ujale apni yaadon ke hamare sath rahne do na jaane kis gali mein zindagi ki sham ho jae
Poetry Collection
Yaad
Lose yourself in the magic of memories with these hand-picked yaad shayari to suit your mood. Yaad shayari is one of the most sought after topics in Urdu shayari as we need the magicians of Urdu language to give voice to our emotions.
Total
100
Sher
50
Ghazal
50
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho
vo jo ham men tum men qarar tha tumhen yaad ho ki na yaad ho vahi yaani vaada nibah ka tumhen yaad ho ki na yaad ho the love that 'tween us used to be, you may, may not recall those promises of constancy, you may, may not recall vo jo lutf mujh pe the beshtar vo karam ki tha mire haal par mujhe sab hai yaad zara zara tumhen yaad ho ki na yaad ho those favours that you did bestow, the kindness that you once did show i can recall them all somehow, you may, may not recall vo nae gile vo shikayaten vo maze maze ki hikayaten vo har ek baat pe ruthna tumhen yaad ho ki na yaad ho new complaints each every night, stories so full of delight at every word your feigning slight, you may, may not recall kabhi baithe sab men jo ru-ba-ru to isharaton hi se guftugu vo bayan shauq ka barmala tumhen yaad ho ki na yaad ho sitting in midst of company, talking in gestures openly that expression of love publicly, you may, may not recall hue ittifaq se gar baham to vafa jatane ko dam-ba-dam gila-e-malamat-e-aqriba tumhen yaad ho ki na yaad ho if face to face we chanced to be, to constantly prove loyalty those plaints of folks' rebukes to me, you may, may not recall koi baat aisi agar hui ki tumhare ji ko buri lagi to bayan se pahle hi bhulna tumhen yaad ho ki na yaad ho a word of mine if were to be, which hurt you to any degree forgetting it most instantly, you may, may not recall kabhi ham men tum men bhi chaah thi kabhi ham se tum se bhi raah thi kabhi ham bhi tum bhi the ashna tumhen yaad ho ki na yaad ho friendship twixt us once used to be, a path there was from you to me once "i" and "you" were not, but we, you may, may not recall suno zikr hai kai saal ka ki kiya ik aap ne vaada tha so nibahane ka to zikr kya tumhen yaad ho ki na yaad ho long past though it appears to be,there was something you promised me to fulfil each vow truthfully, you may, may not recall kaha main ne baat vo kothe ki mire dil se saaf utar gai to kaha ki jaane miri bala tumhen yaad ho ki na yaad ho --- --- vo bigadna vasl ki raat ka vo na manna kisi baat ka vo nahin nahin ki har aan ada tumhen yaad ho ki na yaad ho you getting angry when we met, at everything getting upset your nay saying i can't forget, you may, may not recall jise aap ginte the ashna jise aap kahte the ba-vafa main vahi huun 'momin'-e-mubtala tumhen yaad ho ki na yaad ho the one you once held close to you, the one whom once you deemed as true i am that distressed momin, blue, you may, may not recall wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho wahi yani wada nibah ka tumhein yaad ho ki na yaad ho the love that 'tween us used to be, you may, may not recall those promises of constancy, you may, may not recall wo jo lutf mujh pe the beshtar wo karam ki tha mere haal par mujhe sab hai yaad zara zara tumhein yaad ho ki na yaad ho those favours that you did bestow, the kindness that you once did show i can recall them all somehow, you may, may not recall wo nae gile wo shikayaten wo maze maze ki hikayaten wo har ek baat pe ruthna tumhein yaad ho ki na yaad ho new complaints each every night, stories so full of delight at every word your feigning slight, you may, may not recall kabhi baithe sab mein jo