gale lagaen karen tumko pyar eid ke din
gale lagaen karen tum ko pyaar eid ke din idhar to aao mire gul-ezar eid ke din ghhazab ka husn hai araishen qayamat ki ayaan hai qudrat-e-parvardigar eid ke din sanbhal saki na tabiat kisi tarah meri raha na dil pe mujhe ikhtiyar eid ke din vo saal bhar se kudurat bhari jo thi dil men vo duur ho gai bas ek baar eid ke din laga liya unhen siine se josh-e-ulfat men ghharaz ki aa hi gaya mujh ko pyaar eid ke din kahin hai naghhma-e-bulbul kahin hai khanda-e-gul ayaan hai josh-e-shabab-e-bahar eid ke din sivayyan duudh shakar meva sab muhayya hai magar ye sab hai mujhe nagavar eid ke din mile agar lab-e-shirin ka tere ik bosa to lutf ho mujhe albatta yaar eid ke din gale lagaen karen tum ko pyar eid ke din idhar to aao mere gul-ezar eid ke din ghazab ka husn hai aaraishen qayamat ki ayan hai qudrat-e-parwardigar eid ke din sanbhal saki na tabiat kisi tarah meri raha na dil pe mujhe ikhtiyar eid ke din wo sal bhar se kudurat bhari jo thi dil mein wo dur ho gai bas ek bar eid ke din laga liya unhen sine se josh-e-ulfat mein gharaz ki aa hi gaya mujh ko pyar eid ke din kahin hai naghma-e-bulbul kahin hai khanda-e-gul ayan hai josh-e-shabab-e-bahaar eid ke din siwayyan dudh shakar mewa sab muhayya hai magar ye sab hai mujhe nagawar eid ke din mile agar lab-e-shirin ka tere ek bosa to lutf ho mujhe albatta yar eid ke din