Poetry Collection

Mukalimati Ghazal

Mukalimati Ghazal par curated selection jahan sher, ghazal aur nazm ko readable format me discover kiya ja sakta hai.

Total

14

Sher

0

Ghazal

14

Nazm

0

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

GhazalRead Full

bahut dil ko kushada kar liya kya

bahut dil ko kushada kar liya kya zamane bhar se vaada kar liya kya to kya sach-much judai mujh se kar li to khud apne ko aadha kar liya kya hunar-mandi se apni dil ka safha miri jaan tum ne saada kar liya kya jo yaksar jaan hai us ke badan se kaho kuchh istifada kar liya kya bahut katra rahe ho mughhbachon se gunah-e-tark-e-bada kar liya kya yahan ke log kab ke ja chuke hain safar jada-ba-jada kar liya kya uthaya ik qadam tu ne na us tak bahut apne ko manda kar liya kya tum apni kaj-kulahi haar baithin badan ko be-libada kar liya kya bahut nazdik aati ja rahi ho bichhadne ka irada kar liya kya bahut dil ko kushada kar liya kya zamane bhar se wada kar liya kya to kya sach-much judai mujh se kar li to khud apne ko aadha kar liya kya hunar-mandi se apni dil ka safha meri jaan tum ne sada kar liya kya jo yaksar jaan hai us ke badan se kaho kuchh istifada kar liya kya bahut katra rahe ho mughbachon se gunah-e-tark-e-baada kar liya kya yahan ke log kab ke ja chuke hain safar jada-ba-jada kar liya kya uthaya ek qadam tu ne na us tak bahut apne ko manda kar liya kya tum apni kaj-kulahi haar baithin badan ko be-libaada kar liya kya bahut nazdik aati ja rahi ho bichhadne ka irada kar liya kya

GhazalRead Full

kaha jo humne hamen dar se kyun uthate ho

kaha jo ham ne ''hamen dar se kyuun uthate ho'' kaha ki ''is liye tum yaan jo ghhul machate ho'' kaha ''ladate ho kyuun ham se ghhair ko hamdam'' kaha ki ''tum bhi to ham se nigah ladate ho'' kaha jo hal-e-dil apna to us ne hans hans kar kaha ''ghhalat hai ye baten jo tum banate ho'' kaha ''jatate ho kyuun ham se roz naz-o-ada'' kaha ki ''tum bhi to chahat hamen jatate ho'' kaha ki ''arz karen ham pe jo guzarta hai?'' kaha ''khabar hai hamen kyuun zaban pe laate ho'' kaha ki ''ruthe ho kyuun ham se kya sabab is kaa'' kaha ''sabab hai yahi tum jo dil chhupate ho'' kaha ki ''ham nahin aane ke yan'' to us ne 'nazir' kaha ki ''socho to kya aap se tum aate ho'' kaha jo hum ne hamen dar se kyun uthate ho kaha ki is liye tum yan jo ghul machate ho kaha ladate ho kyun hum se ghair ko hamdam kaha ki tum bhi to hum se nigah ladate ho kaha jo haal-e-dil apna to us ne hans hans kar kaha ghalat hai ye baaten jo tum banate ho kaha jatate ho kyun hum se roz naz-o-ada kaha ki tum bhi to chahat hamein jatate ho kaha ki arz karen hum pe jo guzarta hai? kaha khabar hai hamein kyun zaban pe late ho kaha ki ruthe ho kyun hum se kya sabab is ka kaha sabab hai yahi tum jo dil chhupate ho kaha ki ham nahin aane ke yan to us ne 'nazir' kaha ki socho to kya aap se tum aate ho

