hamein bhi nind aa jaegi hum bhi so hi jaenge abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jao
Poetry Collection
Beqarari
Restlessness is an unwelcome state of existence. In life, there may be many reasons for restlessness but in poetry it is usually the love that makes the two—the lover and the beloved—restless for each other. Interestingly, restlessness can also be a uniquely enjoyable state for the lover to be in. Here are a few samples on this theme.
Total
33
Sher
27
Ghazal
6
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara
agar ye kah do baghhair mere nahin guzara to main tumhara ya us pe mabni koi ta'assur koi ishara to main tumhara ghhurur-parvar ana ka malik kuchh is tarah ke hain naam mere magar qasam se jo tum ne ik naam bhi pukara to main tumhara tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaun baazi agar main jiita to tum ho mere agar main haara to main tumhara tumhara ashiq tumhara mukhlis tumhara sathi tumhara apna raha na in men se koi duniya men jab tumhara to main tumhara tumhara hone ke faisle ko main apni qismat pe chhodta huun agar muqaddar ka koi tuuta kabhi sitara to main tumhara ye kis pe taaviz kar rahe ho ye kis ko paane ke hain vazife tamam chhodo bas ek kar lo jo istikhara to main tumhara agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara ya us pe mabni koi ta'assur koi ishaara to main tumhaara ghurur-parwar ana ka malik kuchh is tarah ke hain nam mere magar qasam se jo tum ne ek nam bhi pukara to main tumhaara tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaun bazi agar main jita to tum ho mere agar main haara to main tumhaara tumhaara aashiq tumhaara mukhlis tumhaara sathi tumhaara apna raha na in mein se koi duniya mein jab tumhaara to main tumhaara tumhaara hone ke faisle ko main apni qismat pe chhodta hun agar muqaddar ka koi tuta kabhi sitara to main tumhaara ye kis pe tawiz kar rahe ho ye kis ko pane ke hain wazife tamam chhodo bas ek kar lo jo istikhara to main tumhaara
aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabraata hun main jaise har shai mein kisi shai ki kami pata hun main
hamein bhi nind aa jaegi hum bhi so hi jaenge abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jao
agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara
agar ye kah do baghhair mere nahin guzara to main tumhara ya us pe mabni koi ta'assur koi ishara to main tumhara ghhurur-parvar ana ka malik kuchh is tarah ke hain naam mere magar qasam se jo tum ne ik naam bhi pukara to main tumhara tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaun baazi agar main jiita to tum ho mere agar main haara to main tumhara tumhara ashiq tumhara mukhlis tumhara sathi tumhara apna raha na in men se koi duniya men jab tumhara to main tumhara tumhara hone ke faisle ko main apni qismat pe chhodta huun agar muqaddar ka koi tuuta kabhi sitara to main tumhara ye kis pe taaviz kar rahe ho ye kis ko paane ke hain vazife tamam chhodo bas ek kar lo jo istikhara to main tumhara agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara ya us pe mabni koi ta'assur koi ishaara to main tumhaara ghurur-parwar ana ka malik kuchh is tarah ke hain nam mere magar qasam se jo tum ne ek nam bhi pukara to main tumhaara tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaun bazi agar main jita to tum ho mere agar main haara to main tumhaara tumhaara aashiq tumhaara mukhlis tumhaara sathi tumhaara apna raha na in mein se koi duniya mein jab tumhaara to main tumhaara tumhaara hone ke faisle ko main apni qismat pe chhodta hun agar muqaddar ka koi tuta kabhi sitara to main tumhaara ye kis pe tawiz kar rahe ho ye kis ko pane ke hain wazife tamam chhodo bas ek kar lo jo istikhara to main tumhaara
aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabraata hun main jaise har shai mein kisi shai ki kami pata hun main
aankh se dur na ho dil se utar jaega
aankh se duur na ho dil se utar jaega vaqt ka kya hai guzarta hai guzar jaega itna manus na ho khalvat-e-ghham se apni tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jaega dubte dubte kashti ko uchhala de duun main nahin koi to sahil pe utar jaega zindagi teri ata hai to ye jaane vaala teri bakhshish tiri dahliz pe dhar jaega zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka 'faraz' zalim ab ke bhi na roega to mar jaega aankh se dur na ho dil se utar jaega waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaega itna manus na ho khalwat-e-gham se apni tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jaega dubte dubte kashti ko uchhaala de dun main nahin koi to sahil pe utar jaega zindagi teri ata hai to ye jaane wala teri bakhshish teri dahliz pe dhar jaega zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka 'faraaz' zalim ab ke bhi na roega to mar jaega
hum ko na mil saka to faqat ek sukun-e-dil ai zindagi wagarna zamane mein kya na tha
aap ki yaad aati rahi raat bhar
''aap ki yaad aati rahi raat bhar'' chandni dil dukhati rahi raat bhar gaah jalti hui gaah bujhti hui sham-e-ghham jhilmilati rahi raat bhar koi khushbu badalti rahi pairahan koi tasvir gaati rahi raat bhar phir saba saya-e-shakh-e-gul ke tale koi qissa sunati rahi raat bhar jo na aaya use koi zanjir-e-dar har sada par bulati rahi raat bhar ek ummid se dil bahalta raha ik tamanna satati rahi raat bhar aap ki yaad aati rahi raat bhar chandni dil dukhati rahi raat bhar gah jalti hui gah bujhti hui sham-e-gham jhilmilati rahi raat bhar koi khushbu badalti rahi pairahan koi taswir gati rahi raat bhar phir saba saya-e-shakh-e-gul ke tale koi qissa sunati rahi raat bhar jo na aaya use koi zanjir-e-dar har sada par bulati rahi raat bhar ek ummid se dil bahalta raha ek tamanna satati rahi raat bhar
na kar 'sauda' tu shikwa hum se dil ki be-qarari ka mohabbat kis ko deti hai miyan aaram duniya mein
pareshan raat sari hai sitaro tum to so jao
pareshan raat saari hai sitaro tum to so jaao sukut-e-marg taari hai sitaro tum to so jaao hanso aur hanste hanste dubte jaao khalaon men hamin pe raat bhari hai sitaro tum to so jaao hamen to aaj ki shab pau phate tak jagna hoga yahi qismat hamari hai sitaro tum to so jaao tumhen kya aaj bhi koi agar milne nahin aaya ye baazi ham ne haari hai sitaro tum to so jaao kahe jaate ho ro ro kar hamara haal duniya se ye kaisi razdari hai sitaro tum to so jaao hamen bhi niind aa jaegi ham bhi so hi jaenge abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jaao pareshan raat sari hai sitaro tum to so jao sukut-e-marg tari hai sitaro tum to so jao hanso aur hanste hanste dubte jao khalaon mein hamin pe raat bhaari hai sitaro tum to so jao hamein to aaj ki shab pau phate tak jagna hoga yahi qismat hamari hai sitaro tum to so jao tumhein kya aaj bhi koi agar milne nahin aaya ye bazi hum ne haari hai sitaro tum to so jao kahe jate ho ro ro kar hamara haal duniya se ye kaisi raazdari hai sitaro tum to so jao hamein bhi nind aa jaegi hum bhi so hi jaenge abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jao
tujh ko pa kar bhi na kam ho saki be-tabi-e-dil itna aasan tere ishq ka gham tha hi nahin the speaker admits that union does not cure the inner turmoil of love. “restlessness of the heart” becomes a metaphor for a desire that keeps renewing itself, even when the beloved is attained. the couplet carries a quiet disillusionment: love’s grief is not a problem with a simple solution, but a deep, enduring condition.
