raha huun
ik mod pe tuute hue khandar se makan men
guzre hue lamhon ka pata dhundh raha huun
muddat se ye khanjar mire siine men hai aur main
riste hue zakhmon ki dava dhundh raha huun
divana jise sang-tarashi ka junun hai
kahta hai ki patthar men khuda dhundh raha huun
munsif tire insaf se vaqif huun tabhi to
na-karda gunahon ki saza dhundh raha huun
ye shaam aur us par tiri yadon ki halavat
ik jaam men do shai ka nasha dhundh raha huun
be-laus mohabbat ka sila dhundh raha hun
nadan hun ye is shahr mein kya dhundh raha hun
ek mod pe tute hue khandar se makan mein
guzre hue lamhon ka pata dhundh raha hun
muddat se ye khanjar mere sine mein hai aur main
riste hue zakhmon ki dawa dhundh raha hun
diwana jise sang-tarashi ka junun hai
kahta hai ki patthar mein khuda dhundh raha hun
munsif tere insaf se waqif hun tabhi to
na-karda gunahon ki saza dhundh raha hun
ye sham aur us par teri yaadon ki halawat
ek jam mein do shai ka nasha dhundh raha hun
sabhi ye puchhte rahte hain kya gum ho gaya hai
sabhi ye puchhte rahte hain kya gum ho gaya hai
bata duun? mujh se khud apna pata gum ho gaya hai
tumhare din men ik rudad thi jo kho gai hai
hamari raat men ik khvab thaa, gum ho gaya hai
vo jis ke pech-o-kham men dastan lipti hui thi
kahani men kahin vo majra gum ho gaya hai
zara ahl-e-junun aao hamen rasta sujhao
yahan ham aql valon ka khuda gum ho gaya hai
nazar baaqi hai lekin tab-e-nazzara nahin ab
sukhan baaqi hai lekin muddaa gum ho gaya hai
mujhe dukh hai ki zakhm o ranj ke is jamghate men
tumhara aur mera vaqia gum ho gaya hai
ye shiddat dard ki us ke na hone se na hoti
yaqinan aur kuchh us ke siva gum ho gaya hai
vo jis ko khinchne se zaat ki parten khulengi
hamari zindagi ka vo sira gum ho gaya hai
vo dar va ho na ho, azad o khud-bin ham kahan ke
palat aaen to samjho rasta gum ho gaya hai
sabhi ye puchhte rahte hain kya gum ho gaya hai
bata dun? mujh se khud apna pata gum ho gaya hai
tumhaare din mein ek rudad thi jo kho gai hai
hamari raat mein ek khwab tha, gum ho gaya hai
wo jis ke pech-o-kham mein dastan lipti hui thi
kahani mein kahin wo majra gum ho gaya hai
zara ahl-e-junun aao hamein rasta sujhao
yahan hum aql walon ka khuda gum ho gaya hai
nazar baqi hai lekin tab-e-nazzara nahin ab
sukhan baqi hai lekin muddaa gum ho gaya hai
mujhe dukh hai ki zakhm o ranj ke is jamghate mein
tumhaara aur mera waqia gum ho gaya hai
ye shiddat dard ki us ke na hone se na hoti
yaqinan aur kuchh us ke siwa gum ho gaya hai
wo jis ko khinchne se zat ki parten khulengi
hamari zindagi ka wo sira gum ho gaya hai
wo dar wa ho na ho, aazad o khud-bin hum kahan ke
palat aaen to samjho rasta gum ho gaya hai
is waste adam ki manzil ko dhundte hain
is vaste adam ki manzil ko dhundte hain
muddat se doston ki mahfil ko dhundte hain
ye dil ke paar ho kar phir dil ko dhundte hain
tir-e-nigah us ke bismil ko dhundte hain
