chand bhi hairan dariya bhi pareshani mein hai aks kis ka hai ki itni raushni pani mein hai
Poetry Collection
Raushni
Light and darkness are not merely two words; they are two conditions of life around which much has been written. Poets have found this more fascinating than others. This selection of verses on light would be of interest to you. We hope you would appreciate these.
Total
43
Sher
37
Ghazal
6
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
lahu na ho to qalam tarjuman nahin hota
lahu na ho to qalam tarjuman nahin hota hamare daur men aansu zaban nahin hota jahan rahega vahin raushni lutaega kisi charaghh ka apna makan nahin hota ye kis maqam pe laai hai meri tanhai ki mujh se aaj koi bad-guman nahin hota bas ik nigah miri raah dekhti hoti ye saara shahr mira mezban nahin hota tira khayal na hota to kaun samjhata zamin na ho to koi asman nahin hota main us ko bhuul gaya huun ye kaun manega kisi charaghh ke bas men dhuan nahin hota 'vasim' sadiyon ki ankhon se dekhiye mujh ko vo lafz huun jo kabhi dastan nahin hota lahu na ho to qalam tarjuman nahin hota hamare daur mein aansu zaban nahin hota jahan rahega wahin raushni lutaega kisi charagh ka apna makan nahin hota ye kis maqam pe lai hai meri tanhai ki mujh se aaj koi bad-guman nahin hota bas ek nigah meri rah dekhti hoti ye sara shahr mera mezban nahin hota tera khayal na hota to kaun samjhata zamin na ho to koi aasman nahin hota main us ko bhul gaya hun ye kaun manega kisi charagh ke bas mein dhuan nahin hota 'wasim' sadiyon ki aankhon se dekhiye mujh ko wo lafz hun jo kabhi dastan nahin hota
andheron ko nikala ja raha hai magar ghar se ujala ja raha hai
chand bhi hairan dariya bhi pareshani mein hai aks kis ka hai ki itni raushni pani mein hai
lahu na ho to qalam tarjuman nahin hota
lahu na ho to qalam tarjuman nahin hota hamare daur men aansu zaban nahin hota jahan rahega vahin raushni lutaega kisi charaghh ka apna makan nahin hota ye kis maqam pe laai hai meri tanhai ki mujh se aaj koi bad-guman nahin hota bas ik nigah miri raah dekhti hoti ye saara shahr mira mezban nahin hota tira khayal na hota to kaun samjhata zamin na ho to koi asman nahin hota main us ko bhuul gaya huun ye kaun manega kisi charaghh ke bas men dhuan nahin hota 'vasim' sadiyon ki ankhon se dekhiye mujh ko vo lafz huun jo kabhi dastan nahin hota lahu na ho to qalam tarjuman nahin hota hamare daur mein aansu zaban nahin hota jahan rahega wahin raushni lutaega kisi charagh ka apna makan nahin hota ye kis maqam pe lai hai meri tanhai ki mujh se aaj koi bad-guman nahin hota bas ek nigah meri rah dekhti hoti ye sara shahr mera mezban nahin hota tera khayal na hota to kaun samjhata zamin na ho to koi aasman nahin hota main us ko bhul gaya hun ye kaun manega kisi charagh ke bas mein dhuan nahin hota 'wasim' sadiyon ki aankhon se dekhiye mujh ko wo lafz hun jo kabhi dastan nahin hota
andheron ko nikala ja raha hai magar ghar se ujala ja raha hai
aankhon se yun charaghon mein dali hai raushni
