kuchh din to baso meri aankhon mein
kuchh din to baso miri ankhon men
phir khvab agar ho jaao to kya
koi rang to do mire chehre ko
phir zakhm agar mahkao to kya
jab ham hi na mahke phir sahab
tum bad-e-saba kahlao to kya
ik aaina tha so tuut gaya
ab khud se agar sharmao to kya
tum aas bandhane vaale the
ab tum bhi hamen thukrao to kya
duniya bhi vahi aur tum bhi vahi
phir tum se aas lagao to kya
main tanha tha main tanha huun
tum aao to kya na aao to kya
jab dekhne vaala koi nahin
bujh jaao to kya gahnao to kya
ab vahm hai ye duniya is men
kuchh khoo to kya aur paao to kya
hai yuun bhi ziyan aur yuun bhi ziyan
ji jaao to kya mar jaao to kya
kuchh din to baso meri aankhon mein
phir khwab agar ho jao to kya
koi rang to do mere chehre ko
phir zakhm agar mahkao to kya
jab hum hi na mahke phir sahab
tum baad-e-saba kahlao to kya
ek aaina tha so tut gaya
ab khud se agar sharmao to kya
tum aas bandhane wale the
ab tum bhi hamein thukrao to kya
duniya bhi wahi aur tum bhi wahi
phir tum se aas lagao to kya
main tanha tha main tanha hun
tum aao to kya na aao to kya
jab dekhne wala koi nahin
bujh jao to kya gahnao to kya
ab wahm hai ye duniya is mein
kuchh khoo to kya aur pao to kya
hai yun bhi ziyan aur yun bhi ziyan
ji jao to kya mar jao to kya
ye bhi ek rang hai shayad meri mahrumi ka
koi hans de to mohabbat ka guman hota hai
aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi
aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi
jazbat men vo pahli si shiddat nahin rahi
zof-e-quva ne amad-e-piri ki di naved
vo dil nahin raha vo tabiat nahin rahi
sar men vo intizar ka sauda nahin raha
dil par vo dhadkanon ki hukumat nahin rahi
kamzori-e-nigah ne sanjida kar diya
jalvon se chhed-chhad ki aadat nahin rahi
hathon se intiqam liya irtiash ne
daman-e-yar se koi nisbat nahin rahi
paiham tavaf-e-kucha-e-janan ke din gae
pairon men chalne phirne ki taqat nahin rahi
chehre ko jhurriyon ne bhayanak bana diya
aina dekhne ki bhi himmat nahin rahi
allah jaane maut kahan mar gai 'khumar'
ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi
aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi
jazbaat mein wo pahli si shiddat nahin rahi
zof-e-quwa ne aamad-e-piri ki di nawed
wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi
sar mein wo intizar ka sauda nahin raha
dil par wo dhadkanon ki hukumat nahin rahi
kamzori-e-nigah ne sanjida kar diya
jalwon se chhed-chhad ki aadat nahin rahi
hathon se intiqam liya irtiash ne
daman-e-yar se koi nisbat nahin rahi
paiham tawaf-e-kucha-e-jaanan ke din gae
pairon mein chalne phirne ki taqat nahin rahi
chehre ko jhurriyon ne bhayanak bana diya
aaina dekhne ki bhi himmat nahin rahi
allah jaane maut kahan mar gai 'khumar'
ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi
bas ek bar manaya tha jashn-e-mahrumi
phir us ke baad koi ibtila nahin aai
ek aabla tha so bhi gaya khar-e-gham se phat
teri girah mein kya dil-e-andoh-gin raha
aankhon mein jo baat ho gai hai
ankhon men jo baat ho gai hai
ik sharh-e-hayat ho gai hai
jab dil ki vafat ho gai hai
har chiiz ki raat ho gai hai
ghham se chhut kar ye ghham hai mujh ko
kyuun ghham se najat ho gai hai
muddat se khabar mili na dil ki
