bas ek bar kisi ne gale lagaya tha
bas ek baar kisi ne gale lagaya tha
phir us ke baa'd na main tha na mera saaya tha
gali men log bhi the mere us ke dushman log
vo sab pe hansta hua mere dil men aaya tha
us ek dasht men sau shahr ho gae abad
jahan kisi ne kabhi karvan lutaya tha
vo mujh se apna pata puchhne ko aa nikle
ki jin se main ne khud apna suraghh paaya tha
mire vajud se gulzar ho ke nikli hai
vo aag jis ne tira pairahan jalaya tha
mujhi ko tana-e-ghharat-gari na de pyare
ye naqsh main ne tire haath se mitaya tha
usi ne ruup badal kar jaga diya akhir
jo zahr mujh pe kabhi niind ban ke chhaya tha
'zafar' ki khaak men hai kis ki hasrat-e-tamir
khayal-o-khvab men kis ne ye ghar banaya tha
bas ek bar kisi ne gale lagaya tha
phir us ke ba'd na main tha na mera saya tha
gali mein log bhi the mere us ke dushman log
wo sab pe hansta hua mere dil mein aaya tha
us ek dasht mein sau shahr ho gae aabaad
jahan kisi ne kabhi karwan lutaya tha
wo mujh se apna pata puchhne ko aa nikle
ki jin se main ne khud apna suragh paya tha
mere wajud se gulzar ho ke nikli hai
wo aag jis ne tera pairahan jalaya tha
mujhi ko tana-e-ghaarat-gari na de pyare
ye naqsh main ne tere hath se mitaya tha
usi ne rup badal kar jaga diya aakhir
jo zahr mujh pe kabhi nind ban ke chhaya tha
'zafar' ki khak mein hai kis ki hasrat-e-tamir
khayal-o-khwab mein kis ne ye ghar banaya tha
khwabon se na jao ki abhi raat bahut hai
khvabon se na jaao ki abhi raat bahut hai
pahlu men tum aao ki abhi raat bahut hai
ji bhar ke tumhen dekh luun taskin ho kuchh to
mat shama bujhao ki abhi raat bahut hai
kab pau phate kab raat kate kaun ye jaane
mat chhod ke jaao ki abhi raat bahut hai
rahne do abhi chand sa chehra mire aage
mai aur pilao ki abhi raat bahut hai
kat jaae yunhi pyaar ki baton men har ik pal
kuchh jaago jagao ki abhi raat bahut hai
khwabon se na jao ki abhi raat bahut hai
pahlu mein tum aao ki abhi raat bahut hai
ji bhar ke tumhein dekh lun taskin ho kuchh to
mat shama bujhao ki abhi raat bahut hai
kab pau phate kab raat kate kaun ye jaane
mat chhod ke jao ki abhi raat bahut hai
rahne do abhi chand sa chehra mere aage
mai aur pilao ki abhi raat bahut hai
kat jae yunhi pyar ki baaton mein har ek pal
kuchh jago jagao ki abhi raat bahut hai
tu phul ki manind na shabnam ki tarah aa
tu phuul ki manind na shabnam ki tarah aa
ab ke kisi be-nam se mausam ki tarah aa
har martaba aata hai mah-e-nau ki tarah tu
is baar zara meri shab-e-ghham ki tarah aa
hal karne hain mujh ko kai pechida masail
ai jan-e-vafa gesu-e-pur-kham ki tarah aa
zakhmon ko gavara nahin yak-rangi-e-halat
nashtar ki tarah aa kabhi marham ki tarah aa
nazdiki o duuri ki kashakash ko mita de
is jang men tu sulh ke parcham ki tarah aa
maana ki mira ghar tiri jannat to nahin hai
duniya men miri laghhzish-e-adam ki tarah aa
tu kuchh to mire zabt-e-mohabbat ka sila de
hangam-e-fana dida-e-pur-nam ki tarah aa
tu phul ki manind na shabnam ki tarah aa
ab ke kisi be-nam se mausam ki tarah aa
har martaba aata hai mah-e-nau ki tarah tu
is bar zara meri shab-e-gham ki tarah aa
hal karne hain mujh ko kai pechida masail