GhazalRead Full

puchha ki wajh-e-zindagi bole ki dildari meri

puchha ki vajh-e-zindagi bole ki dildari miri puchha ki marne ka sabab bole jafa-kari miri puchha ki dil ko kya kahun bole ki divana mira puchha ki us ko kya hua bole ki bimari miri puchha sata ke ranj kyuun bole ki pachhtana pada puchha ki rusva kaun hai bole dil-azari miri puchha ki dozakh ki jalan bole ki soz-e-dil tira puchha ki jannat ki phaban bole tarah-dari miri puchha ki 'muztar' kyuun kiya bole ki dil chaha mira puchha tasalli kaun de bole ki ghham-khvari miri puchha ki wajh-e-zindagi bole ki dildari meri puchha ki marne ka sabab bole jafa-kari meri puchha ki dil ko kya kahun bole ki diwana mera puchha ki us ko kya hua bole ki bimari meri puchha sata ke ranj kyun bole ki pachhtana pada puchha ki ruswa kaun hai bole dil-azari meri puchha ki dozakh ki jalan bole ki soz-e-dil tera puchha ki jannat ki phaban bole tarah-dari meri puchha ki 'muztar' kyun kiya bole ki dil chaha mera puchha tasalli kaun de bole ki gham-khwari meri

GhazalRead Full

bahut dil ko kushada kar liya kya

bahut dil ko kushada kar liya kya zamane bhar se vaada kar liya kya to kya sach-much judai mujh se kar li to khud apne ko aadha kar liya kya hunar-mandi se apni dil ka safha miri jaan tum ne saada kar liya kya jo yaksar jaan hai us ke badan se kaho kuchh istifada kar liya kya bahut katra rahe ho mughhbachon se gunah-e-tark-e-bada kar liya kya yahan ke log kab ke ja chuke hain safar jada-ba-jada kar liya kya uthaya ik qadam tu ne na us tak bahut apne ko manda kar liya kya tum apni kaj-kulahi haar baithin badan ko be-libada kar liya kya bahut nazdik aati ja rahi ho bichhadne ka irada kar liya kya bahut dil ko kushada kar liya kya zamane bhar se wada kar liya kya to kya sach-much judai mujh se kar li to khud apne ko aadha kar liya kya hunar-mandi se apni dil ka safha meri jaan tum ne sada kar liya kya jo yaksar jaan hai us ke badan se kaho kuchh istifada kar liya kya bahut katra rahe ho mughbachon se gunah-e-tark-e-baada kar liya kya yahan ke log kab ke ja chuke hain safar jada-ba-jada kar liya kya uthaya ek qadam tu ne na us tak bahut apne ko manda kar liya kya tum apni kaj-kulahi haar baithin badan ko be-libaada kar liya kya bahut nazdik aati ja rahi ho bichhadne ka irada kar liya kya

GhazalRead Full

kaha jo humne hamen dar se kyun uthate ho

kaha jo ham ne ''hamen dar se kyuun uthate ho'' kaha ki ''is liye tum yaan jo ghhul machate ho'' kaha ''ladate ho kyuun ham se ghhair ko hamdam'' kaha ki ''tum bhi to ham se nigah ladate ho'' kaha jo hal-e-dil apna to us ne hans hans kar kaha ''ghhalat hai ye baten jo tum banate ho'' kaha ''jatate ho kyuun ham se roz naz-o-ada'' kaha ki ''tum bhi to chahat hamen jatate ho'' kaha ki ''arz karen ham pe jo guzarta hai?'' kaha ''khabar hai hamen kyuun zaban pe laate ho'' kaha ki ''ruthe ho kyuun ham se kya sabab is kaa'' kaha ''sabab hai yahi tum jo dil chhupate ho'' kaha ki ''ham nahin aane ke yan'' to us ne 'nazir' kaha ki ''socho to kya aap se tum aate ho'' kaha jo hum ne hamen dar se kyun uthate ho kaha ki is liye tum yan jo ghul machate ho kaha ladate ho kyun hum se ghair ko hamdam kaha ki tum bhi to hum se nigah ladate ho kaha jo haal-e-dil apna to us ne hans hans kar kaha ghalat hai ye baaten jo tum banate ho kaha jatate ho kyun hum se roz naz-o-ada kaha ki tum bhi to chahat hamein jatate ho kaha ki arz karen hum pe jo guzarta hai? kaha khabar hai hamein kyun zaban pe late ho kaha ki ruthe ho kyun hum se kya sabab is ka kaha sabab hai yahi tum jo dil chhupate ho kaha ki ham nahin aane ke yan to us ne 'nazir' kaha ki socho to kya aap se tum aate ho

