dukh dard mein hamesha nikale tumhaare khat
dukh dard men hamesha nikale tumhare khat
aur mil gai khushi to uchhale tumhare khat
sab chudiyan tumhari samundar ko saunp diin
aur kar diye hava ke havale tumhare khat
mere lahu men guunj raha hai har ek lafz
main ne ragon ke dasht men paale tumhare khat
yuun to hain be-shumar vafa ki nishaniyan
lekin har ek shai se nirale tumhare khat
jaise ho umr bhar ka asasa ghharib ka
kuchh is tarah se main ne sambhale tumhare khat
ahl-e-hunar ko mujh pe 'vasi' e'tiraz hai
main ne jo apne sher men dhale tumhare khat
parva mujhe nahin hai kisi chand ki 'vasi'
zulmat ke dasht men hain ujale tumhare khat
dukh dard mein hamesha nikale tumhaare khat
aur mil gai khushi to uchhaale tumhaare khat
sab chudiyan tumhaari samundar ko saunp din
aur kar diye hawa ke hawale tumhaare khat
mere lahu mein gunj raha hai har ek lafz
main ne ragon ke dasht mein pale tumhaare khat
yun to hain be-shumar wafa ki nishaniyan
lekin har ek shai se nirale tumhaare khat
jaise ho umr bhar ka asasa gharib ka
kuchh is tarah se main ne sambhaale tumhaare khat
ahl-e-hunar ko mujh pe 'wasi' e'tiraaz hai
main ne jo apne sher mein dhaale tumhaare khat
parwa mujhe nahin hai kisi chand ki 'wasi'
zulmat ke dasht mein hain ujale tumhaare khat
muddat ke baad isne likha mere nam khat
muddat ke baad is ne likha mere naam khat
meri shikayaton se bhara hai tamam khat
ghabra na is qadar dil-e-betab sabr kar
aata hai koi roz men ab subh-o-sham khat
likkha hua hai khaas tumhare hi haath ka
pahchanta hai khuub tumhara ghhulam khat
tahrir un ki siina pe rakh dijiyo mire
badle javab-e-nama ke aaega kaam khat
likkha hai ab na likkhenge ham koi khat tujhe
khat aaya meri maut ka laaya payam khat
zaae' na jaegi tiri mehnat kisi tarah
qasid ajura deta huun chutki men thaam khat
ashiq-navaziyan hain tabiat men yaar ki
likkha hai har mahine men bhejo mudam khat
tahrir kar ke saikadon vaade mukar gae
dikhlaunga huzur ko roz-e-qayam khat
khat likh ke aaj daak pe pahunchenge yaar ko
pahunchaega hamara payam-o-salam khat
'aghha' nisar hojiye inaam dijiye
laaya hai un ka qasid-e-sarsar-khiram khat
muddat ke baad is ne likha mere nam khat
meri shikayaton se bhara hai tamam khat
ghabra na is qadar dil-e-betab sabr kar
aata hai koi roz mein ab subh-o-sham khat
likkha hua hai khas tumhaare hi hath ka
pahchanta hai khub tumhaara ghulam khat
tahrir un ki sina pe rakh dijiyo mere
badle jawab-e-nama ke aaega kaam khat
likkha hai ab na likkhenge hum koi khat tujhe
khat aaya meri maut ka laya payam khat
zae' na jaegi teri mehnat kisi tarah
qasid ajura deta hun chutki mein tham khat
aashiq-nawaziyan hain tabiat mein yar ki
likkha hai har mahine mein bhejo mudam khat
tahrir kar ke saikadon wade mukar gae
dikhlaunga huzur ko roz-e-qayam khat
khat likh ke aaj dak pe pahunchenge yar ko
pahunchaega hamara payam-o-salam khat
'agha' nisar hojiye inam dijiye
laya hai un ka qasid-e-sarsar-khiram khat
shayad us sada ne rakha hai khat
shayad us saada ne rakha hai khat
ki hamen muttasil likkha hai khat
shauq se baat badh gai thi bahut
daftar us ko likhen hain kya hai khat
naama kab yaar ne padha saara
na kaha ye bhi ashna hai khat
saath ham bhi gae hain duur talak
jab udhar ke taiin chala hai khat
kuchh khalal raah men hua ai 'mir'
nama-bar kab se le gaya hai khat
shayad us sada ne rakha hai khat