ai jaan-e-wafa gesu-e-pur-kham ki tarah aa
zakhmon ko gawara nahin yak-rangi-e-haalat
nashtar ki tarah aa kabhi marham ki tarah aa
nazdiki o duri ki kashakash ko mita de
is jang mein tu sulh ke parcham ki tarah aa
mana ki mera ghar teri jannat to nahin hai
duniya mein meri laghzish-e-adam ki tarah aa
tu kuchh to mere zabt-e-mohabbat ka sila de
hangam-e-fana dida-e-pur-nam ki tarah aa
aaj inkar na farmaiye aap
aaj inkar na farmaiye aap
shab ki shab ghar mire rah jaiye aap
jaiye ghar ko na ghabraiye aap
ham na mar jaenge bas jaiye aap
khol do shauq se band angiya ke
let kar saath na sharmaiye aap
aate hi kahte ho main jaunga
main bhi aane ka nahin jaiye aap
dhundhte phiriye agar le ke charaghh
mujh sa ashiq jo kahin paiye aap
umr bhar to na qadam-ranja kiya
aaiye ab to na tarsaiye aap
jan-e-mushtaq labon par aai
kuchh vasiyyat hai vo sun jaiye aap
dil samajhta nahin mujh se naseh
aap se samjhe to samjhaiye aap
saya-san shauq men uftan-khezan
saath rahta huun jidhar jaiye aap
main dikhaun jo junun ki hai sifat
shaan be-rahmi ki dikhlaiye aap
tukde tukde main gareban ke karun
purze purze mire adaiye aap
shaad ho ruuh agar baad-e-fana
sham-o-gul gor pe bhijvaiye aap
jaan sadqe karun kya maal hai jaan
kaat duun sar ko jo farmaiye aap
munh pe munh rakkha to bole kya khuub
pahle munh apna to banvaiye aap
ghhair katne lagen bandh jaae hava
mujh se tukkal agar udvaiye aap
naam tak luun na kabhi huun vo bashar
ab agar huur bhi ban jaiye aap
haath se 'rind' ko khote ho abas
kahin aisa na ho pachhtaiye aap
aaj inkar na farmaiye aap
shab ki shab ghar mere rah jaiye aap
jaiye ghar ko na ghabraiye aap
hum na mar jaenge bas jaiye aap
khol do shauq se band angiya ke
let kar sath na sharmaiye aap
aate hi kahte ho main jaunga
main bhi aane ka nahin jaiye aap
dhundhte phiriye agar le ke charagh
mujh sa aashiq jo kahin paiye aap
umr bhar to na qadam-ranja kiya
aaiye ab to na tarsaiye aap
jaan-e-mushtaq labon par aai
kuchh wasiyyat hai wo sun jaiye aap
dil samajhta nahin mujh se naseh
aap se samjhe to samjhaiye aap
saya-san shauq mein uftan-khezan
sath rahta hun jidhar jaiye aap
main dikhaun jo junun ki hai sifat
shan be-rahmi ki dikhlaiye aap
tukde tukde main gareban ke karun
purze purze mere aadaiye aap
shad ho ruh agar baad-e-fana
sham-o-gul gor pe bhijwaiye aap
jaan sadqe karun kya mal hai jaan
kat dun sar ko jo farmaiye aap
munh pe munh rakkha to bole kya khub
pahle munh apna to banwaiye aap
ghair katne lagen bandh jae hawa
mujh se tukkal agar udwaiye aap
nam tak lun na kabhi hun wo bashar
ab agar hur bhi ban jaiye aap
hath se 'rind' ko khote ho abas
kahin aisa na ho pachhtaiye aap
teri taswir jo dekhi to khayal aaya hai
teri tasvir jo dekhi to khayal aaya hai
meri ghhazlon men kahan se ye kamal aaya hai
teri aamad se bahar aai hai virane men
teri ankhon se manazir men jamal aaya hai
maut aai hai ki niind aai hai kuchh lamhon ko
aap aae hain ki phir khvab-e-visal aaya hai
ek lamhe ko nigah un ki hui thi mujh par
yaad ik lamha mujhe sal-ha-sal aaya hai
tere hisse men kisi aur ka aaya hai gulal
mere hisse men kisi aur ka gaal aaya hai
ab tira qurb bhi darkar nahin hai mujh ko
