aae kuchh abr kuchh sharab aae
aae kuchh abr kuchh sharab aae
is ke baad aae jo azaab aae
bam-e-mina se mahtab utre
dast-e-saqi men aftab aae
har rag-e-khun men phir charaghhan ho
samne phir vo be-naqab aae
umr ke har varaq pe dil ki nazar
teri mehr-o-vafa ke baab aae
kar raha tha ghham-e-jahan ka hisab
aaj tum yaad be-hisab aae
na gai tere ghham ki sardari
dil men yuun roz inqalab aae
jal uthe bazm-e-ghhair ke dar-o-bam
jab bhi ham khanuman-kharab aae
is tarah apni khamushi gunji
goya har samt se javab aae
'faiz' thi raah sar-ba-sar manzil
ham jahan pahunche kamyab aae
aae kuchh abr kuchh sharab aae
is ke baad aae jo azab aae
baam-e-mina se mahtab utre
dast-e-saqi mein aaftab aae
har rag-e-khun mein phir charaghan ho
samne phir wo be-naqab aae
umr ke har waraq pe dil ki nazar
teri mehr-o-wafa ke bab aae
kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
aaj tum yaad be-hisab aae
na gai tere gham ki sardari
dil mein yun roz inqalab aae
jal uthe bazm-e-ghair ke dar-o-baam
jab bhi hum khanuman-kharab aae
is tarah apni khamushi gunji
goya har samt se jawab aae
'faiz' thi rah sar-ba-sar manzil
hum jahan pahunche kaamyab aae
main is umid pe duba ki tu bacha lega
main is umiid pe duuba ki tu bacha lega
ab is ke baad mira imtihan kya lega
ye ek mela hai vaada kisi se kya lega
dhalega din to har ik apna rasta lega
main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaunga
koi charaghh nahin huun ki phir jala lega
kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye
jo be-amal hai vo badla kisi se kya lega
main us ka ho nahin sakta bata na dena use
lakiren haath ki apni vo sab jala lega
hazar tod ke aa jaun us se rishta 'vasim'
main janta huun vo jab chahega bula lega
main is umid pe duba ki tu bacha lega
ab is ke baad mera imtihan kya lega
ye ek mela hai wada kisi se kya lega
dhalega din to har ek apna rasta lega
main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaunga
koi charagh nahin hun ki phir jala lega
kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye
jo be-amal hai wo badla kisi se kya lega
main us ka ho nahin sakta bata na dena use
lakiren hath ki apni wo sab jala lega
hazar tod ke aa jaun us se rishta 'wasim'
main jaanta hun wo jab chahega bula lega
aap ka etibar kaun kare
aap ka e'tibar kaun kare
roz ka intizar kaun kare
who can depend on what you say?
who will wait each every day?
zikr-e-mehr-o-vafa to ham karte
par tumhen sharmsar kaun kare
for faith and kindness i would ask
but you would have been shamed that way
ho jo us chashm-e-mast se be-khud
phir use hoshiyar kaun kare
on those heady eyes who's drunk
his drunkenness, who can allay?
tum to ho jaan ik zamane ki
jaan tum par nisar kaun kare
you are the life of all this world
for you, my life how can i lay?
afat-e-rozgar jab tum ho
shikva-e-rozgar kaun kare
you cause mischief in this world
who can complain of life then say
apni tasbih rahne de zahid
daana daana shumar kaun kare
let your rosary be o priest
bead by bead, who will assay?
hijr men zahr kha ke mar jaun
maut ka intizar kaun kare
on parting, poisoned i will die
for who would wait for death to slay?
aankh hai turk zulf hai sayyad
dekhen dil ka shikar kaun kare
eyes are arrows, tresses snares
which will make my heart their prey?
va'da karte nahin ye kahte hain
tujh ko ummid-var kaun kare
she doesn't promise, says to me
how, hopeful, can i let you stay?
