wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
vo jo ham men tum men qarar tha tumhen yaad ho ki na yaad ho
vahi yaani vaada nibah ka tumhen yaad ho ki na yaad ho
the love that 'tween us used to be, you may, may not recall
those promises of constancy, you may, may not recall
vo jo lutf mujh pe the beshtar vo karam ki tha mire haal par
mujhe sab hai yaad zara zara tumhen yaad ho ki na yaad ho
those favours that you did bestow, the kindness that you once did show
i can recall them all somehow, you may, may not recall
vo nae gile vo shikayaten vo maze maze ki hikayaten
vo har ek baat pe ruthna tumhen yaad ho ki na yaad ho
new complaints each every night, stories so full of delight
at every word your feigning slight, you may, may not recall
kabhi baithe sab men jo ru-ba-ru to isharaton hi se guftugu
vo bayan shauq ka barmala tumhen yaad ho ki na yaad ho
sitting in midst of company, talking in gestures openly
that expression of love publicly, you may, may not recall
hue ittifaq se gar baham to vafa jatane ko dam-ba-dam
gila-e-malamat-e-aqriba tumhen yaad ho ki na yaad ho
if face to face we chanced to be, to constantly prove loyalty
those plaints of folks' rebukes to me, you may, may not recall
koi baat aisi agar hui ki tumhare ji ko buri lagi
to bayan se pahle hi bhulna tumhen yaad ho ki na yaad ho
a word of mine if were to be, which hurt you to any degree
forgetting it most instantly, you may, may not recall
kabhi ham men tum men bhi chaah thi kabhi ham se tum se bhi raah thi
kabhi ham bhi tum bhi the ashna tumhen yaad ho ki na yaad ho
friendship twixt us once used to be, a path there was from you to me
once "i" and "you" were not, but we, you may, may not recall
suno zikr hai kai saal ka ki kiya ik aap ne vaada tha
so nibahane ka to zikr kya tumhen yaad ho ki na yaad ho
long past though it appears to be,there was something you promised me
to fulfil each vow truthfully, you may, may not recall
kaha main ne baat vo kothe ki mire dil se saaf utar gai
to kaha ki jaane miri bala tumhen yaad ho ki na yaad ho
---
---
vo bigadna vasl ki raat ka vo na manna kisi baat ka
vo nahin nahin ki har aan ada tumhen yaad ho ki na yaad ho
you getting angry when we met, at everything getting upset
your nay saying i can't forget, you may, may not recall
jise aap ginte the ashna jise aap kahte the ba-vafa
main vahi huun 'momin'-e-mubtala tumhen yaad ho ki na yaad ho
the one you once held close to you, the one whom once you deemed as true
i am that distressed momin, blue, you may, may not recall
wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
wahi yani wada nibah ka tumhein yaad ho ki na yaad ho
the love that 'tween us used to be, you may, may not recall
those promises of constancy, you may, may not recall
wo jo lutf mujh pe the beshtar wo karam ki tha mere haal par
mujhe sab hai yaad zara zara tumhein yaad ho ki na yaad ho
those favours that you did bestow, the kindness that you once did show
i can recall them all somehow, you may, may not recall
wo nae gile wo shikayaten wo maze maze ki hikayaten
wo har ek baat pe ruthna tumhein yaad ho ki na yaad ho
new complaints each every night, stories so full of delight
at every word your feigning slight, you may, may not recall
kabhi baithe sab mein jo ru-ba-ru to ishaaraton hi se guftugu
wo bayan shauq ka barmala tumhein yaad ho ki na yaad ho
sitting in midst of company, talking in gestures openly
that expression of love publicly, you may, may not recall
hue ittifaq se gar baham to wafa jatane ko dam-ba-dam
gila-e-malamat-e-aqriba tumhein yaad ho ki na yaad ho
if face to face we chanced to be, to constantly prove loyalty
those plaints of folks' rebukes to me, you may, may not recall
koi baat aisi agar hui ki tumhaare ji ko buri lagi
to bayan se pahle hi bhulna tumhein yaad ho ki na yaad ho
a word of mine if were to be, which hurt you to any degree
forgetting it most instantly, you may, may not recall
kabhi hum mein tum mein bhi chah thi kabhi hum se tum se bhi rah thi
kabhi hum bhi tum bhi the aashna tumhein yaad ho ki na yaad ho
friendship twixt us once used to be, a path there was from you to me
once "i" and "you" were not, but we, you may, may not recall
suno zikr hai kai sal ka ki kiya ek aap ne wada tha
so nibahane ka to zikr kya tumhein yaad ho ki na yaad ho
long past though it appears to be,there was something you promised me
to fulfil each vow truthfully, you may, may not recall
kaha main ne baat wo kothe ki mere dil se saf utar gai
to kaha ki jaane meri bala tumhein yaad ho ki na yaad ho
---
---
wo bigadna wasl ki raat ka wo na manna kisi baat ka
wo nahin nahin ki har aan ada tumhein yaad ho ki na yaad ho
you getting angry when we met, at everything getting upset
your nay saying i can't forget, you may, may not recall
jise aap ginte the aashna jise aap kahte the ba-wafa
main wahi hun 'momin'-e-mubtala tumhein yaad ho ki na yaad ho
the one you once held close to you, the one whom once you deemed as true
i am that distressed momin, blue, you may, may not recall
chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
ham ko ab tak ashiqi ka vo zamana yaad hai
ba-hazaran iztirab o sad-hazaran ishtiyaq
tujh se vo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai
baar baar uthna usi janib nigah-e-shauq ka
aur tira ghhurfe se vo ankhen ladana yaad hai
tujh se kuchh milte hi vo bebak ho jaana mira
aur tira danton men vo ungli dabana yaad hai
khinch lena vo mira parde ka kona dafatan
aur dupatte se tira vo munh chhupana yaad hai
jaan kar sota tujhe vo qasd-e-pa-bosi mira
aur tira thukra ke sar vo muskurana yaad hai
tujh ko jab tanha kabhi paana to az-rah-e-lihaz
hal-e-dil baton hi baton men jatana yaad hai
jab siva mere tumhara koi divana na tha
sach kaho kuchh tum ko bhi vo kar-khana yaad hai
ghhair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaf
vo tira chori-chhupe raton ko aana yaad hai
aa gaya gar vasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaq
vo tira ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai
dopahar ki dhuup men mere bulane ke liye
vo tira kothe pe nange paanv aana yaad hai
aaj tak nazron men hai vo sohbat-e-raz-o-niyaz
apna jaana yaad hai tera bulana yaad hai
mithi mithi chhed kar baten nirali pyaar ki
zikr dushman ka vo baton men udana yaad hai
dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naaz se
jab mana lena to phir khud ruuth jaana yaad hai
chori chori ham se tum aa kar mile the jis jagah
muddaten guzrin par ab tak vo thikana yaad hai
shauq men mehndi ke vo be-dast-o-pa hona tira
aur mira vo chhedna vo gudgudana yaad hai
bavajud-e-iddia-e-ittiqa 'hasrat' mujhe
aaj tak ahd-e-havas ka vo fasana yaad hai
chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai
ba-hazaran iztirab o sad-hazaran ishtiyaq
tujh se wo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai
bar bar uthna usi jaanib nigah-e-shauq ka
aur tera ghurfe se wo aankhen ladana yaad hai
tujh se kuchh milte hi wo bebak ho jaana mera
aur tera danton mein wo ungli dabana yaad hai
khinch lena wo mera parde ka kona dafatan
aur dupatte se tera wo munh chhupana yaad hai
jaan kar sota tujhe wo qasd-e-pa-bosi mera
aur tera thukra ke sar wo muskurana yaad hai
tujh ko jab tanha kabhi pana to az-rah-e-lihaz
haal-e-dil baaton hi baaton mein jatana yaad hai
jab siwa mere tumhaara koi diwana na tha
sach kaho kuchh tum ko bhi wo kar-khana yaad hai
ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaf
wo tera chori-chhupe raaton ko aana yaad hai
aa gaya gar wasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaq
wo tera ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai
dopahar ki dhup mein mere bulane ke liye
wo tera kothe pe nange panw aana yaad hai
aaj tak nazron mein hai wo sohbat-e-raaz-o-niyaz
apna jaana yaad hai tera bulana yaad hai
mithi mithi chhed kar baaten nirali pyar ki
zikr dushman ka wo baaton mein udana yaad hai
dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naz se
jab mana lena to phir khud ruth jaana yaad hai
chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah
muddaten guzrin par ab tak wo thikana yaad hai
shauq mein mehndi ke wo be-dast-o-pa hona tera
aur mera wo chhedna wo gudgudana yaad hai
bawajud-e-iddia-e-ittiqa 'hasrat' mujhe
aaj tak ahd-e-hawas ka wo fasana yaad hai
fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
samne baitha tha mere aur vo mera na tha
vo ki khushbu ki tarah phaila tha mere char-su
main use mahsus kar sakta tha chhu sakta na tha
raat bhar pichhli si aahat kaan men aati rahi
jhank kar dekha gali men koi bhi aaya na tha
main tiri surat liye saare zamane men phira
saari duniya men magar koi tire jaisa na tha
aaj milne ki khushi men sirf main jaaga nahin
teri ankhon se bhi lagta hai ki tu soya na tha
ye sabhi viraniyan us ke juda hone se thiin
aankh dhundlai hui thi shahr dhundlaya na tha
sainkadon tufan lafzon men dabe the zer-e-lab
ek patthar tha khamoshi ka ki jo hatta na tha
yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim'
bhuul jaane ke siva ab koi bhi chara na tha
maslahat ne ajnabi ham ko banaya tha 'adim'
varna kab ik dusre ko ham ne pahchana na tha
fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
samne baitha tha mere aur wo mera na tha
wo ki khushbu ki tarah phaila tha mere chaar-su
main use mahsus kar sakta tha chhu sakta na tha
raat bhar pichhli si aahat kan mein aati rahi
jhank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha
main teri surat liye sare zamane mein phira
sari duniya mein magar koi tere jaisa na tha
aaj milne ki khushi mein sirf main jaga nahin
teri aankhon se bhi lagta hai ki tu soya na tha
ye sabhi viraniyan us ke juda hone se thin
aankh dhundlai hui thi shahr dhundlaya na tha
sainkadon tufan lafzon mein dabe the zer-e-lab
ek patthar tha khamoshi ka ki jo hatta na tha
yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim'
bhul jaane ke siwa ab koi bhi chaara na tha
maslahat ne ajnabi hum ko banaya tha 'adim'
warna kab ek dusre ko hum ne pahchana na tha
dil dhadakne ka sabab yaad aaya
dil dhadakne ka sabab yaad aaya
vo tiri yaad thi ab yaad aaya
aaj mushkil tha sambhalna ai dost
tu musibat men ajab yaad aaya
din guzara tha badi mushkil se
phir tira vaada-e-shab yaad aaya
tera bhula hua paiman-e-vafa
mar rahenge agar ab yaad aaya
phir kai log nazar se guzre
phir koi shahr-e-tarab yaad aaya
hal-e-dil ham bhi sunate lekin
jab vo rukhsat hua tab yaad aaya
baith kar saya-e-gul men 'nasir'
ham bahut roe vo jab yaad aaya
dil dhadakne ka sabab yaad aaya
wo teri yaad thi ab yaad aaya
aaj mushkil tha sambhalna ai dost
tu musibat mein ajab yaad aaya
din guzara tha badi mushkil se
phir tera wada-e-shab yaad aaya
tera bhula hua paiman-e-wafa
mar rahenge agar ab yaad aaya
phir kai log nazar se guzre
phir koi shahr-e-tarab yaad aaya
haal-e-dil hum bhi sunate lekin
jab wo rukhsat hua tab yaad aaya
baith kar saya-e-gul mein 'nasir'
hum bahut roe wo jab yaad aaya
kahan aa ke rukne the raste kahan mod tha use bhul ja
kahan aa ke rukne the raste kahan mod tha use bhuul ja
vo jo mil gaya use yaad rakh jo nahin mila use bhuul ja
vo tire nasib ki barishen kisi aur chhat pe baras gaiin
dil-e-be-khabar miri baat sun use bhuul ja use bhuul ja
main to gum tha tere hi dhyan men tiri aas tere guman men
saba kah gai mire kaan men mire saath aa use bhuul ja
kisi aankh men nahin ashk-e-ghham tire baa'd kuchh bhi nahin hai kam
tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskura use bhuul ja
kahin chak-e-jan ka rafu nahin kisi astin pe lahu nahin
ki shahid-e-rah-e-malal ka nahin khun-baha use bhuul ja
kyuun ata hua hai ghhubar men ghham-e-zindagi ke fishar men
vo jo dard tha tire bakht men so vo ho gaya use bhuul ja
tujhe chand ban ke mila tha jo tire sahilon pe khila tha jo
vo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhuul ja
kahan aa ke rukne the raste kahan mod tha use bhul ja
