bahut dil ko kushada kar liya kya
bahut dil ko kushada kar liya kya
zamane bhar se vaada kar liya kya
to kya sach-much judai mujh se kar li
to khud apne ko aadha kar liya kya
hunar-mandi se apni dil ka safha
miri jaan tum ne saada kar liya kya
jo yaksar jaan hai us ke badan se
kaho kuchh istifada kar liya kya
bahut katra rahe ho mughhbachon se
gunah-e-tark-e-bada kar liya kya
yahan ke log kab ke ja chuke hain
safar jada-ba-jada kar liya kya
uthaya ik qadam tu ne na us tak
bahut apne ko manda kar liya kya
tum apni kaj-kulahi haar baithin
badan ko be-libada kar liya kya
bahut nazdik aati ja rahi ho
bichhadne ka irada kar liya kya
bahut dil ko kushada kar liya kya
zamane bhar se wada kar liya kya
to kya sach-much judai mujh se kar li
to khud apne ko aadha kar liya kya
hunar-mandi se apni dil ka safha
meri jaan tum ne sada kar liya kya
jo yaksar jaan hai us ke badan se
kaho kuchh istifada kar liya kya
bahut katra rahe ho mughbachon se
gunah-e-tark-e-baada kar liya kya
yahan ke log kab ke ja chuke hain
safar jada-ba-jada kar liya kya
uthaya ek qadam tu ne na us tak
bahut apne ko manda kar liya kya
tum apni kaj-kulahi haar baithin
badan ko be-libaada kar liya kya
bahut nazdik aati ja rahi ho
bichhadne ka irada kar liya kya
kaha jo humne hamen dar se kyun uthate ho
kaha jo ham ne ''hamen dar se kyuun uthate ho''
kaha ki ''is liye tum yaan jo ghhul machate ho''
kaha ''ladate ho kyuun ham se ghhair ko hamdam''
kaha ki ''tum bhi to ham se nigah ladate ho''
kaha jo hal-e-dil apna to us ne hans hans kar
kaha ''ghhalat hai ye baten jo tum banate ho''
kaha ''jatate ho kyuun ham se roz naz-o-ada''
kaha ki ''tum bhi to chahat hamen jatate ho''
kaha ki ''arz karen ham pe jo guzarta hai?''
kaha ''khabar hai hamen kyuun zaban pe laate ho''
kaha ki ''ruthe ho kyuun ham se kya sabab is kaa''
kaha ''sabab hai yahi tum jo dil chhupate ho''
kaha ki ''ham nahin aane ke yan'' to us ne 'nazir'
kaha ki ''socho to kya aap se tum aate ho''
kaha jo hum ne hamen dar se kyun uthate ho
kaha ki is liye tum yan jo ghul machate ho
kaha ladate ho kyun hum se ghair ko hamdam
kaha ki tum bhi to hum se nigah ladate ho
kaha jo haal-e-dil apna to us ne hans hans kar
kaha ghalat hai ye baaten jo tum banate ho
kaha jatate ho kyun hum se roz naz-o-ada
kaha ki tum bhi to chahat hamein jatate ho
kaha ki arz karen hum pe jo guzarta hai?