'daghh' ki shakl dekh kar bole
aisi surat ko pyaar kaun kare
she saw my face and then remarked
who can love this face ? do say
aap ka e'tibar kaun kare
roz ka intizar kaun kare
who can depend on what you say?
who will wait each every day?
zikr-e-mehr-o-wafa to hum karte
par tumhein sharmsar kaun kare
for faith and kindness i would ask
but you would have been shamed that way
ho jo us chashm-e-mast se be-khud
phir use hoshiyar kaun kare
on those heady eyes who's drunk
his drunkenness, who can allay?
tum to ho jaan ek zamane ki
jaan tum par nisar kaun kare
you are the life of all this world
for you, my life how can i lay?
aafat-e-rozgar jab tum ho
shikwa-e-rozgar kaun kare
you cause mischief in this world
who can complain of life then say
apni tasbih rahne de zahid
dana dana shumar kaun kare
let your rosary be o priest
bead by bead, who will assay?
hijr mein zahr kha ke mar jaun
maut ka intizar kaun kare
on parting, poisoned i will die
for who would wait for death to slay?
aankh hai turk zulf hai sayyaad
dekhen dil ka shikar kaun kare
eyes are arrows, tresses snares
which will make my heart their prey?
wa'da karte nahin ye kahte hain
tujh ko ummid-war kaun kare
she doesn't promise, says to me
how, hopeful, can i let you stay?
'dagh' ki shakl dekh kar bole
aisi surat ko pyar kaun kare
she saw my face and then remarked
who can love this face ? do say
jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale
jala ke mishal-e-jan ham junun-sifat chale
jo ghar ko aag lagae hamare saath chale
dayar-e-sham nahin manzil-e-sahar bhi nahin
ajab nagar hai yahan din chale na raat chale
hamare lab na sahi vo dahan-e-zakhm sahi
vahin pahunchti hai yaaro kahin se baat chale
sutun-e-dar pe rakhte chalo saron ke charaghh
jahan talak ye sitam ki siyah raat chale
hua asiir koi ham-nava to duur talak
ba-pas-e-tarz-e-nava ham bhi saath saath chale
bacha ke laae ham ai yaar phir bhi naqd-e-vafa
agarche lutte rahe rahzanon ke haath chale
phir aai fasl ki manind barg-e-avara
hamare naam gulon ke muraslat chale
qatar-e-shisha hai ya karvan-e-ham-safaran
khiram-e-jam hai ya jaise kaenat chale
bhula hi baithe jab ahl-e-haram to ai 'majruh'
baghhal men ham bhi liye ik sanam ka haath chale
jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale
jo ghar ko aag lagae hamare sath chale
dayar-e-sham nahin manzil-e-sahar bhi nahin
ajab nagar hai yahan din chale na raat chale
hamare lab na sahi wo dahan-e-zakhm sahi
wahin pahunchti hai yaro kahin se baat chale
sutun-e-dar pe rakhte chalo saron ke charagh
jahan talak ye sitam ki siyah raat chale
hua asir koi ham-nawa to dur talak
ba-pas-e-tarz-e-nawa hum bhi sath sath chale
bacha ke lae hum ai yar phir bhi naqd-e-wafa
agarche lutte rahe rahzanon ke hath chale
phir aai fasl ki manind barg-e-awara
hamare nam gulon ke muraslat chale
qatar-e-shisha hai ya karwan-e-ham-safaran
khiram-e-jam hai ya jaise kaenat chale
bhula hi baithe jab ahl-e-haram to ai 'majruh'
baghal mein hum bhi liye ek sanam ka hath chale
har ek ghar mein diya bhi jale anaj bhi ho