GhazalRead Full

puchha ki wajh-e-zindagi bole ki dildari meri

puchha ki vajh-e-zindagi bole ki dildari miri puchha ki marne ka sabab bole jafa-kari miri puchha ki dil ko kya kahun bole ki divana mira puchha ki us ko kya hua bole ki bimari miri puchha sata ke ranj kyuun bole ki pachhtana pada puchha ki rusva kaun hai bole dil-azari miri puchha ki dozakh ki jalan bole ki soz-e-dil tira puchha ki jannat ki phaban bole tarah-dari miri puchha ki 'muztar' kyuun kiya bole ki dil chaha mira puchha tasalli kaun de bole ki ghham-khvari miri puchha ki wajh-e-zindagi bole ki dildari meri puchha ki marne ka sabab bole jafa-kari meri puchha ki dil ko kya kahun bole ki diwana mera puchha ki us ko kya hua bole ki bimari meri puchha sata ke ranj kyun bole ki pachhtana pada puchha ki ruswa kaun hai bole dil-azari meri puchha ki dozakh ki jalan bole ki soz-e-dil tera puchha ki jannat ki phaban bole tarah-dari meri puchha ki 'muztar' kyun kiya bole ki dil chaha mera puchha tasalli kaun de bole ki gham-khwari meri

GhazalRead Full

kaha maine meri aankhon mein pani hai

kaha main ne miri ankhon men paani hai javab aaya mohabbat ki nishani hai kaha main ne lagi dil ki bujhani hai javab aaya ye jazba javedani hai kaha main ne khilenge kab vafa ke phuul javab aaya abhi mausam khizani hai kaha main ne mohabbat mehvar-e-hasti javab aaya bala-e-na-gahani hai kaha main ne ki har lamha sisakta huun javab aaya ki ulfat to nibhani hai kaha main ne sitam itna nahin achchha javab aaya mohabbat azmani hai kaha main ne mata-e-zist yaani tu javab aaya yahan har chiiz faani hai kaha main ne ki dekh in surkh ankhon men javab aaya mohabbat asmani hai kaha main ne ki kyon itne gurezan ho javab aaya tumhari mehrbani hai kaha main ne miri ghhazlon ki jaan ho tum javab aaya tumhari khush-gumani hai kaha main ne khamoshi maar dalegi javab un ka mukammal be-zabani hai kaha main ne sunao hal-e-dil 'raghhib' javab aaya bahut lambi kahani hai kaha main ne meri aankhon mein pani hai jawab aaya mohabbat ki nishani hai kaha main ne lagi dil ki bujhani hai jawab aaya ye jazba jawedani hai kaha main ne khilenge kab wafa ke phul jawab aaya abhi mausam khizani hai kaha main ne mohabbat mehwar-e-hasti jawab aaya bala-e-na-gahani hai kaha main ne ki har lamha sisakta hun jawab aaya ki ulfat to nibhani hai kaha main ne sitam itna nahin achchha jawab aaya mohabbat aazmani hai kaha main ne mata-e-zist yani tu jawab aaya yahan har chiz fani hai kaha main ne ki dekh in surkh aankhon mein jawab aaya mohabbat aasmani hai kaha main ne ki kyon itne gurezan ho jawab aaya tumhaari mehrbani hai kaha main ne meri ghazlon ki jaan ho tum jawab aaya tumhaari khush-gumani hai kaha main ne khamoshi mar dalegi jawab un ka mukammal be-zabani hai kaha main ne sunao haal-e-dil 'raghib' jawab aaya bahut lambi kahani hai

