main talkhi-e-hayat se ghabra ke pi gaya
main talkhi-e-hayat se ghabra ke pi gaya
ghham ki siyah raat se ghabra ke pi gaya
itni daqiq shai koi kaise samajh sake
yazdan ke vaqiat se ghabra ke pi gaya
chhalke hue the jaam pareshan thi zulf-e-yar
kuchh aise hadsat se ghabra ke pi gaya
main aadmi huun koi farishta nahin huzur
main aaj apni zaat se ghabra ke pi gaya
duniya-e-hadsat hai ik dardnak giit
duniya-e-hadsat se ghabra ke pi gaya
kante to khair kante hain is ka gila hi kya
phulon ki vardat se ghabra ke pi gaya
'saghhar' vo kah rahe the ki pi lijiye huzur
un ki guzarishat se ghabra ke pi gaya
main talkhi-e-hayat se ghabra ke pi gaya
gham ki siyah raat se ghabra ke pi gaya
itni daqiq shai koi kaise samajh sake
yazdan ke waqiat se ghabra ke pi gaya
chhalke hue the jam pareshan thi zulf-e-yar
kuchh aise hadsat se ghabra ke pi gaya
main aadmi hun koi farishta nahin huzur
main aaj apni zat se ghabra ke pi gaya
duniya-e-hadsat hai ek dardnak git
duniya-e-hadsat se ghabra ke pi gaya
kante to khair kante hain is ka gila hi kya
phulon ki wardat se ghabra ke pi gaya
'saghar' wo kah rahe the ki pi lijiye huzur
un ki guzarishat se ghabra ke pi gaya
kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the vo aenge sunte the sahar hogi
kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga
kis din tiri shunvai ai dida-e-tar hogi
kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-khana
kab subh-e-sukhan hogi kab sham-e-nazar hogi
vaaiz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai
ab shahr men yaron ki kis tarah basar hogi
kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-janana
kab hashr muayyan hai tujh ko to khabar hogi
kab thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the wo aaenge sunte the sahar hogi
kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga
kis din teri shunwai ai dida-e-tar hogi
kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-khana
kab subh-e-sukhan hogi kab sham-e-nazar hogi
waiz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai
ab shahr mein yaron ki kis tarah basar hogi
kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-jaanana
kab hashr muayyan hai tujh ko to khabar hogi
jhunjhlae hain lajae hain phir muskurae hain
jhunjhlae hain lajae hain phir muskurae hain
kis ehtimam se unhen ham yaad aae hain
dair-o-haram ke habs-kadon ke satae hain
ham aaj mai-kade ki hava khane aae hain
ab ja ke aah karne ke adab aae hain
duniya samajh rahi hai ki ham muskurae hain
guzre hain mai-kade se jo tauba ke baa'd ham
kuchh duur adatan bhi qadam ladkhadae hain
ai josh-e-girya dekh na karna khajil mujhe
ankhen miri zarur hain aansu parae hain
ai maut ai bahisht-e-sukun aa khush-amdid
ham zindagi men pahle pahal muskurae hain
jitni bhi mai-kade men hai saaqi pila de aaj
ham tishna-kam zohd ke sahra se aae hain
insan jite-ji karen tauba khataon se
majburiyon ne kitne farishte banae hain
samjhate qabl-e-ishq to mumkin tha banti baat
naseh ghharib ab hamen samjhane aae hain
kaabe men khairiyat to hai sab hazrat-e-'khumar'
ye dair hai janab yahan kaise aae hain
jhunjhlae hain lajae hain phir muskurae hain
kis ehtimam se unhen hum yaad aae hain
dair-o-haram ke habs-kadon ke satae hain
hum aaj mai-kade ki hawa khane aae hain
ab ja ke aah karne ke aadab aae hain
duniya samajh rahi hai ki hum muskurae hain
guzre hain mai-kade se jo tauba ke ba'd hum
kuchh dur aadatan bhi qadam ladkhadae hain
