Poetry Collection

Society

Society par curated selection jahan sher, ghazal aur nazm ko readable format me discover kiya ja sakta hai.

Total

55

Sher

52

Ghazal

3

Nazm

0

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

pahle mazhab seenon mein hota tha, aaj-kal topiyon mein hota hai. siyaasat bhi ab topiyon mein chali aayi hai. zindaabaad topiyaan.

~ Saadat Hasan Manto

yahan gharib ko sab kuchh to de diya us ne zamin bichhae hai aur aasman odhe hai

sach bol kar zaleel-o-khwaar hone ki jagah jhoot bol kar zaleel-o-khwaar hona behtar hai. aadmi ko kam-az-kam sabr to aa jaata hai ki kis baat ki saza mili hai.

~ Mushtaq Ahmad Yusufi

pahle mazhab seenon mein hota tha, aaj-kal topiyon mein hota hai. siyaasat bhi ab topiyon mein chali aayi hai. zindaabaad topiyaan.

~ Saadat Hasan Manto

yahan gharib ko sab kuchh to de diya us ne zamin bichhae hai aur aasman odhe hai

zamaane ke jis daur se hum is waqt guzar rahe hain agar aap isse naawaaqif hain to mere afsaane padhiye. agar aap in afsaanon ko bardaasht nahi kar sakte to iska matlab hai ki ye zamaana naaqaabil-e-bardaasht hai... mujh mein jo buraaiyaan hain, wo is ahd ki buraaiyaan hain... mere tahreer mein koi naqs nahi. jis naqs ko mere naam se mansoob kiya jaata hai, dar-asl maujooda nizaam ka naqs hai.

~ Saadat Hasan Manto

duniya mein jitni laantein hain, bhook unki maan hai.

~ Saadat Hasan Manto

bhook kisi qism ki bhi ho, bahut khatarnaak hai.

~ Saadat Hasan Manto

vaishya aur ba-ismat aurat ka muqaabla hargiz-hargiz nahi karna chahiye. in dono muqabla ho hi nahi sakta. vaishya khud kamaati hai aur ba-ismat aurat ke paas kamaa kar laane waale kaee maujood hote hain.

~ Saadat Hasan Manto

agar eik hi baar jhoot na bolne aur chori na karne ki talqeen karne par saari duniya jhoot aur chori se parhez karti to shaayad eik hi paighambar kaafi hota.

~ Saadat Hasan Manto

har aurat vaishya nahi hoti lekin har vaishya aurat hoti hai, is baat ko hamesha yaad rakhna chaahiye.

~ Saadat Hasan Manto

zabaan banaai nahi jaati, khud banti hai aur na insaani koshishein kisi zabaan ko fanaa kar sakti hain.

~ Saadat Hasan Manto

society ke usoolon ke mutaabiq mard mard rahta hai, khwaah uski kitaab-e-zindagi ke har waraq par gunaahon ki siyaahi lipi ho. magar woh aurat jo sirf eik martaba jawaani ke be-panaah jazbe ke zer-e-asar ya kisi laalach mein aakar ya kisi mard ki zabardasti ka shikaar ho kar eik lamhe ke liye apne raaste se hat jaaye, aurat nahi rahti. use haqaarat-o-nafrat ki nigaahon se dekha jaata hai. society us par woh tamaam darwaaze band kar deti hai jo eik siyaah-pesha mard ke liye khule rahte hain.

~ Saadat Hasan Manto

agar hum saabun aur lavender ka zikr kar sakte hain to un mauryon aur badruon ka zikr kyun nahi kar sakte jo hamaare badan ka mail peeti hain. agar hum mandiron aur masjidon ka zikr kar sakte hain to un qahba-khaanon ka zikr kyun nahi kar sakte jahaan se laut kar kaee insaan mandiron aur masjidon ka rukh karte hain... hum afyun, charas, bhang aur sharaab ke thekon ka zikr kar sakte hain to un kothon ka zikr kyun nahi kar sakte jahaan har qism ka nasha istemaal kiya jaata hai.

~ Saadat Hasan Manto

chakki peesne waali aurat jo din bhar kaam karti hai aur raat ko itmeenaan se so jaati hai, mere afsaanon ki heroin nahi ho sakti. meri heroin chakle ki eik takhyaai randi ho sakti hai jo raat ko jaagti hai aur din ko sote mein kabhi-kabhi daraawna khwaab dekh kar uth baithti hai ki budhaapa uske darwaaze par dastak dene aa raha hai... uske bhaari-bhaari papote jin par barson ki uchti hui nindein munjamid ho gayi hain, mere afsaanon ka mauzoo ban sakte hain. uski ghalaazat, uski bimaariyaan, uska chidchidaapan, uski gaaliyaan yeh sab mujhe bhaati hain... main unke mutalliq likhta hun aur ghareloo aurton ki shusta kalaamiyon, unki sehat aur unki sehat aur unki nafaasat-pasandi ko nazar-andaaz kar jaata hoon.

