zindagi se yahi gila hai mujhe
zindagi se yahi gila hai mujhe
tu bahut der se mila hai mujhe
tu mohabbat se koi chaal to chal
haar jaane ka hausla hai mujhe
dil dhadakta nahin tapakta hai
kal jo khvahish thi aabla hai mujhe
ham-safar chahiye hujum nahin
ik musafir bhi qafila hai mujhe
kohkan ho ki qais ho ki 'faraz'
sab men ik shakhs hi mila hai mujhe
zindagi se yahi gila hai mujhe
tu bahut der se mila hai mujhe
tu mohabbat se koi chaal to chal
haar jaane ka hausla hai mujhe
dil dhadakta nahin tapakta hai
kal jo khwahish thi aabla hai mujhe
ham-safar chahiye hujum nahin
ek musafir bhi qafila hai mujhe
kohkan ho ki qais ho ki 'faraaz'
sab mein ek shakhs hi mila hai mujhe
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to
ye ghham kya dil ki 'adat hai nahin to
kisi se kuchh shikayat hai nahin to
kisi ke bin kisi ki yaad ke bin
jiye jaane ki himmat hai nahin to
hai vo ik khvab-e-be-taabir us ko
bhula dene ki niyat hai nahin to
kisi surat bhi dil lagta nahin haan
to kuchh din se ye halat hai nahin to
tire is haal par hai sab ko hairat
tujhe bhi is pe hairat hai nahin to
ham-ahangi nahin duniya se teri
tujhe is par nadamat hai nahin to
hua jo kuchh yahi maqsum tha kya
yahi saari hikayat hai nahin to
aziyyat-nak ummidon se tujh ko
amaan paane ki hasrat hai nahin to
tu rahta hai khayal-o-khvab men gum
to is ki vajh fursat hai nahin to
sabab jo is judai ka bana hai
vo mujh se khub-surat hai nahin to
ye gham kya dil ki 'adat hai nahin to
kisi se kuchh shikayat hai nahin to
kisi ke bin kisi ki yaad ke bin
jiye jaane ki himmat hai nahin to
hai wo ek khwab-e-be-tabir us ko
bhula dene ki niyat hai nahin to
kisi surat bhi dil lagta nahin han
to kuchh din se ye haalat hai nahin to
tere is haal par hai sab ko hairat
tujhe bhi is pe hairat hai nahin to
ham-ahangi nahin duniya se teri
tujhe is par nadamat hai nahin to
hua jo kuchh yahi maqsum tha kya
yahi sari hikayat hai nahin to
aziyyat-nak ummidon se tujh ko
aman pane ki hasrat hai nahin to
tu rahta hai khayal-o-khwab mein gum
to is ki wajh fursat hai nahin to
sabab jo is judai ka bana hai
wo mujh se khub-surat hai nahin to
ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota
ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota
ya mira taaj gadayana banaya hota
apna divana banaya mujhe hota tu ne
kyuun khirad-mand banaya na banaya hota
khaksari ke liye garche banaya tha mujhe
kaash khak-e-dar-e-janana banaya hota
nashsha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
umr ka tang na paimana banaya hota
dil-e-sad-chak banaya to bala se lekin
zulf-e-mushkin ka tire shana banaya hota
sufiyon ke jo na tha laeq-e-sohbat to mujhe
qabil-e-jalsa-e-rindana banaya hota
tha jalana hi agar duri-e-saqi se mujhe
to charaghh-e-dar-e-mai-khana banaya hota
shola-e-husn chaman men na dikhaya us ne
varna bulbul ko bhi parvana banaya hota
roz mamura-e-duniya men kharabi hai 'zafar'
aisi basti ko to virana banaya hota
ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota
ya mera taj gadayana banaya hota
apna diwana banaya mujhe hota tu ne
kyun khirad-mand banaya na banaya hota
khaksari ke liye garche banaya tha mujhe
kash khak-e-dar-e-jaanana banaya hota
nashsha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
umr ka tang na paimana banaya hota
dil-e-sad-chaak banaya to bala se lekin
zulf-e-mushkin ka tere shana banaya hota
sufiyon ke jo na tha laeq-e-sohbat to mujhe
qabil-e-jalsa-e-rindana banaya hota
tha jalana hi agar duri-e-saqi se mujhe
to charagh-e-dar-e-mai-khana banaya hota
shola-e-husn chaman mein na dikhaya us ne
warna bulbul ko bhi parwana banaya hota
roz mamura-e-duniya mein kharabi hai 'zafar'
aisi basti ko to virana banaya hota
duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad
duniya ke sitam yaad na apni hi vafa yaad
ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siva yaad
main shikva ba-lab tha mujhe ye bhi na raha yaad
shayad ki mire bhulne vaale ne kiya yaad