ab kahin ja ke mohabbat ka maaal aaya hai
raah duniya ki dikhai hui chhod aaya hai dil
khvab manzil ke sar-e-rah uchhal aaya hai
ab koi khauf nahin hai ki tiri galiyon men
'bhaskar' akhiri dar ko bhi nikal aaya hai
teri taswir jo dekhi to khayal aaya hai
meri ghazlon mein kahan se ye kamal aaya hai
teri aamad se bahaar aai hai virane mein
teri aankhon se manazir mein jamal aaya hai
maut aai hai ki nind aai hai kuchh lamhon ko
aap aae hain ki phir khwab-e-visal aaya hai
ek lamhe ko nigah un ki hui thi mujh par
yaad ek lamha mujhe sal-ha-sal aaya hai
tere hisse mein kisi aur ka aaya hai gulal
mere hisse mein kisi aur ka gal aaya hai
ab tera qurb bhi darkar nahin hai mujh ko
ab kahin ja ke mohabbat ka maal aaya hai
rah duniya ki dikhai hui chhod aaya hai dil
khwab manzil ke sar-e-rah uchhaal aaya hai
ab koi khauf nahin hai ki teri galiyon mein
'bhaskar' aakhiri dar ko bhi nikal aaya hai
hijr-mausam tawil hota hai
hijr-mausam tavil hota hai
har khula dar fasil hota hai
jab koi baat us pe aati hai
jis ko dekho vakil hota hai
larzishen kuchh khafif hoti hain
bojh lekin saqil hota hai
log aate hain dekhne rasman
jab bhi koi 'alil hota hai
koi ranjish zarur hogi 'visal’
'uzr bhi kya dalil hota hai
hijr-mausam tawil hota hai
har khula dar fasil hota hai
jab koi baat us pe aati hai
jis ko dekho wakil hota hai
larzishen kuchh khafif hoti hain
bojh lekin saqil hota hai
log aate hain dekhne rasman
jab bhi koi 'alil hota hai
koi ranjish zarur hogi 'visal’
'uzr bhi kya dalil hota hai
jhut sach ki dalil rahne de
jhuut sach ki dalil rahne de
ban gai jo fasil rahne de
ye ta'alluq bahal hona nahin
ab qasam aur dalil rahne de
naqsh saare mita de ankhon se
us ki yadon ki jhiil rahne de
shauq se ja magar palatne ki
yaar koi sabil rahne de
kya se kya hain hisab-e-sud-o-ziyan
ai mata'-e-qalil rahne de
sar hamare karam ke saae men
mere rabb-e-jalil rahne de
haath aae tire lagam 'visal'
soch aisi bakhil rahne de
jhut sach ki dalil rahne de
ban gai jo fasil rahne de
ye ta'alluq bahaal hona nahin
ab qasam aur dalil rahne de
naqsh sare mita de aankhon se
us ki yaadon ki jhil rahne de
shauq se ja magar palatne ki
yar koi sabil rahne de
kya se kya hain hisab-e-sud-o-ziyan
ai mata'-e-qalil rahne de
sar hamare karam ke sae mein
mere rabb-e-jalil rahne de
hath aae tere lagam 'visal'
soch aisi bakhil rahne de
roz aafat nai zamin par hai
roz aafat nai zamin par hai
koi to masala kahin par hai
chup hi takrar par musir hoti
khatm israr haan nahin par hai
roz girte hain thokaren kha kar
phir bhi vo sang-e-rah vahin par hai
vasvase ba’is-e-nadamat hain
saara iman to yaqin par hai
pahle shikva tha koi rahta nahin
ab ki barham ye dil makin par hai
lams us ka bhulae kaise 'visal'
sabt bosa jo is jabin par hai
roz aafat nai zamin par hai
koi to masala kahin par hai
chup hi takrar par musir hoti
khatm israr han nahin par hai
roz girte hain thokaren kha kar
phir bhi wo sang-e-rah wahin par hai
waswase ba’is-e-nadamat hain
sara iman to yaqin par hai
pahle shikwa tha koi rahta nahin
ab ki barham ye dil makin par hai
lams us ka bhulae kaise 'visal'
sabt bosa jo is jabin par hai
You have reached the end.