GhazalRead Full

usne kaha hasti teri maine kaha jalwa tera

us ne kaha hasti tiri main ne kaha jalva tira us ne kaha phir nisti main ne kaha parda tira us ne kaha jaana mira main ne kaha meri ajal us ne kaha phir zindagi main ne kaha aana tira us ne kaha sham-e-bala main ne kaha gesu tire us ne kaha subh-e-safa main ne kaha chehra tira us ne kaha baran-e-ghham main ne kaha rona mira us ne kaha barq-e-sitam main ne kaha hansna tira us ne kaha tu kaun hai main ne kaha naqsh-e-qadam us ne kaha manzil tiri main ne kaha kucha tira us ne kaha kya kaam hai main ne kaha khidmat tiri us ne kaha kya naam hai main ne kaha banda tira us ne kaha dil le gaya main ne kaha haan le gaya us ne kaha vo kaun tha main ne kaha ghhamza tira us ne kaha kya dil men hai main ne kaha ulfat tiri us ne kaha kya sar men hai main ne kaha sauda tira us ne kaha kis se gila main ne kaha taqdir se us ne kaha taqdir kya main ne kaha mansha tira us ne kaha shab kaun tha main ne kaha 'taufiq' tha us ne kaha vo kaun hai main ne kaha shaida tira us ne kaha hasti teri main ne kaha jalwa tera us ne kaha phir nisti main ne kaha parda tera us ne kaha jaana mera main ne kaha meri ajal us ne kaha phir zindagi main ne kaha aana tera us ne kaha sham-e-bala main ne kaha gesu tere us ne kaha subh-e-safa main ne kaha chehra tera us ne kaha baran-e-gham main ne kaha rona mera us ne kaha barq-e-sitam main ne kaha hansna tera us ne kaha tu kaun hai main ne kaha naqsh-e-qadam us ne kaha manzil teri main ne kaha kucha tera us ne kaha kya kaam hai main ne kaha khidmat teri us ne kaha kya nam hai main ne kaha banda tera us ne kaha dil le gaya main ne kaha han le gaya us ne kaha wo kaun tha main ne kaha ghamza tera us ne kaha kya dil mein hai main ne kaha ulfat teri us ne kaha kya sar mein hai main ne kaha sauda tera us ne kaha kis se gila main ne kaha taqdir se us ne kaha taqdir kya main ne kaha mansha tera us ne kaha shab kaun tha main ne kaha 'taufiq' tha us ne kaha wo kaun hai main ne kaha shaida tera

GhazalRead Full

kaha takhliq-e-fan bole bahut dushwar to hogi

kaha takhliq-e-fan bole bahut dushvar to hogi kaha makhluq bole bais-e-azar to hogi kaha: ham kya karen is ahd-e-na-pursan men kuchh kahiye vo bole koi akhir surat-e-izhar to hogi kaha: ham apni marzi se safar bhi kar nahin sakte vo bole har qadam par ik nai divar to hogi kaha: ankhen nahin is ghham men binai bhi jaati hai vo bole hijr ki shab hai zara dushvar to hogi kaha: jalta hai dil bole ise jalne diya jaae andhere men kisi ko raushni darkar to hogi kaha: ye kucha-gardi aur kitni der tak akhir vo bole ishq men mitti tumhari khvar to hogi kaha takhliq-e-fan bole bahut dushwar to hogi kaha makhluq bole bais-e-azar to hogi kaha: hum kya karen is ahd-e-na-pursan mein kuchh kahiye wo bole koi aakhir surat-e-izhaar to hogi kaha: hum apni marzi se safar bhi kar nahin sakte wo bole har qadam par ek nai diwar to hogi kaha: aankhen nahin is gham mein binai bhi jati hai wo bole hijr ki shab hai zara dushwar to hogi kaha: jalta hai dil bole ise jalne diya jae andhere mein kisi ko raushni darkar to hogi kaha: ye kucha-gardi aur kitni der tak aakhir wo bole ishq mein mitti tumhaari khwar to hogi