har ek ghar men diya bhi jale anaaj bhi ho
agar na ho kahin aisa to ehtijaj bhi ho
rahegi vaadon men kab tak asiir khush-hali
har ek baar hi kal kyuun kabhi to aaj bhi ho
na karte shor-sharaba to aur kya karte
tumhare shahr men kuchh aur kam-kaj bhi ho
hukumaton ko badalna to kuchh muhal nahin
hukumaten jo badalta hai vo samaj bhi ho
badal rahe hain kai aadmi darindon men
maraz purana hai is ka naya ilaaj bhi ho
akele ghham se nai shairi nahin hoti
zaban-e-'mir' men 'ghhalib' ka imtizaj bhi ho
har ek ghar mein diya bhi jale anaj bhi ho
agar na ho kahin aisa to ehtijaj bhi ho
rahegi wadon mein kab tak asir khush-haali
har ek bar hi kal kyun kabhi to aaj bhi ho
na karte shor-sharaba to aur kya karte
tumhaare shahr mein kuchh aur kaam-kaj bhi ho
hukumaton ko badalna to kuchh muhaal nahin
hukumaten jo badalta hai wo samaj bhi ho
badal rahe hain kai aadmi darindon mein
maraz purana hai is ka naya ilaj bhi ho
akele gham se nai shairi nahin hoti
zaban-e-'mir' mein 'ghaalib' ka imtizaj bhi ho
bichhad ke tujhse kisi dusre pe marna hai
bichhad ke tujh se kisi dusre pe marna hai
ye tajraba bhi isi zindagi men karna hai
hava darakhton se kahti hai dukh ke lahje men
abhi mujhe kai sahraon se guzarna hai
main manzaron ke ghane-pan se khauf khata huun
fana ko dast-e-mohabbat yahan bhi dharna hai
talash-e-rizq men dariya ke panchhiyon ki tarah
tamam umr mujhe dubna ubharna hai
udasiyon ke khad-o-khal se jo vaqif ho
ik aise shakhs ko aksar talash karna hai
bichhad ke tujh se kisi dusre pe marna hai
ye tajraba bhi isi zindagi mein karna hai
hawa darakhton se kahti hai dukh ke lahje mein
abhi mujhe kai sahraon se guzarna hai
main manzaron ke ghane-pan se khauf khata hun
fana ko dast-e-mohabbat yahan bhi dharna hai
talash-e-rizq mein dariya ke panchhiyon ki tarah
tamam umr mujhe dubna ubharna hai
udasiyon ke khad-o-khal se jo waqif ho
ek aise shakhs ko aksar talash karna hai
aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat
aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat
dhalte dhalte ap-apni maut mar jaegi raat
zindagi men aur bhi kuchh zahr bhar jaegi raat
ab agar thahri rag-o-pai men utar jaegi raat
jo bhi hain parvarda-e-shab jo bhi hain zulmat parast
vo to jaenge usi janib jidhar jaegi raat
ahl-e-tufan be-hisi ka gar yahi aalam raha
mauj-e-khun ban kar har ik sar se guzar jaegi raat
hai ufuq se ek sang-e-aftab aane ki der
tuut kar manind-e-aina bikhar jaegi raat
ham to jaane kab se hain avara-e-zulmat magar
tum thahar jaao to pal bhar men guzar jaegi raat
raat ka anjam bhi maalum hai mujh ko 'surur'
laakh apni had se guzre ta-sahar jaegi raat
aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat
dhalte dhalte aap-apni maut mar jaegi raat
zindagi mein aur bhi kuchh zahr bhar jaegi raat
ab agar thahri rag-o-pai mein utar jaegi raat
jo bhi hain parwarda-e-shab jo bhi hain zulmat parast
wo to jaenge usi jaanib jidhar jaegi raat
ahl-e-tufan be-hisi ka gar yahi aalam raha
mauj-e-khun ban kar har ek sar se guzar jaegi raat
hai ufuq se ek sang-e-aftab aane ki der
