na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki
na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki
badi aarzu thi mulaqat ki
ujalon ki pariyan nahane lagin
nadi gungunai khayalat ki
main chup tha to chalti hava ruk gai
zaban sab samajhte hain jazbat ki
muqaddar miri chashm-e-pur-ab ka
barasti hui raat barsat ki
kai saal se kuchh khabar hi nahin
kahan din guzara kahan raat ki
na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki
badi aarzu thi mulaqat ki
ujalon ki pariyan nahane lagin
nadi gungunai khayalat ki
main chup tha to chalti hawa ruk gai
zaban sab samajhte hain jazbaat ki
muqaddar meri chashm-e-pur-ab ka
barasti hui raat barsat ki
kai sal se kuchh khabar hi nahin
kahan din guzara kahan raat ki
mujhe gharaz hai meri jaan ghul machane se
mujhe ghharaz hai miri jaan ghhul machane se
na tere aane se matlab na tere jaane se
ajiib hai miri fitrat ki aaj hi maslan
mujhe sukun mila hai tire na aane se
ik ijtihad ka pahlu zarur hai tujh men
khushi hui tire na-vaqt muskurane se
ye mera josh-e-mohabbat faqat ibarat hai
tumhari champai ranon ko noch khane se
mohazzab aadmi patlun ke batan to laga
ki irtiqa hai ibarat batan lagane se
mujhe gharaz hai meri jaan ghul machane se
na tere aane se matlab na tere jaane se
ajib hai meri fitrat ki aaj hi maslan
mujhe sukun mila hai tere na aane se
ek ijtihad ka pahlu zarur hai tujh mein
khushi hui tere na-waqt muskurane se
ye mera josh-e-mohabbat faqat ibarat hai
tumhaari champai ranon ko noch khane se
mohazzab aadmi patlun ke batan to laga
ki irtiqa hai ibarat batan lagane se
ye saqi ki karamat hai ki faiz-e-mai-parasti hai
ye saaqi ki karamat hai ki faiz-e-mai-parasti hai
ghata ke bhes men mai-khane par rahmat barasti hai
ye jo kuchh dekhte hain ham fareb-e-khvab-e-hasti hai
takhayyul ke karishme hain bulandi hai na pasti hai
vahan hain ham jahan 'bedam' na virana na basti hai
na pabandi na azadi na hushyari na masti hai
tiri nazron pe chadhna aur tire dil se utar jaana
mohabbat men bulandi jis ko kahte hain vo pasti hai
vahi ham the kabhi jo raat din phulon men tulte the
vahi ham hain ki turbat chaar phulon ko tarasti hai
karishme hain ki naqqash-e-azal nairangiyan teri
jahan men mail-e-rang-e-fana har naqsh-e-hasti hai
ise bhi navak-e-janan tu apne saath leta ja
ki meri aarzu dil se nikalne ko tarasti hai
har ik zarre men hai inni-inallah ki sada saaqi
'ajab mai-kash the jin ki khaak men bhi josh-e-masti hai
khuda rakkhe dil-e-pur-soz teri shoala-afshani
ki tu vo sham' hai jo raunaq-e-darbar-e-hasti hai
mire dil ke siva tu ne bhi dekhi bekasi meri
ki abadi na ho jis men koi aisi bhi basti hai
hijabat-e-taayyun mane-e-didar samjha tha
jo dekha to naqab-e-ru-e-janan meri hasti hai
'ajab duniya-e-hairat alam-e-gor-e-ghhariban hai
ki virane ka virana hai aur basti ki basti hai
kahin hai abd ki dhun aur kahin shor-e-anal-haq hai
kahin ikhfa-e-masti hai kahin izhar-e-masti hai
banaya rashk-e-mehr-o-mah tiri zarra-navazi ne
nahin to kya hai 'bedam' aur kya 'bedam' ki hasti hai
ye saqi ki karamat hai ki faiz-e-mai-parasti hai
ghata ke bhes mein mai-khane par rahmat barasti hai
ye jo kuchh dekhte hain hum fareb-e-khwab-e-hasti hai
takhayyul ke karishme hain bulandi hai na pasti hai
wahan hain hum jahan 'bedam' na virana na basti hai
na pabandi na aazadi na hushyari na masti hai
teri nazron pe chadhna aur tere dil se utar jaana
mohabbat mein bulandi jis ko kahte hain wo pasti hai