ik lahr men na the ham kyuun ai habab dekha
yuun aankh band kar ke sahil ko dhundte hain
tarz-e-karam ki shahid hain meva-dar shakhen
is tarah sar jhuka kar saail ko dhundte hain
hai vasl o hijr apna ai qais turfa-mazmun
mahmil men baithe hain aur mahmil ko dhundte hain
tul-e-amal ka rasta mumkin nahin ki tai ho
manzil pe bhi pahunch kar manzil ko dhundte hain
hasrat shabab ki hai ayyam-e-sheb men bhi
maadum ki havas hai zaail ko dhundte hain
uthte hain valvale kuchh har baar dard ban kar
kya janiye jigar ko ya dil ko dhundte hain
zakhm-e-jigar ka mere hai rashk doston ko
marta huun main ki ye kyuun qatil ko dhundte hain
ahl-e-havas ki kashti yak baam o do hava hai
dariya-e-ishq men bhi sahil ko dhundte hain
aaya jo rahm mujh par is men bhi chaal hai kuchh
siine pe haath rakh kar ab dil ko dhundte hain
karte hain kar-e-farhad asan zamin men bhi
mushkil-pasand hain ham mushkil ko dhundte hain
ai khizr pai-e-khajista bahr-e-khuda karam kar
bhatke hue musafir manzil ko dhundte hain
dil-khvah tere ishve dil-ju tire ishare
vo dil tatolte hain ye dil ko dhundte hain
ai 'nazm' kya bataen hajj-o-tavaf apna
kaabe men bhi kisi ki mahmil ko dhundte hain
is waste adam ki manzil ko dhundte hain
muddat se doston ki mahfil ko dhundte hain
ye dil ke par ho kar phir dil ko dhundte hain
tir-e-nigah us ke bismil ko dhundte hain
ek lahr mein na the hum kyun ai habab dekha
yun aankh band kar ke sahil ko dhundte hain
tarz-e-karam ki shahid hain mewa-dar shakhen
is tarah sar jhuka kar sail ko dhundte hain
hai wasl o hijr apna ai qais turfa-mazmun
mahmil mein baithe hain aur mahmil ko dhundte hain
tul-e-amal ka rasta mumkin nahin ki tai ho
manzil pe bhi pahunch kar manzil ko dhundte hain
hasrat shabab ki hai ayyam-e-sheb mein bhi
madum ki hawas hai zail ko dhundte hain
uthte hain walwale kuchh har bar dard ban kar
kya jaaniye jigar ko ya dil ko dhundte hain
zakhm-e-jigar ka mere hai rashk doston ko
marta hun main ki ye kyun qatil ko dhundte hain
ahl-e-hawas ki kashti yak baam o do hawa hai
dariya-e-ishq mein bhi sahil ko dhundte hain
aaya jo rahm mujh par is mein bhi chaal hai kuchh
sine pe hath rakh kar ab dil ko dhundte hain
karte hain kar-e-farhad aasan zamin mein bhi
mushkil-pasand hain hum mushkil ko dhundte hain
ai khizr pai-e-khajista bahr-e-khuda karam kar
bhatke hue musafir manzil ko dhundte hain
dil-khwah tere ishwe dil-ju tere ishaare
wo dil tatolte hain ye dil ko dhundte hain
ai 'nazm' kya bataen hajj-o-tawaf apna
kabe mein bhi kisi ki mahmil ko dhundte hain
wo jo etibar-e-jamal the wo kahan gae
vo jo e'tibar-e-jamal the vo kahan gae
vo jo aap apni misal the vo kahan gae
kabhi har taraf koi dilkashi si muhit thi
usi dasht men jo ghhazal the vo kahan gae
kahin ek pal ko bhi tu nazar nahin aa raha
ghham-e-dil tire mah-o-sal the vo kahan gae
vo jo khvab le ke chale the ham vo kahan gaya
vo jo us ke ghham men nidhal the vo kahan gae