ru-ba-ru to ishaaraton hi se guftugu wo bayan shauq ka barmala tumhein yaad ho ki na yaad ho sitting in midst of company, talking in gestures openly that expression of love publicly, you may, may not recall hue ittifaq se gar baham to wafa jatane ko dam-ba-dam gila-e-malamat-e-aqriba tumhein yaad ho ki na yaad ho if face to face we chanced to be, to constantly prove loyalty those plaints of folks' rebukes to me, you may, may not recall koi baat aisi agar hui ki tumhaare ji ko buri lagi to bayan se pahle hi bhulna tumhein yaad ho ki na yaad ho a word of mine if were to be, which hurt you to any degree forgetting it most instantly, you may, may not recall kabhi hum mein tum mein bhi chah thi kabhi hum se tum se bhi rah thi kabhi hum bhi tum bhi the aashna tumhein yaad ho ki na yaad ho friendship twixt us once used to be, a path there was from you to me once "i" and "you" were not, but we, you may, may not recall suno zikr hai kai sal ka ki kiya ek aap ne wada tha so nibahane ka to zikr kya tumhein yaad ho ki na yaad ho long past though it appears to be,there was something you promised me to fulfil each vow truthfully, you may, may not recall kaha main ne baat wo kothe ki mere dil se saf utar gai to kaha ki jaane meri bala tumhein yaad ho ki na yaad ho --- --- wo bigadna wasl ki raat ka wo na manna kisi baat ka wo nahin nahin ki har aan ada tumhein yaad ho ki na yaad ho you getting angry when we met, at everything getting upset your nay saying i can't forget, you may, may not recall jise aap ginte the aashna jise aap kahte the ba-wafa main wahi hun 'momin'-e-mubtala tumhein yaad ho ki na yaad ho the one you once held close to you, the one whom once you deemed as true i am that distressed momin, blue, you may, may not recall
chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai ham ko ab tak ashiqi ka vo zamana yaad hai ba-hazaran iztirab o sad-hazaran ishtiyaq tujh se vo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai baar baar uthna usi janib nigah-e-shauq ka aur tira ghhurfe se vo ankhen ladana yaad hai tujh se kuchh milte hi vo bebak ho jaana mira aur tira danton men vo ungli dabana yaad hai khinch lena vo mira parde ka kona dafatan aur dupatte se tira vo munh chhupana yaad hai jaan kar sota tujhe vo qasd-e-pa-bosi mira aur tira thukra ke sar vo muskurana yaad hai tujh ko jab tanha kabhi paana to az-rah-e-lihaz hal-e-dil baton hi baton men jatana yaad hai jab siva mere tumhara koi divana na tha sach kaho kuchh tum ko bhi vo kar-khana yaad hai ghhair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaf vo tira chori-chhupe raton ko aana yaad hai aa gaya gar vasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaq vo tira ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai dopahar ki dhuup men mere bulane ke liye vo tira kothe pe nange paanv aana yaad hai aaj tak nazron men hai vo sohbat-e-raz-o-niyaz apna jaana yaad hai tera bulana yaad hai mithi mithi chhed kar baten nirali pyaar ki zikr dushman ka vo baton men udana yaad hai dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naaz se jab mana lena to phir khud ruuth jaana yaad hai chori chori ham se tum aa kar mile the jis jagah muddaten guzrin par ab tak vo thikana yaad hai shauq men mehndi ke vo be-dast-o-pa hona tira aur mira vo chhedna vo gudgudana yaad hai bavajud-e-iddia-e-ittiqa 'hasrat' mujhe aaj tak ahd-e-havas ka vo fasana yaad hai chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai ba-hazaran iztirab o sad-hazaran ishtiyaq tujh se wo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai bar bar uthna usi jaanib nigah-e-shauq ka aur tera ghurfe se wo aankhen