shayad koi baat ho gai hai
jis shai pe nazar padi hai teri
tasvir-e-hayat ho gai hai
ab ho mujhe dekhiye kahan subh
un zulfon men raat ho gai hai
dil men tujh se thi jo shikayat
ab ghham ke nikat ho gai hai
iqrar-e-gunah-e-ishq sun lo
mujh se ik baat ho gai hai
jo chiiz bhi mujh ko haath aai
teri saughhat ho gai hai
kya janiye maut pahle kya thi
ab meri hayat ho gai hai
ghatte ghatte tiri inayat
meri auqat ho gai hai
us chashm-e-siyah ki yaad yaksar
sham-e-zulmat ho gai hai
is daur men zindagi bashar ki
bimar ki raat ho gai hai
jiiti hui bazi-e-mohabbat
khela huun to maat ho gai hai
mitne lagin zindagi ki qadren
jab ghham se najat ho gai hai
vo chahen to vaqt bhi badal jaae
jab aae hain raat ho gai hai
duniya hai kitni be-thikana
ashiq ki barat ho gai hai
pahle vo nigah ik kiran thi
ab barq-sifat ho gai hai
jis chiiz ko chhu diya hai tu ne
ik barg-e-nabat ho gai hai
ikka-dukka sada-e-zanjir
zindan men raat ho gai hai
ek ek sifat 'firaq' us ki
dekha hai to zaat ho gai hai
aankhon mein jo baat ho gai hai
ek sharh-e-hayat ho gai hai
jab dil ki wafat ho gai hai
har chiz ki raat ho gai hai
gham se chhut kar ye gham hai mujh ko
kyun gham se najat ho gai hai
muddat se khabar mili na dil ki
shayad koi baat ho gai hai
jis shai pe nazar padi hai teri
taswir-e-hayat ho gai hai
ab ho mujhe dekhiye kahan subh
un zulfon mein raat ho gai hai
dil mein tujh se thi jo shikayat
ab gham ke nikat ho gai hai
iqrar-e-gunah-e-ishq sun lo
mujh se ek baat ho gai hai
jo chiz bhi mujh ko hath aai
teri saughat ho gai hai
kya jaaniye maut pahle kya thi
ab meri hayat ho gai hai
ghatte ghatte teri inayat
meri auqat ho gai hai
us chashm-e-siyah ki yaad yaksar
sham-e-zulmat ho gai hai
is daur mein zindagi bashar ki
bimar ki raat ho gai hai
jiti hui bazi-e-mohabbat
khela hun to mat ho gai hai
mitne lagin zindagi ki qadren
jab gham se najat ho gai hai
wo chahen to waqt bhi badal jae
jab aae hain raat ho gai hai
duniya hai kitni be-thikana
aashiq ki baraat ho gai hai
pahle wo nigah ek kiran thi
ab barq-sifat ho gai hai
jis chiz ko chhu diya hai tu ne
ek barg-e-nabaat ho gai hai
ikka-dukka sada-e-zanjir
zindan mein raat ho gai hai
ek ek sifat 'firaq' us ki
dekha hai to zat ho gai hai
dil ko taskin-e-yar le dubi
dil ko taskin-e-yar le duubi
is chaman ko bahar le duubi
ashk to pi gae ham un ke huzur
ah-e-be-ikhtiyar le duubi
ishq ke karobar ko aksar
garmi-e-karobar le duubi
hal-e-ghham un se baar baar kaha
aur hansi baar baar le duubi
tere har mashvare ko ai naseh
aaj phir yad-e-yar le duubi
chaar din ka hi saath tha lekin
zindagi ai 'khumar' le duubi
dil ko taskin-e-yar le dubi
is chaman ko bahaar le dubi
ashk to pi gae hum un ke huzur
aah-e-be-ikhtiyar le dubi
ishq ke karobar ko aksar
garmi-e-karobar le dubi
haal-e-gham un se bar bar kaha
aur hansi bar bar le dubi
tere har mashware ko ai naseh
aaj phir yaad-e-yar le dubi
chaar din ka hi sath tha lekin
zindagi ai 'khumar' le dubi
tum in lakiron mein ek khushi bhi talash kar lo to moajiza hai
ki main to bachpan se jaanta hun meri hatheli ka nam dukh hai
kisi bhi hashr se mahrum hi raha wo bhi
meri tarah ka jo kirdar tha kahani mein
ab tu ho kisi rang mein zahir to mujhe kya
ab tu ho kisi rang men zahir to mujhe kya