tut kar manind-e-aina bikhar jaegi raat
hum to jaane kab se hain aawara-e-zulmat magar
tum thahar jao to pal bhar mein guzar jaegi raat
raat ka anjam bhi malum hai mujh ko 'surur'
lakh apni had se guzre ta-sahar jaegi raat
zara si raat dhal jae to shayad nind aa jae
zara si raat dhal jaae to shayad niind aa jaae
zara sa dil bahal jaae to shayad niind aa jaae
abhi to karb hai be-chainiyan hain be-qarari hai
tabiat kuchh sambhal jaae to shayad niind aa jaae
hava ke narm jhonkon ne jagaya teri yadon ko
hava ka rukh badal jaae to shayad niind aa jaae
ye tufan ansuon ka jo umad aaya hai palkon tak
kisi surat ye tal jaae to shayad niind aa jaae
ye hansta muskurata qafila jo chand taron ka
'farah' aage nikal jaae to shayad niind aa jaae
zara si raat dhal jae to shayad nind aa jae
zara sa dil bahal jae to shayad nind aa jae
abhi to karb hai be-chainiyan hain be-qarari hai
tabiat kuchh sambhal jae to shayad nind aa jae
hawa ke narm jhonkon ne jagaya teri yaadon ko
hawa ka rukh badal jae to shayad nind aa jae
ye tufan aansuon ka jo umad aaya hai palkon tak
kisi surat ye tal jae to shayad nind aa jae
ye hansta muskuraata qafila jo chand taron ka
'farah' aage nikal jae to shayad nind aa jae
bahut dinon se mujhe tera intizar hai aa ja
bahut dinon se mujhe tera intizar hai aa ja
aur ab to khaas vahi mausam-e-bahar hai aa ja
kahan ye hosh ki uslub-e-taza se tujhe likhun
ki ruuh tere liye sakht be-qarar hai aa ja
guzar chali hain bahut ghham ki shorishen bhi hadon se
magar abhi to tira sab pe ikhtiyar hai aa ja
vo teri yaad ki ab tak sukun-e-qalb-e-tapan thi
tiri qasam hai ki ab vo bhi nagavar hai aa ja
ghhazal ke shikve ghhazal ke mu'amalat juda hain
miri hi tarah se to bhi vafa-shi'ar hai aa ja
badal raha ho zamana magar jahan-e-tamanna
tire liye to abad tak bhi sazgar hai aa ja
hazar tarah ke afkar dil ko raund rahe hain
muqable men tire ranj-e-rozgar hai aa ja
bahut dinon se mujhe tera intizar hai aa ja
aur ab to khas wahi mausam-e-bahaar hai aa ja
kahan ye hosh ki uslub-e-taza se tujhe likhun
ki ruh tere liye sakht be-qarar hai aa ja
guzar chali hain bahut gham ki shorishen bhi hadon se
magar abhi to tera sab pe ikhtiyar hai aa ja
wo teri yaad ki ab tak sukun-e-qalb-e-tapan thi
teri qasam hai ki ab wo bhi nagawar hai aa ja
ghazal ke shikwe ghazal ke mu'amalat juda hain
meri hi tarah se to bhi wafa-shi'ar hai aa ja
badal raha ho zamana magar jahan-e-tamanna
tere liye to abad tak bhi sazgar hai aa ja
hazar tarah ke afkar dil ko raund rahe hain
muqable mein tere ranj-e-rozgar hai aa ja
main apna nam tere jism par likha dekhun
main apna naam tire jism par likha dekhun
dikhai dega abhi battiyan bujha dekhun
phir us ko paun mira intizar karte hue
phir us makan ka darvaza adh-khula dekhun
ghataen aaen to ghar ghar ko dubta paun
hava chale to har ik ped ko gira dekhun
kitab kholun to harfon men khalbali mach jaae
qalam uthaun to kaghhaz ko phailta dekhun
utaar phenkun badan se phati purani qamis
badan qamis se badh kar kata-phata dekhun
vahin kahin na padi ho tamanna jiine ki
phir ek baar unhin jangalon men ja dekhun
