apne har har lafz ka khud aaina ho jaunga
apne har har lafz ka khud aaina ho jaunga
us ko chhota kah ke main kaise bada ho jaunga
tum girane men lage the tum ne socha hi nahin
main gira to masala ban kar khada ho jaunga
mujh ko chalne do akela hai abhi mera safar
rasta roka gaya to qafila ho jaunga
saari duniya ki nazar men hai mira ahd-e-vafa
ik tire kahne se kya main bevafa ho jaunga
apne har har lafz ka khud aaina ho jaunga
us ko chhota kah ke main kaise bada ho jaunga
tum girane mein lage the tum ne socha hi nahin
main gira to masala ban kar khada ho jaunga
mujh ko chalne do akela hai abhi mera safar
rasta roka gaya to qafila ho jaunga
sari duniya ki nazar mein hai mera ahd-e-wafa
ek tere kahne se kya main bewafa ho jaunga
roz taron ko numaish mein khalal padta hai
roz taron ko numaish men khalal padta hai
chand pagal hai andhere men nikal padta hai
ek divana musafir hai miri ankhon men
vaqt-be-vaqt thahar jaata hai chal padta hai
apni taabir ke chakkar men mira jagta khvab
roz suraj ki tarah ghar se nikal padta hai
roz patthar ki himayat men ghhazal likhte hain
roz shishon se koi kaam nikal padta hai
us ki yaad aai hai sanso zara ahista chalo
dhadkanon se bhi ibadat men khalal padta hai
roz taron ko numaish mein khalal padta hai
chand pagal hai andhere mein nikal padta hai
ek diwana musafir hai meri aankhon mein
waqt-be-waqt thahar jata hai chal padta hai
apni tabir ke chakkar mein mera jagta khwab
roz suraj ki tarah ghar se nikal padta hai
roz patthar ki himayat mein ghazal likhte hain
roz shishon se koi kaam nikal padta hai
us ki yaad aai hai sanso zara aahista chalo
dhadkanon se bhi ibaadat mein khalal padta hai
az-mehr ta-ba-zarra dil-o-dil hai aaina
az-mehr ta-ba-zarra dil-o-dil hai aaina
tuuti ko shash-jihat se muqabil hai aaina
hairat hujum-e-lazzat-e-ghhaltani-e-tapish
simab-e-balish o kamar-e-dil hai aaina
ghhaflat ba-bal-e-jauhar-e-shamshir par-fishan
yaan pusht-e-chashm-e-shokhi-e-qatil hai aaina
hairat-nigah-e-barq-e-tamasha bahar-e-shokh
dar-parda-e-hava par-e-bismil hai aaina
yaan rah gae hain nakhun-e-tadbir tuut kar
jauhar-tilism-e-uqda-e-mushkil hai aaina
ham-zanu-e-taammul o ham-jalva-gah-e-gul
aina-band khalvat-o-mahfil hai aaina
dil kar-gah-e-fikr o 'asad' be-nava-e-dil
yaan sang-e-astana-e-'bedil' hai aaina
az-mehr ta-ba-zarra dil-o-dil hai aaina
tuti ko shash-jihat se muqabil hai aaina
hairat hujum-e-lazzat-e-ghaltani-e-tapish
simab-e-baalish o kamar-e-dil hai aaina
ghaflat ba-baal-e-jauhar-e-shamshir par-fishan
yan pusht-e-chashm-e-shokhi-e-qatil hai aaina
hairat-nigah-e-barq-e-tamasha bahaar-e-shokh
dar-parda-e-hawa par-e-bismil hai aaina
yan rah gae hain nakhun-e-tadbir tut kar
jauhar-tilism-e-uqda-e-mushkil hai aaina
ham-zanu-e-tammul o ham-jalwa-gah-e-gul
aaina-band khalwat-o-mahfil hai aaina
dil kar-gah-e-fikr o 'asad' be-nawa-e-dil
yan sang-e-astana-e-'bedil' hai aaina
khwab aankhon ko hamari jo dikhae aaina
khvab ankhon ko hamari jo dikhae aaina
khuun ke aansu vahi ham ko rulae aaina
aadmi ki fitraten jaise samajhta ho sabhi
aadmi ke saath aise muskurae aaina
bantana to chahta hai dukh buzurgon ke magar
jhurriyon ko kis tarah un ki chhupae aaina
aaine ke samne se koi to hatta nahin
aur kisi ko khvab tak ye darae aaina
ghham nahin be-shak bikhar jaae kisi din tuut kar
jhuut ke aage na sar hargiz jhukae aaina
bol kar sach kaun kitne din salamat rah saka
dar ke saae men hayat apni bitae aaina
vaqt chehre par jab us ke likh gaya nakamiyan
kaise vo divar par 'kalkal' sajae aaina
khwab aankhon ko hamari jo dikhae aaina
khun ke aansu wahi hum ko rulae aaina
aadmi ki fitraten jaise samajhta ho sabhi
aadmi ke sath aise muskurae aaina
bantana to chahta hai dukh buzurgon ke magar
jhurriyon ko kis tarah un ki chhupae aaina
aaine ke samne se koi to hatta nahin
aur kisi ko khwab tak ye darae aaina
gham nahin be-shak bikhar jae kisi din tut kar