thahre tire ghar koi musafir to mujhe kya
virana-e-jan ki jo faza thi so rahegi
chahke kisi gulshan men vo taair to mujhe kya
vo shama mire ghar men to be-nur hi thahri
bazar men vo jins ho nadir to mujhe kya
vo rang-fishan aankh vo tasvir-numa haath
dikhlaen nae roz manazir to mujhe kya
main ne use chaha tha to chaha na gaya main
chahe mujhe ab vo miri khatir to mujhe kya
duniya ne to jaana ki numu us men hai meri
ab ho vo miri zaat ka munkir to mujhe kya
ik khvab tha aur bujh gaya ankhon hi men apni
ab koi pukare mire shair to mujhe kya
ab tu ho kisi rang mein zahir to mujhe kya
thahre tere ghar koi musafir to mujhe kya
virana-e-jaan ki jo faza thi so rahegi
chahke kisi gulshan mein wo tair to mujhe kya
wo shama mere ghar mein to be-nur hi thahri
bazar mein wo jins ho nadir to mujhe kya
wo rang-fishan aankh wo taswir-numa hath
dikhlaen nae roz manazir to mujhe kya
main ne use chaha tha to chaha na gaya main
chahe mujhe ab wo meri khatir to mujhe kya
duniya ne to jaana ki numu us mein hai meri
ab ho wo meri zat ka munkir to mujhe kya
ek khwab tha aur bujh gaya aankhon hi mein apni
ab koi pukare mere shair to mujhe kya
raston se kya gila hai jo manzil yahan nahin
raston se kya gila hai jo manzil yahan nahin
jis paar tha utarna vo sahil yahan nahin
maana vahi hai shahr vahi bhid-bhad hai
jis ko miri talash vo mahfil yahan nahin
lazim hai kyuun hami pe har ik khvab dekhna
kyuun ham kisi ke khvab ka hasil yahan nahin
mumkin kahan hai aur ki ab justuju ai dil
jab ik nazar ke bhi koi qabil yahan nahin
tum aur tumhare baa'd ye asaniyan huiin
ab aur koi bhi hamen mushkil yahan nahin
nindon ko ham se bichhde zamane guzar gae
yadon se aaj kahna vo ghhafil yahan nahin
jo bhi yahan pe nikla mohabbat hai bantne
dariya men phenk aaya ki saail yahan nahin
'abrak' utho chalo kahin dete hain aur jaan
tu jis ko dhundta hai vo qatil yahan nahin
raston se kya gila hai jo manzil yahan nahin
jis par tha utarna wo sahil yahan nahin
mana wahi hai shahr wahi bhid-bhad hai
jis ko meri talash wo mahfil yahan nahin
lazim hai kyun hami pe har ek khwab dekhna
kyun hum kisi ke khwab ka hasil yahan nahin
mumkin kahan hai aur ki ab justuju ai dil
jab ek nazar ke bhi koi qabil yahan nahin
tum aur tumhaare ba'd ye aasaniyan huin
ab aur koi bhi hamein mushkil yahan nahin
nindon ko hum se bichhde zamane guzar gae
yaadon se aaj kahna wo ghafil yahan nahin
jo bhi yahan pe nikla mohabbat hai bantne
dariya mein phenk aaya ki sail yahan nahin
'abrak' utho chalo kahin dete hain aur jaan
tu jis ko dhundta hai wo qatil yahan nahin
kabhi to badh aa ke apne sath sab baha gai
kabhi kisan barishon ki rah dekhta raha
jine ke un ke sath bahane chale gae
jiine ke un ke saath bahane chale gae
uth kar gae vo yuun ki zamane chale gae
ehsas jin ke hone se hone ka tha kabhi
un be-gharon ke saare thikane chale gae
karna yahan pe kya tha magar kar rahe hain kya
ham kya karen ki apne siyane chale gae
jo paas the to qissa bhi kya dil-fareb tha
kholi jo ab kitab fasane chale gae
raunaq to chaar su hai magar muflison ko kya
khali hain un ki jeben khazane chale gae
tapta hai aftab to jalti hai ye zamin
mausam bhi un ke saath suhane chale gae
hasid samajh na liije yunhi sochta huun main