vo roz shaam ko 'alvi' idhar se jaati hai
to kya main aaj use apne ghar bula dekhun
main apna nam tere jism par likha dekhun
dikhai dega abhi battiyan bujha dekhun
phir us ko paun mera intizar karte hue
phir us makan ka darwaza adh-khula dekhun
ghataen aaen to ghar ghar ko dubta paun
hawa chale to har ek ped ko gira dekhun
kitab kholun to harfon mein khalbali mach jae
qalam uthaun to kaghaz ko phailta dekhun
utar phenkun badan se phati purani qamis
badan qamis se badh kar kata-phata dekhun
wahin kahin na padi ho tamanna jine ki
phir ek bar unhin jangalon mein ja dekhun
wo roz sham ko 'alwi' idhar se jati hai
to kya main aaj use apne ghar bula dekhun
kya aaj un se apni mulaqat ho gai
kya aaj un se apni mulaqat ho gai
sahra pe jaise tuut ke barsat ho gai
viran bastiyon men mira din hua tamam
sunsan jangalon men mujhe raat ho gai
karti hai yuun bhi baat mohabbat kabhi kabhi
nazren milin na hont hile baat ho gai
zalim zamana ham ko agar de gaya shikast
baazi mohabbaton ki agar maat ho gai
ham ko nigal saken ye andheron men dam kahan
jab chandni se apni mulaqat ho gai
bazar jaana aaj saphal ho gaya mira
barson ke baad un se mulaqat ho gai
kya aaj un se apni mulaqat ho gai
sahra pe jaise tut ke barsat ho gai
viran bastiyon mein mera din hua tamam
sunsan jangalon mein mujhe raat ho gai
karti hai yun bhi baat mohabbat kabhi kabhi
nazren milin na hont hile baat ho gai
zalim zamana hum ko agar de gaya shikast
bazi mohabbaton ki agar mat ho gai
hum ko nigal saken ye andheron mein dam kahan
jab chandni se apni mulaqat ho gai
bazar jaana aaj saphal ho gaya mera
barson ke baad un se mulaqat ho gai
ghabraen hawadis se kya hum jine ke sahaare niklenge
ghabraen havadis se kya ham jiine ke sahare niklenge
dubega agar ye suraj bhi to chand sitare niklenge
andaz-e-zamana kahta hai phir mauj-e-hava rukh badlegi
angaron se gulshan phutega shabnam se sharare niklenge
firdaus-e-nazar ke divane tarik faza se kya darna
tu sham-e-nazar ko tez to kar zulmat se nazare niklenge
anjam-e-kashakash hoga kuchh dekhen to tamasha divane
ya khaak udegi gardun par ya farsh pe taare niklenge
'masrur' karen ahl-e-sahil kuchh fikr na himmat valon ki
dubenge safine jitne bhi ik din vo kinare niklenge
ghabraen hawadis se kya hum jine ke sahaare niklenge
dubega agar ye suraj bhi to chand sitare niklenge
andaz-e-zamana kahta hai phir mauj-e-hawa rukh badlegi
angaron se gulshan phutega shabnam se sharare niklenge
firdaus-e-nazar ke diwane tarik faza se kya darna
tu sham-e-nazar ko tez to kar zulmat se nazare niklenge
anjam-e-kashakash hoga kuchh dekhen to tamasha diwane
ya khak udegi gardun par ya farsh pe tare niklenge
'masrur' karen ahl-e-sahil kuchh fikr na himmat walon ki
dubenge safine jitne bhi ek din wo kinare niklenge
jo banda-e-khuda tha khuda hone wala hai
jo banda-e-khuda tha khuda hone vaala hai
kya kuchh abhi to jalva-numa hone vaala hai
ye bhi durust hai ki payambar nahin huun main
hai ye bhi sach ki mera kaha hone vaala hai
kuchh ashk-e-khun bacha ke bhi rakhiye ki shahr men
