kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kahin zamin kahin asman nahin milta
tamam shahr men aisa nahin khulus na ho
jahan umiid ho is ki vahan nahin milta
kahan charaghh jalaen kahan gulab rakhen
chhaten to milti hain lekin makan nahin milta
ye kya azaab hai sab apne aap men gum hain
zaban mili hai magar ham-zaban nahin milta
charaghh jalte hi binai bujhne lagti hai
khud apne ghar men hi ghar ka nishan nahin milta
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kahin zamin kahin aasman nahin milta
tamam shahr mein aisa nahin khulus na ho
jahan umid ho is ki wahan nahin milta
kahan charagh jalaen kahan gulab rakhen
chhaten to milti hain lekin makan nahin milta
ye kya azab hai sab apne aap mein gum hain
zaban mili hai magar ham-zaban nahin milta
charagh jalte hi binai bujhne lagti hai
khud apne ghar mein hi ghar ka nishan nahin milta
gharon pe nam the namon ke sath ohde the
bahut talash kiya koi aadmi na mila
hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai
hai ajiib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai
kahin karobar si dopahar kahin bad-mizaj si shaam hai
yunhi roz milne ki aarzu badi rakh-rakhav ki guftugu
ye sharafaten nahin be-ghharaz ise aap se koi kaam hai
kahan ab duaon ki barkaten vo nasihaten vo hidayaten
ye mutalbon ka khulus hai ye zaruraton ka salam hai
vo dilon men aag lagaega main dilon ki aag bujhaunga
use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai
na udaas ho na malal kar kisi baat ka na khayal kar
kai saal baad mile hain ham tire naam aaj ki shaam hai
koi naghhma dhuup ke gaanv sa koi naghhma shaam ki chhanv sa
zara in parindon se puchhna ye kalam kis ka kalam hai
hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai
kahin karobar si dopahar kahin bad-mizaj si sham hai
yunhi roz milne ki aarzu badi rakh-rakhaw ki guftugu
ye sharafaten nahin be-gharaz ise aap se koi kaam hai
kahan ab duaon ki barkaten wo nasihaten wo hidayaten
ye mutalbon ka khulus hai ye zaruraton ka salam hai
wo dilon mein aag lagaega main dilon ki aag bujhaunga
use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai
na udas ho na malal kar kisi baat ka na khayal kar
kai sal baad mile hain hum tere nam aaj ki sham hai
koi naghma dhup ke ganw sa koi naghma sham ki chhanw sa
zara in parindon se puchhna ye kalam kis ka kalam hai
hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai
kahin karobar si dopahar kahin bad-mizaj si sham hai
girja mein mandiron mein azanon mein bat gaya
hote hi subh aadmi khanon mein bat gaya
har taraf har jagah be-shumar aadmi
har taraf har jagah be-shumar aadmi
phir bhi tanhaiyon ka shikar aadmi
subh se shaam tak bojh dhota hua
apni hi laash ka khud mazar aadmi
har taraf bhagte daudte raste
har taraf aadmi ka shikar aadmi
roz jiita hua roz marta hua
har nae din naya intizar aadmi
ghar ki dahliz se gehun ke khet tak
chalta phirta koi karobar aadmi
zindagi ka muqaddar safar-dar-safar
akhiri saans tak be-qarar aadmi
har taraf har jagah be-shumar aadmi
phir bhi tanhaiyon ka shikar aadmi
subh se sham tak bojh dhota hua
apni hi lash ka khud mazar aadmi
har taraf bhagte daudte raste
har taraf aadmi ka shikar aadmi
roz jita hua roz marta hua
har nae din naya intizar aadmi
ghar ki dahliz se gehun ke khet tak
chalta phirta koi karobar aadmi
zindagi ka muqaddar safar-dar-safar
aakhiri sans tak be-qarar aadmi
aahan mein dhalti jaegi ikkiswin sadi
aahan men dhalti jaegi ikkisvin sadi
phir bhi ghhazal sunaegi ikkisvin sadi
baghhdad dilli masco london ke darmiyan
barud bhi bichhaegi ikkisvin sadi
jal kar jo raakh ho gaiin dangon men is baras
un ghuggiyon men aaegi ikkisvin sadi
tahzib ke libas utar jaenge janab
dollar men yuun nachaegi ikkisvin sadi
