tamam raat nahaya tha shahr barish mein wo rang utar hi gae jo utarne wale the
Poetry Collection
Shahr
City is a physical space; it is also a metaphor of suffering as well as of aspirations and achievements. It is a place where dreams are nurtured as well as scattered and spoiled. City has been treated variously in the poetry of both the East and the West. The modern poets, however, have executed the images of city more frequently than others. Here are some images of the city as visualized by Urdu poets.
Total
47
Sher
41
Ghazal
6
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta kahin zamin kahin asman nahin milta tamam shahr men aisa nahin khulus na ho jahan umiid ho is ki vahan nahin milta kahan charaghh jalaen kahan gulab rakhen chhaten to milti hain lekin makan nahin milta ye kya azaab hai sab apne aap men gum hain zaban mili hai magar ham-zaban nahin milta charaghh jalte hi binai bujhne lagti hai khud apne ghar men hi ghar ka nishan nahin milta kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta kahin zamin kahin aasman nahin milta tamam shahr mein aisa nahin khulus na ho jahan umid ho is ki wahan nahin milta kahan charagh jalaen kahan gulab rakhen chhaten to milti hain lekin makan nahin milta ye kya azab hai sab apne aap mein gum hain zaban mili hai magar ham-zaban nahin milta charagh jalte hi binai bujhne lagti hai khud apne ghar mein hi ghar ka nishan nahin milta
dil to mera udas hai 'nasir' shahr kyun saen saen karta hai
tamam raat nahaya tha shahr barish mein wo rang utar hi gae jo utarne wale the
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta kahin zamin kahin asman nahin milta tamam shahr men aisa nahin khulus na ho jahan umiid ho is ki vahan nahin milta kahan charaghh jalaen kahan gulab rakhen chhaten to milti hain lekin makan nahin milta ye kya azaab hai sab apne aap men gum hain zaban mili hai magar ham-zaban nahin milta charaghh jalte hi binai bujhne lagti hai khud apne ghar men hi ghar ka nishan nahin milta kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta kahin zamin kahin aasman nahin milta tamam shahr mein aisa nahin khulus na ho jahan umid ho is ki wahan nahin milta kahan charagh jalaen kahan gulab rakhen chhaten to milti hain lekin makan nahin milta ye kya azab hai sab apne aap mein gum hain zaban mili hai magar ham-zaban nahin milta charagh jalte hi binai bujhne lagti hai khud apne ghar mein hi ghar ka nishan nahin milta
dil to mera udas hai 'nasir' shahr kyun saen saen karta hai
hath khaali hain tere shahr se jate jate
haath khali hain tire shahr se jaate jaate jaan hoti to miri jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar hamen pahchanta hai umr guzri hai tire shahr men aate jaate ab ke mayus hua yaron ko rukhsat kar ke ja rahe the to koi zakhm lagate jaate rengne ki bhi ijazat nahin ham ko varna ham jidhar jaate nae phuul khilate jaate main to jalte hue sahraon ka ik patthar tha tum to dariya the miri pyaas bujhate jaate mujh ko rone ka saliqa bhi nahin hai shayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musafir kai guzre honge kam se kam raah ke patthar to hatate jaate hath khali hain tere shahr se jate jate jaan hoti to meri jaan lutate jate ab to har hath ka patthar hamein pahchanta hai umr guzri hai tere shahr mein aate jate ab ke mayus hua yaron ko rukhsat kar ke ja rahe the to koi zakhm lagate jate rengne ki bhi ijazat nahin hum ko warna hum jidhar jate nae phul khilate jate main to jalte hue sahraon ka ek patthar tha tum to dariya the meri pyas bujhate jate mujh ko rone ka saliqa bhi nahin hai shayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jate hum se pahle bhi musafir kai guzre honge kam se kam rah ke patthar to hatate jate
hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai kahin karobar si dopahar kahin bad-mizaj si sham hai
tanhai ki gali mein hawaon ka shor tha
tanhai ki gali men havaon ka shor tha ankhon men so raha tha andhera thaka hua siine men jaise tiir sa paivast ho gaya tha kitna dil-kharash udasi ka qahqaha yuun bhi hua ki shahr ki sadkon pe bar-ha har shakhs se main apna pata puchhta phira barson se chal raha hai koi mere saath saath hai kaun shakhs us se main ik baar puchhta dil men utar ke bujh gai yadon ki chandni ankhon men intizar ka suraj pighal gaya chhodi hai un ki chaah to ab lag raha hai yuun jaise main itne roz andheron men qaid tha main ne zara si baat kahi thi mazaq men tum ne zara si baat ko itna badha liya kamre men phailta raha cigarette ka dhuan main band khidkiyon ki taraf dekhta raha 'azar' ye kis ki samt badhe ja rahe hain log is shahr men to mere siva koi bhi na tha tanhai ki gali mein hawaon ka shor tha aankhon mein so raha tha andhera thaka hua sine mein jaise tir sa paiwast ho gaya tha kitna dil-kharash udasi ka qahqaha yun bhi hua ki shahr ki sadkon pe bar-ha har shakhs se main apna pata puchhta phira barson se chal raha hai koi mere sath sath hai kaun shakhs us se main ek bar puchhta dil mein utar ke bujh gai yaadon ki chandni aankhon mein intizar ka suraj pighal gaya chhodi hai un ki chah to ab lag raha hai yun jaise main itne roz andheron mein qaid tha main ne zara si baat kahi thi mazaq mein tum ne zara si baat ko itna badha liya kamre mein phailta raha cigarette ka dhuan main band khidkiyon ki taraf dekhta raha 'azar' ye kis ki samt badhe ja rahe hain log is shahr mein to mere siwa koi bhi na tha
jo mere ganw ke kheton mein bhuk ugne lagi mere kisanon ne shahron mein naukri kar li
mujhko kahaniyan na suna shahr ko bacha
mujh ko kahaniyan na suna shahr ko bacha baton se mera dil na lubha shahr ko bacha mere tahaffuzat hifazat se hain jude mere tahaffuzat mita shahr ko bacha tu is liye hai shahr ka hakim ki shahr hai us ki baqa men teri baqa shahr ko bacha tu jaag jaega to sabhi jaag jaenge ai shahryar jaag zara shahr ko bacha tu chahta hai ghar tira mahfuz ho agar phir sirf apna ghar na bacha shahr ko bacha koi nahin bachane ko aage badha huzur har ik ne dusre se kaha shahr ko bacha lagta hai log ab na bacha paenge ise allah madad ko tu miri aa shahr ko bacha tarikh-dan likkhega 'taimur' ye zarur ik shakhs tha jo kahta raha shahr ko bacha mujh ko kahaniyan na suna shahr ko bacha baaton se mera dil na lubha shahr ko bacha mere tahaffuzat hifazat se hain jude mere tahaffuzat mita shahr ko bacha tu is liye hai shahr ka hakim ki shahr hai us ki baqa mein teri baqa shahr ko bacha tu jag jaega to sabhi jag jaenge ai shahryar jag zara shahr ko bacha tu chahta hai ghar tera mahfuz ho agar phir sirf apna ghar na bacha shahr ko bacha koi nahin bachane ko aage badha huzur har ek ne dusre se kaha shahr ko bacha lagta hai log ab na bacha paenge ise allah madad ko tu meri aa shahr ko bacha tarikh-dan likkhega 'taimur' ye zarur ek shakhs tha jo kahta raha shahr ko bacha
kisi ke chhut jaane ka use kyon gham nahin hota