ankhon se yuun charaghhon men daali hai raushni ham jaisi chahte the bana li hai raushni dariya ghhurub hone chala tha ki aaj raat ghharqab kashtiyon ne uchhali hai raushni apni nashist chhod ke vaan rakh diya charaghh main ne zamin de ke bacha li hai raushni hathon ka imtihan liya saari saari raat sanche men subh-o-sham ke dhali hai raushni main ne kanar-e-sham guzari hai ek umr main janta huun dubne vaali hai raushni kya raakh gir rahi hai nazar ki munder se khali diya hai aur khayali hai raushni is baar tere khvab men rakkha hai apna khvab is baar raushni men sambhali hai raushni aankhon se yun charaghon mein dali hai raushni hum jaisi chahte the bana li hai raushni dariya ghurub hone chala tha ki aaj raat gharqab kashtiyon ne uchhaali hai raushni apni nashist chhod ke wan rakh diya charagh main ne zamin de ke bacha li hai raushni hathon ka imtihan liya sari sari raat sanche mein subh-o-sham ke dhaali hai raushni main ne kanar-e-sham guzari hai ek umr main jaanta hun dubne wali hai raushni kya rakh gir rahi hai nazar ki munder se khali diya hai aur khayali hai raushni is bar tere khwab mein rakkha hai apna khwab is bar raushni mein sambhaali hai raushni
kisi ke chhut jaane ka use kyon gham nahin hota
kisi ke chhut jaane ka use kyon ghham nahin hota tira dil hai ki patthar hai kabhi jo nam nahin hota parinde gungunate hain tumhare shahr men lekin hamare shahr ka aisa kabhi mausam nahin hota ba-zahir jugnuon ki raushni se ghar to raushan hai magar phir bhi mire ghar ka andhera kam nahin hota khuda se gar tujhe manga nahin hota du'aon men tujhe khone ka phir ham ko zara bhi ghham nahin hota nigahon ne hamari ek manzar vo bhi dekha hai jahan apnon ke marne ka koi matam nahin hota kisi ke chhut jaane ka use kyon gham nahin hota tera dil hai ki patthar hai kabhi jo nam nahin hota parinde gungunate hain tumhaare shahr mein lekin hamare shahr ka aisa kabhi mausam nahin hota ba-zahir jugnuon ki raushni se ghar to raushan hai magar phir bhi mere ghar ka andhera kam nahin hota khuda se gar tujhe manga nahin hota du'aon mein tujhe khone ka phir hum ko zara bhi gham nahin hota nigahon ne hamari ek manzar wo bhi dekha hai jahan apnon ke marne ka koi matam nahin hota
bahut sukun se rahte the hum andhere mein fasad paida hua raushni ke aane se
marifat ke liye aagahi ke liye
ma'rifat ke liye agahi ke liye nur-e-haq chahiye raushni ke liye ji rahe hain kisi ki khushi ke liye varna kya hai yahan zindagi ke liye aap apna ta'aruf sar-e-anjuman kitna mushkil hai ik ajnabi ke liye dasht-e-ghhurbat men kuchh aur mumkin nahin jugnuon ke siva raushni ke liye rakh diye absharon ne dil khol kar dasht men ek pyasi nadi ke liye vaqt ke aage us ne bhi rakh di sipar jo tha mashhur apni khudi ke liye 'rahbar' e'zaz 'ohda qayadat ana masala ban gae aadmi ke liye ma'rifat ke liye aagahi ke liye nur-e-haq chahiye raushni ke liye ji rahe hain kisi ki khushi ke liye warna kya hai yahan zindagi ke liye aap apna ta'aruf sar-e-anjuman kitna mushkil hai ek ajnabi ke liye dasht-e-ghurbat mein kuchh aur mumkin nahin jugnuon ke siwa raushni ke liye rakh diye aabshaaron ne dil khol kar dasht mein ek pyasi nadi ke liye waqt ke aage us ne bhi rakh di sipar jo tha mashhur apni khudi ke liye 'rahbar' e'zaz 'ohda qayaadat ana masala ban gae aadmi ke liye
nahin hai mere muqaddar mein raushni na sahi ye khidki kholo zara subh ki hawa hi lage
ulfat ka hai maza ki 'asar' gham bhi sath hon tarikiyan bhi sath rahen raushni ke sath
sadaqat ka jo paighambar raha hai
