wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
vo jo ham men tum men qarar tha tumhen yaad ho ki na yaad ho
vahi yaani vaada nibah ka tumhen yaad ho ki na yaad ho
the love that 'tween us used to be, you may, may not recall
those promises of constancy, you may, may not recall
vo jo lutf mujh pe the beshtar vo karam ki tha mire haal par
mujhe sab hai yaad zara zara tumhen yaad ho ki na yaad ho
those favours that you did bestow, the kindness that you once did show
i can recall them all somehow, you may, may not recall
vo nae gile vo shikayaten vo maze maze ki hikayaten
vo har ek baat pe ruthna tumhen yaad ho ki na yaad ho
new complaints each every night, stories so full of delight
at every word your feigning slight, you may, may not recall
kabhi baithe sab men jo ru-ba-ru to isharaton hi se guftugu
vo bayan shauq ka barmala tumhen yaad ho ki na yaad ho
sitting in midst of company, talking in gestures openly
that expression of love publicly, you may, may not recall
hue ittifaq se gar baham to vafa jatane ko dam-ba-dam
gila-e-malamat-e-aqriba tumhen yaad ho ki na yaad ho
if face to face we chanced to be, to constantly prove loyalty
those plaints of folks' rebukes to me, you may, may not recall
koi baat aisi agar hui ki tumhare ji ko buri lagi
to bayan se pahle hi bhulna tumhen yaad ho ki na yaad ho
a word of mine if were to be, which hurt you to any degree
forgetting it most instantly, you may, may not recall
kabhi ham men tum men bhi chaah thi kabhi ham se tum se bhi raah thi
kabhi ham bhi tum bhi the ashna tumhen yaad ho ki na yaad ho
friendship twixt us once used to be, a path there was from you to me
once "i" and "you" were not, but we, you may, may not recall
suno zikr hai kai saal ka ki kiya ik aap ne vaada tha
so nibahane ka to zikr kya tumhen yaad ho ki na yaad ho
long past though it appears to be,there was something you promised me
to fulfil each vow truthfully, you may, may not recall
kaha main ne baat vo kothe ki mire dil se saaf utar gai
to kaha ki jaane miri bala tumhen yaad ho ki na yaad ho
---
---
vo bigadna vasl ki raat ka vo na manna kisi baat ka
vo nahin nahin ki har aan ada tumhen yaad ho ki na yaad ho
you getting angry when we met, at everything getting upset
your nay saying i can't forget, you may, may not recall
jise aap ginte the ashna jise aap kahte the ba-vafa
main vahi huun 'momin'-e-mubtala tumhen yaad ho ki na yaad ho
the one you once held close to you, the one whom once you deemed as true
i am that distressed momin, blue, you may, may not recall
wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
wahi yani wada nibah ka tumhein yaad ho ki na yaad ho
the love that 'tween us used to be, you may, may not recall
those promises of constancy, you may, may not recall
wo jo lutf mujh pe the beshtar wo karam ki tha mere haal par
mujhe sab hai yaad zara zara tumhein yaad ho ki na yaad ho
those favours that you did bestow, the kindness that you once did show
i can recall them all somehow, you may, may not recall
wo nae gile wo shikayaten wo maze maze ki hikayaten
wo har ek baat pe ruthna tumhein yaad ho ki na yaad ho
new complaints each every night, stories so full of delight
at every word your feigning slight, you may, may not recall
kabhi baithe sab mein jo ru-ba-ru to ishaaraton hi se guftugu
wo bayan shauq ka barmala tumhein yaad ho ki na yaad ho
