jab khizan aae to patte na samar bachta hai
jab khizan aae to patte na samar bachta hai khali jholi liye viran shajar bachta hai nukta-chin shauq se din raat mire 'aib nikal kyunki jab 'aib nikal jaaen hunar bachta hai saare dar bas isi dar se hain ki kho jaae na yaar yaar kho jaae to phir kaun sa dar bachta hai roz pathrav bahut karte hain duniya vaale roz mar mar ke mira khvab-nagar bachta hai ghham vo rasta hai ki shab bhar use tai karne ke baad subh-dam dekhen to utna hi safar bachta hai bas yahi soch ke aaya huun tiri chaukhat par dar-ba-dar hone ke baa'd ik yahi dar bachta hai ab mare 'aib zada shahr ke shar se sahib shaz-o-nadir hi koi ahl-e-hunar bachta hai 'ishq vo 'ilm-e-riyazi hai ki jis men faris do se jab ek nikalen to sifar bachta hai jab khizan aae to patte na samar bachta hai khali jholi liye viran shajar bachta hai nukta-chin shauq se din raat mere 'aib nikal kyunki jab 'aib nikal jaen hunar bachta hai sare dar bas isi dar se hain ki kho jae na yar yar kho jae to phir kaun sa dar bachta hai roz pathraw bahut karte hain duniya wale roz mar mar ke mera khwab-nagar bachta hai gham wo rasta hai ki shab bhar use tai karne ke baad subh-dam dekhen to utna hi safar bachta hai bas yahi soch ke aaya hun teri chaukhat par dar-ba-dar hone ke ba'd ek yahi dar bachta hai ab mare 'aib zada shahr ke shar se sahib shaz-o-nadir hi koi ahl-e-hunar bachta hai 'ishq wo 'ilm-e-riyazi hai ki jis mein faris do se jab ek nikalen to sifar bachta hai