ai dil-e-be-qarar chup ho ja
ai dil-e-be-qarar chup ho ja ja chuki hai bahar chup ho ja ab na aenge ruthne vaale dida-e-ashk-bar chup ho ja ja chuka karavan-e-lal-o-gul ud raha hai ghhubar chup ho ja chhut jaati hai phuul se khushbu ruuth jaate hain yaar chup ho ja ham faqiron ka is zamane men kaun hai ghham-gusar chup ho ja hadson ki na aankh khul jaae hasrat-e-sogvar chup ho ja giit ki zarb se bhi ai 'saghhar' tuut jaate hain taar chup ho ja ai dil-e-be-qarar chup ho ja ja chuki hai bahaar chup ho ja ab na aaenge ruthne wale dida-e-ashk-bar chup ho ja ja chuka karawan-e-lal-o-gul ud raha hai ghubar chup ho ja chhut jati hai phul se khushbu ruth jate hain yar chup ho ja hum faqiron ka is zamane mein kaun hai gham-gusar chup ho ja hadson ki na aankh khul jae hasrat-e-sogwar chup ho ja git ki zarb se bhi ai 'saghar' tut jate hain tar chup ho ja
ek chubhan hai ki jo bechain kiye rahti hai aisa lagta hai ki kuchh tut gaya hai mujh mein
faza nahin hai abhi saz-gar thahro zara
faza nahin hai abhi saz-gar thahro zara main keh raha huun naan ruk jaao yaar thahro zara ye log lahje ki narmi ko dar samajhte hain mire halim mire ba-vaqar thahro zara sarakne vaale hain makr-o-fareb ke parde utarne vaala hai saara khumar thahro zara suno na dil karo chhota nikalne do suraj rafiq-e-man shajar-e-saya-dar thahro zara abhi to us ne jhatakni hai zulf shane se 'uruj baaqi hai manzar-nigar thahro zara muzakarat abhi chal rahe hain lahron se main sun raha huun tumhari pukar thahro zara bichhadte vaqt mira haath thaam kar 'nazir' vo keh raha tha mujhe baar baar thahro zara faza nahin hai abhi saz-gar thahro zara main keh raha hun nan ruk jao yar thahro zara ye log lahje ki narmi ko dar samajhte hain mere halim mere ba-waqar thahro zara sarakne wale hain makr-o-fareb ke parde utarne wala hai sara khumar thahro zara suno na dil karo chhota nikalne do suraj rafiq-e-man shajar-e-saya-dar thahro zara abhi to us ne jhatakni hai zulf shane se 'uruj baqi hai manzar-nigar thahro zara muzakaraat abhi chal rahe hain lahron se main sun raha hun tumhaari pukar thahro zara bichhadte waqt mera hath tham kar 'nazir' wo keh raha tha mujhe bar bar thahro zara
suna hai teri mahfil mein sukun-e-dil bhi milta hai magar hum jab teri mahfil se aae be-qarar aae
samjha liya fareb se mujh ko to aap ne dil se to puchh lijiye kyun be-qarar hai
jo charagh sare bujha chuke unhen intizar kahan raha ye sukun ka daur-e-shadid hai koi be-qarar kahan raha
dard ulfat ka na ho to zindagi ka kya maza aah-o-zari zindagi hai be-qarari zindagi
dil ko khuda ki yaad tale bhi daba chuka kam-bakht phir bhi chain na pae to kya karun
betab sa phirta hai kai roz se 'asi' bechaare ne phir tum ko kahin dekh liya hai
nahin ilaj-e-gham-e-hijr-e-yar kya kije tadap raha hai dil-e-be-qarar kiya kije
dil pyar ki nazar ke liye be-qarar hai ek tir is taraf bhi ye taza shikar hai
har ek sans mujhe khinchti hai us ki taraf ye kaun mere liye be-qarar rahta hai
qaul 'abru' ka tha ki na jaunga us gali ho kar ke be-qarar dekho aaj phir gaya
tadap tadap ke tamanna mein karwaten badlin na paya dil ne hamare qarar sari raat
kisi tarah to ghate dil ki be-qarari bhi chalo wo chashm nahin kam se kam sharab to ho
tumhaare aashiqon mein be-qarari kya hi phaili hai jidhar dekho jigar thame hue do-chaar baithe hain
jo bhi hai dil mein aap ke khul kar bataiye hamein kahte hain aap thik hain rahte hain be-qarar se
shab-e-firaq kuchh aisa khayal-e-yar raha ki raat bhar dil-e-gham-dida be-qarar raha
dil ko is tarh dekhne wale dil agar be-qarar ho jae
jaane de sabr o qarar o hosh ko tu kahan ai be-qarari jaegi
raat jati hai man lo kahna der se dil hai be-qarar apna
Explore Similar Collections
Beqarari FAQs
Beqarari collection me kya milega?
Beqarari se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.