main ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte hai koi khwab ki tabir batane wala
Poetry Collection
Bahaar
Spring is a season that we all love for the beauty and aroma it spread all around. It is a face of nature that poets have drawn upon frequently not only to portray a season but also a state of our lives. It has also been used as a metaphor in love poetry. We have made a selection of verses on this theme for you to read and enjoy.
Total
60
Sher
50
Ghazal
10
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
main ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte hai koi khwab ki tabir batane wala
ai dil-e-be-qarar chup ho ja ja chuki hai bahaar chup ho ja
bahaaron ki nazar mein phul aur kante barabar hain mohabbat kya karenge dost dushman dekhne wale
bahaar aae to mera salam kah dena mujhe to aaj talab kar liya hai sahra ne
meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin jise tere gham se ho wasta wo khizan bahaar se kam nahin
meri aankhon mein hain aansu tere daman mein bahaar gul bana sakta hai tu shabnam bana sakta hun main
afsurdagi bhi husn hai tabindagi bhi husn hum ko khizan ne tum ko sanwara bahaar ne
shaguftagi-e-dil-e-karwan ko kya samjhe wo ek nigah jo uljhi hui bahaar mein hai
tuk dekh len chaman ko chalo lala-zar tak kya jaane phir jien na jien hum bahaar tak
us ko khizan ke aane ka kya ranj kya qalaq rote kata ho jis ko zamana bahaar ka
na sair-e-bagh na milna na mithi baaten hain ye din bahaar ke ai jaan muft jate hain
lutf-e-bahaar kuchh nahin go hai wahi bahaar dil hi ujad gaya ki zamana ujad gaya
mujh ko ehsas-e-rang-o-bu na hua yun bhi aksar bahaar aai hai
is taraf se guzre the qafile bahaaron ke aaj tak sulagte hain zakhm rahguzaron ke
khushi ke phul khile the tumhaare sath kabhi phir is ke ba'd na aaya bahaar ka mausam
jab se chhuta hai gulistan hum se roz sunte hain bahaar aai hai
tere qurban 'qamar' munh sar-e-gulzar na khol sadqe us chand si surat pe na ho jae bahaar
ye sochte hi rahe aur bahaar khatm hui kahan chaman mein nasheman bane kahan na bane i kept contemplating, spring came and went away where in the garden should i make my nest today
kahiyo saba salam hamara bahaar se hum to chaman ko chhod ke su-e-qafas chale
bahaar aai ki din holi ke aae gulon mein rang khela ja raha hai
ajab bahaar dikhai lahu ke chhinton ne khizan ka rang bhi rang-e-bahaar jaisa tha
khizan ka bhes bana kar bahaar ne mara mujhe do-rangi-e-lail-o-nahaar ne mara
tinkon se khelte hi rahe aashiyan mein hum aaya bhi aur gaya bhi zamana bahaar ka
tadap ke rah gai bulbul qafas mein ai sayyaad ye kya kaha ki abhi tak bahaar baqi hai
meri bahaar mein aalam khizan ka rahta hai hua jo wasl to khatka raha judai ka
aaj hai wo bahaar ka mausam phul todun to hath jam aae
shakhon se barg-e-gul nahin jhadte hain bagh mein zewar utar raha hai urus-e-bahaar ka
udhar bhi khak udi hai idhar bhi khak udi jahan jahan se bahaaron ke karwan nikle
ai khizan bhag ja chaman se shitab warna fauj-e-bahaar aawe hai
jo thi bahaar to gate rahe bahaar ka rag khizan jo aai to hum ho gae khizan ki taraf
Explore Similar Collections
Bahaar FAQs
Bahaar collection me kya milega?
Bahaar se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.