ek hunar hai jo kar gaya hun main
ik hunar hai jo kar gaya huun main
sab ke dil se utar gaya huun main
kaise apni hansi ko zabt karun
sun raha huun ki ghar gaya huun main
kya bataun ki mar nahin paata
jite-ji jab se mar gaya huun main
ab hai bas apna samna dar-pesh
har kisi se guzar gaya huun main
vahi naz-o-ada vahi ghhamze
sar-ba-sar aap par gaya huun main
ajab ilzam huun zamane ka
ki yahan sab ke sar gaya huun main
kabhi khud tak pahunch nahin paaya
jab ki vaan umr bhar gaya huun main
tum se janan mila huun jis din se
be-tarah khud se dar gaya huun main
ku-e-janan men sog barpa hai
ki achanak sudhar gaya huun main
ek hunar hai jo kar gaya hun main
sab ke dil se utar gaya hun main
kaise apni hansi ko zabt karun
sun raha hun ki ghar gaya hun main
kya bataun ki mar nahin pata
jite-ji jab se mar gaya hun main
ab hai bas apna samna dar-pesh
har kisi se guzar gaya hun main
wahi naz-o-ada wahi ghamze
sar-ba-sar aap par gaya hun main
ajab ilzam hun zamane ka
ki yahan sab ke sar gaya hun main
kabhi khud tak pahunch nahin paya
jab ki wan umr bhar gaya hun main
tum se jaanan mila hun jis din se
be-tarah khud se dar gaya hun main
ku-e-jaanan mein sog barpa hai
ki achanak sudhar gaya hun main
zindagi kya hai ek kahani hai
zindagi kya hai ik kahani hai
ye kahani nahin sunani hai
hai khuda bhi ajiib yaani jo
na zamini na asmani hai
hai mire shauq-e-vasl ko ye gila
us ka pahlu sara-e-fani hai
apni tamir-e-jan-o-dil ke liye
apni buniyad ham ko dhani hai
ye hai lamhon ka ek shahr-e-azal
yaan ki har baat na-gahani hai
chaliye ai jan-e-sham aaj tumhen
shama ik qabr par jalani hai
rang ki apni baat hai varna
akhirash khuun bhi to paani hai
ik abas ka vajud hai jis se
zindagi ko murad paani hai
shaam hai aur sahn men dil ke
ik ajab huzn-e-asmani hai
zindagi kya hai ek kahani hai
ye kahani nahin sunani hai
hai khuda bhi ajib yani jo
na zamini na aasmani hai
hai mere shauq-e-wasl ko ye gila
us ka pahlu sara-e-fani hai
apni tamir-e-jaan-o-dil ke liye
apni buniyaad hum ko dhani hai
ye hai lamhon ka ek shahr-e-azal
yan ki har baat na-gahani hai
chaliye ai jaan-e-sham aaj tumhein
shama ek qabr par jalani hai
rang ki apni baat hai warna
aakhirash khun bhi to pani hai
ek abas ka wajud hai jis se
zindagi ko murad pani hai
sham hai aur sahn mein dil ke
ek ajab huzn-e-asmani hai
duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai
duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai
maut mile to muft na luun hasti ki kya hasti hai
abadi bhi dekhi hai virane bhi dekhe hain
jo ujde aur phir na base dil vo nirali basti hai
khud jo na hone ka ho adam kya use hona kahte hain
niist na ho to hast nahin ye hasti kya hasti hai
ijz-e-gunah ke dam tak hain ismat-e-kamil ke jalve
pasti hai to bulandi hai raz-e-bulandi pasti hai
jaan si shai bik jaati hai ek nazar ke badle men
aage marzi gahak ki in damon to sasti hai
vahshat-e-dil se phirna hai apne khuda se phir jaana
divane ye hosh nahin ye to hosh-parasti hai
jag suuna hai tere baghhair ankhon ka kya haal hua
jab bhi duniya basti thi ab bhi duniya basti hai
aansu the so khushk hue ji hai ki umda aata hai
dil pe ghata si chhai hai khulti hai na barasti hai
dil ka ujadna sahl sahi basna sahl nahin zalim
basti basna khel nahin baste baste basti hai
'fani' jis men aansu kya dil ke lahu ka kaal na tha
haae vo aankh ab paani ki do bundon ko tarasti hai
duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai
maut mile to muft na lun hasti ki kya hasti hai
aabaadi bhi dekhi hai virane bhi dekhe hain
jo ujde aur phir na base dil wo nirali basti hai
khud jo na hone ka ho adam kya use hona kahte hain
nist na ho to hast nahin ye hasti kya hasti hai
ijz-e-gunah ke dam tak hain ismat-e-kaamil ke jalwe
pasti hai to bulandi hai raaz-e-bulandi pasti hai
jaan si shai bik jati hai ek nazar ke badle mein