ladana yaad hai tujh se kuchh milte hi wo bebak ho jaana mera aur tera danton mein wo ungli dabana yaad hai khinch lena wo mera parde ka kona dafatan aur dupatte se tera wo munh chhupana yaad hai jaan kar sota tujhe wo qasd-e-pa-bosi mera aur tera thukra ke sar wo muskurana yaad hai tujh ko jab tanha kabhi pana to az-rah-e-lihaz haal-e-dil baaton hi baaton mein jatana yaad hai jab siwa mere tumhaara koi diwana na tha sach kaho kuchh tum ko bhi wo kar-khana yaad hai ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaf wo tera chori-chhupe raaton ko aana yaad hai aa gaya gar wasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaq wo tera ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai dopahar ki dhup mein mere bulane ke liye wo tera kothe pe nange panw aana yaad hai aaj tak nazron mein hai wo sohbat-e-raaz-o-niyaz apna jaana yaad hai tera bulana yaad hai mithi mithi chhed kar baaten nirali pyar ki zikr dushman ka wo baaton mein udana yaad hai dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naz se jab mana lena to phir khud ruth jaana yaad hai chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah muddaten guzrin par ab tak wo thikana yaad hai shauq mein mehndi ke wo be-dast-o-pa hona tera aur mera wo chhedna wo gudgudana yaad hai bawajud-e-iddia-e-ittiqa 'hasrat' mujhe aaj tak ahd-e-hawas ka wo fasana yaad hai

kar raha tha gham-e-jahan ka hisab aaj tum yaad be-hisab aae
us ki yaad aai hai sanso zara aahista chalo dhadkanon se bhi ibaadat mein khalal padta hai
fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha samne baitha tha mere aur vo mera na tha vo ki khushbu ki tarah phaila tha mere char-su main use mahsus kar sakta tha chhu sakta na tha raat bhar pichhli si aahat kaan men aati rahi jhank kar dekha gali men koi bhi aaya na tha main tiri surat liye saare zamane men phira saari duniya men magar koi tire jaisa na tha aaj milne ki khushi men sirf main jaaga nahin teri ankhon se bhi lagta hai ki tu soya na tha ye sabhi viraniyan us ke juda hone se thiin aankh dhundlai hui thi shahr dhundlaya na tha sainkadon tufan lafzon men dabe the zer-e-lab ek patthar tha khamoshi ka ki jo hatta na tha yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim' bhuul jaane ke siva ab koi bhi chara na tha maslahat ne ajnabi ham ko banaya tha 'adim' varna kab ik dusre ko ham ne pahchana na tha fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha samne baitha tha mere aur wo mera na tha wo ki khushbu ki tarah phaila tha mere chaar-su main use mahsus kar sakta tha chhu sakta na tha raat bhar pichhli si aahat kan mein aati rahi jhank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha main teri surat liye sare zamane mein phira sari duniya mein magar koi tere jaisa na tha aaj milne ki khushi mein sirf main jaga nahin teri aankhon se bhi lagta hai ki tu soya na tha ye sabhi viraniyan us ke juda hone se thin aankh dhundlai hui thi shahr dhundlaya na tha sainkadon tufan lafzon mein dabe the zer-e-lab ek patthar tha khamoshi ka ki jo hatta na tha yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim' bhul jaane ke siwa ab koi bhi chaara na tha maslahat ne ajnabi hum ko banaya tha 'adim' warna kab ek dusre ko hum ne pahchana na tha
ek muddat se teri yaad bhi aai na hamein aur hum bhul gae hon tujhe aisa bhi nahin the couplet holds a quiet contradiction: the beloved hasn’t been consciously remembered for ages, yet the bond hasn’t ended. the speaker separates “not thinking of you” from “forgetting you,” suggesting love can go silent without dying. it conveys emotional numbness, distance, and a lingering attachment that survives even in absence.