le ja ke asman pe taron ke as-pas
america ko giraegi ikkisvin sadi
ik yatra zarur ho ninnanve ke paas
rath par savar aaegi ikkisvin sadi
phir se khuda banega koi naya jahan
duniya ko yuun mitaegi ikkisvin sadi
compurteron se ghhazlen likhenge 'bashir-badr'
'ghhalib' ko bhuul jaegi ikkisvin sadi
aahan mein dhalti jaegi ikkiswin sadi
phir bhi ghazal sunaegi ikkiswin sadi
baghdad dilli masco london ke darmiyan
barud bhi bichhaegi ikkiswin sadi
jal kar jo rakh ho gain dangon mein is baras
un ghuggiyon mein aaegi ikkiswin sadi
tahzib ke libas utar jaenge janab
dollar mein yun nachaegi ikkiswin sadi
le ja ke aasman pe taron ke aas-pas
america ko giraegi ikkiswin sadi
ek yatra zarur ho ninnanwe ke pas
rath par sawar aaegi ikkiswin sadi
phir se khuda banega koi naya jahan
duniya ko yun mitaegi ikkiswin sadi
compurteron se ghazlen likhenge 'bashir-badr'
'ghaalib' ko bhul jaegi ikkiswin sadi
subh hote hi nikal aate hain bazar mein log
gathriyan sar pe uthae hue imanon ki
hath aa kar laga gaya koi
haath aa kar laga gaya koi
mera chhappar utha gaya koi
lag gaya ik mashin men main bhi
shahr men le ke aa gaya koi
main khada tha ki piith par meri
ishtihar ik laga gaya koi
ye sadi dhuup ko tarasti hai
jaise suraj ko kha gaya koi
aisi mahngai hai ki chehra bhi
bech ke apna kha gaya koi
ab vo arman hain na vo sapne
sab kabutar uda gaya koi
vo gae jab se aisa lagta hai
chhota mota khuda gaya koi
mera bachpan bhi saath le aaya
gaanv se jab bhi aa gaya koi
hath aa kar laga gaya koi
mera chhappar utha gaya koi
lag gaya ek mashin mein main bhi
shahr mein le ke aa gaya koi
main khada tha ki pith par meri
ishtihaar ek laga gaya koi
ye sadi dhup ko tarasti hai
jaise suraj ko kha gaya koi
aisi mahngai hai ki chehra bhi
bech ke apna kha gaya koi
ab wo arman hain na wo sapne
sab kabutar uda gaya koi
wo gae jab se aisa lagta hai
chhota mota khuda gaya koi
mera bachpan bhi sath le aaya
ganw se jab bhi aa gaya koi
hum tohfe mein ghadiyan to de dete hain
ek duje ko waqt nahin de pate hain
tanhai ki gali mein hawaon ka shor tha
tanhai ki gali men havaon ka shor tha
ankhon men so raha tha andhera thaka hua
siine men jaise tiir sa paivast ho gaya
tha kitna dil-kharash udasi ka qahqaha
yuun bhi hua ki shahr ki sadkon pe bar-ha
har shakhs se main apna pata puchhta phira
barson se chal raha hai koi mere saath saath
hai kaun shakhs us se main ik baar puchhta
dil men utar ke bujh gai yadon ki chandni
ankhon men intizar ka suraj pighal gaya
chhodi hai un ki chaah to ab lag raha hai yuun
jaise main itne roz andheron men qaid tha
main ne zara si baat kahi thi mazaq men
tum ne zara si baat ko itna badha liya
kamre men phailta raha cigarette ka dhuan
main band khidkiyon ki taraf dekhta raha
'azar' ye kis ki samt badhe ja rahe hain log
is shahr men to mere siva koi bhi na tha
tanhai ki gali mein hawaon ka shor tha
aankhon mein so raha tha andhera thaka hua
sine mein jaise tir sa paiwast ho gaya
tha kitna dil-kharash udasi ka qahqaha
yun bhi hua ki shahr ki sadkon pe bar-ha
har shakhs se main apna pata puchhta phira
barson se chal raha hai koi mere sath sath
hai kaun shakhs us se main ek bar puchhta
dil mein utar ke bujh gai yaadon ki chandni
aankhon mein intizar ka suraj pighal gaya
chhodi hai un ki chah to ab lag raha hai yun
jaise main itne roz andheron mein qaid tha
main ne zara si baat kahi thi mazaq mein
tum ne zara si baat ko itna badha liya
kamre mein phailta raha cigarette ka dhuan
main band khidkiyon ki taraf dekhta raha
'azar' ye kis ki samt badhe ja rahe hain log
is shahr mein to mere siwa koi bhi na tha
nizam-e-zar mein kisi aur kaam ka kya ho
bas aadmi hai kamane ka aur khane ka
You have reached the end.