ki hamein muttasil likkha hai khat
shauq se baat badh gai thi bahut
daftar us ko likhen hain kya hai khat
nama kab yar ne padha sara
na kaha ye bhi aashna hai khat
sath hum bhi gae hain dur talak
jab udhar ke tain chala hai khat
kuchh khalal rah mein hua ai 'mir'
nama-bar kab se le gaya hai khat
hae laya na koi qasid-e-dilbar kaghaz
haae laaya na koi qasid-e-dilbar kaghhaz
ho gaya ghham se hamara tan-e-laghhar kaghhaz
nama-e-yar ke likhne ko mujhe arzan hai
tol de gar koi sone ke barabar kaghhaz
yuun lifafe men hamara hai kalam-e-shirin
jis tarah bandhte hain qand ke uupar kaghhaz
na-tavani se nahin hai mujhe mumkin harakat
main huun harfon ki tarah mera hai bistar kaghhaz
haal likkha hai jo main ne badan-e-laghhar ka
le uda tinke ki manind kabutar kaghhaz
main ne likkha hai jo apna ye musibat-nama
mohr karne ko karun ashk se ab tar kaghhaz
mere naame ko agar dast-e-hinai men vo le
varaq-e-gul se bhi ho rang men behtar kaghhaz
hal-e-soz-e-ghham-e-furqat karun tahrir to ho
kabk ki chonch qalam baal samundar kaghhaz
is qadar misl-e-qalam main ne jabin-sai ki
ban gaya ghis ke dar-e-yar ka patthar kaghhaz
yaar ne khat men jo likkha hai ki na aana hargiz
ho gaya mere liye sadd-e-sikandar kaghhaz
saath naame ke gai jaan bhi su-e-janan
ho gaya tair-e-jan ke liye shahpar kaghhaz
nahin tohfa khat-e-janan ke barabar koi
hai mujhe qand-o-zaqan se kahin behtar kaghhaz
ja-e-jarrah ki ab nama-bar aa pahuncha hai
badle phahe ke rakhun daghh-e-jigar par kaghhaz
kya main iflas men khat yaar ko likkhun 'nasikh'
na qalam hai na siyahi na mayassar kaghhaz
hae laya na koi qasid-e-dilbar kaghaz
ho gaya gham se hamara tan-e-laghar kaghaz
nama-e-yar ke likhne ko mujhe arzan hai
tol de gar koi sone ke barabar kaghaz
yun lifafe mein hamara hai kalam-e-shirin
jis tarah bandhte hain qand ke upar kaghaz
na-tawani se nahin hai mujhe mumkin harakat
main hun harfon ki tarah mera hai bistar kaghaz
haal likkha hai jo main ne badan-e-laghar ka
le uda tinke ki manind kabutar kaghaz
main ne likkha hai jo apna ye musibat-nama
mohr karne ko karun ashk se ab tar kaghaz
mere name ko agar dast-e-hinai mein wo le
waraq-e-gul se bhi ho rang mein behtar kaghaz
haal-e-soz-e-gham-e-furqat karun tahrir to ho
kabk ki chonch qalam baal samundar kaghaz
is qadar misl-e-qalam main ne jabin-sai ki
ban gaya ghis ke dar-e-yar ka patthar kaghaz
yar ne khat mein jo likkha hai ki na aana hargiz
ho gaya mere liye sadd-e-sikandar kaghaz
sath name ke gai jaan bhi su-e-jaanan
ho gaya tair-e-jaan ke liye shahpar kaghaz
nahin tohfa khat-e-jaanan ke barabar koi
hai mujhe qand-o-zaqan se kahin behtar kaghaz
ja-e-jarrah ki ab nama-bar aa pahuncha hai
badle phahe ke rakhun dagh-e-jigar par kaghaz
kya main iflas mein khat yar ko likkhun 'nasikh'
na qalam hai na siyahi na mayassar kaghaz
na diya us kun ya diya qasid
na diya us kuun ya diya qasid
sach bata naama kya kiya qasid
na phira aah koi le ke javab
jo gaya vaan so gum hua qasid
aaj avega ya na avega
mere ghar men vo dil-ruba qasid
dil ko hai sakht intizar-e-javab
kah shitabi se kya kaha qasid
kucha-e-yar men mire zinhar
jaiyo mat barahna-pa qasid
khar-e-mizhgan-e-kushtagan-e-vafa
vaan hain uftada ja-ba-ja qasid
nama-e-shauq ko mire le kar
yaar ke paas jab gaya qasid
mohr ko khat ki dekh kahne laga
kaun 'bedar' hai bata qasid
jis ne bheja hai tere haath ye khat