aage marzi gahak ki in damon to sasti hai
wahshat-e-dil se phirna hai apne khuda se phir jaana
diwane ye hosh nahin ye to hosh-parasti hai
jag suna hai tere baghair aankhon ka kya haal hua
jab bhi duniya basti thi ab bhi duniya basti hai
aansu the so khushk hue ji hai ki umda aata hai
dil pe ghata si chhai hai khulti hai na barasti hai
dil ka ujadna sahl sahi basna sahl nahin zalim
basti basna khel nahin baste baste basti hai
'fani' jis mein aansu kya dil ke lahu ka kal na tha
hae wo aankh ab pani ki do bundon ko tarasti hai
dil ko sukun ruh ko aaram aa gaya
dil ko sukun ruuh ko aram aa gaya
maut aa gai ki dost ka paighham aa gaya
jab koi zikr-e-gardish-e-ayyam aa gaya
be-ikhtiyar lab pe tira naam aa gaya
ghham men bhi hai surur vo hangam aa gaya
shayad ki daur-e-bada-e-gulfam aa gaya
divangi ho aql ho ummid ho ki yaas
apna vahi hai vaqt pe jo kaam aa gaya
dil ke muamlat men naseh shikast kya
sau baar husn par bhi ye ilzam aa gaya
sayyad shadman hai magar ye to soch le
main aa gaya ki saaya tah-e-dam aa gaya
dil ko na puchh marka-e-husn-o-ishq men
kya janiye ghharib kahan kaam aa gaya
ye kya maqam-e-ishq hai zalim ki in dinon
aksar tire baghhair bhi aram aa gaya
ahbab mujh se qat-e-taalluq karen 'jigar'
ab aftab-e-zist lab-e-bam aa gaya
dil ko sukun ruh ko aaram aa gaya
maut aa gai ki dost ka paigham aa gaya
jab koi zikr-e-gardish-e-ayyam aa gaya
be-ikhtiyar lab pe tera nam aa gaya
gham mein bhi hai surur wo hangam aa gaya
shayad ki daur-e-baada-e-gulfam aa gaya
diwangi ho aql ho ummid ho ki yas
apna wahi hai waqt pe jo kaam aa gaya
dil ke muamlat mein naseh shikast kya
sau bar husn par bhi ye ilzam aa gaya
sayyaad shadman hai magar ye to soch le
main aa gaya ki saya tah-e-dam aa gaya
dil ko na puchh marka-e-husn-o-ishq mein
kya jaaniye gharib kahan kaam aa gaya
ye kya maqam-e-ishq hai zalim ki in dinon
aksar tere baghair bhi aaram aa gaya
ahbab mujh se qat-e-talluq karen 'jigar'
ab aaftab-e-zist lab-e-baam aa gaya
zindagi se ek din mausam khafa ho jaenge
zindagi se ek din mausam khafa ho jaenge
rang-e-gul aur bu-e-gul donon hava ho jaenge
aankh se aansu nikal jaenge aur tahni se phuul
vaqt badlega to sab qaidi riha ho jaenge
phuul se khushbu bichhad jaegi suraj se kiran
saal se din vaqt se lamhe juda ho jaenge
kitne pur-ummid kitne khub-surat hain ye log
kya ye sab baazu ye sab chehre fana ho jaenge
zindagi se ek din mausam khafa ho jaenge
rang-e-gul aur bu-e-gul donon hawa ho jaenge
aankh se aansu nikal jaenge aur tahni se phul
waqt badlega to sab qaidi riha ho jaenge
phul se khushbu bichhad jaegi suraj se kiran
sal se din waqt se lamhe juda ho jaenge
kitne pur-ummid kitne khub-surat hain ye log
kya ye sab bazu ye sab chehre fana ho jaenge
bahti hui aankhon ki rawani mein mare hain
bahti hui ankhon ki ravani men mare hain
kuchh khvab mire ain-javani men mare hain
rota huun main un lafzon ki qabron pe kai baar
jo lafz miri shola-bayani men mare hain
kuchh tujh se ye duuri bhi mujhe maar gai hai
kuchh jazbe mire naql-e-makani men mare hain
qabron men nahin ham ko kitabon men utaro
ham log mohabbat ki kahani men mare hain
is ishq ne akhir hamen barbad kiya hai
ham log isi khaulte paani men mare hain
kuchh had se ziyada tha hamen shauq-e-mohabbat
aur ham hi mohabbat ki girani men mare hain
bahti hui aankhon ki rawani mein mare hain
kuchh khwab mere ain-jawani mein mare hain
rota hun main un lafzon ki qabron pe kai bar
jo lafz meri shola-bayani mein mare hain
kuchh tujh se ye duri bhi mujhe mar gai hai
kuchh jazbe mere naql-e-makani mein mare hain
qabron mein nahin hum ko kitabon mein utaro
hum log mohabbat ki kahani mein mare hain
is ishq ne aakhir hamein barbaad kiya hai
hum log isi khaulte pani mein mare hain
kuchh had se ziyaada tha hamein shauq-e-mohabbat
aur hum hi mohabbat ki girani mein mare hain
hamare khun ke pyase pashemani se mar jaen