dil dhadakne ka sabab yaad aaya
dil dhadakne ka sabab yaad aaya vo tiri yaad thi ab yaad aaya aaj mushkil tha sambhalna ai dost tu musibat men ajab yaad aaya din guzara tha badi mushkil se phir tira vaada-e-shab yaad aaya tera bhula hua paiman-e-vafa mar rahenge agar ab yaad aaya phir kai log nazar se guzre phir koi shahr-e-tarab yaad aaya hal-e-dil ham bhi sunate lekin jab vo rukhsat hua tab yaad aaya baith kar saya-e-gul men 'nasir' ham bahut roe vo jab yaad aaya dil dhadakne ka sabab yaad aaya wo teri yaad thi ab yaad aaya aaj mushkil tha sambhalna ai dost tu musibat mein ajab yaad aaya din guzara tha badi mushkil se phir tera wada-e-shab yaad aaya tera bhula hua paiman-e-wafa mar rahenge agar ab yaad aaya phir kai log nazar se guzre phir koi shahr-e-tarab yaad aaya haal-e-dil hum bhi sunate lekin jab wo rukhsat hua tab yaad aaya baith kar saya-e-gul mein 'nasir' hum bahut roe wo jab yaad aaya
achchha khasa baithe baithe gum ho jata hun ab main aksar main nahin rahta tum ho jata hun
kahan aa ke rukne the raste kahan mod tha use bhul ja
kahan aa ke rukne the raste kahan mod tha use bhuul ja vo jo mil gaya use yaad rakh jo nahin mila use bhuul ja vo tire nasib ki barishen kisi aur chhat pe baras gaiin dil-e-be-khabar miri baat sun use bhuul ja use bhuul ja main to gum tha tere hi dhyan men tiri aas tere guman men saba kah gai mire kaan men mire saath aa use bhuul ja kisi aankh men nahin ashk-e-ghham tire baa'd kuchh bhi nahin hai kam tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskura use bhuul ja kahin chak-e-jan ka rafu nahin kisi astin pe lahu nahin ki shahid-e-rah-e-malal ka nahin khun-baha use bhuul ja kyuun ata hua hai ghhubar men ghham-e-zindagi ke fishar men vo jo dard tha tire bakht men so vo ho gaya use bhuul ja tujhe chand ban ke mila tha jo tire sahilon pe khila tha jo vo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhuul ja kahan aa ke rukne the raste kahan mod tha use bhul ja wo jo mil gaya use yaad rakh jo nahin mila use bhul ja wo tere nasib ki barishen kisi aur chhat pe baras gain dil-e-be-khabar meri baat sun use bhul ja use bhul ja main to gum tha tere hi dhyan mein teri aas tere guman mein saba kah gai mere kan mein mere sath aa use bhul ja kisi aankh mein nahin ashk-e-gham tere ba'd kuchh bhi nahin hai kam tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskura use bhul ja kahin chaak-e-jaan ka rafu nahin kisi aastin pe lahu nahin ki shahid-e-rah-e-malal ka nahin khun-baha use bhul ja kyun ata hua hai ghubar mein gham-e-zindagi ke fishaar mein wo jo dard tha tere bakht mein so wo ho gaya use bhul ja tujhe chand ban ke mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo wo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhul ja
sham bhi thi dhuan dhuan husn bhi tha udas udas dil ko kai kahaniyan yaad si aa ke rah gain the couplet links outer scenery with inner feeling: a smoky dusk mirrors a dim, heavy mood. even “beauty” appears depressed, suggesting love itself has lost its shine. in that atmosphere, old memories and unfinished tales rise inside the heart and linger, not becoming clear words—only a persistent ache.
aap ki yaad aati rahi raat bhar
''aap ki yaad aati rahi raat bhar'' chandni dil dukhati rahi raat bhar gaah jalti hui gaah bujhti hui sham-e-ghham jhilmilati rahi raat bhar koi khushbu badalti rahi pairahan koi tasvir gaati rahi raat bhar phir saba saya-e-shakh-e-gul ke tale koi qissa sunati rahi raat bhar jo na aaya use koi zanjir-e-dar har sada par bulati rahi raat bhar ek ummid se dil bahalta raha ik tamanna satati rahi raat bhar aap ki yaad aati rahi raat bhar chandni dil dukhati rahi raat bhar gah jalti hui gah bujhti hui sham-e-gham jhilmilati rahi raat bhar koi khushbu badalti rahi pairahan koi taswir gati rahi raat bhar phir saba saya-e-shakh-e-gul ke tale koi qissa sunati rahi raat bhar jo na aaya use koi zanjir-e-dar har sada par bulati rahi raat bhar ek ummid se dil bahalta raha ek tamanna satati rahi raat bhar
chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai
nae kapde badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liye
nae kapde badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liye vo shakhs to shahr hi chhod gaya main bahar jaun kis ke liye jis dhuup ki dil men thandak thi vo dhuup usi ke saath gai in jalti balti galiyon men ab khaak udaun kis ke liye vo shahr men tha to us ke liye auron se bhi milna padta tha ab aise-vaise logon ke main naaz uthaun kis ke liye ab shahr men us ka badal hi nahin koi vaisa jan-e-ghhazal hi nahin aivan-e-ghhazal men lafzon ke gul-dan sajaun kis ke liye muddat se koi aaya na gaya sunsan padi hai ghar ki faza in khali kamron men 'nasir' ab shama jalaun kis ke liye nae kapde badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liye wo shakhs to shahr hi chhod gaya main bahar jaun kis ke liye jis dhup ki dil mein thandak thi wo dhup usi ke sath gai in jalti balti galiyon mein ab khak udaun kis ke liye wo shahr mein tha to us ke liye auron se bhi milna padta tha ab aise-waise logon ke main naz uthaun kis ke liye ab shahr mein us ka badal hi nahin koi waisa jaan-e-ghazal hi nahin aiwan-e-ghazal mein lafzon ke gul-dan sajaun kis ke liye muddat se koi aaya na gaya sunsan padi hai ghar ki faza in khali kamron mein 'nasir' ab shama jalaun kis ke liye
yaad-e-mazi 'azab hai ya-rab chhin le mujh se hafiza mera
ek hi muzhda subh lati hai
ek hi muzhda subh laati hai dhuup angan men phail jaati hai rang-e-mausam hai aur bad-e-saba shahr kuchon men khaak udati hai farsh par kaghhaz udte phirte hain mez par gard jamti jaati hai sochta huun ki us ki yaad akhir ab kise raat bhar jagati hai main bhi izn-e-nava-gari chahun be-dili bhi to lab hilati hai so gae ped jaag uthi khushbu zindagi khvab kyuun dikhati hai us sarapa vafa ki furqat men khvahish-e-ghhair kyuun satati hai aap apne se ham-sukhan rahna ham-nashin saans phuul jaati hai kya sitam hai ki ab tiri surat ghhaur karne pe yaad aati hai kaun is ghar ki dekh-bhal kare roz ik chiiz tuut jaati hai ek hi muzhda subh lati hai dhup aangan mein phail jati hai rang-e-mausam hai aur baad-e-saba shahr kuchon mein khak udati hai farsh par kaghaz udte phirte hain mez par gard jamti jati hai sochta hun ki us ki yaad aakhir ab kise raat bhar jagati hai main bhi izn-e-nawa-gari chahun be-dili bhi to lab hilati hai so gae ped jag uthi khushbu zindagi khwab kyun dikhati hai us sarapa wafa ki furqat mein khwahish-e-ghair kyun satati hai aap apne se ham-sukhan rahna ham-nashin sans phul jati hai kya sitam hai ki ab teri surat ghaur karne pe yaad aati hai kaun is ghar ki dekh-bhaal kare roz ek chiz tut jati hai
dil dhadakne ka sabab yaad aaya wo teri yaad thi ab yaad aaya
aap ki yaad aati rahi raat bhar
aap ki yaad aati rahi raat bhar chashm-e-nam muskurati rahi raat bhar raat bhar dard ki shama jalti rahi ghham ki lau thartharati rahi raat bhar bansuri ki surili suhani sada yaad ban ban ke aati rahi raat bhar yaad ke chand dil men utarte rahe chandni jagmagati rahi raat bhar koi divana galiyon men phirta raha koi avaz aati rahi raat bhar aap ki yaad aati rahi raat bhar chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar raat bhar dard ki shama jalti rahi gham ki lau thartharaati rahi raat bhar bansuri ki surili suhani sada yaad ban ban ke aati rahi raat bhar yaad ke chand dil mein utarte rahe chandni jagmagati rahi raat bhar koi diwana galiyon mein phirta raha koi aawaz aati rahi raat bhar
kya sitam hai ki ab teri surat ghaur karne pe yaad aati hai
bata ai abr musawat kyun nahin karta
