dil chiz kya hai aap meri jaan lijiye
dil chiiz kya hai aap miri jaan lijiye
bas ek baar mera kaha maan lijiye
is anjuman men aap ko aana hai baar baar
divar-o-dar ko ghhaur se pahchan lijiye
maana ki doston ko nahin dosti ka paas
lekin ye kya ki ghhair ka ehsan lijiye
kahiye to asman ko zamin par utaar laaen
mushkil nahin hai kuchh bhi agar thaan lijiye
dil chiz kya hai aap meri jaan lijiye
bas ek bar mera kaha man lijiye
is anjuman mein aap ko aana hai bar bar
diwar-o-dar ko ghaur se pahchan lijiye
mana ki doston ko nahin dosti ka pas
lekin ye kya ki ghair ka ehsan lijiye
kahiye to aasman ko zamin par utar laen
mushkil nahin hai kuchh bhi agar than lijiye
ku-e-qatil hai magar jaane ko ji chahe hai
ku-e-qatil hai magar jaane ko ji chahe hai
ab to kuchh faisla kar jaane ko ji chahe hai
log apne dar-o-divar se hoshiyar rahen
aaj divane ka ghar jaane ko ji chahe hai
dard aisa hai ki ji chahe hai zinda rahiye
zindagi aisi ki mar jaane ko ji chahe hai
dil ko zakhmon ke siva kuchh na diya phulon ne
ab to kanton men utar jaane ko ji chahe hai
chhanv vaadon ki hai bas dhoka hi dhoka ai dil
mat thahar garche thahar jaane ko ji chahe hai
zindagi men hai vo uljhan ki pareshan ho kar
zulf ki tarah bikhar jaane ko ji chahe hai
qatl karne ki ada bhi hasin qatil bhi hasin
na bhi marna ho to mar jaane ko ji chahe hai
ji ye chahe hai ki puchhun kabhi un zulfon se
kya tumhara bhi sanvar jaane ko ji chahe hai
rasan-o-dar idhar kakul-o-rukhsar udhar
dil bata tera kidhar jaane ko ji chahe hai
ku-e-qatil hai magar jaane ko ji chahe hai
ab to kuchh faisla kar jaane ko ji chahe hai
log apne dar-o-diwar se hoshiyar rahen
aaj diwane ka ghar jaane ko ji chahe hai
dard aisa hai ki ji chahe hai zinda rahiye
zindagi aisi ki mar jaane ko ji chahe hai
dil ko zakhmon ke siwa kuchh na diya phulon ne
ab to kanton mein utar jaane ko ji chahe hai
chhanw wadon ki hai bas dhoka hi dhoka ai dil
mat thahar garche thahar jaane ko ji chahe hai
zindagi mein hai wo uljhan ki pareshan ho kar
zulf ki tarah bikhar jaane ko ji chahe hai
qatl karne ki ada bhi hasin qatil bhi hasin
na bhi marna ho to mar jaane ko ji chahe hai
ji ye chahe hai ki puchhun kabhi un zulfon se
kya tumhaara bhi sanwar jaane ko ji chahe hai
rasan-o-dar idhar kakul-o-rukhsar udhar
dil bata tera kidhar jaane ko ji chahe hai
zakhmon ke nae phul khilane ke liye aa
zakhmon ke nae phuul khilane ke liye aa
phir mausam-e-gul yaad dilane ke liye aa
masti liye ankhon men bikhere hue zulfen
aa phir mujhe divana banane ke liye aa
ab lutf isi men hai maza hai to isi men
aa ai mire mahbub satane ke liye aa
aa rakh dahan-e-zakhm pe phir ungliyan apni
dil bansuri teri hai bajane ke liye aa
haan kuchh bhi to derina mohabbat ka bharam rakh
dil se na aa duniya ko dikhane ke liye aa
maana ki mire ghar se adavat hi tujhe hai
rahne ko na aa aag lagane ke liye aa
pyare tiri surat se bhi achchhi hai jo tasvir
main ne tujhe rakkhi hai dikhane ke liye, aa
ashufta kahe hai koi divana kahe hai
main kaun huun duniya ko batane ke liye aa
kuchh roz se ham shahr men rusva na hue hain
aa phir koi ilzam lagane ke liye aa
ab ke jo vo aa jaae to 'ajiz' use le kar
mahfil men ghhazal apni sunane ke liye aa
zakhmon ke nae phul khilane ke liye aa
phir mausam-e-gul yaad dilane ke liye aa