GhazalRead Full

main boli tere lab par hai hansi meri

main boli tere lab par hai hansi meri vo bola mat badhao bekali meri main boli shahzade mol kya mera vo bola shahzadi zindagi meri men boli tirgi har-su ziyada hai vo bola phailne do raushni meri main boli hijr men kaise jiyoge tum vo bola ruk na jaae saans hi meri main boli khvab kis ka dekhte ho tum vo bola aankh men dekho kabhi meri main boli kyuun bahut bechain rahte ho vo bola qahr hai dil ki lagi meri main boli tum sukhan ke shahzade ho vo bola tum ho janan shairi meri main boli zindagi par dukh ke saae hain vo bola tum 'rabab' ab har khushi meri main boli tere lab par hai hansi meri wo bola mat badhao bekali meri main boli shahzade mol kya mera wo bola shahzadi zindagi meri mein boli tirgi har-su ziyaada hai wo bola phailne do raushni meri main boli hijr mein kaise jiyoge tum wo bola ruk na jae sans hi meri main boli khwab kis ka dekhte ho tum wo bola aankh mein dekho kabhi meri main boli kyun bahut bechain rahte ho wo bola qahr hai dil ki lagi meri main boli tum sukhan ke shahzade ho wo bola tum ho jaanan shairi meri main boli zindagi par dukh ke sae hain wo bola tum 'rabab' ab har khushi meri

GhazalRead Full

main kaha ek ada kar to laga kahne un-hun

main kaha ek ada kar to laga kahne ''un-hun'' dekh tuk aankh chura kar to laga kahne ''un-hun'' sab se hansta tha vo kal, ro ke jo main bol utha ham se bhi tuk tu hansa kar to laga kahne ''un-hun'' main kaha dil ko main le jaun to bola vo ki ''hun'' le chala jab main utha kar to laga kahne ''un-hun'' main kaha sabr o dil o diin ne vafa ham se na ki be-vafa tu to vafa kar to laga kahne ''un-hun'' main kaha jam-e-mai piite ho to bola vo ki ''hun'' jab kaha laun chhupa kar to laga kahne ''un-hun'' main kaha sohbat-e-aghhyar bari hai pyare un se itna na mila kar to laga kahne ''un-hun'' main kaha ishq ko izhar karun bola ''hun'' jab kaha kahta huun ja kar to laga kahne ''un-hun'' main kaha samjhe hai azar mira bola ''hun'' jab kaha kuchh to dava kar to laga kahne ''un-hun'' main kaha ab tiri duuri se hai 'jurat' be-tab kuchh to kah paas bala kar to laga kahne ''un-hun'' main kaha ek ada kar to laga kahne un-hun dekh tuk aankh chura kar to laga kahne un-hun sab se hansta tha wo kal, ro ke jo main bol utha hum se bhi tuk tu hansa kar to laga kahne un-hun main kaha dil ko main le jaun to bola wo ki hun le chala jab main utha kar to laga kahne un-hun main kaha sabr o dil o din ne wafa hum se na ki be-wafa tu to wafa kar to laga kahne un-hun main kaha jam-e-mai pite ho to bola wo ki hun jab kaha laun chhupa kar to laga kahne un-hun main kaha sohbat-e-aghyar bari hai pyare un se itna na mila kar to laga kahne un-hun main kaha ishq ko izhaar karun bola hun jab kaha kahta hun ja kar to laga kahne un-hun main kaha samjhe hai aazar mera bola hun jab kaha kuchh to dawa kar to laga kahne un-hun main kaha ab teri duri se hai 'jurat' be-tab kuchh to kah pas bala kar to laga kahne un-hun