wahi hum the kabhi jo raat din phulon mein tulte the
wahi hum hain ki turbat chaar phulon ko tarasti hai
karishme hain ki naqqash-e-azal nairangiyan teri
jahan mein mail-e-rang-e-fana har naqsh-e-hasti hai
ise bhi nawak-e-jaanan tu apne sath leta ja
ki meri aarzu dil se nikalne ko tarasti hai
har ek zarre mein hai inni-inallah ki sada saqi
'ajab mai-kash the jin ki khak mein bhi josh-e-masti hai
khuda rakkhe dil-e-pur-soz teri shoala-afshani
ki tu wo sham' hai jo raunaq-e-darbar-e-hasti hai
mere dil ke siwa tu ne bhi dekhi bekasi meri
ki aabaadi na ho jis mein koi aisi bhi basti hai
hijabaat-e-tayyun mane-e-didar samjha tha
jo dekha to naqab-e-ru-e-jaanan meri hasti hai
'ajab duniya-e-hairat aalam-e-gor-e-ghariban hai
ki virane ka virana hai aur basti ki basti hai
kahin hai abd ki dhun aur kahin shor-e-anal-haq hai
kahin ikhfa-e-masti hai kahin izhaar-e-masti hai
banaya rashk-e-mehr-o-mah teri zarra-nawazi ne
nahin to kya hai 'bedam' aur kya 'bedam' ki hasti hai
mai-kada tha chandni thi main na tha
mai-kada tha chandni thi main na tha
ik mujassam be-khudi thi main na tha
ishq jab dam todta tha tum na the
maut jab sar dhun rahi thi main na tha
tuur par chheda tha jis ne aap ko
vo miri divangi thi main na tha
vo hasin baitha tha jab mere qarib
lazzat-e-ham-saegi thi main na tha
mai-kade ke mod par rukti hui
muddaton ki tishnagi thi main na tha
thi haqiqat kuchh miri to is qadar
us hasin ki dil-lagi thi main na tha
main aur us ghhuncha-dahan ki aarzu
aarzu ki sadgi thi main na tha
jis ne mah-paron ke dil pighla diye
vo to meri shaeri thi main na tha
gesuon ke saae men aram-kash
sar-barahna zindagi thi main na tha
dair o kaaba men 'adam' hairat-farosh
do-jahan ki bad-zani thi main na tha
mai-kada tha chandni thi main na tha
ek mujassam be-khudi thi main na tha
ishq jab dam todta tha tum na the
maut jab sar dhun rahi thi main na tha
tur par chheda tha jis ne aap ko
wo meri diwangi thi main na tha
wo hasin baitha tha jab mere qarib
lazzat-e-ham-saegi thi main na tha
mai-kade ke mod par rukti hui
muddaton ki tishnagi thi main na tha
thi haqiqat kuchh meri to is qadar
us hasin ki dil-lagi thi main na tha
main aur us ghuncha-dahan ki aarzu
aarzu ki sadgi thi main na tha
jis ne mah-paron ke dil pighla diye
wo to meri shaeri thi main na tha
gesuon ke sae mein aaram-kash
sar-barahna zindagi thi main na tha
dair o kaba mein 'adam' hairat-farosh
do-jahan ki bad-zani thi main na tha
ba-qadr-e-paimana-e-takhayyul surur har dil mein hai khudi ka
ba-qadr-e-paimana-e-takhayyul surur har dil men hai khudi ka
agar na ho ye fareb-e-paiham to dam nikal jaae aadmi ka
bas ek ehsas-e-na-rasai na josh is men na hosh us ko
junun pe halat rubudgi ki khirad pe aalam ghhunudgi ka
hai ruuh tarikiyon men hairan bujha hua hai charaghh-e-manzil
kahin sar-e-rah ye musafir patak na de bojh zindagi ka
khuda ki rahmat pe bhuul baithun yahi na ma'ni hai is ke vaaiz
vo abr ka muntazir khada ho makan jalta ho jab kisi ka
vo laakh jhukva le sar ko mere magar ye dil ab nahin jhukega
ki kibriyai se bhi ziyada mizaj nazuk hai bandagi ka
'jamil' hairat men hai zamana mire taghhazzul ki muflisi par
na jazba-e-ijtiba-e-rizvi na kaif 'parvez-shahidi' ka
ba-qadr-e-paimana-e-takhayyul surur har dil mein hai khudi ka
agar na ho ye fareb-e-paiham to dam nikal jae aadmi ka
bas ek ehsas-e-na-rasai na josh is mein na hosh us ko
junun pe haalat rubudgi ki khirad pe aalam ghunudgi ka
