lagawat ki ada se un ka kahna pan hazir hai qayamat hai sitam hai dil fida hai jaan hazir hai
Poetry Collection
Paan
Chewing betel leaves is a part of the Indian subcontinent’s culture. It is also offered to others in an act of courtesy and to make friends. The redness that betel leaves bring to lips has attracted men and women to each other. Poetry too has taken note of this. We share some of them with you here.
Total
29
Sher
29
Ghazal
0
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
lagawat ki ada se un ka kahna pan hazir hai qayamat hai sitam hai dil fida hai jaan hazir hai
suna ke koi kahani hamein sulati thi duaon jaisi bade pan-dan ki khushbu
hum na uthte hain na wo dete hain hath mein pan hai kya mushkil hai
honthon mein dab kar jo gilauri di yar ne kya dant pise ghairon ne kya kya chabae honth
uthaya us ne bida qatl ka kuchh dil mein thana hai chabana pan ka bhi khun bahane ka bahana hai
pan khane ki ada ye hai to ek aalam ko khun rulaega meri jaan dahan-e-surkh tera
jab ham-kalam hum se hota hai pan kha kar kis rang se kare hai baaten chaba chaba kar meer captures a flirtatious everyday moment: the beloved’s paan becomes a prop for elegance and teasing. the act of chewing makes the speech deliberately slow, colored with affectation and charm. the lover is captivated not just by the words, but by the manner—each “chewed” syllable turns into coquetry.
gilauri raqibon ne bheji hai sahab kisi aur ko bhi khila lijiyega
pan kha kar jo ugal aap ne thuka sahab jauhari mahw hue lal-e-yaman yaad aaya
baalon mein bal hai aankh mein surma hai munh mein pan ghar se nikal ke panw nikale nikal chale
bahut se khun-kharabe machenge khana-kharab yahi hai rang agar tere pan khane ka
kajal mehndi pan misi aur kanghi choti mein har aan kya kya rang banawegi aur kya kya naqshe dhaalegi
ek janam ke pyase bhi sair hon to hum jaanen yun to rahmat-e-yazdan chaar-su barasti hai
kab pan raqibon ko inayat nahin hote kis roz mere qatl ka bida nahin uthta
tha bahut un ko gilauri ka uthana mushkil dast-e-nazuk se diya pan badi mushkil se
aae bhi to khae na gilauri na mala itr roki meri dawat mujhe mehman se gila hai
pan ban ban ke meri jaan kahan jate hain ye mere qatl ke saman kahan jate hain
pan ke thele hotel logon ka jamghat apne tanha hone ka ehsas bhi kya
mere qatl par tum ne bida uthaya mere hath ka pan khaya to hota
tumhaare lab ki surkhi lal ki manind asli hai agar tum pan ai pyare na khaoge to kya hoga
gar maza chaho to katro dil saraute se mera tum supari ki dali rakhte ho nahaq pan mein
jabhi tu pan kha kar muskuraya tabhi dil khil gaya gul ki kali ka
tere honthon ke tain pan se lal dekh kar khun-e-jigar khata hun
khun-e-ushshaq hai maani mein shauq se pan khaiye sahab
hath mein le kar gilauri mujh ko dikhla kar kaha munh to banwae koi is pan khane ke liye
sada pan kha kha ke nikle hai bahar zamane mein khun-khwar paida hua hai
khun-e-ushshaq ka utha bida be-sabab kab wo pan khata hai
aate hain wo kahin se to ai 'mehr' qarz dam chikni dali ilaichi manga pan chhaaliya
kya hai mujhe dete ho gilauri chune mein kahin na sankhiya ho
You have reached the end.
Explore Similar Collections
Paan FAQs
Paan collection me kya milega?
Paan se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.