jo ho chuka hai us se siva hone vaala hai
vo vaqt hai ki khalq pe har zulm-e-na-rava
allah ka naam le ke rava hone vaala hai
ik khauf hai ki hone hi vaala hai ja-guzin
ik khvab hai ki sab se juda hone vaala hai
rang-e-hava men hai ajab asrar sa koi
koi bhi janta nahin kya hone vaala hai
khush tha siyah-khana-e-dil men bahut lahu
is qaid se magar ye riha hone vaala hai
ye tiir akhiri hai bas us ki kaman men
aur vo bhi dekh lena khata hone vaala hai
ik lahar hai ki mujh men uchhalne ko hai 'zafar'
ik lafz hai ki mujh se ada hone vaala hai
jo banda-e-khuda tha khuda hone wala hai
kya kuchh abhi to jalwa-numa hone wala hai
ye bhi durust hai ki payambar nahin hun main
hai ye bhi sach ki mera kaha hone wala hai
kuchh ashk-e-khun bacha ke bhi rakhiye ki shahr mein
jo ho chuka hai us se siwa hone wala hai
wo waqt hai ki khalq pe har zulm-e-na-rawa
allah ka nam le ke rawa hone wala hai
ek khauf hai ki hone hi wala hai ja-guzin
ek khwab hai ki sab se juda hone wala hai
rang-e-hawa mein hai ajab asrar sa koi
koi bhi jaanta nahin kya hone wala hai
khush tha siyah-khana-e-dil mein bahut lahu
is qaid se magar ye riha hone wala hai
ye tir aakhiri hai bas us ki kaman mein
aur wo bhi dekh lena khata hone wala hai
ek lahar hai ki mujh mein uchhalne ko hai 'zafar'
ek lafz hai ki mujh se ada hone wala hai
sukhane baal hi kothe pe aa gae hote
sukhane baal hi kothe pe aa gae hote
isi bahane zara munh dikha gae hote
tumhen bhi vaqt ki raftar ka pata chalta
nikal ke ghar se gali tak to aa gae hote
gala bhigo ke kahin aur sada laga leta
zara faqir ko paani pila gae hote
are ye thiik hua hont si liye ham ne
vagarna log tujhe kab ka pa gae hote
bhala ho chand ka aate hi nuur pahunchaya
sitare hote to ankhen chura gae hote
javan jismon ko thanda na kar sake lekin
hava ke jhonke diya to bujha gae hote
sukhane baal hi kothe pe aa gae hote
isi bahane zara munh dikha gae hote
tumhein bhi waqt ki raftar ka pata chalta
nikal ke ghar se gali tak to aa gae hote
gala bhigo ke kahin aur sada laga leta
zara faqir ko pani pila gae hote
are ye thik hua hont si liye hum ne
wagarna log tujhe kab ka pa gae hote
bhala ho chand ka aate hi nur pahunchaya
sitare hote to aankhen chura gae hote
jawan jismon ko thanda na kar sake lekin
hawa ke jhonke diya to bujha gae hote
shauq raaton ko hai darpai ki tapan ho jaun
shauq raton ko hai darpai ki tapan ho jaun
raqs-e-vahshat men uthun aur dhuan ho jaun
saath agar bad-e-sahar de to pas-e-mahmil-e-yar
ik bhatakti hui avaz-e-fughhan ho jaun
ab ye ehsas ka aalam hai ki shayad kisi raat
nafas-e-sard se bhi shoala-ba-jan ho jaun
la surahi ki karun vahm-o-guman ghharq-e-sharab
is se pahle ki main khud vahm-o-guman ho jaun
vo tamasha huun hazaron mire aine hain
ek aine se mushkil hai ayaan ho jaun
shauq men zabt hai malhuz magar kya maalum
kis ghadi be-khabar-e-sud-o-ziyan ho jaun
aisa andaz-e-ghhazal ho ki zamane men 'zafar'
daur-e-ainda ki qadron ka nishan ho jaun
shauq raaton ko hai darpai ki tapan ho jaun
raqs-e-wahshat mein uthun aur dhuan ho jaun
sath agar baad-e-sahar de to pas-e-mahmil-e-yar