GhazalRead Full

maine kaha ki tajziya-e-jism-o-jaan karo

main ne kaha ki tajziya-e-jism-o-jan karo us ne kaha ye baat supurd-e-butan karo main ne kaha ki bahar-e-abad ka koi suraghh us ne kaha taaqub-e-lala-e-rukhan karo main ne kaha ki sarf-e-dil-e-raegan hai kya us ne kaha ki arzu-e-raegan karo main ne kaha ki 'ishq men bhi ab maza nahin us ne kaha ki az-sar-e-nau imtihan karo main ne kaha ki aur koi pand-e-khush-gavar us ne kaha ki khidmat-e-pir-e-mughhan karo main ne kaha ham se zamana hai sar-garan us ne kaha ki aur ise sar-garan karo main ne kaha ki zohd sarasar fareb hai us ne kaha ye baat yahan kam bayan karo main ne kaha ki hadd-e-adab men nahin 'zafar' us ne kaha na band kisi ki zaban karo main ne kaha ki tajziya-e-jism-o-jaan karo us ne kaha ye baat supurd-e-butan karo main ne kaha ki bahaar-e-abad ka koi suragh us ne kaha taaqub-e-lala-e-rukhan karo main ne kaha ki sarf-e-dil-e-raegan hai kya us ne kaha ki aarzu-e-raegan karo main ne kaha ki 'ishq mein bhi ab maza nahin us ne kaha ki az-sar-e-nau imtihan karo main ne kaha ki aur koi pand-e-khush-gawar us ne kaha ki khidmat-e-pir-e-mughan karo main ne kaha hum se zamana hai sar-garan us ne kaha ki aur ise sar-garan karo main ne kaha ki zohd sarasar fareb hai us ne kaha ye baat yahan kam bayan karo main ne kaha ki hadd-e-adab mein nahin 'zafar' us ne kaha na band kisi ki zaban karo

GhazalRead Full

bola hain rang kitne zamane ke aur bhi

bola hain rang kitne zamane ke aur bhi us ne kaha hain bhed batane ke aur bhi bola tumhare dil men mohabbat ne ghar kiya main ne kaha hain rog lagane ke aur bhi main ne kaha vafa ki kabhi dastan suni bola hain qisse sunne sunane ke aur bhi izhar se buland hai main ne bataya ishq bola maze hain is ko jatane ke aur bhi batlaya rah-e-ishq hai dushvar soch lo kahne laga hain raste aane ke aur bhi bola hain rang kitne zamane ke aur bhi us ne kaha hain bhed batane ke aur bhi bola tumhaare dil mein mohabbat ne ghar kiya main ne kaha hain rog lagane ke aur bhi main ne kaha wafa ki kabhi dastan suni bola hain qisse sunne sunane ke aur bhi izhaar se buland hai main ne bataya ishq bola maze hain is ko jatane ke aur bhi batlaya rah-e-ishq hai dushwar soch lo kahne laga hain raste aane ke aur bhi