sitting in midst of company, talking in gestures openly
that expression of love publicly, you may, may not recall
hue ittifaq se gar baham to wafa jatane ko dam-ba-dam
gila-e-malamat-e-aqriba tumhein yaad ho ki na yaad ho
if face to face we chanced to be, to constantly prove loyalty
those plaints of folks' rebukes to me, you may, may not recall
koi baat aisi agar hui ki tumhaare ji ko buri lagi
to bayan se pahle hi bhulna tumhein yaad ho ki na yaad ho
a word of mine if were to be, which hurt you to any degree
forgetting it most instantly, you may, may not recall
kabhi hum mein tum mein bhi chah thi kabhi hum se tum se bhi rah thi
kabhi hum bhi tum bhi the aashna tumhein yaad ho ki na yaad ho
friendship twixt us once used to be, a path there was from you to me
once "i" and "you" were not, but we, you may, may not recall
suno zikr hai kai sal ka ki kiya ek aap ne wada tha
so nibahane ka to zikr kya tumhein yaad ho ki na yaad ho
long past though it appears to be,there was something you promised me
to fulfil each vow truthfully, you may, may not recall
kaha main ne baat wo kothe ki mere dil se saf utar gai
to kaha ki jaane meri bala tumhein yaad ho ki na yaad ho
---
---
wo bigadna wasl ki raat ka wo na manna kisi baat ka
wo nahin nahin ki har aan ada tumhein yaad ho ki na yaad ho
you getting angry when we met, at everything getting upset
your nay saying i can't forget, you may, may not recall
jise aap ginte the aashna jise aap kahte the ba-wafa
main wahi hun 'momin'-e-mubtala tumhein yaad ho ki na yaad ho
the one you once held close to you, the one whom once you deemed as true
i am that distressed momin, blue, you may, may not recall
dushmani lakh sahi khatm na kije rishta
dil mile ya na mile hath milate rahiye
enmity however strong, the contact never break
hearts and minds may be apart, the hands must ever shake
diwaron se mil kar rona achchha lagta hai
divaron se mil kar rona achchha lagta hai
ham bhi pagal ho jaenge aisa lagta hai
kitne dinon ke pyase honge yaaro socho to
shabnam ka qatra bhi jin ko dariya lagta hai
ankhon ko bhi le duuba ye dil ka pagal-pan
aate jaate jo milta hai tum sa lagta hai
is basti men kaun hamare aansu ponchhega
jo milta hai us ka daman bhiga lagta hai
duniya bhar ki yaden ham se milne aati hain
shaam dhale is suune ghar men mela lagta hai
kis ko patthar marun 'qaisar' kaun paraya hai
shish-mahal men ik ik chehra apna lagta hai
diwaron se mil kar rona achchha lagta hai
hum bhi pagal ho jaenge aisa lagta hai
kitne dinon ke pyase honge yaro socho to
shabnam ka qatra bhi jin ko dariya lagta hai
aankhon ko bhi le duba ye dil ka pagal-pan
aate jate jo milta hai tum sa lagta hai
is basti mein kaun hamare aansu ponchhega
jo milta hai us ka daman bhiga lagta hai
duniya bhar ki yaaden hum se milne aati hain
sham dhale is sune ghar mein mela lagta hai
kis ko patthar marun 'qaisar' kaun paraya hai
shish-mahal mein ek ek chehra apna lagta hai
diwaren chhoti hoti thin lekin parda hota tha
talon ki ijad se pahle sirf bharosa hota tha
bahar ka dhan aata jata asl khazana ghar mein hai
bahar ka dhan aata jaata asl khazana ghar men hai
har dhuup men jo mujhe saaya de vo sachcha saaya ghar men hai
patal ke dukh vo kya janen jo sath pe hain milne vaale
hain ek havala dost mire aur ek havala ghar men hai
miri umr ke ik ik lamhe ko main ne qaid kiya hai lafzon men
jo haara huun ya jiita huun vo sab sarmaya ghar men hai