ab vo na jaane kis ko rijhane chale gae
'abrak' mohabbaton men na da've kiya karen
kyuun khud na aap un ko manane chale gae
jine ke un ke sath bahane chale gae
uth kar gae wo yun ki zamane chale gae
ehsas jin ke hone se hone ka tha kabhi
un be-gharon ke sare thikane chale gae
karna yahan pe kya tha magar kar rahe hain kya
hum kya karen ki apne siyane chale gae
jo pas the to qissa bhi kya dil-fareb tha
kholi jo ab kitab fasane chale gae
raunaq to chaar su hai magar muflison ko kya
khali hain un ki jeben khazane chale gae
tapta hai aaftab to jalti hai ye zamin
mausam bhi un ke sath suhane chale gae
hasid samajh na lije yunhi sochta hun main
ab wo na jaane kis ko rijhane chale gae
'abrak' mohabbaton mein na da'we kiya karen
kyun khud na aap un ko manane chale gae
shikwa-e-be-chaargi 'maikash' kisi se kyon karen
'ishq to mahrumi-e-dil ke siwa kuchh bhi nahin
dil-bagh ki aziz kali chhin li gai
dil-baghh ki 'aziz kali chhin li gai
vo lazmi thi aur vahi chhin li gai
pahle hamari ankhon ki chhini gai chamak
phir dhire dhire kar ke nami chhin li gai
main chahta tha mujh ko khuda kar de sab 'ata
sab kuchh 'ata hua to kami chhin li gai
va'da hai thiik vaise hi chhinunga sab ke ghham
jaise ki mujh se meri khushi chhin li gai
sab sipiyan nikal ke dariya ke pet se
dariya se us ki dariya-dili chhin li gai
dil-bagh ki 'aziz kali chhin li gai
wo lazmi thi aur wahi chhin li gai
pahle hamari aankhon ki chhini gai chamak
phir dhire dhire kar ke nami chhin li gai
main chahta tha mujh ko khuda kar de sab 'ata
sab kuchh 'ata hua to kami chhin li gai
wa'da hai thik waise hi chhinunga sab ke gham
jaise ki mujh se meri khushi chhin li gai
sab sipiyan nikal ke dariya ke pet se
dariya se us ki dariya-dili chhin li gai
junun ne khud se bhi be-zar kar diya hai mujhe
junun ne khud se bhi be-zar kar diya hai mujhe
main achchha khasa tha bimar kar diya hai mujhe
bhala main kaise rah-e-'ishq se bhatak jaun
kisi ne pahle hi hushyar kar diya hai mujhe
adab sikhaya tha mujh ko to she'r-goi ne
musha'iron ne adakar kar diya hai mujhe
ab us ke kuche men jaane se faeda kya hai
jab us ne milne se inkar kar diya hai mujhe
vo jis ke pyaar men divana ho gaya huun main
usi ne ziist se bezar kar diya hai mujhe
'ajib nashsha sa taari hai zehn-o-dil pe mire
kisi ke husn ne sarshar kar diya hai mujhe
jhuka hua hai mira jis ki bargah men sar
usi ne sahab-e-dastar kar diya hai mujhe
miri ana ki is avaz ne hi ai 'najmi'
mire khilaf kai baar kar diya hai mujhe
junun ne khud se bhi be-zar kar diya hai mujhe
main achchha khasa tha bimar kar diya hai mujhe
bhala main kaise rah-e-'ishq se bhatak jaun
kisi ne pahle hi hushyar kar diya hai mujhe
adab sikhaya tha mujh ko to she'r-goi ne
musha'iron ne adakar kar diya hai mujhe
ab us ke kuche mein jaane se faeda kya hai
jab us ne milne se inkar kar diya hai mujhe
wo jis ke pyar mein diwana ho gaya hun main
usi ne zist se bezar kar diya hai mujhe
'ajib nashsha sa tari hai zehn-o-dil pe mere
kisi ke husn ne sarshaar kar diya hai mujhe
jhuka hua hai mera jis ki bargah mein sar
usi ne sahab-e-dastar kar diya hai mujhe
meri ana ki is aawaz ne hi ai 'najmi'
mere khilaf kai bar kar diya hai mujhe
You have reached the end.