ai josh-e-girya dekh na karna khajil mujhe
aankhen meri zarur hain aansu parae hain
ai maut ai bahisht-e-sukun aa khush-amdid
hum zindagi mein pahle pahal muskurae hain
jitni bhi mai-kade mein hai saqi pila de aaj
hum tishna-kaam zohd ke sahra se aae hain
insan jite-ji karen tauba khataon se
majburiyon ne kitne farishte banae hain
samjhate qabl-e-ishq to mumkin tha banti baat
naseh gharib ab hamein samjhane aae hain
kabe mein khairiyat to hai sab hazrat-e-'khumar'
ye dair hai janab yahan kaise aae hain
hans hans ke jam jam ko chhalka ke pi gaya
hans hans ke jaam jaam ko chhalka ke pi gaya
vo khud pila rahe the main lahra ke pi gaya
tauba ke tutne ka bhi kuchh kuchh malal tha
tham tham ke soch soch ke sharma ke pi gaya
saghhar-ba-dast baithi rahi meri aarzu
saaqi shafaq se jaam ko takra ke pi gaya
vo dushmanon ke tanz ko thukra ke pi gae
main doston ke ghhaiz ko bhadka ke pi gaya
sadha mutalibat ke baad ek jam-e-talkh
duniya-e-jabr-o-sabr ko dhadka ke pi gaya
sau baar laghhzishon ki qasam kha ke chhod di
sau baar chhodne ki qasam kha ke pi gaya
piita kahan tha subh-e-azal main bhala 'adam'
saaqi ke e'tibar pe lahra ke pi gaya
hans hans ke jam jam ko chhalka ke pi gaya
wo khud pila rahe the main lahra ke pi gaya
tauba ke tutne ka bhi kuchh kuchh malal tha
tham tham ke soch soch ke sharma ke pi gaya
saghar-ba-dast baithi rahi meri aarzu
saqi shafaq se jam ko takra ke pi gaya
wo dushmanon ke tanz ko thukra ke pi gae
main doston ke ghaiz ko bhadka ke pi gaya
sadha mutalibaat ke baad ek jam-e-talkh
duniya-e-jabr-o-sabr ko dhadka ke pi gaya
sau bar laghzishon ki qasam kha ke chhod di
sau bar chhodne ki qasam kha ke pi gaya
pita kahan tha subh-e-azal main bhala 'adam'
saqi ke e'tibar pe lahra ke pi gaya
man mausam ka kaha chhai ghata jam utha
maan mausam ka kaha chhai ghata jaam utha
aag se aag bujha phuul khila jaam utha
pi mire yaar tujhe apni qasam deta huun
bhuul ja shikva gila haath mila jaam utha
haath men chand jahan aaya muqaddar chamka
sab badal jaega qismat ka likha jaam utha
ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa
der kya karna yahan haath badha jaam utha
pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahan
mai-kade men koi chhota na bada jaam utha
man mausam ka kaha chhai ghata jam utha
aag se aag bujha phul khila jam utha
pi mere yar tujhe apni qasam deta hun
bhul ja shikwa gila hath mila jam utha
hath mein chand jahan aaya muqaddar chamka
sab badal jaega qismat ka likha jam utha
ek pal bhi kabhi ho jata hai sadiyon jaisa
der kya karna yahan hath badha jam utha
pyar hi pyar hai sab log barabar hain yahan
mai-kade mein koi chhota na bada jam utha
yaro ghar aai sham chalo mai-kade chalen
yaaro ghar aai shaam chalo mai-kade chalen
yaad aa rahe hain jaam chalo mai-kade chalen
dair-o-haram pe khul ke jahan baat ho sake
hai ek hi maqam chalo mai-kade chalen
achchha nahin piyenge jo piina haram hai
jiina na ho haram chalo mai-kade chalen
yaaro jo hoga dekhenge ghham se to ho najat
le kar khuda ka naam chalo mai-kade chalen
saaqi bhi hai sharab bhi azadiyan bhi hain
sab kuchh hai intizam chalo mai-kade chalen
aisi faza men lutf-e-ibadat na aaega
lena hai us ka naam chalo mai-kade chalen
fursat ghhamon se paana agar hai to aao 'nur'
sab ko karen salam chalo mai-kade chalen
yaro ghar aai sham chalo mai-kade chalen
yaad aa rahe hain jam chalo mai-kade chalen
dair-o-haram pe khul ke jahan baat ho sake
hai ek hi maqam chalo mai-kade chalen