kaha khabar hai hamein kyun zaban pe late ho
kaha ki ruthe ho kyun hum se kya sabab is ka
kaha sabab hai yahi tum jo dil chhupate ho
kaha ki ham nahin aane ke yan to us ne 'nazir'
kaha ki socho to kya aap se tum aate ho
puchha ki wajh-e-zindagi bole ki dildari meri
puchha ki vajh-e-zindagi bole ki dildari miri
puchha ki marne ka sabab bole jafa-kari miri
puchha ki dil ko kya kahun bole ki divana mira
puchha ki us ko kya hua bole ki bimari miri
puchha sata ke ranj kyuun bole ki pachhtana pada
puchha ki rusva kaun hai bole dil-azari miri
puchha ki dozakh ki jalan bole ki soz-e-dil tira
puchha ki jannat ki phaban bole tarah-dari miri
puchha ki 'muztar' kyuun kiya bole ki dil chaha mira
puchha tasalli kaun de bole ki ghham-khvari miri
puchha ki wajh-e-zindagi bole ki dildari meri
puchha ki marne ka sabab bole jafa-kari meri
puchha ki dil ko kya kahun bole ki diwana mera
puchha ki us ko kya hua bole ki bimari meri
puchha sata ke ranj kyun bole ki pachhtana pada
puchha ki ruswa kaun hai bole dil-azari meri
puchha ki dozakh ki jalan bole ki soz-e-dil tera
puchha ki jannat ki phaban bole tarah-dari meri
puchha ki 'muztar' kyun kiya bole ki dil chaha mera
puchha tasalli kaun de bole ki gham-khwari meri
kaha maine meri aankhon mein pani hai
kaha main ne miri ankhon men paani hai
javab aaya mohabbat ki nishani hai
kaha main ne lagi dil ki bujhani hai
javab aaya ye jazba javedani hai
kaha main ne khilenge kab vafa ke phuul
javab aaya abhi mausam khizani hai
kaha main ne mohabbat mehvar-e-hasti
javab aaya bala-e-na-gahani hai
kaha main ne ki har lamha sisakta huun
javab aaya ki ulfat to nibhani hai
kaha main ne sitam itna nahin achchha
javab aaya mohabbat azmani hai
kaha main ne mata-e-zist yaani tu
javab aaya yahan har chiiz faani hai
kaha main ne ki dekh in surkh ankhon men
javab aaya mohabbat asmani hai
kaha main ne ki kyon itne gurezan ho
javab aaya tumhari mehrbani hai
kaha main ne miri ghhazlon ki jaan ho tum
javab aaya tumhari khush-gumani hai
kaha main ne khamoshi maar dalegi
javab un ka mukammal be-zabani hai
kaha main ne sunao hal-e-dil 'raghhib'
javab aaya bahut lambi kahani hai
kaha main ne meri aankhon mein pani hai
jawab aaya mohabbat ki nishani hai
kaha main ne lagi dil ki bujhani hai
jawab aaya ye jazba jawedani hai
kaha main ne khilenge kab wafa ke phul
jawab aaya abhi mausam khizani hai
kaha main ne mohabbat mehwar-e-hasti
jawab aaya bala-e-na-gahani hai
kaha main ne ki har lamha sisakta hun
jawab aaya ki ulfat to nibhani hai
kaha main ne sitam itna nahin achchha
jawab aaya mohabbat aazmani hai
kaha main ne mata-e-zist yani tu
jawab aaya yahan har chiz fani hai
kaha main ne ki dekh in surkh aankhon mein
jawab aaya mohabbat aasmani hai
kaha main ne ki kyon itne gurezan ho
jawab aaya tumhaari mehrbani hai
kaha main ne meri ghazlon ki jaan ho tum
jawab aaya tumhaari khush-gumani hai
kaha main ne khamoshi mar dalegi
jawab un ka mukammal be-zabani hai
kaha main ne sunao haal-e-dil 'raghib'
jawab aaya bahut lambi kahani hai
usne kaha hasti teri maine kaha jalwa tera
us ne kaha hasti tiri main ne kaha jalva tira
us ne kaha phir nisti main ne kaha parda tira
us ne kaha jaana mira main ne kaha meri ajal
us ne kaha phir zindagi main ne kaha aana tira
us ne kaha sham-e-bala main ne kaha gesu tire
us ne kaha subh-e-safa main ne kaha chehra tira
us ne kaha baran-e-ghham main ne kaha rona mira
us ne kaha barq-e-sitam main ne kaha hansna tira
us ne kaha tu kaun hai main ne kaha naqsh-e-qadam
us ne kaha manzil tiri main ne kaha kucha tira
us ne kaha kya kaam hai main ne kaha khidmat tiri