kisi ke chhut jaane ka use kyon ghham nahin hota tira dil hai ki patthar hai kabhi jo nam nahin hota parinde gungunate hain tumhare shahr men lekin hamare shahr ka aisa kabhi mausam nahin hota ba-zahir jugnuon ki raushni se ghar to raushan hai magar phir bhi mire ghar ka andhera kam nahin hota khuda se gar tujhe manga nahin hota du'aon men tujhe khone ka phir ham ko zara bhi ghham nahin hota nigahon ne hamari ek manzar vo bhi dekha hai jahan apnon ke marne ka koi matam nahin hota kisi ke chhut jaane ka use kyon gham nahin hota tera dil hai ki patthar hai kabhi jo nam nahin hota parinde gungunate hain tumhaare shahr mein lekin hamare shahr ka aisa kabhi mausam nahin hota ba-zahir jugnuon ki raushni se ghar to raushan hai magar phir bhi mere ghar ka andhera kam nahin hota khuda se gar tujhe manga nahin hota du'aon mein tujhe khone ka phir hum ko zara bhi gham nahin hota nigahon ne hamari ek manzar wo bhi dekha hai jahan apnon ke marne ka koi matam nahin hota
suna hai shahr ka naqsha badal gaya 'mahfuz' to chal ke hum bhi zara apne ghar ko dekhte hain
bhid ke khauf se phir ghar ki taraf laut aaya ghar se jab shahr mein tanhai ke dar se nikla
humse pahle to kahin pyar na tha shahr-ba-shahr
ham se pahle to kahin pyaar na tha shahr-ba-shahr apne hamrah ye sailab gaya shahr-ba-shahr aise badnam huiin apni mahakti ghhazlen jaise avargi-e-mauj-e-saba shahr-ba-shahr log kya kya na gae tod ke paiman-e-vafa dil ki dhadkan ne magar saath diya shahr-ba-shahr ham ki 'maasum' hain dehat ke rahne vaale dhundte phirte hain kya janiye kya shahr-ba-shahr hum se pahle to kahin pyar na tha shahr-ba-shahr apne hamrah ye sailab gaya shahr-ba-shahr aise badnam huin apni mahakti ghazlen jaise aawargi-e-mauj-e-saba shahr-ba-shahr log kya kya na gae tod ke paiman-e-wafa dil ki dhadkan ne magar sath diya shahr-ba-shahr hum ki 'masum' hain dehat ke rahne wale dhundte phirte hain kya jaaniye kya shahr-ba-shahr
ek aur khet pakki sadak ne nigal liya ek aur ganw shahar ki wusat mein kho gaya
dosto tum se guzarish hai yahan mat aao is bade shahr mein tanhai bhi mar jati hai
tum bhi is shahr mein ban jaoge patthar jaise hansne wala yahan koi hai na rone wala
aisa hangama na tha jangal mein shahr mein aae to dar lagta tha
shahr ka bhi dastur wahi jangal wala khojne wale hi akasr kho jate hain
mere hi sang-o-khisht se tamir-e-baam-o-dar mere hi ghar ko shahr mein shamil kaha na jae
ab shahr-e-arzu mein wo ranaiyan kahan hain gul-kade nidhaal badi tez dhup hai
ye dil-fareb charaghan ye qahqahon ke hujum main dar raha hun ab is shahar se guzarte hue
hum ek shahr mein the ek nadi ki duri par aur us nadi mein koi aur waqt bahta tha
'azm' is shahr mein ab aisi koi aankh nahin girne wale ko yahan jis ne sambhalte dekha
majnun se ye kahna ki mere shahar mein aa jae wahshat ke liye ek bayaban abhi hai
kaisa hangama bapa hai ki mere shahr ke log khamushi dhundhne ghaaron ki taraf jate hue
hasin hai shahr to ujlat mein kyun guzar jaen junun-e-shauq use bhi nihaal kar jaen
kuchh bhi hon dilli ke kuche tujh bin mujh ko ghar katega
ai muzaffar kis liye bhopal yaad aane laga kya samajhte the ki dilli mein na hoga aasman
chup chup makan raste gum-sum nidhaal waqt is shahr ke liye koi diwana chahiye
aap mazlum ke ashkon se na khilwad karen ye wo dariya hain jo shahron ko nigal sakte hain
ek pal ko bhi sukun na hasil hua wahan shahron se achchha ganw ka chhappar laga mujhe
Explore Similar Collections
Shahr FAQs
Shahr collection me kya milega?
Shahr se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.