hamare khuun ke pyase pashemani se mar jaaen
agar ham ek din apni hi nadani se mar jaaen
aziyyat se janam leti suhulat raas aati hai
koi aisi pade mushkil ki asani se mar jaaen
adhuri si nazar kaafi hai us aina-dari par
agar ham ghhaur se dekhen to hairani se mar jaaen
bana rakkhi hain divaron pe tasviren parindon ki
vagarna ham to apne ghar ki virani se mar jaaen
agar vahshat ka ye aalam raha to ain-mumkin hai
sukun se jiite jiite bhi pareshani se mar jaaen
kahin aisa na ho yarab ki ye tarse hue aabid
tiri jannat men ashya ki faravani se mar jaaen
hamare khun ke pyase pashemani se mar jaen
agar hum ek din apni hi nadani se mar jaen
aziyyat se janam leti suhulat ras aati hai
koi aisi pade mushkil ki aasani se mar jaen
adhuri si nazar kafi hai us aaina-dari par
agar hum ghaur se dekhen to hairani se mar jaen
bana rakkhi hain diwaron pe taswiren parindon ki
wagarna hum to apne ghar ki virani se mar jaen
agar wahshat ka ye aalam raha to ain-mumkin hai
sukun se jite jite bhi pareshani se mar jaen
kahin aisa na ho yarab ki ye tarse hue aabid
teri jannat mein ashya ki farawani se mar jaen
koi dam bhi main kab andar raha hun
koi dam bhi main kab andar raha huun
liye hain saans aur bahar raha huun
dhuen men saans hain sanson men pal hain
main raushan-dan tak bas mar raha huun
fana har dam mujhe ginti rahi hai
main ik dam ka tha aur din bhar raha huun
zara ik saans roka to laga yuun
ki itni der apne ghar raha huun
ba-juz apne mayassar hai mujhe kya
so khud se apni jeben bhar raha huun
hamesha zakhm pahunche hain mujhi ko
hamesha main pas-e-lashkar raha huun
lita de niind ke bistar pe ai raat
main din bhar apni palkon par raha huun
koi dam bhi main kab andar raha hun
liye hain sans aur bahar raha hun
dhuen mein sans hain sanson mein pal hain
main raushan-dan tak bas mar raha hun
fana har dam mujhe ginti rahi hai
main ek dam ka tha aur din bhar raha hun
zara ek sans roka to laga yun
ki itni der apne ghar raha hun
ba-juz apne mayassar hai mujhe kya
so khud se apni jeben bhar raha hun
hamesha zakhm pahunche hain mujhi ko
hamesha main pas-e-lashkar raha hun
lita de nind ke bistar pe ai raat
main din bhar apni palkon par raha hun
aasman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye
asman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye
main ne sab tayyariyan kar li hain marne ke liye
is bulandi khauf se azad ho us ne kaha
chand se jab bhi kaha niche utarne ke liye
ab zamin kyuun tere naqshe se nahin hatti nazar
rang kya koi bacha hai is men bharne ke liye
ye jagah hairat-sarae hai kahan thi ye khabar
yunhi aa nikla tha main to sair karne ke liye
kitna asan lag raha hai mujh ko aage ka safar
chhod aaya pichhe parchhain ko darne ke liye
aasman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye
main ne sab tayyariyan kar li hain marne ke liye
is bulandi khauf se aazad ho us ne kaha
chand se jab bhi kaha niche utarne ke liye
ab zamin kyun tere naqshe se nahin hatti nazar
rang kya koi bacha hai is mein bharne ke liye
ye jagah hairat-sarae hai kahan thi ye khabar
yunhi aa nikla tha main to sair karne ke liye
kitna aasan lag raha hai mujh ko aage ka safar
chhod aaya pichhe parchhain ko darne ke liye
viran sarae ka diya hai
viran sarae ka diya hai
jo kaun-o-makan men jal raha hai
ye kaisi bichhadne ki saza hai
aine men chehra rakh gaya hai
khurshid misal shakhs kal shaam
mitti ke supurd kar diya hai
tum mar gae hausla tumhara
zinda huun ye mera hausla hai
andar bhi zamin ke raushni ho
mitti men charaghh rakh diya hai
main kaun sa khvab dekhta huun
ye kaun se mulk ki faza hai
vo kaun sa haath hai ki jis ne
mujh aag ko khaak se likha hai
rakkha tha khala men paanv main ne
raste men sitara aa gaya hai
shayad ki khuda men aur mujh men
ik jast ka aur fasla hai
gardish men hain kitni kaenaten
bachcha mira paanv chal raha hai