bata ai abr musavat kyuun nahin karta hamare gaanv men barsat kyuun nahin karta mahaz-e-ishq se kab kaun bach ke nikla hai tu bach gaya hai to khairat kyuun nahin karta vo jis ki chhanv men pachchis saal guzre hain vo ped mujh se koi baat kyuun nahin karta main jis ke saath kai din guzar aaya huun vo mere saath basar raat kyuun nahin karta mujhe tu jaan se badh kar aziiz ho gaya hai to mere saath koi haath kyuun nahin karta bata ai abr musawat kyun nahin karta hamare ganw mein barsat kyun nahin karta mahaz-e-ishq se kab kaun bach ke nikla hai tu bach gaya hai to khairaat kyun nahin karta wo jis ki chhanw mein pachchis sal guzre hain wo ped mujh se koi baat kyun nahin karta main jis ke sath kai din guzar aaya hun wo mere sath basar raat kyun nahin karta mujhe tu jaan se badh kar aziz ho gaya hai to mere sath koi hath kyun nahin karta
aap ke ba'd har ghadi hum ne aap ke sath hi guzari hai
dukh fasana nahin ki tujhse kahen
dukh fasana nahin ki tujh se kahen dil bhi maana nahin ki tujh se kahen aaj tak apni bekali ka sabab khud bhi jaana nahin ki tujh se kahen be-tarah hal-e-dil hai aur tujh se dostana nahin ki tujh se kahen ek tu harf-e-ashna tha magar ab zamana nahin ki tujh se kahen qasida ham faqir logon ka ik thikana nahin ki tujh se kahen ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost ab-o-dana nahin ki tujh se kahen ab to apna bhi us gali men 'faraz' aana jaana nahin ki tujh se kahen dukh fasana nahin ki tujh se kahen dil bhi mana nahin ki tujh se kahen aaj tak apni bekali ka sabab khud bhi jaana nahin ki tujh se kahen be-tarah haal-e-dil hai aur tujh se dostana nahin ki tujh se kahen ek tu harf-e-ashna tha magar ab zamana nahin ki tujh se kahen qasida hum faqir logon ka ek thikana nahin ki tujh se kahen ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost aab-o-dana nahin ki tujh se kahen ab to apna bhi us gali mein 'faraaz' aana jaana nahin ki tujh se kahen
hum to samjhe the ki hum bhul gae hain un ko kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya
hamara dil sawere ka sunahra jam ho jae
hamara dil savere ka sunahra jaam ho jaae charaghhon ki tarah ankhen jalen jab shaam ho jaae kabhi to asman se chand utre jaam ho jaae tumhare naam ki ik khub-surat shaam ho jaae ajab halat the yuun dil ka sauda ho gaya akhir mohabbat ki haveli jis tarah nilam ho jaae samundar ke safar men is tarah avaz de ham ko havaen tez hon aur kashtiyon men shaam ho jaae mujhe malum hai us ka thikana phir kahan hoga parinda asman chhune men jab nakam ho jaae ujale apni yadon ke hamare saath rahne do na jaane kis gali men zindagi ki shaam ho jaae hamara dil sawere ka sunahra jam ho jae charaghon ki tarah aankhen jalen jab sham ho jae kabhi to aasman se chand utre jam ho jae tumhaare nam ki ek khub-surat sham ho jae ajab haalat the yun dil ka sauda ho gaya aakhir mohabbat ki haweli jis tarah nilam ho jae samundar ke safar mein is tarah aawaz de hum ko hawaen tez hon aur kashtiyon mein sham ho jae mujhe malum hai us ka thikana phir kahan hoga parinda aasman chhune mein jab nakaam ho jae ujale apni yaadon ke hamare sath rahne do na jaane kis gali mein zindagi ki sham ho jae
nahin aati to yaad un ki mahinon tak nahin aati magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain
wahi phir mujhe yaad aane lage hain
vahi phir mujhe yaad aane lage hain jinhen bhulne men zamane lage hain vo hain paas aur yaad aane lage hain mohabbat ke hosh ab thikane lage hain suna hai hamen vo bhulane lage hain to kya ham unhen yaad aane lage hain hatae the jo raah se doston ki vo patthar mire ghar men aane lage hain ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko ye kahne men mujh ko zamane lage hain havaen chalin aur na maujen hi utthin ab aise bhi tufan aane lage hain qayamat yaqinan qarib aa gai hai 'khumar' ab to masjid men jaane lage hain wahi phir mujhe yaad aane lage hain jinhen bhulne mein zamane lage hain wo hain pas aur yaad aane lage hain mohabbat ke hosh ab thikane lage hain suna hai hamein wo bhulane lage hain to kya hum unhen yaad aane lage hain hatae the jo rah se doston ki wo patthar mere ghar mein aane lage hain ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko ye kahne mein mujh ko zamane lage hain hawaen chalin aur na maujen hi utthin ab aise bhi tufan aane lage hain qayamat yaqinan qarib aa gai hai 'khumar' ab to masjid mein jaane lage hain