jhut ke aage na sar hargiz jhukae aaina
bol kar sach kaun kitne din salamat rah saka
dar ke sae mein hayat apni bitae aaina
waqt chehre par jab us ke likh gaya nakaamiyan
kaise wo diwar par 'kalkal' sajae aaina
ye shabnam phul tare chandni mein aks kis ka hai
ye shabnam phuul taare chandni men aks kis ka hai
sunahri dhuup chhanv raushni men aks kis ka hai
ye dhalti shaam ye qaus-e-quzah ki rang-amezi
ye niile asman ki dilkashi men aks kis ka hai
suhani shab liye aghhosh men khvabon ki pariyon ko
chamakte din ki is afsun-gari men aks kis ka hai
ana ki sar-kashi ummid-e-arman khvab ki duniya
dhadakte dil fusun-e-zindagi men aks kis ka hai
ye 'sayyad' khvab se tarshe hue nazuk hasin paikar
nuqush-e-rashk-e-sehr-e-samri men aks kis ka hai
ye shabnam phul tare chandni mein aks kis ka hai
sunahri dhup chhanw raushni mein aks kis ka hai
ye dhalti sham ye qaus-e-quzah ki rang-amezi
ye nile aasman ki dilkashi mein aks kis ka hai
suhani shab liye aaghosh mein khwabon ki pariyon ko
chamakte din ki is afsun-gari mein aks kis ka hai
ana ki sar-kashi ummid-e-arman khwab ki duniya
dhadakte dil fusun-e-zindagi mein aks kis ka hai
ye 'sayyad' khwab se tarshe hue nazuk hasin paikar
nuqush-e-rashk-e-sehr-e-samri mein aks kis ka hai
pahlu-o-pusht-o-sina-o-rukhsar aaina
pahlu-o-pusht-o-sina-o-rukhsar aaina
hai razm-gah-e-husn ka ye chaar aaina
kaf aaina bar aaina rukhsar aaina
hai sar se paanv tak vo sitamgar aaina
hatta nahin jo samne se us ke raat din
ham se siva hai talib-e-didar aaina
ye to mira raqib hai main manta nahin
kyuun dekhta hai aap ko har baar aaina
rukh ka hai aks dil men to rukh men hai dil ka aks
hai aaine ke samne har baar aaina
khalvat men us ke nuur se aalam hai tuur ka
hain ab-o-tab se dar-o-divar aaina
ghhash kha ke gir pade na kahin roab-e-husn se
is vaste hai pusht ba-divar aaina
kis men hai ab-o-tab siva dekh lijiye
ik baar us ka chehra aur ik baar aaina
rukh ka aur us ka ho gaya ik baar faisla
achchha hua ki maan gaya haar aaina
labrez hai shua-e-rukh-e-dil-faroz se
le ab-e-husn-e-saghhar-e-sarshar aaina
'parvin' jahan men us ki jhapakti nahin palak
hairat ka aap karta hai iqrar aaina
pahlu-o-pusht-o-sina-o-rukhsar aaina
hai razm-gah-e-husn ka ye chaar aaina
kaf aaina bar aaina rukhsar aaina
hai sar se panw tak wo sitamgar aaina
hatta nahin jo samne se us ke raat din
hum se siwa hai talib-e-didar aaina
ye to mera raqib hai main manta nahin
kyun dekhta hai aap ko har bar aaina
rukh ka hai aks dil mein to rukh mein hai dil ka aks
hai aaine ke samne har bar aaina
khalwat mein us ke nur se aalam hai tur ka
hain aab-o-tab se dar-o-diwar aaina
ghash kha ke gir pade na kahin roab-e-husn se
is waste hai pusht ba-diwar aaina
kis mein hai aab-o-tab siwa dekh lijiye
ek bar us ka chehra aur ek bar aaina
rukh ka aur us ka ho gaya ek bar faisla
achchha hua ki man gaya haar aaina
labrez hai shua-e-rukh-e-dil-faroz se
le aab-e-husn-e-saghar-e-sarshaar aaina
'parwin' jahan mein us ki jhapakti nahin palak
hairat ka aap karta hai iqrar aaina
han mante hain sach hi batata hai aaina
haan mante hain sach hi batata hai aaina
phir bhi bahut se raaz chhupata hai aaina
guzre qarib se to haqiqat pata chali
dayan hamesha bayan dikhata hai aaina
jab raat khud pe guzri to ham ko yaqin hua
rote hue ko aur rulata hai aaina
ghham zindagi ke hon ya mohabbat ka dard ho
har vaqt hanste rahna sikhata hai aaina
vaise ye khaas baat to har aaine men hai
rooge tum to ashk bahata hai aaina
han mante hain sach hi batata hai aaina
phir bhi bahut se raaz chhupata hai aaina
guzre qarib se to haqiqat pata chali
dayan hamesha bayan dikhata hai aaina
jab raat khud pe guzri to hum ko yaqin hua
rote hue ko aur rulata hai aaina
gham zindagi ke hon ya mohabbat ka dard ho
har waqt hanste rahna sikhata hai aaina
waise ye khas baat to har aaine mein hai
rooge tum to ashk bahata hai aaina
You have reached the end.