viran sarae ka diya hai
jo kaun-o-makan mein jal raha hai
ye kaisi bichhadne ki saza hai
aaine mein chehra rakh gaya hai
khurshid misal shakhs kal sham
mitti ke supurd kar diya hai
tum mar gae hausla tumhaara
zinda hun ye mera hausla hai
andar bhi zamin ke raushni ho
mitti mein charagh rakh diya hai
main kaun sa khwab dekhta hun
ye kaun se mulk ki faza hai
wo kaun sa hath hai ki jis ne
mujh aag ko khak se likha hai
rakkha tha khala mein panw main ne
raste mein sitara aa gaya hai
shayad ki khuda mein aur mujh mein
ek jast ka aur fasla hai
gardish mein hain kitni kaenaten
bachcha mera panw chal raha hai
jahan se aae the shayad wahin chale gae hain
jahan se aae the shayad vahin chale gae hain
vo sahiban-e-basharat kahin chale gae hain
zamin pe rengte rahne ko ham jo hain maujud
jo ahl-e-sharm the zer-e-zamin chale gae hain
bahisht hai ki nahin hai ye tu hi janta hai
tire faqir ba-nam-e-yaqin chale gae hain
dikhai denge kabhi vaqt ke jharokon se
vo log ab bhi yahin hain hamin chale gae hain
vahi hua hai jo hota hai sone valon se
ai mere dil tire pahlu-nashin chale gae hain
hamari aankh 'shanavar' hui hai kya namnak
sukhan-saraon se zehra-jabin chale gae hain
jahan se aae the shayad wahin chale gae hain
wo sahiban-e-bashaarat kahin chale gae hain
zamin pe rengte rahne ko hum jo hain maujud
jo ahl-e-sharm the zer-e-zamin chale gae hain
bahisht hai ki nahin hai ye tu hi jaanta hai
tere faqir ba-nam-e-yaqin chale gae hain
dikhai denge kabhi waqt ke jharokon se
wo log ab bhi yahin hain hamin chale gae hain
wahi hua hai jo hota hai sone walon se
ai mere dil tere pahlu-nashin chale gae hain
hamari aankh 'shanawar' hui hai kya namnak
sukhan-saraon se zehra-jabin chale gae hain
wufur-e-dard ko ehsas hai main jaane wala hun
vufur-e-dard ko ehsas hai main jaane vaala huun
bahut kam vaqt mere paas hai main jaane vaala huun
kaha jo tha ki tere baad duniya men nahin rahna
mujhe apne kahe ka paas hai main jaane vaala huun
mabada mere jaane tak vo chashma khushk ho jaae
mujhe ab-e-abad ki pyaas hai main jaane vaala huun
agar main saans lene ko rukun to rizq rukta hai
mujhe hijrat musalsal raas hai main jaane vaala huun
vo meri khalvat-e-paiham to meri badshahat hai
taalluq aarzi ban-bas hai main jaane vaala huun
girai ja rahi hain yuun bhi divaren duaon ki
mire ahbab ko vishvas hai main jaane vaala huun
zabani yaad kar lo phir ye khal-o-khat nahin honge
qarib-e-shoalagi qirtas hai main jaane vaala huun
ye saman bhi sambhalo tum ye ehsan bhi utha lo tum
yahi jo mohlat-e-anfas hai main jaane vaala huun
dar-o-divar ki halat se andaza laga liije
kahin jaale kahin par ghaas hai main jaane vaala huun
bas ab main aur karb-e-kashmakash men rah nahin sakta
yahan har aas men ik yaas hai main jaane vaala huun
akela hai koi meri tarah aflak par shahid
use meri azal se aas hai main jaane vaala huun
wufur-e-dard ko ehsas hai main jaane wala hun
bahut kam waqt mere pas hai main jaane wala hun
kaha jo tha ki tere baad duniya mein nahin rahna
mujhe apne kahe ka pas hai main jaane wala hun
mabaada mere jaane tak wo chashma khushk ho jae
mujhe aab-e-abad ki pyas hai main jaane wala hun
agar main sans lene ko rukun to rizq rukta hai
mujhe hijrat musalsal ras hai main jaane wala hun
wo meri khalwat-e-paiham to meri baadshahat hai
talluq aarzi ban-bas hai main jaane wala hun
girai ja rahi hain yun bhi diwaren duaon ki
mere ahbab ko wishwas hai main jaane wala hun
zabani yaad kar lo phir ye khal-o-khat nahin honge
qarib-e-shoalagi qirtas hai main jaane wala hun
ye saman bhi sambhaalo tum ye ehsan bhi utha lo tum
yahi jo mohlat-e-anfas hai main jaane wala hun
dar-o-diwar ki haalat se andaza laga lije
kahin jale kahin par ghas hai main jaane wala hun
bas ab main aur karb-e-kashmakash mein rah nahin sakta
yahan har aas mein ek yas hai main jaane wala hun