tu nanha-munna ek diya main ek samundar andhiyara
tu jalte jalte bujhne laga aur phir bhi andhera ghar men hai
kya svang bhare roti ke liye izzat ke liye shohrat ke liye
suno shaam hui ab ghar ko chalo koi shakhs akela ghar men hai
ik hijr-zada babul-pyari tire jagte bachchon se haari
ai sha'ir kis duniya men hai tu tiri tanha duniya ghar men hai
duniya men khapae saal kai akhir men khula ahval yahi
vo ghar ka ho ya bahar ka har dukh ka mudava ghar men hai
bahar ka dhan aata jata asl khazana ghar mein hai
har dhup mein jo mujhe saya de wo sachcha saya ghar mein hai
patal ke dukh wo kya jaanen jo sath pe hain milne wale
hain ek hawala dost mere aur ek hawala ghar mein hai
meri umr ke ek ek lamhe ko main ne qaid kiya hai lafzon mein
jo haara hun ya jita hun wo sab sarmaya ghar mein hai
tu nanha-munna ek diya main ek samundar andhiyara
tu jalte jalte bujhne laga aur phir bhi andhera ghar mein hai
kya swang bhare roti ke liye izzat ke liye shohrat ke liye
suno sham hui ab ghar ko chalo koi shakhs akela ghar mein hai
ek hijr-zada babul-pyari tere jagte bachchon se haari
ai sha'ir kis duniya mein hai tu teri tanha duniya ghar mein hai
duniya mein khapae sal kai aakhir mein khula ahwal yahi
wo ghar ka ho ya bahar ka har dukh ka mudawa ghar mein hai
meri taraf se to tuta nahin koi rishta
kisi ne tod diya e'tibar tut gaya
nil-gagan mein tair raha hai ujla ujla pura chand
nil-gagan men tair raha hai ujla ujla puura chand
maan ki lori sa bachche ke duudh katore jaisa chand
munni ki bholi baton si chatkin taron ki kaliyan
pappu ki khamoshi shararat sa chhup chhup kar ubhra chand
mujh se puchho kaise kaati main ne parbat jaisi raat
tum ne to godi men le kar ghanton chuma hoga chand
pardesi suuni ankhon men shoale se lahrate hain
bhabi ki chhedon sa badal aapa ki chutki sa chand
tum bhi likhna tum ne us shab kitni baar piya paani
tum ne bhi to chhajje uupar dekha hoga puura chand
nil-gagan mein tair raha hai ujla ujla pura chand
man ki lori sa bachche ke dudh katore jaisa chand
munni ki bholi baaton si chatkin taron ki kaliyan
pappu ki khamoshi shararat sa chhup chhup kar ubhra chand
mujh se puchho kaise kati main ne parbat jaisi raat
tum ne to godi mein le kar ghanton chuma hoga chand
pardesi suni aankhon mein shoale se lahraate hain
bhabi ki chhedon sa baadal aapa ki chutki sa chand
tum bhi likhna tum ne us shab kitni bar piya pani
tum ne bhi to chhajje upar dekha hoga pura chand
mujhe manzur gar tark-e-ta'alluq hai raza teri
magar tutega rishta dard ka aahista aahista
ek umr se hum tum aashna hain
ik umr se ham tum ashna hain
ham se mah o anjum ashna hain
dil dubta ja raha hai paiham
lab hain ki tabassum ashna hain
un manzilon ka suraghh kam hai
jin manzilon men gum ashna hain
kuchh chara-e-dard-e-ashnai
kis soch men gum-sum ashna hain
is daur men tishna-kam saaqi
ham jaise kai khum-ashna hain
ek umr se hum tum aashna hain
hum se mah o anjum aashna hain
dil dubta ja raha hai paiham
lab hain ki tabassum aashna hain
un manzilon ka suragh kam hai
jin manzilon mein gum aashna hain
kuchh chaara-e-dard-e-ashnai
kis soch mein gum-sum aashna hain
is daur mein tishna-kaam saqi
hum jaise kai khum-ashna hain
bose biwi ke hansi bachchon ki aankhen man ki
qaid-khane mein giraftar samajhiye hum ko
ye kaj-adai ye ghamza tera kabhi phir yar!
ye kaj-adai ye ghhamza tira kabhi phir yaar!