kabhi pahron us ka bas ik usi ka khayal tha
vo jo hijr the jo visal the vo kahan gae
kabhi pahle jab vo mila tha vaisa nahin raha
kai rang us men kamal the vo kahan gae
ye jo log mere qarib hain ye kahan ke hain
vo jo husn-e-khvab-o-khayal the vo kahan gae
wo jo e'tibar-e-jamal the wo kahan gae
wo jo aap apni misal the wo kahan gae
kabhi har taraf koi dilkashi si muhit thi
usi dasht mein jo ghazal the wo kahan gae
kahin ek pal ko bhi tu nazar nahin aa raha
gham-e-dil tere mah-o-sal the wo kahan gae
wo jo khwab le ke chale the hum wo kahan gaya
wo jo us ke gham mein nidhaal the wo kahan gae
kabhi pahron us ka bas ek usi ka khayal tha
wo jo hijr the jo visal the wo kahan gae
kabhi pahle jab wo mila tha waisa nahin raha
kai rang us mein kamal the wo kahan gae
ye jo log mere qarib hain ye kahan ke hain
wo jo husn-e-khwab-o-khayal the wo kahan gae
mere tarane mere saz ka taaqub hai
mire tarane mire saaz ka ta'aqub hai
ye nasl-e-nau ki hi avaz ka ta'aqub hai
pata nahin tha vo avaz meri apni thi
aur 'arse se usi avaz ka ta'aqub hai
farishte bhi miri takhliq ke mukhalif the
hamesha se mire aghhaz ka ta'aqub hai
mire junun-e-musalsal ki fikr mat karna
abhi tiri nigah-e-naz ka ta'aqub hai
abhi to mahzar-e-hu ki bhi justuju na hui
abhi se dida-e-ghhammaz ka ta'aqub hai
jo pak-daman-o-'isyan sarisht hain barham
ye husn-e-tafraqa-pardaz ka ta'aqub hai
hai guftagu-e-man-o-tu ka ik tajassus bhi
kahin ishara-e-ham-raz ka ta'aqub hai
paron ko todte jaate hain jo sabhi taair
isi men hasrat-e-parvaz ka ta'aqub hai
na ho saki hai kisi se bhi naz-bardari
suna hai anjuman-e-naz ka ta'aqub hai
mere tarane mere saz ka ta'aqub hai
ye nasl-e-nau ki hi aawaz ka ta'aqub hai
pata nahin tha wo aawaz meri apni thi
aur 'arse se usi aawaz ka ta'aqub hai
farishte bhi meri takhliq ke mukhalif the
hamesha se mere aaghaz ka ta'aqub hai
mere junun-e-musalsal ki fikr mat karna
abhi teri nigah-e-naz ka ta'aqub hai
abhi to mahzar-e-hu ki bhi justuju na hui
abhi se dida-e-ghammaz ka ta'aqub hai
jo pak-daman-o-'isyan sarisht hain barham
ye husn-e-tafraqa-pardaz ka ta'aqub hai
hai guftagu-e-man-o-tu ka ek tajassus bhi
kahin ishaara-e-ham-raaz ka ta'aqub hai
paron ko todte jate hain jo sabhi tair
isi mein hasrat-e-parwaz ka ta'aqub hai
na ho saki hai kisi se bhi naz-bardari
suna hai anjuman-e-naz ka ta'aqub hai
yun pi raha hun jaise koi pyas hi nahin
yuun pi raha huun jaise koi pyaas hi nahin
saghhar hamare dil ko zara raas hi nahin
main yuun hi ji raha huun tiri kaenat men
mujh ko to zindagi se koi aas hi nahin
paiham talash jaari hai is dil ki dar-ba-dar
ya'ni ki mera dil hai mire paas hi nahin
kaise lubhe-ga vo but-e-nazuk shab-e-visal
kya daliye ki paas koi ghaas hi nahin
hazrat ke pichhe ho ke bhi manzil nahin mili
ki gumrahi ka khizr ko ehsas hi nahin
raz-e-khirad junun ki hikayat-e-khun-chakan
sab kuchh miri ghhazal men hai bakvas hi nahin