aaj ek aur baras bit gaya us ke baghair jis ke hote hue hote the zamane mere
sham-e-firaq ab na puchh aai aur aa ke tal gai
sham-e-firaq ab na puchh aai aur aa ke tal gai dil tha ki phir bahal gaya jaan thi ki phir sambhal gai query not my lonely night it came and went away the heart was consoled and life managed not to fray bazm-e-khayal men tire husn ki shama jal gai dard ka chand bujh gaya hijr ki raat dhal gai in the parlour of my thoughts your beauty's lamp was lit the moon of pain vanished again, the night of parting quit jab tujhe yaad kar liya subh mahak mahak uthi jab tira ghham jaga liya raat machal machal gai when your thoughts arose, fragrant was the morn when your sorrow's woke, the night was all forlorn dil se to har moamla kar ke chale the saaf ham kahne men un ke samne baat badal badal gai i ventured forth with all my thoughts properly arranged in her presence when i spoke, the meaning had all changed akhir-e-shab ke ham-safar 'faiz' na jaane kya hue rah gai kis jagah saba subh kidhar nikal gai where the night's companions went i do not know where did the breeze vanish where did the morning go sham-e-firaq ab na puchh aai aur aa ke tal gai dil tha ki phir bahal gaya jaan thi ki phir sambhal gai query not my lonely night it came and went away the heart was consoled and life managed not to fray bazm-e-khayal mein tere husn ki shama jal gai dard ka chand bujh gaya hijr ki raat dhal gai in the parlour of my thoughts your beauty's lamp was lit the moon of pain vanished again, the night of parting quit jab tujhe yaad kar liya subh mahak mahak uthi jab tera gham jaga liya raat machal machal gai when your thoughts arose, fragrant was the morn when your sorrow's woke, the night was all forlorn dil se to har moamla kar ke chale the saf hum kahne mein un ke samne baat badal badal gai i ventured forth with all my thoughts properly arranged in her presence when i spoke, the meaning had all changed aakhir-e-shab ke ham-safar 'faiz' na jaane kya hue rah gai kis jagah saba subh kidhar nikal gai where the night's companions went i do not know where did the breeze vanish where did the morning go
tumhaari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain kisi bahane tumhein yaad karne lagte hain
mil hi jaega kabhi dil ko yaqin rahta hai
mil hi jaega kabhi dil ko yaqin rahta hai vo isi shahr ki galiyon men kahin rahta hai jis ki sanson se mahakte the dar-o-bam tire ai makan bol kahan ab vo makin rahta hai ik zamana tha ki sab ek jagah rahte the aur ab koi kahin koi kahin rahta hai roz milne pe bhi lagta tha ki jug biit gae ishq men vaqt ka ehsas nahin rahta hai dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin umr bhar kaun javan kaun hasin rahta hai mil hi jaega kabhi dil ko yaqin rahta hai wo isi shahr ki galiyon mein kahin rahta hai jis ki sanson se mahakte the dar-o-baam tere ai makan bol kahan ab wo makin rahta hai ek zamana tha ki sab ek jagah rahte the aur ab koi kahin koi kahin rahta hai roz milne pe bhi lagta tha ki jug bit gae ishq mein waqt ka ehsas nahin rahta hai dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin umr bhar kaun jawan kaun hasin rahta hai
Explore Similar Collections
Yaad FAQs
Yaad collection me kya milega?
Yaad se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.