GhazalRead Full

abas hai naz-e-istighna pe kal ki kya khabar kya ho

abas hai naz-e-istighhna pe kal ki kya khabar kya ho khuda maalum ye saman kya ho jaae sar kya ho ye ah-e-be-asar kya ho ye nakhl-e-be-samar kya ho na ho jab dard hi ya-rab to dil kya ho jigar kya ho jahan insan kho jaata ho khud phir us ki mahfil men rasai kis tarah ho dakhl kyunkar ho guzar kya ho na puchhunga main ye bhi jaam men hai zahr ya amrit tumhare haath se andesha-e-naf-o-zarar kya ho muravvat se ho begana vafa se duur ho koson ye sach hai naznin ho khubsurat ho magar kya ho shagufe dekh kar mutthi men zar ko muskurate hain ki jab umr is qadar kotah rakhte hain to zar kya ho raha karti hai ye hairat mujhe zuhd-e-riyai par khuda se jo nahin darta use bande ka dar kya ho kaha main ne ki 'nazm'-e-mubtala marta hai hasrat men kaha us ne agar mar jaae to mera zarar kya ho kaha main ne ki hai soz-e-jigar aur uff nahin karta kaha is ki ijazat hi nahin phir nauhagar kya ho kaha main ne ki de us ko ijazat aah karne ki kaha us ne bhadak utthe agar soz-e-jigar kya ho kaha main ne ki aansu aankh ka lekin nahin thamta kaha ankhen koi talvon se mal daale agar kya ho kaha main ne qadam bhar par hai vo surat dikha aao kaha munh pher kar itna kisi ko dard-e-sar kya ho kaha main ne asar mutlaq nahin kya sang-dil hai tu kaha jab dil ho patthar ka to patthar par asar kya ho kaha main ne jo mar jaae to kya ho soch tu dil men kaha na-aqibat-andesh ne kuchh soch kar kya ho kaha main ne khabar bhi hai ki di jaan us ne ghut ghat kar kaha mar jaae chupke se to phir mujh ko khabar kya ho abas hai naz-e-istighna pe kal ki kya khabar kya ho khuda malum ye saman kya ho jae sar kya ho ye aah-e-be-asar kya ho ye nakhl-e-be-samar kya ho na ho jab dard hi ya-rab to dil kya ho jigar kya ho jahan insan kho jata ho khud phir us ki mahfil mein rasai kis tarah ho dakhl kyunkar ho guzar kya ho na puchhunga main ye bhi jam mein hai zahr ya amrit tumhaare hath se andesha-e-naf-o-zarar kya ho murawwat se ho begana wafa se dur ho koson ye sach hai naznin ho khubsurat ho magar kya ho shagufe dekh kar mutthi mein zar ko muskuraate hain ki jab umr is qadar kotah rakhte hain to zar kya ho raha karti hai ye hairat mujhe zuhd-e-riyai par khuda se jo nahin darta use bande ka dar kya ho kaha main ne ki 'nazm'-e-mubtala marta hai hasrat mein kaha us ne agar mar jae to mera zarar kya ho kaha main ne ki hai soz-e-jigar aur uff nahin karta kaha is ki ijazat hi nahin phir nauhagar kya ho kaha main ne ki de us ko ijazat aah karne ki kaha us ne bhadak utthe agar soz-e-jigar kya ho kaha main ne ki aansu aankh ka lekin nahin thamta kaha aankhen koi talwon se mal dale agar kya ho kaha main ne qadam bhar par hai wo surat dikha aao kaha munh pher kar itna kisi ko dard-e-sar kya ho kaha main ne asar mutlaq nahin kya sang-dil hai tu kaha jab dil ho patthar ka to patthar par asar kya ho kaha main ne jo mar jae to kya ho soch tu dil mein kaha na-aqibat-andesh ne kuchh soch kar kya ho kaha main ne khabar bhi hai ki di jaan us ne ghut ghat kar kaha mar jae chupke se to phir mujh ko khabar kya ho

GhazalRead Full

maine kaha ki shahr mein ek charagh bhi nahin

main ne kaha ki shahr men ek charaghh bhi nahin us ne kaha ki zakhm bhi kya nahin daaghh bhi nahin main ne kaha ki akhirash mujh ko khuda na mil saka us ne kaha ki mere paas apna suraghh bhi nahin main ne kaha ki ashiqi us ne kaha ki haae haae ab vo umang bhi kahan ab vo faraghh bhi nahin main ne kaha ki gul-farosh saare gulab le gae us ne kaha ki kal talak dekhiye baaghh bhi nahin main ne kaha ki 'shahryar' aap se kuchh malul hain us ne kaha ki thiik hai mujh ko dimaghh bhi nahin main ne kaha ki shahr mein ek charagh bhi nahin us ne kaha ki zakhm bhi kya nahin dagh bhi nahin main ne kaha ki aakhirash mujh ko khuda na mil saka us ne kaha ki mere pas apna suragh bhi nahin main ne kaha ki aashiqi us ne kaha ki hae hae ab wo umang bhi kahan ab wo faragh bhi nahin main ne kaha ki gul-farosh sare gulab le gae us ne kaha ki kal talak dekhiye bagh bhi nahin main ne kaha ki 'shahryar' aap se kuchh malul hain us ne kaha ki thik hai mujh ko dimagh bhi nahin