us ne kaha kya naam hai main ne kaha banda tira
us ne kaha dil le gaya main ne kaha haan le gaya
us ne kaha vo kaun tha main ne kaha ghhamza tira
us ne kaha kya dil men hai main ne kaha ulfat tiri
us ne kaha kya sar men hai main ne kaha sauda tira
us ne kaha kis se gila main ne kaha taqdir se
us ne kaha taqdir kya main ne kaha mansha tira
us ne kaha shab kaun tha main ne kaha 'taufiq' tha
us ne kaha vo kaun hai main ne kaha shaida tira
us ne kaha hasti teri main ne kaha jalwa tera
us ne kaha phir nisti main ne kaha parda tera
us ne kaha jaana mera main ne kaha meri ajal
us ne kaha phir zindagi main ne kaha aana tera
us ne kaha sham-e-bala main ne kaha gesu tere
us ne kaha subh-e-safa main ne kaha chehra tera
us ne kaha baran-e-gham main ne kaha rona mera
us ne kaha barq-e-sitam main ne kaha hansna tera
us ne kaha tu kaun hai main ne kaha naqsh-e-qadam
us ne kaha manzil teri main ne kaha kucha tera
us ne kaha kya kaam hai main ne kaha khidmat teri
us ne kaha kya nam hai main ne kaha banda tera
us ne kaha dil le gaya main ne kaha han le gaya
us ne kaha wo kaun tha main ne kaha ghamza tera
us ne kaha kya dil mein hai main ne kaha ulfat teri
us ne kaha kya sar mein hai main ne kaha sauda tera
us ne kaha kis se gila main ne kaha taqdir se
us ne kaha taqdir kya main ne kaha mansha tera
us ne kaha shab kaun tha main ne kaha 'taufiq' tha
us ne kaha wo kaun hai main ne kaha shaida tera
kaha takhliq-e-fan bole bahut dushwar to hogi
kaha takhliq-e-fan bole bahut dushvar to hogi
kaha makhluq bole bais-e-azar to hogi
kaha: ham kya karen is ahd-e-na-pursan men kuchh kahiye
vo bole koi akhir surat-e-izhar to hogi
kaha: ham apni marzi se safar bhi kar nahin sakte
vo bole har qadam par ik nai divar to hogi
kaha: ankhen nahin is ghham men binai bhi jaati hai
vo bole hijr ki shab hai zara dushvar to hogi
kaha: jalta hai dil bole ise jalne diya jaae
andhere men kisi ko raushni darkar to hogi
kaha: ye kucha-gardi aur kitni der tak akhir
vo bole ishq men mitti tumhari khvar to hogi
kaha takhliq-e-fan bole bahut dushwar to hogi
kaha makhluq bole bais-e-azar to hogi
kaha: hum kya karen is ahd-e-na-pursan mein kuchh kahiye
wo bole koi aakhir surat-e-izhaar to hogi
kaha: hum apni marzi se safar bhi kar nahin sakte
wo bole har qadam par ek nai diwar to hogi
kaha: aankhen nahin is gham mein binai bhi jati hai
wo bole hijr ki shab hai zara dushwar to hogi
kaha: jalta hai dil bole ise jalne diya jae
andhere mein kisi ko raushni darkar to hogi
kaha: ye kucha-gardi aur kitni der tak aakhir
wo bole ishq mein mitti tumhaari khwar to hogi
main boli tere lab par hai hansi meri
main boli tere lab par hai hansi meri
vo bola mat badhao bekali meri
main boli shahzade mol kya mera
vo bola shahzadi zindagi meri
men boli tirgi har-su ziyada hai
vo bola phailne do raushni meri
main boli hijr men kaise jiyoge tum
vo bola ruk na jaae saans hi meri
main boli khvab kis ka dekhte ho tum
vo bola aankh men dekho kabhi meri
main boli kyuun bahut bechain rahte ho
vo bola qahr hai dil ki lagi meri
main boli tum sukhan ke shahzade ho
vo bola tum ho janan shairi meri
main boli zindagi par dukh ke saae hain
vo bola tum 'rabab' ab har khushi meri
main boli tere lab par hai hansi meri
wo bola mat badhao bekali meri
main boli shahzade mol kya mera
wo bola shahzadi zindagi meri
mein boli tirgi har-su ziyaada hai
wo bola phailne do raushni meri
main boli hijr mein kaise jiyoge tum
wo bola ruk na jae sans hi meri
main boli khwab kis ka dekhte ho tum
wo bola aankh mein dekho kabhi meri
main boli kyun bahut bechain rahte ho