~ Saadat Hasan Manto

yeh log jinhein urf-e-aam mein leader kahaa jaata hai, siyaasat aur mazhab ko langda, loolda aur zakhmi aadmi tasawwur karte hain.

~ Saadat Hasan Manto

main tahzeeb-o-tamaddun aur society ki choli kya utaarunga jo hai hi nangi... main use kapde pahnaane ki koshish bhi nahi karta, isliye ki yeh mera kaam nahi, darziyon ka hai. log mujhe siyaah qalam kahte hain, main takhta-e-siyaah par kaali chaak se nahi likhta, safed chaak istemaal karta hoon ki takhta-e-siyaah ki siyaahi aur bhi ziyaada numaayaan ho jaaye. yeh mera khaas andaaz, mera khaas tarz hai jise fohsh-nigaari, taraqqi-pasandi aur khuda maloom kya kuch kahaa jaata hai. laanat ho s'aadat hasan manto par, kambakht ko gaali bhi saleeqe se nahi di jaati.

~ Saadat Hasan Manto

mujhe naam-nihaad communiston se badi chid hai. woh log mujhe bahut khalte hain jo narm-narm sofon par baith kar daraanti aur hathaude ki zarbon ki baatein karte hain.

~ Saadat Hasan Manto

vaishya paida nahi hoti, banaai jaati hai. ya khud banti hai. jis cheez ki maang hogi mandi mein zaroor aaegi. mard ki nafsaani khwaahishaat ki maang aurat hai. khwaah woh kisi shakl mein ho. chunaanche is maang ka asar ye hai ki har shahar mein koi na koi chakla maujood hai. agar aaj ye maang door ho jaaye to ye chakle khud ba khud ghaayab ho jaaenge.

~ Saadat Hasan Manto

mazhab khud eik bahut bada mas'ala hai, agar isme lapet kar kisi aur mas'ale ko dekha jaye to hamein bahut hu maghz-dardi karni paregi.

~ Saadat Hasan Manto

yaad rakhiye ghurbat laanat nahi hai jo use laanat zaahir karte hain woh khud mal'oon hain. woh khud us ameer se do laakh darje behtar hai jo apne kashti khud apne haathon se kheta hai...

~ Saadat Hasan Manto

main tahzeeb-o-tamaddun aur society ki choli kya utaarunga jo hai hi nangi.

~ Saadat Hasan Manto

vaishya paida nahi hoti, banaai jaati hai ya khud banti hai.

~ Saadat Hasan Manto

vaishya ka wajood khud eik janaaza hai jo samaaj khud apne kandhon par uthaae hue hai. woh use jab tak kaheen dafn nahi karega, uske mutalliq baatein hoti rahengi.

~ Saadat Hasan Manto

sach bol kar zaleel-o-khwaar hone ki jagah jhoot bol kar zaleel-o-khwaar hona behtar hai. aadmi ko kam-az-kam sabr to aa jaata hai ki kis baat ki saza mili hai.

~ Mushtaq Ahmad Yusufi

main to baaz-auqaat aisa mahsoos karta hoon ki hukoomat aur ri'aaya ka rishta roothe khaawand aur biwi ka rishta hai.

~ Saadat Hasan Manto

gadaa-gari qaanoonan band kar di jaati hai, magar woh asbaab-o-elal door karne ki koshish nahi ki jati jo insaan ko is fe'al par majboor karte hain. aurton ko sar-e-baazaar jism-faroshi ke kaarobaar se roka jaata hai magar uske muharrekaat ke isteesaal ki taraf koi tawajjoh nahi deta.

~ Saadat Hasan Manto

maujuda nizaam ke tahat jiski baag-dor sirf mardon ke haath mein hai, aurat khwaah woh ismat-farosh ho ya ba-ismat, hamesha dabi rahi hai. mard ko maujooda akhtiyaar hoga ki woh uske mutalliq jo chaahe raae qayam kare.

~ Saadat Hasan Manto

mera khayaal hai ki koi bhi cheez fohsh nahi, lekin ghar ki kursi aur haandi bhi fohsh ho sakti hai agar unko fohsh tareeqe par pesh kiyaa jaaye.

~ Saadat Hasan Manto

is zamaane mein sau fee-sad sach bol kar zindagi karna aisa hi hai jaise bajri milaaye baghair sirf cement se makaan banaana.

~ Mushtaq Ahmad Yusufi

middle class gareebi ki sabse qaabil-e-rahm aur laa-ilaaj qism wo hai jismein aadmi ke paas kuch na ho lekin use kisi cheez ki kami mahsoos na ho.

~ Mushtaq Ahmad Yusufi

mere afsaane tandurust aur sehat-mand logon ke liye hain. normal insaanon ke liye, jo aurat ke seene ko aurat ka seena hi samajhte hain aur isse ziyaada aage nahi badhte.

~ Saadat Hasan Manto

Explore Similar Collections

Society FAQs

Society collection me kya milega?

Society se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.