chheda tha jise pahle-pahal teri nazar ne
ab tak hai vo ik naghhma-e-be-saz-o-sada yaad
jab koi hasin hota hai sargarm-e-navazish
us vaqt vo kuchh aur bhi aate hain siva yaad
kya janiye kya ho gaya arbab-e-junun ko
marne ki ada yaad na jiine ki ada yaad
muddat hui ik hadsa-e-ishq ko lekin
ab tak hai tire dil ke dhadakne ki sada yaad
haan haan tujhe kya kaam miri shiddat-e-ghham se
haan haan nahin mujh ko tire daman ki hava yaad
main tark-e-rah-o-rasm-e-junun kar hi chuka tha
kyuun aa gai aise men tiri laghhzish-e-pa yaad
kya lutf ki main apna pata aap bataun
kiije koi bhuli hui khaas apni ada yaad
duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad
ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siwa yaad
main shikwa ba-lab tha mujhe ye bhi na raha yaad
shayad ki mere bhulne wale ne kiya yaad
chheda tha jise pahle-pahal teri nazar ne
ab tak hai wo ek naghma-e-be-saz-o-sada yaad
jab koi hasin hota hai sargarm-e-nawazish
us waqt wo kuchh aur bhi aate hain siwa yaad
kya jaaniye kya ho gaya arbab-e-junun ko
marne ki ada yaad na jine ki ada yaad
muddat hui ek hadsa-e-ishq ko lekin
ab tak hai tere dil ke dhadakne ki sada yaad
han han tujhe kya kaam meri shiddat-e-gham se
han han nahin mujh ko tere daman ki hawa yaad
main tark-e-rah-o-rasm-e-junun kar hi chuka tha
kyun aa gai aise mein teri laghzish-e-pa yaad
kya lutf ki main apna pata aap bataun
kije koi bhuli hui khas apni ada yaad
teri duniya mein jine se to behtar hai ki mar jaen
tiri duniya men jiine se to behtar hai ki mar jaaen
vahi aansu vahi aahen vahi ghham hai jidhar jaaen
koi to aisa ghar hota jahan se pyaar mil jaata
vahi begane chehre hain jahan jaaen jidhar jaaen
are o asman vaale bata is men bura kya hai
khushi ke chaar jhonke gar idhar se bhi guzar jaaen
teri duniya mein jine se to behtar hai ki mar jaen
wahi aansu wahi aahen wahi gham hai jidhar jaen
koi to aisa ghar hota jahan se pyar mil jata
wahi begane chehre hain jahan jaen jidhar jaen
are o aasman wale bata is mein bura kya hai
khushi ke chaar jhonke gar idhar se bhi guzar jaen
ab to shahron se khabar aati hai diwanon ki
ab to shahron se khabar aati hai divanon ki
koi pahchan hi baaqi nahin viranon ki
apni poshak se hushyar ki khuddam-e-qadim
dhajjiyan mangte hain apne garebanon ki
sanaten phailti jaati hain magar is ke saath
sarhaden tutti jaati hain gulistanon ki
dil men vo zakhm khile hain ki chaman kya shai hai
ghar men barat si utri hui gul-danon ki
un ko kya fikr ki main paar laga ya duuba
bahs karte rahe sahil pe jo tufanon ki
teri rahmat to musallam hai magar ye to bata
kaun bijli ko khabar deta hai kashanon ki
maqbare bante hain zindon ke makanon se buland
kis qadar auj pe takrim hai insanon ki
ek ik yaad ke hathon pe charaghhon bhare tasht
kaaba-e-dil ki faza hai ki sanam-khanon ki
ab to shahron se khabar aati hai diwanon ki
koi pahchan hi baqi nahin viranon ki
apni poshak se hushyar ki khuddam-e-qadim
dhajjiyan mangte hain apne garebanon ki
sanaten phailti jati hain magar is ke sath
sarhaden tutti jati hain gulistanon ki
dil mein wo zakhm khile hain ki chaman kya shai hai
ghar mein baraat si utri hui gul-danon ki
un ko kya fikr ki main par laga ya duba
bahs karte rahe sahil pe jo tufanon ki
teri rahmat to musallam hai magar ye to bata
kaun bijli ko khabar deta hai kashanon ki
maqbare bante hain zindon ke makanon se buland
kis qadar auj pe takrim hai insanon ki
ek ek yaad ke hathon pe charaghon bhare tasht
kaba-e-dil ki faza hai ki sanam-khanon ki
haq fath-yab mere khuda kyun nahin hua
haq fath-yab mere khuda kyuun nahin hua
tu ne kaha tha tera kaha kyuun nahin hua
jab hashr isi zamin pe uthae gae to phir
barpa yahin pe roz-e-jaza kyuun nahin hua
vo shama bujh gai thi to kohram tha tamam
dil bujh gae to shor-e-aza kyuun nahin hua
vamandgan pe tang hui kyuun tiri zamin
darvaza asman ka va kyuun nahin hua
vo shoala-saz bhi isi basti ke log the
un ki gali men raqs-e-hava kyuun nahin hua
akhir isi kharabe men zinda hain aur sab
