tum aae ho na shab-e-intizar guzri hai
tum aae ho na shab-e-intizar guzri hai
talash men hai sahar baar baar guzri hai
junun men jitni bhi guzri ba-kar guzri hai
agarche dil pe kharabi hazar guzri hai
hui hai hazrat-e-naseh se guftugu jis shab
vo shab zarur sar-e-ku-e-yar guzri hai
vo baat saare fasane men jis ka zikr na tha
vo baat un ko bahut na-gavar guzri hai
na gul khile hain na un se mile na mai pi hai
ajiib rang men ab ke bahar guzri hai
chaman pe ghharat-e-gul-chin se jaane kya guzri
qafas se aaj saba be-qarar guzri hai
tum aae ho na shab-e-intizar guzri hai
talash mein hai sahar bar bar guzri hai
junun mein jitni bhi guzri ba-kar guzri hai
agarche dil pe kharabi hazar guzri hai
hui hai hazrat-e-naseh se guftugu jis shab
wo shab zarur sar-e-ku-e-yar guzri hai
wo baat sare fasane mein jis ka zikr na tha
wo baat un ko bahut na-gawar guzri hai
na gul khile hain na un se mile na mai pi hai
ajib rang mein ab ke bahaar guzri hai
chaman pe ghaarat-e-gul-chin se jaane kya guzri
qafas se aaj saba be-qarar guzri hai
ug raha hai dar-o-diwar pe sabza ghaalib
ug raha hai dar-o-divar pe sabza 'ghhalib'
ham bayaban men hain aur ghar men bahar aai hai
fursat-e-aina-e-sad-rang-e-khud-arai hai
roz-o-shab yak kaf-e-afsos-e-tamashai hai
vahshat-e-zakhm-e-vafa dekh ki sar-ta-sar dil
bakhiya juun jauhar-e-teghh afat-e-girai hai
shama-asa che sar-e-da'va va ku pa-e-sabat
gul-e-sad-sho'la ba-yak -jeb-e-shakebai hai
nala-e-khunin varaq-o-dil gul-e-mazmun-e-shafaq
chaman-ara-e-chamanar-e-nafas vahshat-e-tanhai hai
bu-e-gul fitna-e-bedar-o-chaman jama-e-khvab
vasl bar rang-e-tapish kisvat-e-rusvai hai
sharm tufan-e-khizan rang-e-tarab-gah-e-bahar
mahtabi ba-kaf-e-chashm-e-tamashai hai
baghh-e-khamoshi-e-dil se sukhan-e-'ishq 'asad'
nafas-e-sokhta ramz-e-chaman imai hai
ug raha hai dar-o-diwar pe sabza 'ghaalib'
hum bayaban mein hain aur ghar mein bahaar aai hai
fursat-e-aina-e-sad-rang-e-khud-arai hai
roz-o-shab yak kaf-e-afsos-e-tamashai hai
wahshat-e-zakhm-e-wafa dekh ki sar-ta-sar dil
bakhiya jun jauhar-e-tegh aafat-e-girai hai
shama-asa che sar-e-da'wa wa ku pa-e-sabaat
gul-e-sad-sho'la ba-yak -jeb-e-shakebai hai
nala-e-khunin waraq-o-dil gul-e-mazmun-e-shafaq
chaman-ara-e-chamanar-e-nafas wahshat-e-tanhai hai
bu-e-gul fitna-e-bedar-o-chaman jama-e-khwab
wasl bar rang-e-tapish kiswat-e-ruswai hai
sharm tufan-e-khizan rang-e-tarab-gah-e-bahaar
mahtabi ba-kaf-e-chashm-e-tamashai hai
bagh-e-khamoshi-e-dil se sukhan-e-'ishq 'asad'
nafas-e-sokhta ramz-e-chaman imai hai
muskurao bahaar ke din hain
muskurao bahar ke din hain
gul khilao bahar ke din hain
dukhtaran-e-chaman ke qadmon par
sar jhukao bahar ke din hain
mai nahin hai to ashk-e-ghham hi sahi
pi bhi jaao bahar ke din hain
tum gae raunaq-e-bahar gai
tum na jaao bahar ke din hain
haan koi vardat-e-saghhar-o-mai
kuchh sunao bahar ke din hain
muskurao bahaar ke din hain
gul khilao bahaar ke din hain
dukhtaran-e-chaman ke qadmon par
sar jhukao bahaar ke din hain
mai nahin hai to ashk-e-gham hi sahi
pi bhi jao bahaar ke din hain
tum gae raunaq-e-bahaar gai
tum na jao bahaar ke din hain
han koi wardat-e-saghar-o-mai
kuchh sunao bahaar ke din hain
kunj kunj naghma-zan basant aa gai
kunj kunj naghhma-zan basant aa gai
ab sajegi anjuman basant aa gai
ud rahe hain shahr men patang rang rang
jagmaga utha gagan basant aa gai
mohne lubhane vaale pyare pyare log
dekhna chaman chaman basant aa gai
sabz ketiyon pe phir nikhar aa gaya
le ke zard pairahan basant aa gai
pichhle saal ke malal dil se mit gae
le ke phir nai chubhan basant aa gai
kunj kunj naghma-zan basant aa gai
ab sajegi anjuman basant aa gai
ud rahe hain shahr mein patang rang rang
jagmaga utha gagan basant aa gai
mohne lubhane wale pyare pyare log
dekhna chaman chaman basant aa gai
sabz ketiyon pe phir nikhaar aa gaya
le ke zard pairahan basant aa gai
pichhle sal ke malal dil se mit gae
le ke phir nai chubhan basant aa gai
hasin naghma-sarao! bahaar ke din hain
hasin naghhma-sarao! bahar ke din hain
labon ki jot jalao! bahar ke din hain
takallufat ka mausam guzar gaya sahab!