ek bhatakti hui aawaz-e-fughan ho jaun
ab ye ehsas ka aalam hai ki shayad kisi raat
nafas-e-sard se bhi shoala-ba-jaan ho jaun
la surahi ki karun wahm-o-guman gharq-e-sharab
is se pahle ki main khud wahm-o-guman ho jaun
wo tamasha hun hazaron mere aaine hain
ek aaine se mushkil hai ayan ho jaun
shauq mein zabt hai malhuz magar kya malum
kis ghadi be-khabar-e-sud-o-ziyan ho jaun
aisa andaz-e-ghazal ho ki zamane mein 'zafar'
daur-e-ainda ki qadron ka nishan ho jaun
ye jaan-gudaz safar dam-e-khwab ho na kahin
ye jan-gudaz safar dam-e-khvab ho na kahin
ravan hai jis men safina sarab ho na kahin
yuun hi utarta na ja sard gahre paani men
chamakta hai jo bahut sehr-e-ab ho na kahin
khada jo jhankta hai kab se garm kamron men
gali men thithura hua mahtab ho na kahin
hava ye kaun si chalti hai ar-par mire
khula hua kisi khvahish ka baab ho na kahin
dilon pe kyuun nahin kartin asar tiri baten
zamin to thiik hai paani kharab ho na kahin
ghhubar se bhari bojhal faza hai dil pe muhit
garaj raha hai jo sar men sahab ho na kahin
sajae phirta hai vo jis ko coat par 'shahin'
mire hi khuun ka mahakta gulab ho na kahin
ye jaan-gudaz safar dam-e-khwab ho na kahin
rawan hai jis mein safina sarab ho na kahin
yun hi utarta na ja sard gahre pani mein
chamakta hai jo bahut sehr-e-ab ho na kahin
khada jo jhankta hai kab se garm kamron mein
gali mein thithura hua mahtab ho na kahin
hawa ye kaun si chalti hai aar-par mere
khula hua kisi khwahish ka bab ho na kahin
dilon pe kyun nahin kartin asar teri baaten
zamin to thik hai pani kharab ho na kahin
ghubar se bhari bojhal faza hai dil pe muhit
garaj raha hai jo sar mein sahab ho na kahin
sajae phirta hai wo jis ko coat par 'shahin'
mere hi khun ka mahakta gulab ho na kahin
mazaq-e-gham se nikhrega shuur-e-karwan kab tak
mazaq-e-ghham se nikhrega shuur-e-karvan kab tak
asir-e-rahbari dhundenge qadmon ke nishan kab tak
zara zakhmon pe dil ke aur thodi si namak-pashi
nikharta hi nahin dekhen ye husn-e-gulsitan kab tak
khudi ko bech kar sajda koi sajda nahin hota
jabin-e-shauq se kah do talash-e-astan kab tak
mire afkar men balidgi hai husn-e-qismat kab
tere honton pe ai shair hadis-e-dil-baran kab tak
numud-e-subh se pahle sar-e-manzil pahunchna hai
dhundlakon se ye ghabrahat amir-e-karvan kab tak
kafan bandhe hue sar se shuur-e-zindagi ubhra
tiri nazron men saaqi gardish-e-ratl-e-garan kab tak
zamana karvaten leta hai taamiri iradon se
na jaane teri ankhon men rahe khvab-e-giran kab tak
asiron ka taalluq kya bahar-e-sahn-e-gulshan se
qafas men aaegi jaane bahar-e-javedan kab tak
khudi se kaam le taqdir shayad kaam aa jaae
hujum-e-ghham men 'faiq' shorish-e-ah-o-fughhan kab tak
mazaq-e-gham se nikhrega shuur-e-karwan kab tak
asir-e-rahbari dhundenge qadmon ke nishan kab tak
zara zakhmon pe dil ke aur thodi si namak-pashi
nikharta hi nahin dekhen ye husn-e-gulsitan kab tak
khudi ko bech kar sajda koi sajda nahin hota
jabin-e-shauq se kah do talash-e-astan kab tak
mere afkar mein baalidgi hai husn-e-qismat kab
tere honton pe ai shair hadis-e-dil-baran kab tak