ki tera shahr naya aur main musafir yaar!
tu aur kuchh na sahi, dost to hai akhir yaar!
dukhi raha hai bahut aaj tera shair yaar!
kahan ka lams, kahan ki havas, kahan ka visal
tadap raha huun tiri hamdami ki khatir yaar!
sambhal bhi jaata tha dil tere hijr men, yaani
raha huun main bhi tiri aarzu ka munkir yaar!
pukarti hain mujhe ghantiyan tiri aise
ki jaisa tera madina ho koi mandir yaar!
ye kaj-adai ye ghamza tera kabhi phir yar!
ki tera shahr naya aur main musafir yar!
tu aur kuchh na sahi, dost to hai aakhir yar!
dukhi raha hai bahut aaj tera shair yar!
kahan ka lams, kahan ki hawas, kahan ka visal
tadap raha hun teri hamdami ki khatir yar!
sambhal bhi jata tha dil tere hijr mein, yani
raha hun main bhi teri aarzu ka munkir yar!
pukarti hain mujhe ghantiyan teri aise
ki jaisa tera madina ho koi mandir yar!
sarhaden rok na paengi kabhi rishton ko
khushbuon par na kabhi koi bhi pahra nikla
dil ko maal-e-ishq se begana kijiye
dil ko maal-e-'ishq se begana kijiye
parvana kah raha hai ki parva na kijiye
har khvab na-guzir hai har kaam farz hai
kis kis se haath khinchiye kya kya na kijiye
vo baat jo abhi abhi main ne nahin suni
vo baat ho sake to dubara na kijiye
mukhlis hain aur vo bhi mujh aise haqir se
apne hi saath aap ye dhoka na kijiye
kya sach men aap ji nahin sakte mire baghhair
to phir koi javaz muhayya na kijiye
itni bhi meri darguzari mustaqil nahin
kitni daf'a kaha hai ki aisa na kijiye
haan shukr to zarur baja laiye huzur
lekin hamare zabt pe takiya na kijiye
achchha hai infirad bhi apni jagah magar
'javvad' koi kaam to ulta na kijiye
dil ko maal-e-'ishq se begana kijiye
parwana kah raha hai ki parwa na kijiye
har khwab na-guzir hai har kaam farz hai
kis kis se hath khinchiye kya kya na kijiye
wo baat jo abhi abhi main ne nahin suni
wo baat ho sake to dubara na kijiye
mukhlis hain aur wo bhi mujh aise haqir se
apne hi sath aap ye dhoka na kijiye
kya sach mein aap ji nahin sakte mere baghair
to phir koi jawaz muhayya na kijiye
itni bhi meri darguzari mustaqil nahin
kitni daf'a kaha hai ki aisa na kijiye
han shukr to zarur baja laiye huzur
lekin hamare zabt pe takiya na kijiye
achchha hai infirad bhi apni jagah magar
'jawwad' koi kaam to ulta na kijiye
chalo kahin pe ta'alluq ki koi shakl to ho
kisi ke dil mein kisi ki kami ghanimat hai
har ek mod pe kuchh naqsh-e-pa bana dena
har ek mod pe kuchh naqsh-e-pa bana dena
hamen bhi apne bhatakne ka rasta dena
kisi bhi daur men sab mo'tabar nahin hote
jo rahzan ho usi ko mira pata dena
hamare biich se kuchh log uth ke jaenge
zara sa haath badha kar diya bujha dena
har ek mod pe kuchh naqsh-e-pa bana dena
hamein bhi apne bhatakne ka rasta dena
kisi bhi daur mein sab mo'tabar nahin hote
jo rahzan ho usi ko mera pata dena
hamare bich se kuchh log uth ke jaenge
zara sa hath badha kar diya bujha dena
talluq kirchiyon ki shakl mein bikhra to hai phir bhi
shikasta aainon ko jod dena chahte hain hum
chahe jab khamosh hon hum chahe jab baaten karen
chahe jab khamosh hon ham chahe jab baten karen