akela hai koi meri tarah aflak par shahid
use meri azal se aas hai main jaane wala hun
wo daur qarib aa raha hai
vo daur qarib aa raha hai
jab dad-e-hunar na mil sakegi
us shab ka nuzul ho raha hai
jis shab ki sahar na mil sakegi
puchhoge har ik se ham kahan hain
aur apni khabar na mil sakegi
asan bhi na hoga ghar men rahna
taufiq-e-safar na mil sakegi
khanjar si zaban ka zakhm kha ke
marham si nazar na mil sakegi
is rah-e-safar men saya-e-afgan
ik shakh-e-shajar na mil sakegi
jaoge kisi ki anjuman men
par us se nazar na mil sakegi
ik jins-e-vafa hai jis ko har-su
dhundoge magar na mil sakegi
sailab-e-havas umad raha hai
ik tishna nazar na mil sakegi
wo daur qarib aa raha hai
jab dad-e-hunar na mil sakegi
us shab ka nuzul ho raha hai
jis shab ki sahar na mil sakegi
puchhoge har ek se hum kahan hain
aur apni khabar na mil sakegi
aasan bhi na hoga ghar mein rahna
taufiq-e-safar na mil sakegi
khanjar si zaban ka zakhm kha ke
marham si nazar na mil sakegi
is rah-e-safar mein saya-e-afgan
ek shakh-e-shajar na mil sakegi
jaoge kisi ki anjuman mein
par us se nazar na mil sakegi
ek jins-e-wafa hai jis ko har-su
dhundoge magar na mil sakegi
sailab-e-hawas umad raha hai
ek tishna nazar na mil sakegi
insani darinde aur is aasani se mar jaen
insani darinde aur is asani se mar jaaen
ye sochne baithen to pareshani se mar jaaen
vo jin ko mayassar thi har ik chiz-e-digar bhi
mumkin hai suhulat ki faravani se mar jaaen
kashti pe the kashti ko jalate hue hazrat
ab aag se bach jaaen bhale paani se mar jaaen
aine ka ye kaun sa session hai hamen kya
divar ko takte hue hairani se mar jaaen
'babar' koi jazbati kronon se ye puchhe
kis khate men ham aap ki nadani se mar jaaen
ai dost mukammal nazar-andaz hi kar dekh
aisa na ho ham niim nigahbani se mar jaaen
bach jaaen to akhir kise kya farq padega
dushman na sahi dost pashemani se mar jaaen
ankhon men utarte hue itraen sitare
suraj hon to jal kar tiri peshani se mar jaaen
ranjhe ko to phir hiir ki tasvir bahut hai
ji karta tha lag kar usi marjani se mar jaaen
insani darinde aur is aasani se mar jaen
ye sochne baithen to pareshani se mar jaen
wo jin ko mayassar thi har ek chiz-e-digar bhi
mumkin hai suhulat ki farawani se mar jaen
kashti pe the kashti ko jalate hue hazraat
ab aag se bach jaen bhale pani se mar jaen
aaine ka ye kaun sa session hai hamein kya
diwar ko takte hue hairani se mar jaen
'babar' koi jazbaati kronon se ye puchhe
kis khate mein hum aap ki nadani se mar jaen
ai dost mukammal nazar-andaz hi kar dekh
aisa na ho hum nim nigahbani se mar jaen
bach jaen to aakhir kise kya farq padega
dushman na sahi dost pashemani se mar jaen
aankhon mein utarte hue itraen sitare
suraj hon to jal kar teri peshani se mar jaen
ranjhe ko to phir hir ki taswir bahut hai
ji karta tha lag kar usi marjaani se mar jaen
ek bar phir watan mein gaya ja ke aa gaya
ik baar phir vatan men gaya ja ke aa gaya
lakht-e-jigar ko khaak men dafna ke aa gaya
har ham-safar pe khizr ka dhoka hua mujhe
ab-e-baqa ki raah se katra ke aa gaya
hur-e-lahad ne chhin liya tujh ko aur main
apna sa munh liye hue sharma ke aa gaya
dil le gaya mujhe tiri turbat pe baar baar
avaz de ke baith ke ukta ke aa gaya
roya ki tha jahez tira vajib-ul-ada
menh motiyon ka qabr pe barsa ke aa gaya
meri bisat kya thi huzur-e-raza-e-dost
tinka sa ek samne dariya ke aa gaya
ab ke bhi raas aai na hubb-e-vatan 'hafiz'
ab ke bhi ek tir-e-qaza kha ke aa gaya
ek bar phir watan mein gaya ja ke aa gaya
lakht-e-jigar ko khak mein dafna ke aa gaya
har ham-safar pe khizr ka dhoka hua mujhe
aab-e-baqa ki rah se katra ke aa gaya
hur-e-lahad ne chhin liya tujh ko aur main
apna sa munh liye hue sharma ke aa gaya
dil le gaya mujhe teri turbat pe bar bar
aawaz de ke baith ke ukta ke aa gaya
roya ki tha jahez tera wajib-ul-ada
meinh motiyon ka qabr pe barsa ke aa gaya