wo jo mil gaya use yaad rakh jo nahin mila use bhul ja
wo tere nasib ki barishen kisi aur chhat pe baras gain
dil-e-be-khabar meri baat sun use bhul ja use bhul ja
main to gum tha tere hi dhyan mein teri aas tere guman mein
saba kah gai mere kan mein mere sath aa use bhul ja
kisi aankh mein nahin ashk-e-gham tere ba'd kuchh bhi nahin hai kam
tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskura use bhul ja
kahin chaak-e-jaan ka rafu nahin kisi aastin pe lahu nahin
ki shahid-e-rah-e-malal ka nahin khun-baha use bhul ja
kyun ata hua hai ghubar mein gham-e-zindagi ke fishaar mein
wo jo dard tha tere bakht mein so wo ho gaya use bhul ja
tujhe chand ban ke mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo
wo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhul ja
aap ki yaad aati rahi raat bhar
''aap ki yaad aati rahi raat bhar''
chandni dil dukhati rahi raat bhar
gaah jalti hui gaah bujhti hui
sham-e-ghham jhilmilati rahi raat bhar
koi khushbu badalti rahi pairahan
koi tasvir gaati rahi raat bhar
phir saba saya-e-shakh-e-gul ke tale
koi qissa sunati rahi raat bhar
jo na aaya use koi zanjir-e-dar
har sada par bulati rahi raat bhar
ek ummid se dil bahalta raha
ik tamanna satati rahi raat bhar
aap ki yaad aati rahi raat bhar
chandni dil dukhati rahi raat bhar
gah jalti hui gah bujhti hui
sham-e-gham jhilmilati rahi raat bhar
koi khushbu badalti rahi pairahan
koi taswir gati rahi raat bhar
phir saba saya-e-shakh-e-gul ke tale
koi qissa sunati rahi raat bhar
jo na aaya use koi zanjir-e-dar
har sada par bulati rahi raat bhar
ek ummid se dil bahalta raha
ek tamanna satati rahi raat bhar
nae kapde badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liye
nae kapde badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liye
vo shakhs to shahr hi chhod gaya main bahar jaun kis ke liye
jis dhuup ki dil men thandak thi vo dhuup usi ke saath gai
in jalti balti galiyon men ab khaak udaun kis ke liye
vo shahr men tha to us ke liye auron se bhi milna padta tha
ab aise-vaise logon ke main naaz uthaun kis ke liye
ab shahr men us ka badal hi nahin koi vaisa jan-e-ghhazal hi nahin
aivan-e-ghhazal men lafzon ke gul-dan sajaun kis ke liye
muddat se koi aaya na gaya sunsan padi hai ghar ki faza
in khali kamron men 'nasir' ab shama jalaun kis ke liye
nae kapde badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liye
wo shakhs to shahr hi chhod gaya main bahar jaun kis ke liye
jis dhup ki dil mein thandak thi wo dhup usi ke sath gai
in jalti balti galiyon mein ab khak udaun kis ke liye
wo shahr mein tha to us ke liye auron se bhi milna padta tha
ab aise-waise logon ke main naz uthaun kis ke liye
ab shahr mein us ka badal hi nahin koi waisa jaan-e-ghazal hi nahin
aiwan-e-ghazal mein lafzon ke gul-dan sajaun kis ke liye
muddat se koi aaya na gaya sunsan padi hai ghar ki faza
in khali kamron mein 'nasir' ab shama jalaun kis ke liye
ek hi muzhda subh lati hai
ek hi muzhda subh laati hai
dhuup angan men phail jaati hai
rang-e-mausam hai aur bad-e-saba
shahr kuchon men khaak udati hai
farsh par kaghhaz udte phirte hain
mez par gard jamti jaati hai
sochta huun ki us ki yaad akhir
ab kise raat bhar jagati hai
main bhi izn-e-nava-gari chahun
be-dili bhi to lab hilati hai
so gae ped jaag uthi khushbu
zindagi khvab kyuun dikhati hai
us sarapa vafa ki furqat men
khvahish-e-ghhair kyuun satati hai
aap apne se ham-sukhan rahna
ham-nashin saans phuul jaati hai
kya sitam hai ki ab tiri surat
ghhaur karne pe yaad aati hai
kaun is ghar ki dekh-bhal kare
roz ik chiiz tuut jaati hai
ek hi muzhda subh lati hai
dhup aangan mein phail jati hai
rang-e-mausam hai aur baad-e-saba
shahr kuchon mein khak udati hai
farsh par kaghaz udte phirte hain
mez par gard jamti jati hai
sochta hun ki us ki yaad aakhir
ab kise raat bhar jagati hai
main bhi izn-e-nawa-gari chahun
be-dili bhi to lab hilati hai
so gae ped jag uthi khushbu
zindagi khwab kyun dikhati hai
us sarapa wafa ki furqat mein
khwahish-e-ghair kyun satati hai
aap apne se ham-sukhan rahna
ham-nashin sans phul jati hai
kya sitam hai ki ab teri surat
ghaur karne pe yaad aati hai
kaun is ghar ki dekh-bhaal kare
roz ek chiz tut jati hai
aap ki yaad aati rahi raat bhar
aap ki yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskurati rahi raat bhar
raat bhar dard ki shama jalti rahi
ghham ki lau thartharati rahi raat bhar
bansuri ki surili suhani sada
yaad ban ban ke aati rahi raat bhar
yaad ke chand dil men utarte rahe
chandni jagmagati rahi raat bhar
koi divana galiyon men phirta raha
koi avaz aati rahi raat bhar
aap ki yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar
raat bhar dard ki shama jalti rahi
gham ki lau thartharaati rahi raat bhar
bansuri ki surili suhani sada
yaad ban ban ke aati rahi raat bhar
yaad ke chand dil mein utarte rahe
chandni jagmagati rahi raat bhar
koi diwana galiyon mein phirta raha
koi aawaz aati rahi raat bhar
bata ai abr musawat kyun nahin karta
bata ai abr musavat kyuun nahin karta
hamare gaanv men barsat kyuun nahin karta
mahaz-e-ishq se kab kaun bach ke nikla hai
tu bach gaya hai to khairat kyuun nahin karta
vo jis ki chhanv men pachchis saal guzre hain
vo ped mujh se koi baat kyuun nahin karta
main jis ke saath kai din guzar aaya huun
vo mere saath basar raat kyuun nahin karta
mujhe tu jaan se badh kar aziiz ho gaya hai
to mere saath koi haath kyuun nahin karta
bata ai abr musawat kyun nahin karta
hamare ganw mein barsat kyun nahin karta
mahaz-e-ishq se kab kaun bach ke nikla hai
tu bach gaya hai to khairaat kyun nahin karta
wo jis ki chhanw mein pachchis sal guzre hain
wo ped mujh se koi baat kyun nahin karta
main jis ke sath kai din guzar aaya hun
wo mere sath basar raat kyun nahin karta
mujhe tu jaan se badh kar aziz ho gaya hai
to mere sath koi hath kyun nahin karta
dukh fasana nahin ki tujhse kahen
dukh fasana nahin ki tujh se kahen
dil bhi maana nahin ki tujh se kahen
aaj tak apni bekali ka sabab
khud bhi jaana nahin ki tujh se kahen