tishnagi ho aur pyase lab-ba-lab baten karen
main ne lena hai miri avargi ka imtihan
aa kabhi khul kar milen aur sab ki sab baten karen
tere is husn-e-takallum par rahe daaim bahar
ham farebi lalchi bhi be-talab baten karen
gaanv ja kar dekhte katak ke puure chand ko
main ne chaha tha vahan ham saari shab baten karen
is tarah baton ki vaq'at baat ho kar rah gai
log samjhe hi nahin hain kaise kab baten karen
chahe jab khamosh hon hum chahe jab baaten karen
tishnagi ho aur pyase lab-ba-lab baaten karen
main ne lena hai meri aawargi ka imtihan
aa kabhi khul kar milen aur sab ki sab baaten karen
tere is husn-e-takallum par rahe daim bahaar
hum farebi lalchi bhi be-talab baaten karen
ganw ja kar dekhte katak ke pure chand ko
main ne chaha tha wahan hum sari shab baaten karen
is tarah baaton ki waq'at baat ho kar rah gai
log samjhe hi nahin hain kaise kab baaten karen
thik apne talluqat karen
thiik apne ta'alluqat karen
ye hi behtar hai aao baat karen
guftugu pur-natija-khez rahen
sair-hasil muzakarat karen
duriyon ka sabab jo ban gae hain
duur vo sab tahaffuzat karen
hal talab koi masala na rahe
sidhe saare mu'amalat karen
mil ke ham dhunden mushkilat ka hal
na ki paida tanaze'at karen
aap kya hain ye dekh lunga main
band ye baten vahiyat karen
zindagi ke koi ma'ani bhi hon
ye nahin bas ki din ko raat karen
na pasand us ko munkirat hain sab
ye hi achchha hai salihat karen
thik apne ta'alluqat karen
ye hi behtar hai aao baat karen
guftugu pur-natija-khez rahen
sair-hasil muzakaraat karen
duriyon ka sabab jo ban gae hain
dur wo sab tahaffuzat karen
hal talab koi masala na rahe
sidhe sare mu'amalat karen
mil ke hum dhunden mushkilat ka hal
na ki paida tanaze'at karen
aap kya hain ye dekh lunga main
band ye baaten wahiyat karen
zindagi ke koi ma'ani bhi hon
ye nahin bas ki din ko raat karen
na pasand us ko munkiraat hain sab
ye hi achchha hai salihat karen
jo us taraf se musalsal bahaw aaega
jo us taraf se musalsal bahav aaega
ye band kachcha hai is men katav aaega
abhi se raah men rukne ki justuju kaisi
safar tavil hai aage padav aaega
rahoge bazm men bil-qasd duur gar ham se
ta'alluqat men is se khichav aaega
vo aa gaya hai na ik baar hi bulane par
kaha tha pahle hi us ko bulao aaega
khade usulon ki khatir hue ho achchha hai
magar samajh lo ye tum par dabav aaega
izafi zar ki talab jitni badhti jaegi
hamari qadron men utna girav aaega
'naved' bhejo use cake aur guldasta
ye bhuul jaate ho kab rakh-rakhav aaega
jo us taraf se musalsal bahaw aaega
ye band kachcha hai is mein kataw aaega
abhi se rah mein rukne ki justuju kaisi
safar tawil hai aage padaw aaega
rahoge bazm mein bil-qasd dur gar hum se
ta'alluqat mein is se khichaw aaega
wo aa gaya hai na ek bar hi bulane par
kaha tha pahle hi us ko bulao aaega
khade usulon ki khatir hue ho achchha hai
magar samajh lo ye tum par dabaw aaega
izafi zar ki talab jitni badhti jaegi
hamari qadron mein utna giraw aaega
'nawed' bhejo use cake aur guldasta
ye bhul jate ho kab rakh-rakhaw aaega
You have reached the end.