GhazalRead Full

main jo kahta hun tu kajrawi chhod de

main jo kahta huun tu kajravi chhod de vo ye kahti hai tu dosti chhod de main ye kahta huun mujh ko divana bana vo ye kahti hai divangi chhod de jab main tarif karta huun us ki kabhi tab vo kahti hai bas shairi chhod de jab kabhi dil ki baten batata huun main tab vo kahti hai ab dil lagi chhod de jab main kahta huun hai jaan hazir miri vo ye kahti hai ab jaan miri chhod de jab main kahta huun jiina hai mushkil bahut tab vo kahti hai ja zindagi chhod de main jo kahta hun tu kajrawi chhod de wo ye kahti hai tu dosti chhod de main ye kahta hun mujh ko diwana bana wo ye kahti hai diwangi chhod de jab main tarif karta hun us ki kabhi tab wo kahti hai bas shairi chhod de jab kabhi dil ki baaten batata hun main tab wo kahti hai ab dil lagi chhod de jab main kahta hun hai jaan hazir meri wo ye kahti hai ab jaan meri chhod de jab main kahta hun jina hai mushkil bahut tab wo kahti hai ja zindagi chhod de

GhazalRead Full

kaha ye maine ki apni aankhon mein khwab rakhna

kaha ye main ne ki apni ankhon men khvab rakhna kaha ye us ne ki aankh rakhna 'azab rakhna ye main ne puchha tha log kyuun mar rahe hain itne javab aaya tum un ke khuun ka hisab rakhna kaha ye main ne zamin par amn ho sakega kaha ki hathon men 'ilm rakhna kitab rakhna kaha ye main ne ki zindagi kis tarah kategi kaha ye us ne ki chahatin be-hisab rakhna kaha ye main ne havaen hain tund-o-tez kitni vo hans ke boli ki kashtiyan zer-e-ab rakhna kaha ye us ne ki daere se nikal ke dekhen kaha ki pahle koi safar intikhab rakhna kaha ye us ne ki bhiid men ham bichhad na jaaen kaha ki juude men ek taaza gulab rakhna kaha ye us ne ki ham agar sach ka saath den to kaha ye main ne ki zakhm sahne ki taab rakhna kaha ye main ne ki apni aankhon mein khwab rakhna kaha ye us ne ki aankh rakhna 'azab rakhna ye main ne puchha tha log kyun mar rahe hain itne jawab aaya tum un ke khun ka hisab rakhna kaha ye main ne zamin par amn ho sakega kaha ki hathon mein 'ilm rakhna kitab rakhna kaha ye main ne ki zindagi kis tarah kategi kaha ye us ne ki chahatin be-hisab rakhna kaha ye main ne hawaen hain tund-o-tez kitni wo hans ke boli ki kashtiyan zer-e-ab rakhna kaha ye us ne ki daere se nikal ke dekhen kaha ki pahle koi safar intikhab rakhna kaha ye us ne ki bhid mein hum bichhad na jaen kaha ki jude mein ek taza gulab rakhna kaha ye us ne ki hum agar sach ka sath den to kaha ye main ne ki zakhm sahne ki tab rakhna

You have reached the end.

Explore Similar Collections

Mukalimati Ghazal FAQs

Mukalimati Ghazal collection me kya milega?

Mukalimati Ghazal se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.