be-tahasha si la-ubaali hansi
be-tahasha si la-ubali hansi chhin gai ham se vo jiyali hansi lab khule jism muskurane laga phuul ka khilna tha ki daali hansi muskurai khuda ki mahviyyat ya hamari hi be-khayali hansi kaun be-dard chhin leta hai mere phulon ki bholi-bhali hansi vo nahin tha vahan to kaun tha phir sabz patton men kaise laali hansi dhuup men khet gungunane lage jab koi gaanv ki jiyali hansi hans padi shaam ki udaas faza is tarah chaae ki pyali hansi main kahin jaun hai taaqub men us ki vo jaan lene vaali hansi be-tahasha si la-ubaali hansi chhin gai hum se wo jiyali hansi lab khule jism muskurane laga phul ka khilna tha ki dali hansi muskurai khuda ki mahwiyyat ya hamari hi be-khayali hansi kaun be-dard chhin leta hai mere phulon ki bholi-bhaali hansi wo nahin tha wahan to kaun tha phir sabz patton mein kaise lali hansi dhup mein khet gungunane lage jab koi ganw ki jiyali hansi hans padi sham ki udas faza is tarah chae ki pyali hansi main kahin jaun hai taaqub mein us ki wo jaan lene wali hansi