meri bisat kya thi huzur-e-raza-e-dost
tinka sa ek samne dariya ke aa gaya
ab ke bhi ras aai na hubb-e-watan 'hafiz'
ab ke bhi ek tir-e-qaza kha ke aa gaya
aakhiri bar zamane ko dikhaya gaya hun
akhiri baar zamane ko dikhaya gaya huun
aisa lagta hai ki main daar pe laaya gaya huun
sab mujhe dhundne nikle hain bujha kar ankhen
baat nikli hai ki main khvab men paaya gaya huun
ped bhi zard hue jaate hain mujh se mil kar
jaane main kaisi udasi se banaya gaya huun
raah takti hai kisi aur jagah khush-khabari
main magar aur hi raste se bulaya gaya huun
kitni mushkil se mujhe dhuup ne sarsabz kiya
kitni asani se barish men jalaya gaya huun
aakhiri bar zamane ko dikhaya gaya hun
aisa lagta hai ki main dar pe laya gaya hun
sab mujhe dhundne nikle hain bujha kar aankhen
baat nikli hai ki main khwab mein paya gaya hun
ped bhi zard hue jate hain mujh se mil kar
jaane main kaisi udasi se banaya gaya hun
rah takti hai kisi aur jagah khush-khabari
main magar aur hi raste se bulaya gaya hun
kitni mushkil se mujhe dhup ne sarsabz kiya
kitni aasani se barish mein jalaya gaya hun
jine ki khwahishon mein kai bar mar gae
jiine ki khvahishon men kai baar mar gae
yuun apni dastan ke kirdar mar gae
kante nikalne men hi guzri hai zindagi
dil men liye hi hasrat-e-gulzar mar gae
ai zindagi ye tera karishma nahin to kya
ham maut se hi pahle kai baar mar gae
mausam khizan hi ka tha magar haal ye na tha
kaisi bahar aai ki ashjar mar gae
jis ki talash kijiye mil jaae kya zarur
jiine ki justuju men kai yaar mar gae
sikke ke saath saath jo pagdi uchhal padi
jitne bache the hamil-e-dastar mar gae
'talib' riyaz-e-fan na ruke varna dekh le
teri tarah se kitne hi fankar mar gae
jine ki khwahishon mein kai bar mar gae
yun apni dastan ke kirdar mar gae
kante nikalne mein hi guzri hai zindagi
dil mein liye hi hasrat-e-gulzar mar gae
ai zindagi ye tera karishma nahin to kya
hum maut se hi pahle kai bar mar gae
mausam khizan hi ka tha magar haal ye na tha
kaisi bahaar aai ki ashjar mar gae
jis ki talash kijiye mil jae kya zarur
jine ki justuju mein kai yar mar gae
sikke ke sath sath jo pagdi uchhal padi
jitne bache the hamil-e-dastar mar gae
'talib' riyaz-e-fan na ruke warna dekh le
teri tarah se kitne hi fankar mar gae
phul se logon ko mitti mein mila kar aaegi
phuul se logon ko mitti men mila kar aaegi
chal rahi hai jo hava sab kuchh fana kar jaegi
zindagi guzregi mujh ko raund kar pairon tale
maut lekin mujh ko siine se laga kar jaegi
vo kisi ki yaad men jalti hui sham-e-firaq
khud bhi pighlegi miri ankhon ko bhi pighlaegi
aane vaale mausamon ki sar-phiri pagal hua
ek din teri judai ke tarane gaegi
aane vaala vaqt bhi roega mere vaste
aane vaale mausamon ko yaad meri aaegi
ai mire sathi ye tere chhod jaane ki kasak
mujh ko dimak ki tarah andar hi andar khaegi
ye husul-e-zar ki khvahish ek laanat ki tarah
akhir ik din tujh ko apnon se juda kar jaegi
zindagi ik bad-chalan avara ladki hai 'sarosh'
dekh lena ek din ye bhi tujhe thukraegi
phul se logon ko mitti mein mila kar aaegi
chal rahi hai jo hawa sab kuchh fana kar jaegi
zindagi guzregi mujh ko raund kar pairon tale
maut lekin mujh ko sine se laga kar jaegi
wo kisi ki yaad mein jalti hui sham-e-firaq
khud bhi pighlegi meri aankhon ko bhi pighlaegi
aane wale mausamon ki sar-phiri pagal hua
ek din teri judai ke tarane gaegi
aane wala waqt bhi roega mere waste
aane wale mausamon ko yaad meri aaegi
ai mere sathi ye tere chhod jaane ki kasak
mujh ko dimak ki tarah andar hi andar khaegi
ye husul-e-zar ki khwahish ek lanat ki tarah
aakhir ek din tujh ko apnon se juda kar jaegi
zindagi ek bad-chalan aawara ladki hai 'sarosh'
dekh lena ek din ye bhi tujhe thukraegi
chup-chap habs-e-waqt ke pinjre mein mar gaya
chup-chap habs-e-vaqt ke pinjre men mar gaya
jhonka hava ka aate hi kamre men mar gaya
suraj lihaf odh ke soya tamam raat