sadaqat ka jo paighhambar raha hai vo ab sach bolne se dar raha hai kahani ho rahi hai khatm shayad koi kirdar mujh men mar raha hai zara si der ko andhi ruki hai parinda phir udanen bhar raha hai mire ahbab kho jaenge ik din mujhe ye vahm sa aksar raha hai lagi hai raushni ki shart shab se sitara jugnuon se dar raha hai sadaqat ka jo paighambar raha hai wo ab sach bolne se dar raha hai kahani ho rahi hai khatm shayad koi kirdar mujh mein mar raha hai zara si der ko aandhi ruki hai parinda phir udanen bhar raha hai mere ahbab kho jaenge ek din mujhe ye wahm sa aksar raha hai lagi hai raushni ki shart shab se sitara jugnuon se dar raha hai
raushni phaili to sab ka rang kala ho gaya kuchh diye aise jale har-su andhera ho gaya
ek chand tirgi mein samar raushni ka tha
ik chand tirgi men samar raushni ka tha phir bhed khul gaya vo bhanvar raushni ka tha suraj pe tu ne aankh tareri thi yaad kar binaiyon pe phir jo asar raushni ka tha sab chandni kisi ki inayat thi chand par us daghhdar show pe kavar raushni ka tha maghhrib ki mad-bhari hui raton men kho gaya is ghar men koi lakht-e-jigar raushni ka tha dariya men us ne duub ke kar li hai khud-kushi jis shai ka asman pe safar raushni ka tha zarre ko aftab banaya tha ham ne aur dharti pe qahr sham-o-sahar raushni ka tha ek chand tirgi mein samar raushni ka tha phir bhed khul gaya wo bhanwar raushni ka tha suraj pe tu ne aankh tareri thi yaad kar binaiyon pe phir jo asar raushni ka tha sab chandni kisi ki inayat thi chand par us daghdar show pe kawar raushni ka tha maghrib ki mad-bhari hui raaton mein kho gaya is ghar mein koi lakht-e-jigar raushni ka tha dariya mein us ne dub ke kar li hai khud-kushi jis shai ka aasman pe safar raushni ka tha zarre ko aaftab banaya tha hum ne aur dharti pe qahr sham-o-sahar raushni ka tha
raushan-dan se dhup ka tukda aa kar mere pas gira aur phir suraj ne koshish ki mujh se aankh milane ki
raushni mujh se gurezan hai to shikwa bhi nahin mere gham-khane mein kuchh aisa andhera bhi nahin
ghar se bahar nahin nikla jata raushni yaad dilati hai teri
raushni mein apni shakhsiyat pe jab bhi sochna apne qad ko apne sae se bhi kam-tar dekhna
dalil-e-tabish-e-iman hai kufr ka ehsas charagh sham se pahle jala nahin karte
khud hi parwane jal gae warna shama jalti hai raushni ke liye the moths got burned in their own plight the flame just burns to shed some light
numud-e-subh se shab ki wo tirgi to gai ye aur baat ki suraj mein raushni kam hai
kahin koi charagh jalta hai kuchh na kuchh raushni rahegi abhi
dete nahin sujhai jo duniya ke khatt-o-khal aae hain tirgi mein magar raushni se hum
ek surud-e-raushani nima-e-shab ka khwab tha ek khamosh tirgi saneha-ashna bhi thi
raushni jab se mujhe chhod gai shama roti hai sirhane mere
nai sahar ke hasin suraj tujhe gharibon se wasta kya jahan ujala hai sim-o-zar ka wahin teri raushni milegi
anginat safinon mein dip jagmagate hain raat ne lutaya hai rang-o-nur pani par
manzaron se bahalna zaruri nahin ghar se bahar nikalna zaruri nahin dil ko raushan karo raushani ne kaha raushni ke liye ek taza ghazal
sawal ye hai raushni wahan pe rok di gai jahan pe har kisi ke hath mein naya charagh tha
ghutan to dil ki rahi qasr-e-marmarin mein bhi na raushni se hua kuchh na kuchh hawa se hua
chand hai tera ham-safar koi nahin hai rahbar aage qadam badha ke rakh dur ki raushni na dekh
andhere chhu nahin sakte hain mujh ko ki mere sath teri raushni hai
Explore Similar Collections
Raushni FAQs
Raushni collection me kya milega?
Raushni se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.