be-tarah hal-e-dil hai aur tujh se
dostana nahin ki tujh se kahen
ek tu harf-e-ashna tha magar
ab zamana nahin ki tujh se kahen
qasida ham faqir logon ka
ik thikana nahin ki tujh se kahen
ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost
ab-o-dana nahin ki tujh se kahen
ab to apna bhi us gali men 'faraz'
aana jaana nahin ki tujh se kahen
dukh fasana nahin ki tujh se kahen
dil bhi mana nahin ki tujh se kahen
aaj tak apni bekali ka sabab
khud bhi jaana nahin ki tujh se kahen
be-tarah haal-e-dil hai aur tujh se
dostana nahin ki tujh se kahen
ek tu harf-e-ashna tha magar
ab zamana nahin ki tujh se kahen
qasida hum faqir logon ka
ek thikana nahin ki tujh se kahen
ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost
aab-o-dana nahin ki tujh se kahen
ab to apna bhi us gali mein 'faraaz'
aana jaana nahin ki tujh se kahen
hamara dil sawere ka sunahra jam ho jae
hamara dil savere ka sunahra jaam ho jaae
charaghhon ki tarah ankhen jalen jab shaam ho jaae
kabhi to asman se chand utre jaam ho jaae
tumhare naam ki ik khub-surat shaam ho jaae
ajab halat the yuun dil ka sauda ho gaya akhir
mohabbat ki haveli jis tarah nilam ho jaae
samundar ke safar men is tarah avaz de ham ko
havaen tez hon aur kashtiyon men shaam ho jaae
mujhe malum hai us ka thikana phir kahan hoga
parinda asman chhune men jab nakam ho jaae
ujale apni yadon ke hamare saath rahne do
na jaane kis gali men zindagi ki shaam ho jaae
hamara dil sawere ka sunahra jam ho jae
charaghon ki tarah aankhen jalen jab sham ho jae
kabhi to aasman se chand utre jam ho jae
tumhaare nam ki ek khub-surat sham ho jae
ajab haalat the yun dil ka sauda ho gaya aakhir
mohabbat ki haweli jis tarah nilam ho jae
samundar ke safar mein is tarah aawaz de hum ko
hawaen tez hon aur kashtiyon mein sham ho jae
mujhe malum hai us ka thikana phir kahan hoga
parinda aasman chhune mein jab nakaam ho jae
ujale apni yaadon ke hamare sath rahne do
na jaane kis gali mein zindagi ki sham ho jae
wahi phir mujhe yaad aane lage hain
vahi phir mujhe yaad aane lage hain
jinhen bhulne men zamane lage hain
vo hain paas aur yaad aane lage hain
mohabbat ke hosh ab thikane lage hain
suna hai hamen vo bhulane lage hain
to kya ham unhen yaad aane lage hain
hatae the jo raah se doston ki
vo patthar mire ghar men aane lage hain
ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne men mujh ko zamane lage hain
havaen chalin aur na maujen hi utthin
ab aise bhi tufan aane lage hain
qayamat yaqinan qarib aa gai hai
'khumar' ab to masjid men jaane lage hain
wahi phir mujhe yaad aane lage hain
jinhen bhulne mein zamane lage hain
wo hain pas aur yaad aane lage hain
mohabbat ke hosh ab thikane lage hain
suna hai hamein wo bhulane lage hain
to kya hum unhen yaad aane lage hain
hatae the jo rah se doston ki
wo patthar mere ghar mein aane lage hain
ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamane lage hain
hawaen chalin aur na maujen hi utthin
ab aise bhi tufan aane lage hain
qayamat yaqinan qarib aa gai hai
'khumar' ab to masjid mein jaane lage hain
sham-e-firaq ab na puchh aai aur aa ke tal gai
sham-e-firaq ab na puchh aai aur aa ke tal gai
dil tha ki phir bahal gaya jaan thi ki phir sambhal gai
query not my lonely night it came and went away
the heart was consoled and life managed not to fray
bazm-e-khayal men tire husn ki shama jal gai
dard ka chand bujh gaya hijr ki raat dhal gai
in the parlour of my thoughts your beauty's lamp was lit
the moon of pain vanished again, the night of parting quit
jab tujhe yaad kar liya subh mahak mahak uthi
jab tira ghham jaga liya raat machal machal gai
when your thoughts arose, fragrant was the morn
when your sorrow's woke, the night was all forlorn
dil se to har moamla kar ke chale the saaf ham
kahne men un ke samne baat badal badal gai
i ventured forth with all my thoughts properly arranged
in her presence when i spoke, the meaning had all changed
akhir-e-shab ke ham-safar 'faiz' na jaane kya hue
rah gai kis jagah saba subh kidhar nikal gai
where the night's companions went i do not know
where did the breeze vanish where did the morning go
sham-e-firaq ab na puchh aai aur aa ke tal gai
dil tha ki phir bahal gaya jaan thi ki phir sambhal gai
query not my lonely night it came and went away
the heart was consoled and life managed not to fray
bazm-e-khayal mein tere husn ki shama jal gai
dard ka chand bujh gaya hijr ki raat dhal gai
in the parlour of my thoughts your beauty's lamp was lit
the moon of pain vanished again, the night of parting quit
jab tujhe yaad kar liya subh mahak mahak uthi
jab tera gham jaga liya raat machal machal gai
when your thoughts arose, fragrant was the morn
when your sorrow's woke, the night was all forlorn
dil se to har moamla kar ke chale the saf hum
kahne mein un ke samne baat badal badal gai
i ventured forth with all my thoughts properly arranged
in her presence when i spoke, the meaning had all changed
aakhir-e-shab ke ham-safar 'faiz' na jaane kya hue
rah gai kis jagah saba subh kidhar nikal gai
where the night's companions went i do not know
where did the breeze vanish where did the morning go
mil hi jaega kabhi dil ko yaqin rahta hai
mil hi jaega kabhi dil ko yaqin rahta hai
vo isi shahr ki galiyon men kahin rahta hai
jis ki sanson se mahakte the dar-o-bam tire
ai makan bol kahan ab vo makin rahta hai
ik zamana tha ki sab ek jagah rahte the
aur ab koi kahin koi kahin rahta hai
roz milne pe bhi lagta tha ki jug biit gae
ishq men vaqt ka ehsas nahin rahta hai
dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin
umr bhar kaun javan kaun hasin rahta hai
mil hi jaega kabhi dil ko yaqin rahta hai
wo isi shahr ki galiyon mein kahin rahta hai
jis ki sanson se mahakte the dar-o-baam tere
ai makan bol kahan ab wo makin rahta hai
ek zamana tha ki sab ek jagah rahte the
aur ab koi kahin koi kahin rahta hai
roz milne pe bhi lagta tha ki jug bit gae
ishq mein waqt ka ehsas nahin rahta hai
dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin
umr bhar kaun jawan kaun hasin rahta hai
zabt kar ke hansi ko bhul gaya
zabt kar ke hansi ko bhuul gaya
main to us zakhm hi ko bhuul gaya
zat-dar-zat ham-safar rah kar
ajnabi ajnabi ko bhuul gaya
subh tak vajh-e-jan-kani thi jo baat
main use shaam hi ko bhuul gaya
ahd-e-vabastagi guzar ke main
vajh-e-vabastagi ko bhuul gaya
sab dalilen to mujh ko yaad rahin
bahs kya thi usi ko bhuul gaya
kyuun na ho naaz is zehanat par
ek main har kisi ko bhuul gaya
sab se pur-amn vaqia ye hai
aadmi aadmi ko bhuul gaya
qahqaha marte hi divana
har ghham-e-zindagi ko bhuul gaya
khvab-ha-khvab jis ko chaha tha
rang-ha-rang usi ko bhuul gaya
kya qayamat hui agar ik shakhs
apni khush-qismati ko bhuul gaya
soch kar us ki khalvat-anjumani
vaan main apni kami ko bhuul gaya
sab bure mujh ko yaad rahte hain
jo bhala tha usi ko bhuul gaya
un se vaada to kar liya lekin
apni kam-fursati ko bhuul gaya
bastiyo ab to rasta de do
ab to main us gali ko bhuul gaya
us ne goya mujhi ko yaad rakha
main bhi goya usi ko bhuul gaya
yaani tum vo ho vaqai? had hai
main to sach-much sabhi ko bhuul gaya
akhiri but khuda na kyuun thahre
but-shikan but-gari ko bhuul gaya
ab to har baat yaad rahti hai
ghhaliban main kisi ko bhuul gaya
us ki khushiyon se jalne vaala 'jaun'
apni iza-dahi ko bhuul gaya
zabt kar ke hansi ko bhul gaya
main to us zakhm hi ko bhul gaya
zat-dar-zat ham-safar rah kar
ajnabi ajnabi ko bhul gaya
subh tak wajh-e-jaan-kani thi jo baat
main use sham hi ko bhul gaya
ahd-e-wabastagi guzar ke main
wajh-e-wabastagi ko bhul gaya
sab dalilen to mujh ko yaad rahin
bahs kya thi usi ko bhul gaya
kyun na ho naz is zehanat par
ek main har kisi ko bhul gaya
sab se pur-amn waqia ye hai
aadmi aadmi ko bhul gaya
qahqaha marte hi diwana
har gham-e-zindagi ko bhul gaya
khwab-ha-khwab jis ko chaha tha
rang-ha-rang usi ko bhul gaya
kya qayamat hui agar ek shakhs
apni khush-qismati ko bhul gaya
soch kar us ki khalwat-anjumani
wan main apni kami ko bhul gaya
sab bure mujh ko yaad rahte hain
jo bhala tha usi ko bhul gaya
un se wada to kar liya lekin
apni kam-fursati ko bhul gaya
bastiyo ab to rasta de do
ab to main us gali ko bhul gaya
us ne goya mujhi ko yaad rakha
main bhi goya usi ko bhul gaya
yani tum wo ho waqai? had hai
main to sach-much sabhi ko bhul gaya
aakhiri but khuda na kyun thahre
but-shikan but-gari ko bhul gaya
ab to har baat yaad rahti hai
ghaaliban main kisi ko bhul gaya
us ki khushiyon se jalne wala 'jaun'
apni iza-dahi ko bhul gaya
kaun aaega yahan koi na aaya hoga
kaun aaega yahan koi na aaya hoga
mera darvaza havaon ne hilaya hoga
dil-e-nadan na dhadak ai dil-e-nadan na dhadak
koi khat le ke padosi ke ghar aaya hoga
is gulistan ki yahi riit hai ai shakh-e-gul
tu ne jis phuul ko paala vo paraya hoga
dil ki qismat hi men likkha tha andhera shayad
varna masjid ka diya kis ne bujhaya hoga
gul se lipti hui titli ko gira kar dekho
andhiyo tum ne darakhton ko giraya hoga
khelne ke liye bachche nikal aae honge
chand ab us ki gali men utar aaya hoga
'kaif' pardes men mat yaad karo apna makan
ab ke barish ne use tod giraya hoga
kaun aaega yahan koi na aaya hoga
mera darwaza hawaon ne hilaya hoga
dil-e-nadan na dhadak ai dil-e-nadan na dhadak
koi khat le ke padosi ke ghar aaya hoga
is gulistan ki yahi rit hai ai shakh-e-gul
tu ne jis phul ko pala wo paraya hoga
dil ki qismat hi mein likkha tha andhera shayad
warna masjid ka diya kis ne bujhaya hoga
gul se lipti hui titli ko gira kar dekho
aandhiyo tum ne darakhton ko giraya hoga
khelne ke liye bachche nikal aae honge
chand ab us ki gali mein utar aaya hoga
'kaif' pardes mein mat yaad karo apna makan
ab ke barish ne use tod giraya hoga
hai bikharne ko ye mahfil-e-rang-o-bu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
hai bikharne ko ye mahfil-e-rang-o-bu tum kahan jaoge ham kahan jaenge
har taraf ho rahi hai yahi guftugu tum kahan jaoge ham kahan jaenge
har mata-e-nafas nazr-e-ahang ki ham ko yaran havas thi bahut rang ki
gul-zamin se ubalne ko hai ab lahu tum kahan jaoge ham kahan jaenge
avval-e-shab ka mahtab bhi ja chuka sehn-e-mai-khana se ab ufuq men kahin
akhir-e-shab hai khali hain jam-o-subu tum kahan jaoge ham kahan jaenge
koi hasil na tha aarzu ka magar saneha ye hai ab aarzu bhi nahin
vaqt ki is masafat men be-arzu tum kahan jaoge ham kahan jaenge
kis qadar duur se laut kar aae hain yuun kaho umr barbad kar aae hain
tha sarab apna sarmaya-e-justuju tum kahan jaoge ham kahan jaenge
ik junun tha ki abad ho shahr-e-jan aur abad jab shahr-e-jan ho gaya
hain ye sargoshiyan dar-ba-dar ku-ba-ku tum kahan jaoge ham kahan jaenge
dasht men raqs-e-shauq-e-bahar ab kahan bad-paimai-e-divana-var ab kahan
bas guzarne ko hai mausam-e-hav-hu tum kahan jaoge ham kahan jaenge
ham hain rusva-kun-e-dilli-o-lucknow apni kya zindagi apni kya aabru
'mir' dilli se nikle gae lucknow tum kahan jaoge ham kahan jaenge
hai bikharne ko ye mahfil-e-rang-o-bu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
har taraf ho rahi hai yahi guftugu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
har mata-e-nafas nazr-e-ahang ki hum ko yaran hawas thi bahut rang ki
gul-zamin se ubalne ko hai ab lahu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
awwal-e-shab ka mahtab bhi ja chuka sehn-e-mai-khana se ab ufuq mein kahin
aakhir-e-shab hai khali hain jam-o-subu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
koi hasil na tha aarzu ka magar saneha ye hai ab aarzu bhi nahin
waqt ki is masafat mein be-arzu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
kis qadar dur se laut kar aae hain yun kaho umr barbaad kar aae hain
tha sarab apna sarmaya-e-justuju tum kahan jaoge hum kahan jaenge
ek junun tha ki aabaad ho shahr-e-jaan aur aabaad jab shahr-e-jaan ho gaya
hain ye sargoshiyan dar-ba-dar ku-ba-ku tum kahan jaoge hum kahan jaenge
dasht mein raqs-e-shauq-e-bahaar ab kahan baad-paimai-e-diwana-war ab kahan