yuun khaak koi mere siva kyuun nahin hua
kya jazb-e-ishq mujh se ziyada tha ghhair men
us ka habib us se juda kyuun nahin hua
jab vo bhi the gulu-e-burida se nala-zan
phir kushtagan ka harf rasa kyuun nahin hua
karta raha main tere liye doston se jang
tu mere dushmanon se khafa kyuun nahin hua
jo kuchh hua vo kaise hua janta huun main
jo kuchh nahin hua vo bata kyuun nahin hua
haq fath-yab mere khuda kyun nahin hua
tu ne kaha tha tera kaha kyun nahin hua
jab hashr isi zamin pe uthae gae to phir
barpa yahin pe roz-e-jaza kyun nahin hua
wo shama bujh gai thi to kohram tha tamam
dil bujh gae to shor-e-aza kyun nahin hua
wamandgan pe tang hui kyun teri zamin
darwaza aasman ka wa kyun nahin hua
wo shoala-saz bhi isi basti ke log the
un ki gali mein raqs-e-hawa kyun nahin hua
aakhir isi kharabe mein zinda hain aur sab
yun khak koi mere siwa kyun nahin hua
kya jazb-e-ishq mujh se ziyaada tha ghair mein
us ka habib us se juda kyun nahin hua
jab wo bhi the gulu-e-burida se nala-zan
phir kushtagan ka harf rasa kyun nahin hua
karta raha main tere liye doston se jang
tu mere dushmanon se khafa kyun nahin hua
jo kuchh hua wo kaise hua jaanta hun main
jo kuchh nahin hua wo bata kyun nahin hua
dil se wo kaam nahin lete hain
dil se vo kaam nahin lete hain
ab mira naam nahin lete hain
vo bhi aghhaz bhula baithe hain
ham bhi anjam nahin lete hain
ham se nalan hain mohabbat kyuun ki
khud par ilzam nahin lete hain
hazrat-e-dil ka bhala kya kiije
zara aram nahin lete hain
zid hai girna hai yahan roz-o-shab
jab talak thaam nahin lete hain
koi samjhae bujhae dil ko
dil par alam nahin lete hain
mere she'ron pe hai marti duniya
vahi paighham nahin lete hain
lijiye muft men jaan le liije
jaan ke ham daam nahin lete hain
tauba kitna hai bura naam 'abrak'
jab vahi naam nahin lete hain
dil se wo kaam nahin lete hain
ab mera nam nahin lete hain
wo bhi aaghaz bhula baithe hain
hum bhi anjam nahin lete hain
hum se nalan hain mohabbat kyun ki
khud par ilzam nahin lete hain
hazrat-e-dil ka bhala kya kije
zara aaram nahin lete hain
zid hai girna hai yahan roz-o-shab
jab talak tham nahin lete hain
koi samjhae bujhae dil ko
dil par aalam nahin lete hain
mere she'ron pe hai marti duniya
wahi paigham nahin lete hain
lijiye muft mein jaan le lije
jaan ke hum dam nahin lete hain
tauba kitna hai bura nam 'abrak'
jab wahi nam nahin lete hain
sara jahan raqib bina baat ka raha
saara jahan raqib bina baat ka raha
bekar silsila hi mulaqat ka raha
donon jahan men ghharq hua mera jhonpada
kya daur yaar raat ki barsat ka raha
insan ki bata mujhe hoti hai qaum kya
dushman har ek shakhs miri zaat ka raha
laaiq nahin tha jis ke jo us ne vahi liya
main hi ghharib tha gila is baat ka raha
sara jahan raqib bina baat ka raha
bekar silsila hi mulaqat ka raha
donon jahan mein gharq hua mera jhonpada
kya daur yar raat ki barsat ka raha
insan ki bata mujhe hoti hai qaum kya
dushman har ek shakhs meri zat ka raha
laiq nahin tha jis ke jo us ne wahi liya
main hi gharib tha gila is baat ka raha
sab yar the hamrah magar yar nahin the
sab yaar the hamrah magar yaar nahin the
ham misl-e-zamana kabhi hushyar nahin the
har baar tujhe dhundne aae hain yahan tak
lekin miri jaan tum yahan har baar nahin the
us ki hi mohabbat men gire dost ki jis se
ham baat talak karne ko tayyar nahin the
ai shaikh na kahna ki maza mai men nahin hai
mai-khane men ik tum the jo bedar nahin the
phir hijr ki raton ne inhen kar diya aisa
ye log azal se hi to mai-khvar nahin the
sab yar the hamrah magar yar nahin the
hum misl-e-zamana kabhi hushyar nahin the
har bar tujhe dhundne aae hain yahan tak
lekin meri jaan tum yahan har bar nahin the
us ki hi mohabbat mein gire dost ki jis se
hum baat talak karne ko tayyar nahin the
ai shaikh na kahna ki maza mai mein nahin hai
mai-khane mein ek tum the jo bedar nahin the
phir hijr ki raaton ne inhen kar diya aisa
ye log azal se hi to mai-khwar nahin the
You have reached the end.