masti liye aankhon mein bikhere hue zulfen
aa phir mujhe diwana banane ke liye aa
ab lutf isi mein hai maza hai to isi mein
aa ai mere mahbub satane ke liye aa
aa rakh dahan-e-zakhm pe phir ungliyan apni
dil bansuri teri hai bajaane ke liye aa
han kuchh bhi to derina mohabbat ka bharam rakh
dil se na aa duniya ko dikhane ke liye aa
mana ki mere ghar se adawat hi tujhe hai
rahne ko na aa aag lagane ke liye aa
pyare teri surat se bhi achchhi hai jo taswir
main ne tujhe rakkhi hai dikhane ke liye, aa
aashufta kahe hai koi diwana kahe hai
main kaun hun duniya ko batane ke liye aa
kuchh roz se hum shahr mein ruswa na hue hain
aa phir koi ilzam lagane ke liye aa
ab ke jo wo aa jae to 'ajiz' use le kar
mahfil mein ghazal apni sunane ke liye aa
sukut-e-sham-e-khizan hai qarib aa jao
sukut-e-sham-e-khizan hai qarib aa jaao
bada udaas saman hai qarib aa jaao
na tum ko khud pe bharosa na ham ko zom-e-vafa
na e'tibar-e-jahan hai qarib aa jaao
rah-e-talab men kisi ko kisi ka dhyan nahin
hujum-e-ham-safaran hai qarib aa jaao
jo dasht-e-ishq men bichhde vo umr bhar na mile
yahan dhuan hi dhuan hai qarib aa jaao
ye andhiyan hain to shahr-e-vafa ki khair nahin
zamana khak-fishan hai qarib aa jaao
faqih-e-shahr ki majlis nahin ki duur raho
ye bazm-e-pir-e-mughhan hai qarib aa jaao
'faraz' duur ke suraj ghhurub samjhe gae
ye daur-e-kam-nazaran hai qarib aa jaao
sukut-e-sham-e-khizan hai qarib aa jao
bada udas saman hai qarib aa jao
na tum ko khud pe bharosa na hum ko zom-e-wafa
na e'tibar-e-jahan hai qarib aa jao
rah-e-talab mein kisi ko kisi ka dhyan nahin
hujum-e-ham-safaran hai qarib aa jao
jo dasht-e-ishq mein bichhde wo umr bhar na mile
yahan dhuan hi dhuan hai qarib aa jao
ye aandhiyan hain to shahr-e-wafa ki khair nahin
zamana khak-fishan hai qarib aa jao
faqih-e-shahr ki majlis nahin ki dur raho
ye bazm-e-pir-e-mughan hai qarib aa jao
'faraaz' dur ke suraj ghurub samjhe gae
ye daur-e-kam-nazaran hai qarib aa jao
ye khayal tha kabhi khwab mein tujhe dekhte
ye khayal tha kabhi khvab men tujhe dekhte
kabhi zindagi ki kitab men tujhe dekhte
mire maah tum to hijab hi men rahe magar
hamen taab thi tab-o-tab men tujhe dekhte
kabhi koi babat-e-husn ham se jo puchhta
to ham ahl-e-ishq javab men tujhe dekhte
kisi aur dhaj se banate tera mujassama
kabhi ham jo ain-shabab men tujhe dekhte
kabhi dekhte tujhe tirgi ke jamal men
kabhi raushni ke sarab men tujhe dekhte
ye khayal tha kabhi khwab mein tujhe dekhte
kabhi zindagi ki kitab mein tujhe dekhte
mere mah tum to hijab hi mein rahe magar
hamein tab thi tab-o-tab mein tujhe dekhte
kabhi koi babat-e-husn hum se jo puchhta
to hum ahl-e-ishq jawab mein tujhe dekhte
kisi aur dhaj se banate tera mujassama
kabhi hum jo ain-shabab mein tujhe dekhte
kabhi dekhte tujhe tirgi ke jamal mein
kabhi raushni ke sarab mein tujhe dekhte
mere khwabon mein khayalon mein mere pas raho
mire khvabon men khayalon men mire paas raho
tum mire saare savalon men mire paas raho
mere qatil mire dildar masiha mere
zakhm-o-marham ke havalon men mire paas raho
sham-e-rukhsar liye gesu-e-khamdar liye
sab andheron men ujalon men mire paas raho
kabhi khushbu kabhi saaya kabhi paikar ban kar
sabhi hijron men visalon men mire paas raho
ho tumhin juuhi tumhin roli tumhen parvati