wo bola qahr hai dil ki lagi meri
main boli tum sukhan ke shahzade ho
wo bola tum ho jaanan shairi meri
main boli zindagi par dukh ke sae hain
wo bola tum 'rabab' ab har khushi meri
main kaha ek ada kar to laga kahne un-hun
main kaha ek ada kar to laga kahne ''un-hun''
dekh tuk aankh chura kar to laga kahne ''un-hun''
sab se hansta tha vo kal, ro ke jo main bol utha
ham se bhi tuk tu hansa kar to laga kahne ''un-hun''
main kaha dil ko main le jaun to bola vo ki ''hun''
le chala jab main utha kar to laga kahne ''un-hun''
main kaha sabr o dil o diin ne vafa ham se na ki
be-vafa tu to vafa kar to laga kahne ''un-hun''
main kaha jam-e-mai piite ho to bola vo ki ''hun''
jab kaha laun chhupa kar to laga kahne ''un-hun''
main kaha sohbat-e-aghhyar bari hai pyare
un se itna na mila kar to laga kahne ''un-hun''
main kaha ishq ko izhar karun bola ''hun''
jab kaha kahta huun ja kar to laga kahne ''un-hun''
main kaha samjhe hai azar mira bola ''hun''
jab kaha kuchh to dava kar to laga kahne ''un-hun''
main kaha ab tiri duuri se hai 'jurat' be-tab
kuchh to kah paas bala kar to laga kahne ''un-hun''
main kaha ek ada kar to laga kahne un-hun
dekh tuk aankh chura kar to laga kahne un-hun
sab se hansta tha wo kal, ro ke jo main bol utha
hum se bhi tuk tu hansa kar to laga kahne un-hun
main kaha dil ko main le jaun to bola wo ki hun
le chala jab main utha kar to laga kahne un-hun
main kaha sabr o dil o din ne wafa hum se na ki
be-wafa tu to wafa kar to laga kahne un-hun
main kaha jam-e-mai pite ho to bola wo ki hun
jab kaha laun chhupa kar to laga kahne un-hun
main kaha sohbat-e-aghyar bari hai pyare
un se itna na mila kar to laga kahne un-hun
main kaha ishq ko izhaar karun bola hun
jab kaha kahta hun ja kar to laga kahne un-hun
main kaha samjhe hai aazar mera bola hun
jab kaha kuchh to dawa kar to laga kahne un-hun
main kaha ab teri duri se hai 'jurat' be-tab
kuchh to kah pas bala kar to laga kahne un-hun
maine kaha ki tajziya-e-jism-o-jaan karo
main ne kaha ki tajziya-e-jism-o-jan karo
us ne kaha ye baat supurd-e-butan karo
main ne kaha ki bahar-e-abad ka koi suraghh
us ne kaha taaqub-e-lala-e-rukhan karo
main ne kaha ki sarf-e-dil-e-raegan hai kya
us ne kaha ki arzu-e-raegan karo
main ne kaha ki 'ishq men bhi ab maza nahin
us ne kaha ki az-sar-e-nau imtihan karo
main ne kaha ki aur koi pand-e-khush-gavar
us ne kaha ki khidmat-e-pir-e-mughhan karo
main ne kaha ham se zamana hai sar-garan
us ne kaha ki aur ise sar-garan karo
main ne kaha ki zohd sarasar fareb hai
us ne kaha ye baat yahan kam bayan karo
main ne kaha ki hadd-e-adab men nahin 'zafar'
us ne kaha na band kisi ki zaban karo
main ne kaha ki tajziya-e-jism-o-jaan karo
us ne kaha ye baat supurd-e-butan karo
main ne kaha ki bahaar-e-abad ka koi suragh
us ne kaha taaqub-e-lala-e-rukhan karo
main ne kaha ki sarf-e-dil-e-raegan hai kya
us ne kaha ki aarzu-e-raegan karo
main ne kaha ki 'ishq mein bhi ab maza nahin
us ne kaha ki az-sar-e-nau imtihan karo
main ne kaha ki aur koi pand-e-khush-gawar
us ne kaha ki khidmat-e-pir-e-mughan karo
main ne kaha hum se zamana hai sar-garan
us ne kaha ki aur ise sar-garan karo
main ne kaha ki zohd sarasar fareb hai
us ne kaha ye baat yahan kam bayan karo
main ne kaha ki hadd-e-adab mein nahin 'zafar'
us ne kaha na band kisi ki zaban karo
bola hain rang kitne zamane ke aur bhi
bola hain rang kitne zamane ke aur bhi
us ne kaha hain bhed batane ke aur bhi
bola tumhare dil men mohabbat ne ghar kiya
main ne kaha hain rog lagane ke aur bhi
main ne kaha vafa ki kabhi dastan suni