achchha nahin piyenge jo pina haram hai
jina na ho haram chalo mai-kade chalen
yaro jo hoga dekhenge gham se to ho najat
le kar khuda ka nam chalo mai-kade chalen
saqi bhi hai sharab bhi aazadiyan bhi hain
sab kuchh hai intizam chalo mai-kade chalen
aisi faza mein lutf-e-ibaadat na aaega
lena hai us ka nam chalo mai-kade chalen
fursat ghamon se pana agar hai to aao 'nur'
sab ko karen salam chalo mai-kade chalen
aaftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab
aftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab
rind samjhen ki hai sadiq sahar-e-jam-e-sharab
sab ke hathon pe tha shab-bhar safar-e-jam-e-sharab
har khat-e-dast bana rah-guzar-e-jam-e-sharab
dukhtar-e-raz pe giren mast patangon ki tarah
sham-e-mahfil ho ye lakht-e-jigar-e-jam-e-sharab
thaam le dast-e-subu aae jo chalne men lachak
khat-e-baghhdad ho mu-e-kamar-e-jam-e-sharab
tur-e-sina ka guman ho khum-e-mai par sab ko
is tarah hosh udaao asar-e-jam-e-sharab
saghhar-e-mai men nahin partav-e-khal-e-saqi
hai kaf-e-dukhtar-e-raz men sipar-e-jam-e-sharab
khaak mai-khane ki ban jaati qayamat pis kar
har qadam par jo lachakti kamar-e-jam-e-sharab
aaj mai-noshon ka majmaa hai kahan ai saaqi
kaun si bazm men hai shor-o-shar-e-jam-e-sharab
jitne mai-khvar hain saaqi se gale milte hain
sahar-e-id bani hai khabar-e-jam-e-sharab
shisha-e-mai se uda kaag kabutar ki tarah
naama pahunchane chala nama-bar-e-jam-e-sharab
mauj-e-sahba pe gira sapna-e-mina ud kar
hai mire samne teghh-o-sipar-e-jam-e-sharab
mai pilata hai agar dhanp le siina saaqi
tere joban ko lagegi nazar-e-jam-e-sharab
aftab aa ke sikhata hai chalan shab-bhar ka
raat ko hota hai aksar guzar-e-jam-e-sharab
dast-e-saqi men rahe dast-e-qadah-kash men rahe
gardan-e-shisha-e-sahba kamar-e-jam-e-sharab
mast karte hain do-alam ko yahi do khud-mast
lazzat-e-naghhma-e-mutrib asar-e-jam-e-sharab
kya ghhazab hai ki tira honth na chuse 'mail'
aur ho tere labon tak guzar-e-jam-e-sharab
aaftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab
rind samjhen ki hai sadiq sahar-e-jam-e-sharab
sab ke hathon pe tha shab-bhar safar-e-jam-e-sharab
har khat-e-dast bana rah-guzar-e-jam-e-sharab
dukhtar-e-raz pe giren mast patangon ki tarah
sham-e-mahfil ho ye lakht-e-jigar-e-jam-e-sharab
tham le dast-e-subu aae jo chalne mein lachak
khat-e-baghdad ho mu-e-kamar-e-jam-e-sharab
tur-e-sina ka guman ho khum-e-mai par sab ko
is tarah hosh udao asar-e-jam-e-sharab
saghar-e-mai mein nahin partaw-e-khal-e-saqi
hai kaf-e-dukhtar-e-raz mein sipar-e-jam-e-sharab
khak mai-khane ki ban jati qayamat pis kar
har qadam par jo lachakti kamar-e-jam-e-sharab
aaj mai-noshon ka majma hai kahan ai saqi
kaun si bazm mein hai shor-o-shar-e-jam-e-sharab
jitne mai-khwar hain saqi se gale milte hain
sahar-e-id bani hai khabar-e-jam-e-sharab
shisha-e-mai se uda kag kabutar ki tarah
nama pahunchane chala nama-bar-e-jam-e-sharab
mauj-e-sahba pe gira sapna-e-mina ud kar
hai mere samne tegh-o-sipar-e-jam-e-sharab
mai pilata hai agar dhanp le sina saqi
tere joban ko lagegi nazar-e-jam-e-sharab
aaftab aa ke sikhata hai chalan shab-bhar ka
raat ko hota hai aksar guzar-e-jam-e-sharab
dast-e-saqi mein rahe dast-e-qadah-kash mein rahe
gardan-e-shisha-e-sahba kamar-e-jam-e-sharab
mast karte hain do-alam ko yahi do khud-mast
lazzat-e-naghma-e-mutrib asar-e-jam-e-sharab
kya ghazab hai ki tera honth na chuse 'mail'
aur ho tere labon tak guzar-e-jam-e-sharab
You have reached the end.