naqab rukh se uthao bahar ke din hain
gulon ki sej to tauhin hai hasinon ki
dilon ki sej bichhao bahar ke din hain
bahar biit gai to tumhari kya izzat
sitam-zarif ghatao! bahar ke din hain
hai umr-e-rafta se parkhash kya bhala ham ko
qarib hai to bulao! bahar ke din hain
mughhanniyo! tumhen kahte hain hatif-e-rangin
saman-e-baron ko jagao! bahar ke din hain
ye angbin si raten badi muqaddas hain
dilon ke diip jalao! bahar ke din hain
'adam' ne tauba to kar li mughhanniyo! lekin
tum us ko raah pe laao bahar ke din hain
hasin naghma-sarao! bahaar ke din hain
labon ki jot jalao! bahaar ke din hain
takallufat ka mausam guzar gaya sahab!
naqab rukh se uthao bahaar ke din hain
gulon ki sej to tauhin hai hasinon ki
dilon ki sej bichhao bahaar ke din hain
bahaar bit gai to tumhaari kya izzat
sitam-zarif ghatao! bahaar ke din hain
hai umr-e-rafta se parkhash kya bhala hum ko
qarib hai to bulao! bahaar ke din hain
mughanniyo! tumhein kahte hain hatif-e-rangin
saman-e-baron ko jagao! bahaar ke din hain
ye angbin si raaten badi muqaddas hain
dilon ke dip jalao! bahaar ke din hain
'adam' ne tauba to kar li mughanniyo! lekin
tum us ko rah pe lao bahaar ke din hain
hain jalwa-e-tan se dar-o-diwar basanti
hain jalva-e-tan se dar-o-divar basanti
poshak jo pahne hai mira yaar basanti
kya fasl-e-bahari ne shagufe hain khilae
maashuq hain phirte sar-e-bazar basanti
genda hai khila baaghh men maidan men sarson
sahra vo basanti hai ye gulzar basanti
us rashk-e-masiha ka jo ho jaae ishara
ankhon se bane nargis-e-bimar basanti
gendon ke darakhton men numayan nahin gende
har shakh ke sar par hai ye dastar basanti
munh zard dupatte ke na anchal se chhupao
ho jaae na rang-e-gul-e-rukhsar basanti
khilti hai mire shokh pe har rang ki poshak
udi, agari, champai, gulnar, basanti
hai lutf hasinon ki do-rangi ka 'amanat'
do chaar gulabi hon to do chaar basanti
hain jalwa-e-tan se dar-o-diwar basanti
poshak jo pahne hai mera yar basanti
kya fasl-e-bahaari ne shagufe hain khilae
mashuq hain phirte sar-e-bazar basanti
genda hai khila bagh mein maidan mein sarson
sahra wo basanti hai ye gulzar basanti
us rashk-e-masiha ka jo ho jae ishaara
aankhon se bane nargis-e-bimar basanti
gendon ke darakhton mein numayan nahin gende
har shakh ke sar par hai ye dastar basanti
munh zard dupatte ke na aanchal se chhupao
ho jae na rang-e-gul-e-rukhsar basanti
khilti hai mere shokh pe har rang ki poshak
udi, agari, champai, gulnar, basanti
hai lutf hasinon ki do-rangi ka 'amanat'
do chaar gulabi hon to do chaar basanti
karta hai bagh-e-dahr mein nairangiyan basant
karta hai baghh-e-dahr men nairangiyan basant
aaya hai laakh rang se ai baghhban basant
ham-rang ki hai duun nikal ashrafi ke saath
paata hai aa ke rang-e-talai yahan basant
joban par in dinon hai bahar-e-nashat-e-baghh
leta hai phuul bhar ke yahan jholiyan basant
mubaf zard rang hai sumbul ki chot men
khota hai bu-e-gul ki pareshaniyan basant
navvab-e-nam-dar 'zafar-jang' ke huzur
gaati hai aa ke zohra-e-gardun-makan basant
jam-e-aqiq zard hai nargis ke haath men