yun pi raha hun jaise koi pyas hi nahin
saghar hamare dil ko zara ras hi nahin
main yun hi ji raha hun teri kaenat mein
mujh ko to zindagi se koi aas hi nahin
paiham talash jari hai is dil ki dar-ba-dar
ya'ni ki mera dil hai mere pas hi nahin
kaise lubhe-ga wo but-e-nazuk shab-e-visal
kya daliye ki pas koi ghas hi nahin
hazrat ke pichhe ho ke bhi manzil nahin mili
ki gumrahi ka khizr ko ehsas hi nahin
raaz-e-khirad junun ki hikayat-e-khun-chakan
sab kuchh meri ghazal mein hai bakwas hi nahin
sahil pe na aa jaun bhanwar mein hi rahun main
sahil pe na aa jaun bhanvar men hi rahun main
ta-'umr tire dida-e-tar men hi rahun main
hai meri zarurat ko safar roz hi darkar
kahti hai thakan paaon ki ghar men hi rahun main
behtar hai karun khud ko khirad ke bhi havale
kab tak dil-e-nadan ke asar men hi rahun main
kya is ki zamanat hai ki tu tu hi rahega
ik 'umr bhi ai dost agar main hi rahun main
ik miil ke patthar ki tarah rah-e-adab men
gumnam bhi ho kar ke khabar men hi rahun main
tu vaqt ka aazar hai to phir main bhi ai 'mahir'
patthar huun tire dast-e-hunar men hi rahun main
sahil pe na aa jaun bhanwar mein hi rahun main
ta-'umr tere dida-e-tar mein hi rahun main
hai meri zarurat ko safar roz hi darkar
kahti hai thakan paon ki ghar mein hi rahun main
behtar hai karun khud ko khirad ke bhi hawale
kab tak dil-e-nadan ke asar mein hi rahun main
kya is ki zamanat hai ki tu tu hi rahega
ek 'umr bhi ai dost agar main hi rahun main
ek mil ke patthar ki tarah rah-e-adab mein
gumnam bhi ho kar ke khabar mein hi rahun main
tu waqt ka aazar hai to phir main bhi ai 'mahir'
patthar hun tere dast-e-hunar mein hi rahun main
apna jise samajhta tha wo bhi mera na tha
apna jise samajhta tha vo bhi mira na tha
ye aisa hadsa tha jo dekha suna na tha
kitni shadid dhuup hai ehsas ab hua
tha sar pe saeban to kuchh bhi pata na tha
vallah husn-e-shauq ki maktub-e-yar men
vo bhi padha hai main ne jo us ne likha na tha
mauzu'-e-ghham pe karta tha din raat guftugu
vo shakhs jis ka ghham se koi vasta na tha
tufan ka siina chiir ke sahil pe aa gaiin
vo kashtiyan bhi jin ka koi na-khuda na tha
din raat jin ko paane ki karte the justuju
vo mil gae to ham ko hamara pata na tha
maqbul kaise hotin ye rasmi 'ibadaten
sar hi jhuka tha sajde men dil to jhuka na tha
apna jise samajhta tha wo bhi mera na tha
ye aisa hadsa tha jo dekha suna na tha
kitni shadid dhup hai ehsas ab hua
tha sar pe saeban to kuchh bhi pata na tha
wallah husn-e-shauq ki maktub-e-yar mein
wo bhi padha hai main ne jo us ne likha na tha
mauzu'-e-gham pe karta tha din raat guftugu
wo shakhs jis ka gham se koi wasta na tha
tufan ka sina chir ke sahil pe aa gain
wo kashtiyan bhi jin ka koi na-khuda na tha
din raat jin ko pane ki karte the justuju
wo mil gae to hum ko hamara pata na tha
maqbul kaise hotin ye rasmi 'ibaadaten
sar hi jhuka tha sajde mein dil to jhuka na tha
You have reached the end.