ai kash mile yar ka didar musalsal
ai kaash mile yaar ka didar musalsal main jis ke liye jaata huun darbar musalsal main rah-e-vafa dekhna sar kar ke rahunga raste men khadi laakh ho divar musalsal ja sahab-e-zar jiit bani tera muqaddar ham aise ghharibon ki hui haar musalsal phailae nahin haath kisi fard ke aage sabit hue har haal men khuddar musalsal jab naam hua mera tire naam se mansub jalne lage sab surat-e-aghhyar musalsal duniya hai 'ma’az' ab bhi mohabbat se gurezan latki rahi har daur men talvar musalsal ai kash mile yar ka didar musalsal main jis ke liye jata hun darbar musalsal main rah-e-wafa dekhna sar kar ke rahunga raste mein khadi lakh ho diwar musalsal ja sahab-e-zar jit bani tera muqaddar hum aise gharibon ki hui haar musalsal phailae nahin hath kisi fard ke aage sabit hue har haal mein khuddar musalsal jab nam hua mera tere nam se mansub jalne lage sab surat-e-aghyar musalsal duniya hai 'ma’az' ab bhi mohabbat se gurezan latki rahi har daur mein talwar musalsal