taqsim kar raha hai mai-e-arghhavan basant
hote hain tairan-e-chaman nargisi kabab
kah do ki is qadar na kare garmiyan basant
chehre tamam zard hain daulat ke rang se
kothi men ho gaya hai sarapa ayaan basant
niila hua hai munh gul-e-sausan ka baaghh men
leta hai ikhtilat men kya chutkiyan basant
kadve dhare hue hain jo navvab ke huzur
bahar hai apne jaame se ai baghhban basant
pukhraj ke gilason men hai lala-gun sharab
sone ka paani pi ke hai ratab-ul-lisan basant
sarson jo phuli dida-e-jam-e-sharab men
bint-ul-anab se karne laga shokhiyan basant
zer-e-qadam hai farsh-e-basanti huzur ke
masruf pa-e-boss men hai har zaman basant
main gard-posh ho ke bana shakh-e-zaafaran
lipta hua hai mere badan se yahan basant
karta huun ab tamam dua par ye chand sher
aaya pasand majmaa-e-ahl-e-zaman basant
jab tak ki mahv-e-qahqaha huun gul hazar men
rangin taar hai sifat-e-zaafaran basant
yarab hazar saal salamat rahen huzur
ho roz jashn-e-id yahan javedan basant
ahbab surkh-ru rahen dushman hon zard-ru
jab tak manaen mardum-e-hindostan basant
zardi ki tarah baiza-e-bulbul men chhup rahe
is baaghh se na jaae miyan-e-khizan basant
taqdir men thi furqat-e-yaran-e-lucknow
is shahr men 'munir' kahan tha kahan basant
karta hai bagh-e-dahr mein nairangiyan basant
aaya hai lakh rang se ai baghban basant
ham-rang ki hai dun nikal ashrafi ke sath
pata hai aa ke rang-e-talai yahan basant
joban par in dinon hai bahaar-e-nashat-e-bagh
leta hai phul bhar ke yahan jholiyan basant
mubaf zard rang hai sumbul ki chot mein
khota hai bu-e-gul ki pareshaniyan basant
nawwab-e-nam-dar 'zafar-jang' ke huzur
gati hai aa ke zohra-e-gardun-makan basant
jam-e-aqiq zard hai nargis ke hath mein
taqsim kar raha hai mai-e-arghawan basant
hote hain tairan-e-chaman nargisi kabab
kah do ki is qadar na kare garmiyan basant
chehre tamam zard hain daulat ke rang se
kothi mein ho gaya hai sarapa ayan basant
nila hua hai munh gul-e-sausan ka bagh mein
leta hai ikhtilat mein kya chutkiyan basant
kadwe dhare hue hain jo nawwab ke huzur
bahar hai apne jame se ai baghban basant
pukhraj ke gilason mein hai lala-gun sharab
sone ka pani pi ke hai ratab-ul-lisan basant
sarson jo phuli dida-e-jam-e-sharab mein
bint-ul-anab se karne laga shokhiyan basant
zer-e-qadam hai farsh-e-basanti huzur ke
masruf pa-e-boss mein hai har zaman basant
main gard-posh ho ke bana shakh-e-zafaran
lipta hua hai mere badan se yahan basant
karta hun ab tamam dua par ye chand sher
aaya pasand majma-e-ahl-e-zaman basant
jab tak ki mahw-e-qahqaha hun gul hazar mein
rangin tar hai sifat-e-zafaran basant
yarab hazar sal salamat rahen huzur
ho roz jashn-e-id yahan jawedan basant
ahbab surkh-ru rahen dushman hon zard-ru
jab tak manaen mardum-e-hindostan basant
zardi ki tarah baiza-e-bulbul mein chhup rahe
is bagh se na jae miyan-e-khizan basant
taqdir mein thi furqat-e-yaran-e-lucknow
is shahr mein 'munir' kahan tha kahan basant
taswir-e-ru-e-yar dikhana basant ka
tasvir-e-ru-e-yar dikhana basant ka
atkheliyon se dil ko lubhana basant ka
har samt sabza-zar bichhana basant ka