numud-e-subh se pahle sar-e-manzil pahunchna hai
dhundlakon se ye ghabrahat amir-e-karwan kab tak
kafan bandhe hue sar se shuur-e-zindagi ubhra
teri nazron mein saqi gardish-e-ratl-e-garan kab tak
zamana karwaten leta hai tamiri iradon se
na jaane teri aankhon mein rahe khwab-e-giran kab tak
asiron ka talluq kya bahaar-e-sahn-e-gulshan se
qafas mein aaegi jaane bahaar-e-jawedan kab tak
khudi se kaam le taqdir shayad kaam aa jae
hujum-e-gham mein 'faiq' shorish-e-ah-o-fughan kab tak
~ Salahuddin Faiq Burhanpuri
khabar kise thi ki aisa bhi imtihan hoga
khabar kise thi ki aisa bhi imtihan hoga
jo harz-e-jan hai bana vo vabal-e-jan hoga
main is liye nahin kahta kisi se apne raaz
ki raz-dan ka bhi koi to raz-dan hoga
kabhi to dega vo us gul talak rasai hamen
kabhi to ham pe bhi gulchin vo mehrban hoga
farefta hai hami par ye sham'-e-mahfil bhi
hue na ham to na ye zauq aur saman hoga
murad-e-dil jo 'mudassir' abhi na bar aai
to is tadap ka abhi aur imtihan hoga
khabar kise thi ki aisa bhi imtihan hoga
jo harz-e-jaan hai bana wo wabaal-e-jaan hoga
main is liye nahin kahta kisi se apne raaz
ki raaz-dan ka bhi koi to raaz-dan hoga
kabhi to dega wo us gul talak rasai hamein
kabhi to hum pe bhi gulchin wo mehrban hoga
farefta hai hami par ye sham'-e-mahfil bhi
hue na hum to na ye zauq aur saman hoga
murad-e-dil jo 'mudassir' abhi na bar aai
to is tadap ka abhi aur imtihan hoga
jo sochta hun agar wo bayan ho jae
jo sochta huun agar vo bayan ho jaae
to paani paani ye saara jahan ho jaae
gila hai aankh se un ko zaban se hai gila
qalam ko hukm hai vo be-zaban ho jaae
vahan pe rasta hijrat hi sirf hota hai
jahan zamin ye khud asman ho jaae
tu khud hi soch zara haal us gulistan ka
khizan ke saath jahan baghhban ho jaae
kahan talak bhala utre koi umidon par
ki saans saans jahan imtihan ho jaae
yuun khatm hota hai kirdar baar baar mira
ki khatm biich men hi dastan ho jaae
andheri raat sada de rahi hai andhi ko
hai phir bhi zid ki diya khush-guman ho jaae
main vo diya huun jo suraj ki soch sochta hai
jo chahta hai ki raushan jahan ho jaae
zamana laakh bura chahe khvab tode magar
khuda se kaise koi bad-guman ho jaae
main kaise maan luun us ko bura yahan 'abrak'
khilaf jis ke jahan yak-zaban ho jaae
jo sochta hun agar wo bayan ho jae
to pani pani ye sara jahan ho jae
gila hai aankh se un ko zaban se hai gila
qalam ko hukm hai wo be-zaban ho jae
wahan pe rasta hijrat hi sirf hota hai
jahan zamin ye khud aasman ho jae
tu khud hi soch zara haal us gulistan ka
khizan ke sath jahan baghban ho jae
kahan talak bhala utre koi umidon par
ki sans sans jahan imtihan ho jae
yun khatm hota hai kirdar bar bar mera
ki khatm bich mein hi dastan ho jae
andheri raat sada de rahi hai aandhi ko
hai phir bhi zid ki diya khush-guman ho jae
main wo diya hun jo suraj ki soch sochta hai
jo chahta hai ki raushan jahan ho jae
zamana lakh bura chahe khwab tode magar
khuda se kaise koi bad-guman ho jae
main kaise man lun us ko bura yahan 'abrak'
khilaf jis ke jahan yak-zaban ho jae
You have reached the end.