bas guzarne ko hai mausam-e-haw-hu tum kahan jaoge hum kahan jaenge
hum hain ruswa-kun-e-dilli-o-lucknow apni kya zindagi apni kya aabru
'mir' dilli se nikle gae lucknow tum kahan jaoge hum kahan jaenge
hum to jaise wahan ke the hi nahin
ham to jaise vahan ke the hi nahin
be-aman the amaan ke the hi nahin
ham ki hain teri dastan yaksar
ham tiri dastan ke the hi nahin
un ko andhi men hi bikharna tha
baal o par ashiyan ke the hi nahin
ab hamara makan kis ka hai
ham to apne makan ke the hi nahin
ho tiri khak-e-astan pe salam
ham tire astan ke the hi nahin
ham ne ranjish men ye nahin socha
kuchh sukhan to zaban ke the hi nahin
dil ne daala tha darmiyan jin ko
log vo darmiyan ke the hi nahin
us gali ne ye sun ke sabr kiya
jaane vaale yahan ke the hi nahin
hum to jaise wahan ke the hi nahin
be-aman the aman ke the hi nahin
hum ki hain teri dastan yaksar
hum teri dastan ke the hi nahin
un ko aandhi mein hi bikharna tha
baal o par aashiyan ke the hi nahin
ab hamara makan kis ka hai
hum to apne makan ke the hi nahin
ho teri khak-e-astan pe salam
hum tere aastan ke the hi nahin
hum ne ranjish mein ye nahin socha
kuchh sukhan to zaban ke the hi nahin
dil ne dala tha darmiyan jin ko
log wo darmiyan ke the hi nahin
us gali ne ye sun ke sabr kiya
jaane wale yahan ke the hi nahin
dil mein ab yun tere bhule hue gham aate hain
dil men ab yuun tire bhule hue ghham aate hain
jaise bichhde hue kaabe men sanam aate hain
ek ik kar ke hue jaate hain taare raushan
meri manzil ki taraf tere qadam aate hain
raqs-e-mai tez karo saaz ki lai tez karo
su-e-mai-khana safiran-e-haram aate hain
kuchh hamin ko nahin ehsan uthane ka dimaghh
vo to jab aate hain mail-ba-karam aate hain
aur kuchh der na guzre shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai vo yaad bhi kam aate hain
dil mein ab yun tere bhule hue gham aate hain
jaise bichhde hue kabe mein sanam aate hain
ek ek kar ke hue jate hain tare raushan
meri manzil ki taraf tere qadam aate hain
raqs-e-mai tez karo saz ki lai tez karo
su-e-mai-khana safiran-e-haram aate hain
kuchh hamin ko nahin ehsan uthane ka dimagh
wo to jab aate hain mail-ba-karam aate hain
aur kuchh der na guzre shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai wo yaad bhi kam aate hain
wo sahilon pe gane wale kya hue
vo sahilon pe gaane vaale kya hue
vo kashtiyan chalane vaale kya hue
vo subh aate aate rah gai kahan
jo qafile the aane vaale kya hue
main un ki raah dekhta huun raat bhar
vo raushni dikhane vaale kya hue
ye kaun log hain mire idhar udhar
vo dosti nibhane vaale kya hue
vo dil men khubne vaali ankhen kya huiin
vo hont muskurane vaale kya hue
imaraten to jal ke raakh ho gaiin
imaraten banane vaale kya hue
akele ghar se puchhti hai be-kasi
tira diya jalane vaale kya hue
ye aap ham to bojh hain zamin ka
zamin ka bojh uthane vaale kya hue
wo sahilon pe gane wale kya hue
wo kashtiyan chalane wale kya hue
wo subh aate aate rah gai kahan
jo qafile the aane wale kya hue
main un ki rah dekhta hun raat bhar
wo raushni dikhane wale kya hue
ye kaun log hain mere idhar udhar
wo dosti nibhane wale kya hue
wo dil mein khubne wali aankhen kya huin
wo hont muskurane wale kya hue
imaraten to jal ke rakh ho gain
imaraten banane wale kya hue
akele ghar se puchhti hai be-kasi
tera diya jalane wale kya hue
ye aap hum to bojh hain zamin ka
zamin ka bojh uthane wale kya hue
phir mujhe dida-e-tar yaad aaya
phir mujhe dida-e-tar yaad aaya
dil jigar tishna-e-faryad aaya
i remember my moistened eyes again
my heart's thirsty longing and my pain
dam liya tha na qayamat ne hanuz
phir tira vaqt-e-safar yaad aaya
barely did doomsday cease to be
the time of your parting came to me
sadgi-ha-e-tamanna yaani
phir vo nairang-e-nazar yaad aaya
the innocence of my wishes, surprise
again i think of fascinating eyes
uzr-e-vamandagi ai hasrat-e-dil
naala karta tha jigar yaad aaya
heart's longing, weariness the reason, find
i would have pled but patience came to mind
zindagi yuun bhi guzar hi jaati
kyuun tira rahguzar yaad aaya
life would in any case pass by and by
your street i now recall, tell me why
kya hi rizvan se ladai hogi
ghar tira khuld men gar yaad aaya
where is the courage now to plead at all
sick of the heart my patience i recall
aah vo jurat-e-fariyad kahan
dil se tang aa ke jigar yaad aaya
my thought now goes back to your lane
my missing heart i think of now again
phir tire kuche ko jaata hai khayal
dil-e-gum-gashta magar yaad aaya
what kind of desolation there this be
home comes to mind the desert when i see
koi virani si virani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aaya
what fight with heaven's doorman there will be
whoughts of your house, if there, trouble me
main ne majnun pe ladakpan men 'asad'
sang uthaya tha ki sar yaad aaya
when in youth, on majnuun's head, a stone
i heft to cast, i then recalled my own
vasl men hijr ka dar yaad aaya
ain jannat men saqar yaad aaya
phir mujhe dida-e-tar yaad aaya
dil jigar tishna-e-faryaad aaya
i remember my moistened eyes again
my heart's thirsty longing and my pain
dam liya tha na qayamat ne hanuz
phir tera waqt-e-safar yaad aaya
barely did doomsday cease to be
the time of your parting came to me
sadgi-ha-e-tamanna yani
phir wo nairang-e-nazar yaad aaya
the innocence of my wishes, surprise
again i think of fascinating eyes
uzr-e-wamandagi ai hasrat-e-dil
nala karta tha jigar yaad aaya
heart's longing, weariness the reason, find
i would have pled but patience came to mind
zindagi yun bhi guzar hi jati
kyun tera rahguzar yaad aaya
life would in any case pass by and by
your street i now recall, tell me why
kya hi rizwan se ladai hogi
ghar tera khuld mein gar yaad aaya
where is the courage now to plead at all
sick of the heart my patience i recall
aah wo jurat-e-fariyaad kahan
dil se tang aa ke jigar yaad aaya
my thought now goes back to your lane
my missing heart i think of now again
phir tere kuche ko jata hai khayal