phulon men rang-o-bu ko lutana basant ka
rashk-e-jinan chaman ko banana basant ka
har har kali men rang dikhana basant ka
paighham-e-lutf-e-khas sunana basant ka
dariya-e-faiz-e-am bahana basant ka
qudrat ki barkaten hain khazana basant ka
kya khuub kya ajiib zamana basant ka
dil ko bahut aziiz hai aana basant ka
'rahbar' ki zindagi men samana basant ka
taswir-e-ru-e-yar dikhana basant ka
atkheliyon se dil ko lubhana basant ka
har samt sabza-zar bichhana basant ka
phulon mein rang-o-bu ko lutana basant ka
rashk-e-jinan chaman ko banana basant ka
har har kali mein rang dikhana basant ka
paigham-e-lutf-e-khas sunana basant ka
dariya-e-faiz-e-am bahana basant ka
qudrat ki barkaten hain khazana basant ka
kya khub kya ajib zamana basant ka
dil ko bahut aziz hai aana basant ka
'rahbar' ki zindagi mein samana basant ka
jab nabi-sahib mein koh-o-dasht se aai basant
jab nabi-sahib men koh-o-dasht se aai basant
kar ke mujra shah-e-mardan ki taraf dhaai basant
khvaja-qutbuddin men phir gadva bana kar le gai
yaani un ki nazr ko sau phuul gul laai basant
vaan se phir hazrat-nizamuddin ki khidmat men chali
turbat-e-khusrav pe phir ho ke khade gaai basant
su-e-hazrat turkaman aai jo kar us ka tavaf
ho gai vohin bayabani-o-sahrai basant
vohin phir darbar-e-shah-e-hind men rakh kar qadam
nachne gaane lagi hans hans ba-zebai basant
phir janab asif-e-dauran men ba-sad aish-o-naz
ho gai aa kar ke masruf-e-jabin-sai basant
'mushafi' ab ik ghhazal likh tu ghhazal ki tarah se
ta kare aalam ka taraj-e-shakebai basant
jab nabi-sahib mein koh-o-dasht se aai basant
kar ke mujra shah-e-mardan ki taraf dhai basant
khwaja-qutbuddin mein phir gadwa bana kar le gai
yani un ki nazr ko sau phul gul lai basant
wan se phir hazrat-nizamuddin ki khidmat mein chali
turbat-e-khusraw pe phir ho ke khade gai basant
su-e-hazrat turkaman aai jo kar us ka tawaf
ho gai wohin bayabani-o-sahrai basant
wohin phir darbar-e-shah-e-hind mein rakh kar qadam
nachne gane lagi hans hans ba-zebai basant
phir janab aasif-e-dauran mein ba-sad aish-o-naz
ho gai aa kar ke masruf-e-jabin-sai basant
'mushafi' ab ek ghazal likh tu ghazal ki tarah se
ta kare aalam ka taraj-e-shakebai basant
dilon pe zakhm laga ke hazar guzri bahaar
dilon pe zakhm laga ke hazar guzri bahar
gai hai chhod ke ik yadgar guzri bahar
mire qarib jo koi gul-e-badan mahka
to aai yaad koi khush-gavar guzri bahar
kisi tarah mujhe pagal na kar saki varna
tire baghhair bhi aai bahar guzri bahar
har ek sarv-e-ravan par guman ki jaise vahi
ho mera maazi miri yadgar guzri bahar
mire nasib ka nauha khizan ye ahd-e-khizan
tire karam ka fasana bahar guzri bahar
dilon pe zakhm laga ke hazar guzri bahaar
gai hai chhod ke ek yaadgar guzri bahaar
mere qarib jo koi gul-e-badan mahka
to aai yaad koi khush-gawar guzri bahaar
kisi tarah mujhe pagal na kar saki warna
tere baghair bhi aai bahaar guzri bahaar
har ek sarw-e-rawan par guman ki jaise wahi
ho mera mazi meri yaadgar guzri bahaar
mere nasib ka nauha khizan ye ahd-e-khizan
tere karam ka fasana bahaar guzri bahaar
You have reached the end.