husn-e-khuban ki misalon men mire paas raho
apni palkon pe sajae hue namnak charaghh
dam-e-akhir ke sambhalon men mire paas raho
mere khwabon mein khayalon mein mere pas raho
tum mere sare sawalon mein mere pas raho
mere qatil mere dildar masiha mere
zakhm-o-marham ke hawalon mein mere pas raho
sham-e-rukhsar liye gesu-e-khamdar liye
sab andheron mein ujalon mein mere pas raho
kabhi khushbu kabhi saya kabhi paikar ban kar
sabhi hijron mein visalon mein mere pas raho
ho tumhin juhi tumhin roli tumhein parwati
husn-e-khuban ki misalon mein mere pas raho
apni palkon pe sajae hue namnak charagh
dam-e-akhir ke sambhaalon mein mere pas raho
hum hain sar-ta-ba-pa tamanna
ham hain sar-ta-ba-pa tamanna
kaisi ummid kya tamanna
ho kitni hi khush-gavar phir bhi
hai dil ke liye bala tamanna
dete ho payam-e-arzu tum
jab tark main kar chuka tamanna
duniya ko fareb de rahi hai
jalva hai sarab ka tamanna
apni manzil pe ham na pahunche
jab tak rahi rahnuma tamanna
mabain-e-nigah-o-jalva-e-husn
hai ek hijab sa tamanna
uljha raha aarzu men ghhafil
kyuun khud hi na ban gaya tamanna
avaz to do kise pukarun
tum ho mire dil men ya tamanna
'simab' maal-e-shauq malum
am-lil-insan-e-ma-tamanna
hum hain sar-ta-ba-pa tamanna
kaisi ummid kya tamanna
ho kitni hi khush-gawar phir bhi
hai dil ke liye bala tamanna
dete ho payam-e-arzu tum
jab tark main kar chuka tamanna
duniya ko fareb de rahi hai
jalwa hai sarab ka tamanna
apni manzil pe hum na pahunche
jab tak rahi rahnuma tamanna
mabain-e-nigah-o-jalwa-e-husn
hai ek hijab sa tamanna
uljha raha aarzu mein ghafil
kyun khud hi na ban gaya tamanna
aawaz to do kise pukarun
tum ho mere dil mein ya tamanna
'simab' maal-e-shauq malum
am-lil-insan-e-ma-tamanna
adu ki samt se hum par jo tir mara gaya
'adu ki samt se ham par jo tiir maara gaya
hamare jazba-e-ulfat ko phir ubhara gaya
hamare zakhm-e-tamanna khile gulon ki tarah
jo tera naam sar-e-bazm yuun pukara gaya
vo jis ka saath akela hamen na chhodta tha
hamari ziist ka vo khush-numa sahara gaya
ghharib shakhs ki ulfat amar hui akhir
shah-e-dayar-e-jafa takht se utara gaya
kisi ko manzil-e-maqsud khud bulati rahi
kisi ko raah ki tarikiyon men maara gaya
hamari maang na jaane yahan pe kaun bhare
kisi ke samne daman agar pasara gaya
kisi ko apna banane ki aarzu kyon ho
ki duub apne muqaddar ka jab sitara gaya
ye sha'iri to miyan khun-e-dil se phutegi
lahu se qalb ke jazbon ko gar sanvara gaya
rah-e-hayat se vabastagi to hai us ki
'ma'az' laut hi aaega gar pukara gaya
'adu ki samt se hum par jo tir mara gaya
hamare jazba-e-ulfat ko phir ubhaara gaya
hamare zakhm-e-tamanna khile gulon ki tarah
jo tera nam sar-e-bazm yun pukara gaya
wo jis ka sath akela hamein na chhodta tha
hamari zist ka wo khush-numa sahaara gaya
gharib shakhs ki ulfat amar hui aakhir
shah-e-dayar-e-jafa takht se utara gaya
kisi ko manzil-e-maqsud khud bulati rahi
kisi ko rah ki tarikiyon mein mara gaya
hamari mang na jaane yahan pe kaun bhare
kisi ke samne daman agar pasara gaya
kisi ko apna banane ki aarzu kyon ho
ki dub apne muqaddar ka jab sitara gaya
ye sha'iri to miyan khun-e-dil se phutegi
lahu se qalb ke jazbon ko gar sanwara gaya
rah-e-hayat se wabastagi to hai us ki
'ma'az' laut hi aaega gar pukara gaya
You have reached the end.