Poetry Collection

Shajar

Shajar par curated selection jahan sher, ghazal aur nazm ko readable format me discover kiya ja sakta hai.

Total

35

Sher

33

Ghazal

2

Nazm

0

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

bichhad ke tujh se na dekha gaya kisi ka milap uda diye hain parinde shajar pe baithe hue

GhazalRead Full

jab khizan aae to patte na samar bachta hai

jab khizan aae to patte na samar bachta hai khali jholi liye viran shajar bachta hai nukta-chin shauq se din raat mire 'aib nikal kyunki jab 'aib nikal jaaen hunar bachta hai saare dar bas isi dar se hain ki kho jaae na yaar yaar kho jaae to phir kaun sa dar bachta hai roz pathrav bahut karte hain duniya vaale roz mar mar ke mira khvab-nagar bachta hai ghham vo rasta hai ki shab bhar use tai karne ke baad subh-dam dekhen to utna hi safar bachta hai bas yahi soch ke aaya huun tiri chaukhat par dar-ba-dar hone ke baa'd ik yahi dar bachta hai ab mare 'aib zada shahr ke shar se sahib shaz-o-nadir hi koi ahl-e-hunar bachta hai 'ishq vo 'ilm-e-riyazi hai ki jis men faris do se jab ek nikalen to sifar bachta hai jab khizan aae to patte na samar bachta hai khali jholi liye viran shajar bachta hai nukta-chin shauq se din raat mere 'aib nikal kyunki jab 'aib nikal jaen hunar bachta hai sare dar bas isi dar se hain ki kho jae na yar yar kho jae to phir kaun sa dar bachta hai roz pathraw bahut karte hain duniya wale roz mar mar ke mera khwab-nagar bachta hai gham wo rasta hai ki shab bhar use tai karne ke baad subh-dam dekhen to utna hi safar bachta hai bas yahi soch ke aaya hun teri chaukhat par dar-ba-dar hone ke ba'd ek yahi dar bachta hai ab mare 'aib zada shahr ke shar se sahib shaz-o-nadir hi koi ahl-e-hunar bachta hai 'ishq wo 'ilm-e-riyazi hai ki jis mein faris do se jab ek nikalen to sifar bachta hai

bar-sar-e-dashna-o-shamshir-o-tabar katta hai

bar-sar-e-dashna-o-shamshir-o-tabar katta hai zakhm siine se ulajhte hain to dar katta hai rone lagta huun to aa jaati hai chehre pe kharash zabt karta huun to andar se jigar katta hai sar jhukata huun to marta hai 'aqida mera aur 'aqide ko bachata huun to sar katta hai she'r vo lafz-tarashi ka 'amal hai jis men harf-rezon se mira dast-e-hunar katta hai koi divar utha rakhti hai chhat kandhon par kisi divar ke uthne se bhi ghar katta hai ab vo chaupal ke qisse na vo fursat na vo log ab to har gaanv se bargad ka shajar katta hai bar-sar-e-dashna-o-shamshir-o-tabar katta hai zakhm sine se ulajhte hain to dar katta hai rone lagta hun to aa jati hai chehre pe kharash zabt karta hun to andar se jigar katta hai sar jhukata hun to marta hai 'aqida mera aur 'aqide ko bachata hun to sar katta hai she'r wo lafz-tarashi ka 'amal hai jis mein harf-rezon se mera dast-e-hunar katta hai koi diwar utha rakhti hai chhat kandhon par kisi diwar ke uthne se bhi ghar katta hai ab wo chaupal ke qisse na wo fursat na wo log ab to har ganw se bargad ka shajar katta hai

ye ek shajar ki jis pe na kanta na phul hai sae mein us ke baith ke rona fuzul hai

aa mujhe chhu ke hara rang bichha de mujh par main bhi ek shakh si rakhta hun shajar karne ko

thakan bahut thi magar saya-e-shajar mein 'jamal' main baithta to mera ham-safar chala jata

tum lagate chalo ashjar jidhar se guzro us ke sae mein jo baithega dua hi dega

parinde lad hi pade jaedad par aakhir shajar pe likkha hua hai shajar barae-farokht

'arsh' bahaaron mein bhi aaya ek nazara patjhad ka sabz shajar ke sabz tane par ek sukhi si dali thi

us ko khizan ke daur mein baghi samajh ke chum jo bhi shajar pe aakhiri patta dikhai de

Explore Similar Collections

Shajar FAQs

Shajar collection me kya milega?

Shajar se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.