bola hain qisse sunne sunane ke aur bhi
izhar se buland hai main ne bataya ishq
bola maze hain is ko jatane ke aur bhi
batlaya rah-e-ishq hai dushvar soch lo
kahne laga hain raste aane ke aur bhi
bola hain rang kitne zamane ke aur bhi
us ne kaha hain bhed batane ke aur bhi
bola tumhaare dil mein mohabbat ne ghar kiya
main ne kaha hain rog lagane ke aur bhi
main ne kaha wafa ki kabhi dastan suni
bola hain qisse sunne sunane ke aur bhi
izhaar se buland hai main ne bataya ishq
bola maze hain is ko jatane ke aur bhi
batlaya rah-e-ishq hai dushwar soch lo
kahne laga hain raste aane ke aur bhi
abas hai naz-e-istighna pe kal ki kya khabar kya ho
abas hai naz-e-istighhna pe kal ki kya khabar kya ho
khuda maalum ye saman kya ho jaae sar kya ho
ye ah-e-be-asar kya ho ye nakhl-e-be-samar kya ho
na ho jab dard hi ya-rab to dil kya ho jigar kya ho
jahan insan kho jaata ho khud phir us ki mahfil men
rasai kis tarah ho dakhl kyunkar ho guzar kya ho
na puchhunga main ye bhi jaam men hai zahr ya amrit
tumhare haath se andesha-e-naf-o-zarar kya ho
muravvat se ho begana vafa se duur ho koson
ye sach hai naznin ho khubsurat ho magar kya ho
shagufe dekh kar mutthi men zar ko muskurate hain
ki jab umr is qadar kotah rakhte hain to zar kya ho
raha karti hai ye hairat mujhe zuhd-e-riyai par
khuda se jo nahin darta use bande ka dar kya ho
kaha main ne ki 'nazm'-e-mubtala marta hai hasrat men
kaha us ne agar mar jaae to mera zarar kya ho
kaha main ne ki hai soz-e-jigar aur uff nahin karta
kaha is ki ijazat hi nahin phir nauhagar kya ho
kaha main ne ki de us ko ijazat aah karne ki
kaha us ne bhadak utthe agar soz-e-jigar kya ho
kaha main ne ki aansu aankh ka lekin nahin thamta
kaha ankhen koi talvon se mal daale agar kya ho
kaha main ne qadam bhar par hai vo surat dikha aao
kaha munh pher kar itna kisi ko dard-e-sar kya ho
kaha main ne asar mutlaq nahin kya sang-dil hai tu
kaha jab dil ho patthar ka to patthar par asar kya ho
kaha main ne jo mar jaae to kya ho soch tu dil men
kaha na-aqibat-andesh ne kuchh soch kar kya ho
kaha main ne khabar bhi hai ki di jaan us ne ghut ghat kar
kaha mar jaae chupke se to phir mujh ko khabar kya ho
abas hai naz-e-istighna pe kal ki kya khabar kya ho
khuda malum ye saman kya ho jae sar kya ho
ye aah-e-be-asar kya ho ye nakhl-e-be-samar kya ho
na ho jab dard hi ya-rab to dil kya ho jigar kya ho
jahan insan kho jata ho khud phir us ki mahfil mein
rasai kis tarah ho dakhl kyunkar ho guzar kya ho
na puchhunga main ye bhi jam mein hai zahr ya amrit
tumhaare hath se andesha-e-naf-o-zarar kya ho
murawwat se ho begana wafa se dur ho koson
ye sach hai naznin ho khubsurat ho magar kya ho
shagufe dekh kar mutthi mein zar ko muskuraate hain
ki jab umr is qadar kotah rakhte hain to zar kya ho
raha karti hai ye hairat mujhe zuhd-e-riyai par
khuda se jo nahin darta use bande ka dar kya ho
kaha main ne ki 'nazm'-e-mubtala marta hai hasrat mein
kaha us ne agar mar jae to mera zarar kya ho
kaha main ne ki hai soz-e-jigar aur uff nahin karta
kaha is ki ijazat hi nahin phir nauhagar kya ho
kaha main ne ki de us ko ijazat aah karne ki
kaha us ne bhadak utthe agar soz-e-jigar kya ho
kaha main ne ki aansu aankh ka lekin nahin thamta
kaha aankhen koi talwon se mal dale agar kya ho
kaha main ne qadam bhar par hai wo surat dikha aao
kaha munh pher kar itna kisi ko dard-e-sar kya ho
kaha main ne asar mutlaq nahin kya sang-dil hai tu
kaha jab dil ho patthar ka to patthar par asar kya ho
kaha main ne jo mar jae to kya ho soch tu dil mein
kaha na-aqibat-andesh ne kuchh soch kar kya ho