main nahin us se ashna qasid
na diya us kun ya diya qasid
sach bata nama kya kiya qasid
na phira aah koi le ke jawab
jo gaya wan so gum hua qasid
aaj aawega ya na aawega
mere ghar mein wo dil-ruba qasid
dil ko hai sakht intizar-e-jawab
kah shitabi se kya kaha qasid
kucha-e-yar mein mere zinhaar
jaiyo mat barahna-pa qasid
khar-e-mizhgan-e-kushtagan-e-wafa
wan hain uftada ja-ba-ja qasid
nama-e-shauq ko mere le kar
yar ke pas jab gaya qasid
mohr ko khat ki dekh kahne laga
kaun 'bedar' hai bata qasid
jis ne bheja hai tere hath ye khat
main nahin us se aashna qasid
mera khat hai jahan yaro wo rashk-e-hur le jaana
mira khat hai jahan yaaro vo rashk-e-hur le jaana
kisi surat se vaan tak tum mira mazkur le jaana
agar vo shoala-ru puchhe mire dil ke phaphulon ko
to us ke samne ik khosha-e-angur le jaana
jo ye puchhe ki ab kitni hai us ke rang par zardi
to yaaro tum gul-e-sad-barg ya kafur le jaana
agar puchhe mire siine ke zakhmon ko to ai yaaro
kahin se dhundh kar ik khana-e-zambur le jaana
raqib-e-ru-siyah ke haal ka gar majra puchhe
to us ke samne jangal se ik langur le jaana
'nazir' ik din khushi se yaar ne hans kar kaha mujh ko
ki tu bhi ek bosa ham se ai ranjur le jaana
mera khat hai jahan yaro wo rashk-e-hur le jaana
kisi surat se wan tak tum mera mazkur le jaana
agar wo shoala-ru puchhe mere dil ke phaphulon ko
to us ke samne ek khosha-e-angur le jaana
jo ye puchhe ki ab kitni hai us ke rang par zardi
to yaro tum gul-e-sad-barg ya kafur le jaana
agar puchhe mere sine ke zakhmon ko to ai yaro
kahin se dhundh kar ek khana-e-zambur le jaana
raqib-e-ru-siyah ke haal ka gar majra puchhe
to us ke samne jangal se ek langur le jaana
'nazir' ek din khushi se yar ne hans kar kaha mujh ko
ki tu bhi ek bosa hum se ai ranjur le jaana
aaj to hamdam azm hai ye kuchh hum bhi rasmi kaam karen
aaj to hamdam azm hai ye kuchh ham bhi rasmi kaam karen
kilk utha kar yaar ko apne nama-e-shauq arqam karen
khubi se alqab likhen adab bhi khush-aini se
baad is ke ham tahrir mufassal furqat ke alam karen
ya khud aave aap idhar ya jald bulave ham ko vahan
is matlab ke likhne ko bhi khuub sa sar-anjam karen
husn ziyada aan moassir naaz ki shokhi ho vo chand
aise kitne harf likhen aur naae ko ashmam karen
sun kar vo hans kar yuun bola ye to tumhen hai fikr abas
aql jinhen hai vo to hargiz ab na khayal-e-kham karen
kaam yaqinan hai vahi achchha jo ki ho apne mauqaa se
baat kahen ya naama likhen yaaro subh se shaam karen
is men bhala kya hasil hoga soch to dekho miyan 'nazir'
vo to khafa ho phenk de khat aur log tumhen bad-nam karen
aaj to hamdam azm hai ye kuchh hum bhi rasmi kaam karen
kilk utha kar yar ko apne nama-e-shauq arqam karen
khubi se alqab likhen aadab bhi khush-aini se
baad is ke hum tahrir mufassal furqat ke aalam karen
ya khud aawe aap idhar ya jald bulawe hum ko wahan
is matlab ke likhne ko bhi khub sa sar-anjam karen
husn ziyaada aan moassir naz ki shokhi ho wo chand
aise kitne harf likhen aur nae ko ashmam karen
sun kar wo hans kar yun bola ye to tumhein hai fikr abas
aql jinhen hai wo to hargiz ab na khayal-e-kham karen
kaam yaqinan hai wahi achchha jo ki ho apne mauqa se
baat kahen ya nama likhen yaro subh se sham karen
is mein bhala kya hasil hoga soch to dekho miyan 'nazir'
wo to khafa ho phenk de khat aur log tumhein bad-nam karen
You have reached the end.