sardi se ik parinda dariche men mar gaya
jo nakhuda ko kah na saka 'umr bhar khuda
vo shakhs kal ana ke jazire men mar gaya
editori ne kaat diin takhliq ki ragen
achchha-bhala adiib risale men mar gaya
suraj ne ansuon ki tavanai chhin li
shabnam sa shakhs dhuup ke qasbe men mar gaya
is martaba bhi sachchi gavahi usi ne di
is martaba magar vo katahre men mar gaya
'nasik' vo apni zaat men manzil se kam na tha
vo rah-rav-e-hayat jo raste men mar gaya
chup-chap habs-e-waqt ke pinjre mein mar gaya
jhonka hawa ka aate hi kamre mein mar gaya
suraj lihaf odh ke soya tamam raat
sardi se ek parinda dariche mein mar gaya
jo nakhuda ko kah na saka 'umr bhar khuda
wo shakhs kal ana ke jazire mein mar gaya
editori ne kat din takhliq ki ragen
achchha-bhala adib risale mein mar gaya
suraj ne aansuon ki tawanai chhin li
shabnam sa shakhs dhup ke qasbe mein mar gaya
is martaba bhi sachchi gawahi usi ne di
is martaba magar wo katahre mein mar gaya
'nasik' wo apni zat mein manzil se kam na tha
wo rah-raw-e-hayat jo raste mein mar gaya
tuti mez aur jali kitaben rah jaengi
tuuti mez aur jali kitaben rah jaengi
drone girega amn ki baten rah jaengi
ladne vaale raushan subhen le jaenge
meri khatir andhi shamen rah jaengi
sach likhne vaale sab hijrat kar jaenge
bazaron men qalam davaten rah jaengi
yuun lagta hai raste men sab lut jaega
ghar pahunchunga to kuchh sansen rah jaengi
ummidon par barf ka mausam aa jaega
divaron par diip aur ankhen rah jaengi
ham darvaze men hi rote rah jaenge
jaane valon ki bas baten rah jaengi
tuti mez aur jali kitaben rah jaengi
drone girega amn ki baaten rah jaengi
ladne wale raushan subhen le jaenge
meri khatir andhi shamen rah jaengi
sach likhne wale sab hijrat kar jaenge
bazaron mein qalam dawaten rah jaengi
yun lagta hai raste mein sab lut jaega
ghar pahunchunga to kuchh sansen rah jaengi
ummidon par barf ka mausam aa jaega
diwaron par dip aur aankhen rah jaengi
hum darwaze mein hi rote rah jaenge
jaane walon ki bas baaten rah jaengi
ghar mein bashinde to ek naz mein mar jate hain
ghar men bashinde to ik naaz men mar jaate hain
aur jo ham-sae hain avaz men mar jaate hain
kabk o taus ko chalta hai tu thahra ke to ham
teri raftar ke andaz men mar jaate hain
muzhda ai yaas ki yaan kunj-e-qafas ke qaidi
yak-ba-yak mausam-e-parvaz men mar jaate hain
hain tire ramz-e-tabassum ke ada-fahm jo shakhs
jumbish-e-laal-e-fusun-saz men mar jaate hain
lab hilane nahin paata vo ki ham nadida
bas vahin baat ke aghhaz men mar jaate hain
tausan-e-naz ko phenke hai vo jis dam sarpat
log kya kya na tag-o-taz men mar jaate hain
'mushafi' dasht-e-bala ka safar asan hai kya
saikadon basra o shiraz men mar jaate hain
ghar mein bashinde to ek naz mein mar jate hain
aur jo ham-sae hain aawaz mein mar jate hain
kabk o taus ko chalta hai tu thahra ke to hum
teri raftar ke andaz mein mar jate hain
muzhda ai yas ki yan kunj-e-qafas ke qaidi
yak-ba-yak mausam-e-parwaz mein mar jate hain
hain tere ramz-e-tabassum ke ada-fahm jo shakhs
jumbish-e-lal-e-fusun-saz mein mar jate hain
lab hilane nahin pata wo ki hum nadida
bas wahin baat ke aaghaz mein mar jate hain
tausan-e-naz ko phenke hai wo jis dam sarpat
log kya kya na tag-o-taz mein mar jate hain
'mushafi' dasht-e-bala ka safar aasan hai kya
saikadon basra o shiraaz mein mar jate hain
bad-tar hain is jahan mein behtar chale gae
bad-tar hain is jahan men behtar chale gae
niche gae zamin ke uupar chale gae
tum aae meri ziist men mehman ki tarah
aur dukh ko meri jeb men rakh kar chale gae
dariya nahin hai aag ka daldal hai 'ishq so
tairak jitne aae sab andar chale gae
maan baap ro rahe hain ki beti chali gai
aur bhaai ro rahe hain ki zevar chale gae
qadmon ko un ke chumne aata furat par
banne ko ik nazir bahattar chale gae
dohra raha huun matla' ghhazal ka main ab talak
sab sunne vaale sun ke mujhe ghar chale gae
