chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya
chalne ka hausla nahin rukna muhal kar diya ishq ke is safar ne to mujh ko nidhal kar diya ai miri gul-zamin tujhe chaah thi ik kitab ki ahl-e-kitab ne magar kya tira haal kar diya milte hue dilon ke biich aur tha faisla koi us ne magar bichhadte vaqt aur saval kar diya ab ke hava ke saath hai daman-e-yar muntazir banu-e-shab ke haath men rakhna sambhal kar diya mumkina faislon men ek hijr ka faisla bhi tha ham ne to ek baat ki us ne kamal kar diya mere labon pe mohr thi par mere shisha-ru ne to shahr ke shahr ko mira vaqif-e-hal kar diya chehra o naam ek saath aaj na yaad aa sake vaqt ne kis shabih ko khvab o khayal kar diya muddaton baad us ne aaj mujh se koi gila kiya mansab-e-dilbari pe kya mujh ko bahal kar diya chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya ishq ke is safar ne to mujh ko nidhaal kar diya ai meri gul-zamin tujhe chah thi ek kitab ki ahl-e-kitab ne magar kya tera haal kar diya milte hue dilon ke bich aur tha faisla koi us ne magar bichhadte waqt aur sawal kar diya ab ke hawa ke sath hai daman-e-yar muntazir banu-e-shab ke hath mein rakhna sambhaal kar diya mumkina faislon mein ek hijr ka faisla bhi tha hum ne to ek baat ki us ne kamal kar diya mere labon pe mohr thi par mere shisha-ru ne to shahr ke shahr ko mera waqif-e-haal kar diya chehra o nam ek sath aaj na yaad aa sake waqt ne kis shabih ko khwab o khayal kar diya muddaton baad us ne aaj mujh se koi gila kiya mansab-e-dilbari pe kya mujh ko bahaal kar diya