dil-e-gum-gashta magar yaad aaya
what kind of desolation there this be
home comes to mind the desert when i see
koi virani si virani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aaya
what fight with heaven's doorman there will be
whoughts of your house, if there, trouble me
main ne majnun pe ladakpan mein 'asad'
sang uthaya tha ki sar yaad aaya
when in youth, on majnuun's head, a stone
i heft to cast, i then recalled my own
wasl mein hijr ka dar yaad aaya
ain jannat mein saqar yaad aaya
hamare zakhm-e-tamanna purane ho gae hain
hamare zakhm-e-tamanna purane ho gae hain
ki us gali men gae ab zamane ho gae hain
tum apne chahne valon ki baat mat suniyo
tumhare chahne vaale divane ho gae hain
vo zulf dhuup men furqat ki aai hai jab yaad
to badal aae hain aur shamiyane ho gae hain
jo apne taur se ham ne kabhi guzare the
vo subh o shaam to jaise fasane ho gae hain
ajab mahak thi mire gul tire shabistan ki
so bulbulon ke vahan ashiyane ho gae hain
hamare baa'd jo aaen unhen mubarak ho
jahan the kunj vahan kar-khane ho gae hain
hamare zakhm-e-tamanna purane ho gae hain
ki us gali mein gae ab zamane ho gae hain
tum apne chahne walon ki baat mat suniyo
tumhaare chahne wale diwane ho gae hain
wo zulf dhup mein furqat ki aai hai jab yaad
to baadal aae hain aur shamiyane ho gae hain
jo apne taur se hum ne kabhi guzare the
wo subh o sham to jaise fasane ho gae hain
ajab mahak thi mere gul tere shabistan ki
so bulbulon ke wahan aashiyane ho gae hain
hamare ba'd jo aaen unhen mubarak ho
jahan the kunj wahan kar-khane ho gae hain
ab khushi hai na koi dard rulane wala
ab khushi hai na koi dard rulane vaala
ham ne apna liya har rang zamane vaala
ek be-chehra si ummid hai chehra chehra
jis taraf dekhiye aane ko hai aane vaala
us ko rukhsat to kiya tha mujhe maalum na tha
saara ghar le gaya ghar chhod ke jaane vaala
duur ke chand ko dhundo na kisi anchal men
ye ujala nahin angan men samane vaala
ik musafir ke safar jaisi hai sab ki duniya
koi jaldi men koi der se jaane vaala
ab khushi hai na koi dard rulane wala
hum ne apna liya har rang zamane wala
ek be-chehra si ummid hai chehra chehra
jis taraf dekhiye aane ko hai aane wala
us ko rukhsat to kiya tha mujhe malum na tha
sara ghar le gaya ghar chhod ke jaane wala
dur ke chand ko dhundo na kisi aanchal mein
ye ujala nahin aangan mein samane wala
ek musafir ke safar jaisi hai sab ki duniya
koi jaldi mein koi der se jaane wala
duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad
duniya ke sitam yaad na apni hi vafa yaad
ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siva yaad
main shikva ba-lab tha mujhe ye bhi na raha yaad
shayad ki mire bhulne vaale ne kiya yaad
chheda tha jise pahle-pahal teri nazar ne
ab tak hai vo ik naghhma-e-be-saz-o-sada yaad
jab koi hasin hota hai sargarm-e-navazish
us vaqt vo kuchh aur bhi aate hain siva yaad
kya janiye kya ho gaya arbab-e-junun ko
marne ki ada yaad na jiine ki ada yaad
muddat hui ik hadsa-e-ishq ko lekin
ab tak hai tire dil ke dhadakne ki sada yaad
haan haan tujhe kya kaam miri shiddat-e-ghham se
haan haan nahin mujh ko tire daman ki hava yaad
main tark-e-rah-o-rasm-e-junun kar hi chuka tha
kyuun aa gai aise men tiri laghhzish-e-pa yaad
kya lutf ki main apna pata aap bataun
kiije koi bhuli hui khaas apni ada yaad
duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad
ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siwa yaad
main shikwa ba-lab tha mujhe ye bhi na raha yaad
shayad ki mere bhulne wale ne kiya yaad
chheda tha jise pahle-pahal teri nazar ne
ab tak hai wo ek naghma-e-be-saz-o-sada yaad
jab koi hasin hota hai sargarm-e-nawazish
us waqt wo kuchh aur bhi aate hain siwa yaad
kya jaaniye kya ho gaya arbab-e-junun ko
marne ki ada yaad na jine ki ada yaad
muddat hui ek hadsa-e-ishq ko lekin
ab tak hai tere dil ke dhadakne ki sada yaad
han han tujhe kya kaam meri shiddat-e-gham se
han han nahin mujh ko tere daman ki hawa yaad
main tark-e-rah-o-rasm-e-junun kar hi chuka tha
kyun aa gai aise mein teri laghzish-e-pa yaad
kya lutf ki main apna pata aap bataun
kije koi bhuli hui khas apni ada yaad
tumko bhula rahi thi ki tum yaad aa gae
tum ko bhula rahi thi ki tum yaad aa gae
main zahr kha rahi thi ki tum yaad aa gae
kal meri ek pyari saheli kitab men
ik khat chhupa rahi thi ki tum yaad aa gae
us vaqt rat-rani mire suune sahn men
khushbu luta rahi thi ki tum yaad aa gae
iman janiye ki ise kufr janiye
main sar jhuka rahi thi ki tum yaad aa gae
kal shaam chhat pe mir-taqi-'mir' ki ghhazal
main gunguna rahi thi ki tum yaad aa gae
'anjum' tumhara shahr jidhar hai usi taraf
ik rail ja rahi thi ki tum yaad aa gae
tum ko bhula rahi thi ki tum yaad aa gae
main zahr kha rahi thi ki tum yaad aa gae
kal meri ek pyari saheli kitab mein
ek khat chhupa rahi thi ki tum yaad aa gae
us waqt raat-rani mere sune sahn mein
khushbu luta rahi thi ki tum yaad aa gae
iman jaaniye ki ise kufr jaaniye
main sar jhuka rahi thi ki tum yaad aa gae
kal sham chhat pe mir-taqi-'mir' ki ghazal
main gunguna rahi thi ki tum yaad aa gae
'anjum' tumhaara shahr jidhar hai usi taraf
ek rail ja rahi thi ki tum yaad aa gae
ab wo ghar ek virana tha bas virana zinda tha
ab vo ghar ik virana tha bas virana zinda tha
sab ankhen dam tod chuki thiin aur main tanha zinda tha
saari gali sunsan padi thi bad-e-fana ke pahre men
hijr ke dalan aur angan men bas ik saaya zinda tha
vo jo kabutar us mukhe men rahte the kis des ude
ek ka naam navazinda tha aur ik ka bazinda tha
vo dopahr apni rukhsat ki aisa-vaisa dhoka thi
apne andar apni laash uthae main jhuta zinda tha
thiin vo ghar raten bhi kahani vaade aur phir din ginna
aana tha jaane vaale ko jaane vaala zinda tha
dastak dene vaale bhi the dastak sunne vaale bhi
tha abad mohalla saara har darvaza zinda tha
piile patton ko sah-pahr ki vahshat pursa deti thi
angan men ik aundhe ghade par bas ik kavva zinda tha
ab wo ghar ek virana tha bas virana zinda tha
sab aankhen dam tod chuki thin aur main tanha zinda tha