bad-tar hain is jahan mein behtar chale gae
niche gae zamin ke upar chale gae
tum aae meri zist mein mehman ki tarah
aur dukh ko meri jeb mein rakh kar chale gae
dariya nahin hai aag ka daldal hai 'ishq so
tairak jitne aae sab andar chale gae
man bap ro rahe hain ki beti chali gai
aur bhai ro rahe hain ki zewar chale gae
qadmon ko un ke chumne aata furaat par
banne ko ek nazir bahattar chale gae
dohra raha hun matla' ghazal ka main ab talak
sab sunne wale sun ke mujhe ghar chale gae
us se ummid-e-ru-numai hai
us se ummid-e-ru-numai hai
vo ki jo shakl-e-kibriyai hai
tum ne ai kushta-e-nazara-e-tur
maut bhi kya hasin paai hai
jaan kar tum se dil lagaya hai
haan hamen shauq-e-khud-fanai hai
zindagi ko tumhari furqat men
lamhe lamhe pe maut aai hai
kuchh mire dil ka bhi qusur hai aur
kuchh tumhari bhi dil-rubai hai
na unhon ne naqab ulti hai
na to ye aankh baaz aai hai
har jagah bhi hai aur hai bhi nahin
us ka ye bhi hunar khudai hai
tere aane se baghh-e-‘alam men
qabl-e-mausam bahar aai hai
tum ko main to khuda nahin kahta
ye zaban hai jo ladkhadai hai
qabr par hai 'ramaq' ki ye kanda
tum na aae to maut aai hai
us se ummid-e-ru-numai hai
wo ki jo shakl-e-kibriyai hai
tum ne ai kushta-e-nazara-e-tur
maut bhi kya hasin pai hai
jaan kar tum se dil lagaya hai
han hamein shauq-e-khud-fanai hai
zindagi ko tumhaari furqat mein
lamhe lamhe pe maut aai hai
kuchh mere dil ka bhi qusur hai aur
kuchh tumhaari bhi dil-rubai hai
na unhon ne naqab ulti hai
na to ye aankh baz aai hai
har jagah bhi hai aur hai bhi nahin
us ka ye bhi hunar khudai hai
tere aane se bagh-e-‘alam mein
qabl-e-mausam bahaar aai hai
tum ko main to khuda nahin kahta
ye zaban hai jo ladkhadai hai
qabr par hai 'ramaq' ki ye kanda
tum na aae to maut aai hai
meri aankhon se ab bahta lahhu achchha nahin lagta
miri ankhon se ab bahta lahhu achchha nahin lagta
mira khud se bhi karna guftugu achchha nahin lagta
tumhare haath jo mahke hain mere khuun ki laali se
tumhari astinon par rafu achchha nahin lagta
bahut nazdik se dekha hai main ne apni mayyat ko
kafan ka ye safed-o-shokh-ru achchha nahin lagta
guzarti hai jo dil par vo bayan ho hi nahin paati
mujhe ab lafzon ka ye hav-hu achchha nahin lagta
tumhari yaad men ankhen lahu ab thukti hain ji
ye aansu ka badalta rang-o-bu achchha nahin lagta
main apne khuun se likhta huun ab qisse judai ke
qalam ko ab siyahi ka subu achchha nahin lagta
dam-e-rukhsat mire lab par koi shikva nahin hoga
kisi se maut ke pal guftugu achchha nahin lagta
dar-o-divar hanste hain miri is bebasi par ab
mujhe ab apne ghar ka rang-o-bu achchha nahin lagta
tire hi haath se mitna muqaddar hai mira shayad
kisi ki or karna justuju achchha nahin lagta
bas ab ai maut aa kar chhin le tu sab se 'sahil' ko
ki ab mujh ko hi mera ru-ba-ru achchha nahin lagta
meri aankhon se ab bahta lahhu achchha nahin lagta
mera khud se bhi karna guftugu achchha nahin lagta
tumhaare hath jo mahke hain mere khun ki lali se
tumhaari aastinon par rafu achchha nahin lagta
bahut nazdik se dekha hai main ne apni mayyat ko
kafan ka ye safed-o-shokh-ru achchha nahin lagta
guzarti hai jo dil par wo bayan ho hi nahin pati
mujhe ab lafzon ka ye haw-hu achchha nahin lagta
tumhaari yaad mein aankhen lahu ab thukti hain ji
ye aansu ka badalta rang-o-bu achchha nahin lagta
main apne khun se likhta hun ab qisse judai ke
qalam ko ab siyahi ka subu achchha nahin lagta
dam-e-rukhsat mere lab par koi shikwa nahin hoga
kisi se maut ke pal guftugu achchha nahin lagta
dar-o-diwar hanste hain meri is bebasi par ab
mujhe ab apne ghar ka rang-o-bu achchha nahin lagta
tere hi hath se mitna muqaddar hai mera shayad
kisi ki or karna justuju achchha nahin lagta
bas ab ai maut aa kar chhin le tu sab se 'sahil' ko
ki ab mujh ko hi mera ru-ba-ru achchha nahin lagta
You have reached the end.