kaha main ne khabar bhi hai ki di jaan us ne ghut ghat kar
kaha mar jae chupke se to phir mujh ko khabar kya ho
maine kaha ki shahr mein ek charagh bhi nahin
main ne kaha ki shahr men ek charaghh bhi nahin
us ne kaha ki zakhm bhi kya nahin daaghh bhi nahin
main ne kaha ki akhirash mujh ko khuda na mil saka
us ne kaha ki mere paas apna suraghh bhi nahin
main ne kaha ki ashiqi us ne kaha ki haae haae
ab vo umang bhi kahan ab vo faraghh bhi nahin
main ne kaha ki gul-farosh saare gulab le gae
us ne kaha ki kal talak dekhiye baaghh bhi nahin
main ne kaha ki 'shahryar' aap se kuchh malul hain
us ne kaha ki thiik hai mujh ko dimaghh bhi nahin
main ne kaha ki shahr mein ek charagh bhi nahin
us ne kaha ki zakhm bhi kya nahin dagh bhi nahin
main ne kaha ki aakhirash mujh ko khuda na mil saka
us ne kaha ki mere pas apna suragh bhi nahin
main ne kaha ki aashiqi us ne kaha ki hae hae
ab wo umang bhi kahan ab wo faragh bhi nahin
main ne kaha ki gul-farosh sare gulab le gae
us ne kaha ki kal talak dekhiye bagh bhi nahin
main ne kaha ki 'shahryar' aap se kuchh malul hain
us ne kaha ki thik hai mujh ko dimagh bhi nahin
main jo kahta hun tu kajrawi chhod de
main jo kahta huun tu kajravi chhod de
vo ye kahti hai tu dosti chhod de
main ye kahta huun mujh ko divana bana
vo ye kahti hai divangi chhod de
jab main tarif karta huun us ki kabhi
tab vo kahti hai bas shairi chhod de
jab kabhi dil ki baten batata huun main
tab vo kahti hai ab dil lagi chhod de
jab main kahta huun hai jaan hazir miri
vo ye kahti hai ab jaan miri chhod de
jab main kahta huun jiina hai mushkil bahut
tab vo kahti hai ja zindagi chhod de
main jo kahta hun tu kajrawi chhod de
wo ye kahti hai tu dosti chhod de
main ye kahta hun mujh ko diwana bana
wo ye kahti hai diwangi chhod de
jab main tarif karta hun us ki kabhi
tab wo kahti hai bas shairi chhod de
jab kabhi dil ki baaten batata hun main
tab wo kahti hai ab dil lagi chhod de
jab main kahta hun hai jaan hazir meri
wo ye kahti hai ab jaan meri chhod de
jab main kahta hun jina hai mushkil bahut
tab wo kahti hai ja zindagi chhod de
kaha ye maine ki apni aankhon mein khwab rakhna
kaha ye main ne ki apni ankhon men khvab rakhna
kaha ye us ne ki aankh rakhna 'azab rakhna
ye main ne puchha tha log kyuun mar rahe hain itne
javab aaya tum un ke khuun ka hisab rakhna
kaha ye main ne zamin par amn ho sakega
kaha ki hathon men 'ilm rakhna kitab rakhna
kaha ye main ne ki zindagi kis tarah kategi
kaha ye us ne ki chahatin be-hisab rakhna
kaha ye main ne havaen hain tund-o-tez kitni
vo hans ke boli ki kashtiyan zer-e-ab rakhna
kaha ye us ne ki daere se nikal ke dekhen
kaha ki pahle koi safar intikhab rakhna
kaha ye us ne ki bhiid men ham bichhad na jaaen
kaha ki juude men ek taaza gulab rakhna
kaha ye us ne ki ham agar sach ka saath den to
kaha ye main ne ki zakhm sahne ki taab rakhna
kaha ye main ne ki apni aankhon mein khwab rakhna
kaha ye us ne ki aankh rakhna 'azab rakhna
ye main ne puchha tha log kyun mar rahe hain itne
jawab aaya tum un ke khun ka hisab rakhna
kaha ye main ne zamin par amn ho sakega
kaha ki hathon mein 'ilm rakhna kitab rakhna
kaha ye main ne ki zindagi kis tarah kategi
kaha ye us ne ki chahatin be-hisab rakhna
kaha ye main ne hawaen hain tund-o-tez kitni
wo hans ke boli ki kashtiyan zer-e-ab rakhna
kaha ye us ne ki daere se nikal ke dekhen
kaha ki pahle koi safar intikhab rakhna
kaha ye us ne ki bhid mein hum bichhad na jaen
kaha ki jude mein ek taza gulab rakhna
kaha ye us ne ki hum agar sach ka sath den to
kaha ye main ne ki zakhm sahne ki tab rakhna
You have reached the end.