sari gali sunsan padi thi baad-e-fana ke pahre mein
hijr ke dalan aur aangan mein bas ek saya zinda tha
wo jo kabutar us mukhe mein rahte the kis des ude
ek ka nam nawazinda tha aur ek ka bazinda tha
wo dopahr apni rukhsat ki aisa-waisa dhoka thi
apne andar apni lash uthae main jhuta zinda tha
thin wo ghar raaten bhi kahani wade aur phir din ginna
aana tha jaane wale ko jaane wala zinda tha
dastak dene wale bhi the dastak sunne wale bhi
tha aabaad mohalla sara har darwaza zinda tha
pile patton ko sah-pahr ki wahshat pursa deti thi
aangan mein ek aundhe ghade par bas ek kawwa zinda tha
har dhadkan haijaani thi har khamoshi tufani thi
har dhadkan haijani thi har khamoshi tufani thi
phir bhi mohabbat sirf musalsal milne ki asani thi
jis din us se baat hui thi us din bhi be-kaif tha main
jis din us ka khat aaya hai us din bhi virani thi
jab us ne mujh se ye kaha tha ishq rifaqat hi to nahin
tab main ne har shakhs ki surat mushkil se pahchani thi
jis din vo milne aai hai us din ki rudad ye hai
us ka blouse naranji tha us ki saari dhani thi
uljhan si hone lagti thi mujh ko aksar aur vo yuun
mera mizaj-e-ishq tha shahri us ki vafa dahqani thi
ab to us ke baare men tum jo chaho vo kah daalo
vo angdai mere kamre tak to badi ruhani thi
naam pe ham qurban the us ke lekin phir ye taur hua
us ko dekh ke ruk jaana bhi sab se badi qurbani thi
mujh se bichhad kar bhi vo ladki kitni khush khush rahti hai
us ladki ne mujh se bichhad kar mar jaane ki thani thi
ishq ki halat kuchh bhi nahin thi baat badhane ka fan tha
lamhe la-fani thahre the qatron ki tughhyani thi
jis ko khud main ne bhi apni ruuh ka irfan samjha tha
vo to shayad mere pyase honton ki shaitani thi
tha darbar-e-kalan bhi us ka naubat-khana us ka tha
thi mere dil ki jo raani amrohe ki raani thi
har dhadkan haijaani thi har khamoshi tufani thi
phir bhi mohabbat sirf musalsal milne ki aasani thi
jis din us se baat hui thi us din bhi be-kaif tha main
jis din us ka khat aaya hai us din bhi virani thi
jab us ne mujh se ye kaha tha ishq rifaqat hi to nahin
tab main ne har shakhs ki surat mushkil se pahchani thi
jis din wo milne aai hai us din ki rudad ye hai
us ka blouse naranji tha us ki sari dhani thi
uljhan si hone lagti thi mujh ko aksar aur wo yun
mera mizaj-e-ishq tha shahri us ki wafa dahqani thi
ab to us ke bare mein tum jo chaho wo kah dalo
wo angdai mere kamre tak to badi ruhani thi
nam pe hum qurban the us ke lekin phir ye taur hua
us ko dekh ke ruk jaana bhi sab se badi qurbani thi
mujh se bichhad kar bhi wo ladki kitni khush khush rahti hai
us ladki ne mujh se bichhad kar mar jaane ki thani thi
ishq ki haalat kuchh bhi nahin thi baat badhane ka fan tha
lamhe la-fani thahre the qatron ki tughyani thi
jis ko khud main ne bhi apni ruh ka irfan samjha tha
wo to shayad mere pyase honton ki shaitani thi
tha darbar-e-kalan bhi us ka naubat-khana us ka tha
thi mere dil ki jo rani amrohe ki rani thi
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
is baat se ham ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho
ik bhiik ke donon kaase hain ik pyaas ke dono pyase hain
ham kheti hain tum badal ho ham nadiyan hain tum sagar ho
ye dil hai ki jalte siine men ik dard ka phoda allhad sa
na gupt rahe na phuut bahe koi marham ho koi nishtar ho
ham sanjh samay ki chhaya hain tum chadhti raat ke chandraman
ham jaate hain tum aate ho phir mel ki surat kyunkar ho
ab husn ka rutba 'aali hai ab husn se sahra khali hai
chal basti men banjara ban chal nagri men saudagar ho
jis chiiz se tujh ko nisbat hai jis chiiz ki tujh ko chahat hai
vo sona hai vo hiira hai vo maati ho ya kankar ho
ab 'insha'-ji ko bulana kya ab pyaar ke diip jalana kya
jab dhuup aur chhaya ek se hon jab din aur raat barabar ho
vo raten chand ke saath gaiin vo baten chand ke saath gaiin
ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh ka suraj sar par ho
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
is baat se hum ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho
ek bhik ke donon kase hain ek pyas ke dono pyase hain
hum kheti hain tum baadal ho hum nadiyan hain tum sagar ho
ye dil hai ki jalte sine mein ek dard ka phoda allhad sa
na gupt rahe na phut bahe koi marham ho koi nishtar ho
hum sanjh samay ki chhaya hain tum chadhti raat ke chandraman
hum jate hain tum aate ho phir mel ki surat kyunkar ho
ab husn ka rutba 'ali hai ab husn se sahra khali hai
chal basti mein banjara ban chal nagri mein saudagar ho
jis chiz se tujh ko nisbat hai jis chiz ki tujh ko chahat hai
wo sona hai wo hira hai wo mati ho ya kankar ho
ab 'insha'-ji ko bulana kya ab pyar ke dip jalana kya
jab dhup aur chhaya ek se hon jab din aur raat barabar ho
wo raaten chand ke sath gain wo baaten chand ke sath gain
ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh ka suraj sar par ho
mujhko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya
mujh ko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya
tum kyuun udaas ho gae kya yaad aa gaya
kahne ko zindagi thi bahut mukhtasar magar
kuchh yuun basar hui ki khuda yaad aa gaya
vaaiz salam le ki chala mai-kade ko main
firdaus-e-gum-shuda ka pata yaad aa gaya
barse baghhair hi jo ghata ghir ke khul gai
ik bevafa ka ahd-e-vafa yaad aa gaya
mangenge ab dua ki use bhuul jaaen ham
lekin jo vo ba-vaqt-e-dua yaad aa gaya
hairat hai tum ko dekh ke masjid men ai 'khumar'
kya baat ho gai jo khuda yaad aa gaya
mujh ko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya
tum kyun udas ho gae kya yaad aa gaya
kahne ko zindagi thi bahut mukhtasar magar
kuchh yun basar hui ki khuda yaad aa gaya
waiz salam le ki chala mai-kade ko main
firdaus-e-gum-shuda ka pata yaad aa gaya
barse baghair hi jo ghata ghir ke khul gai
ek bewafa ka ahd-e-wafa yaad aa gaya
mangenge ab dua ki use bhul jaen hum
lekin jo wo ba-waqt-e-dua yaad aa gaya
hairat hai tum ko dekh ke masjid mein ai 'khumar'
kya baat ho gai jo khuda yaad aa gaya