hai ruh tarikiyon mein hairan bujha hua hai charagh-e-manzil
kahin sar-e-rah ye musafir patak na de bojh zindagi ka
khuda ki rahmat pe bhul baithun yahi na ma'ni hai is ke waiz
wo abr ka muntazir khada ho makan jalta ho jab kisi ka
wo lakh jhukwa le sar ko mere magar ye dil ab nahin jhukega
ki kibriyai se bhi ziyaada mizaj nazuk hai bandagi ka
'jamil' hairat mein hai zamana mere taghazzul ki muflisi par
na jazba-e-ijtiba-e-rizwi na kaif 'parwez-shahidi' ka
nigahon ka markaz bana ja raha hun
nigahon ka markaz bana ja raha huun
mohabbat ke hathon luta ja raha huun
main qatra huun lekin ba-aghhosh-e-dariya
azal se abad tak baha ja raha huun
mubarak mubarak miri ye fanaen
do-alam pe chhaya chala ja raha huun
vahi husn jis ke hain ye sab mazahir
usi husn men hal hua ja raha huun
ye kis ki taraf se ye kis ki taraf ko
main ham-dosh mauj-e-fana ja raha huun
na jaane kahan se na jaane kidhar ko
bas ik apni dhun men uda ja raha huun
mujhe rok sakta ho koi to roke
ki chhup kar nahin barmala ja raha huun
mere paas aao ye kya samne huun
miri samt dekho ye kya ja raha huun
nigahon men manzil miri phir rahi hai
yunhi girta padta chala ja raha huun
tiri mast nazren ghhazab dha rahi hain
ye aalam hai jaise uda ja raha huun
kidhar hai tu ai ghhairat-e-husn khud men
mohabbat ke hathon bika ja raha huun
na aurak-e-hasti na ehsas-e-masti
jidhar chal pada huun chala ja raha huun
na surat na maani na paida na pinhan
ye kis husn men gum hua ja raha huun
nigahon ka markaz bana ja raha hun
mohabbat ke hathon luta ja raha hun
main qatra hun lekin ba-aghosh-e-dariya
azal se abad tak baha ja raha hun
mubarak mubarak meri ye fanaen
do-alam pe chhaya chala ja raha hun
wahi husn jis ke hain ye sab mazahir
usi husn mein hal hua ja raha hun
ye kis ki taraf se ye kis ki taraf ko
main ham-dosh mauj-e-fana ja raha hun
na jaane kahan se na jaane kidhar ko
bas ek apni dhun mein uda ja raha hun
mujhe rok sakta ho koi to roke
ki chhup kar nahin barmala ja raha hun
mere pas aao ye kya samne hun
meri samt dekho ye kya ja raha hun
nigahon mein manzil meri phir rahi hai
yunhi girta padta chala ja raha hun
teri mast nazren ghazab dha rahi hain
ye aalam hai jaise uda ja raha hun
kidhar hai tu ai ghairat-e-husn khud mein
mohabbat ke hathon bika ja raha hun
na aurak-e-hasti na ehsas-e-masti
jidhar chal pada hun chala ja raha hun
na surat na mani na paida na pinhan
ye kis husn mein gum hua ja raha hun
dil gham se bhi bezar hai malum nahin kyon
dil ghham se bhi bezar hai maalum nahin kyon
ye aish bhi ab yaar hai maalum nahin kyon
aalam hama dildar hai maalum nahin kyon
jo ghham hai ghham-e-yar hai maalum nahin kyon
ab husn bhi kuchh samne aane men hai mohtat
ab ishq bhi khuddar hai maalum nahin kyon
vo ishq jo har jalva-e-rangin pe fida hai
khud apna talabgar hai maalum nahin kyon
kuchh roz se vo 'kaif' jo ik gosha-nashin tha
rusva sar-e-bazar hai maalum nahin kyon
dil gham se bhi bezar hai malum nahin kyon
ye aish bhi ab yar hai malum nahin kyon
aalam hama dildar hai malum nahin kyon
jo gham hai gham-e-yar hai malum nahin kyon
ab husn bhi kuchh samne aane mein hai mohtat
ab ishq bhi khuddar hai malum nahin kyon
wo ishq jo har jalwa-e-rangin pe fida hai
khud apna talabgar hai malum nahin kyon
kuchh roz se wo 'kaif' jo ek gosha-nashin tha
ruswa sar-e-bazar hai malum nahin kyon
shahr-e-be-mehr mein ab rasm-e-wafa yaad nahin
shahr-e-be-mehr men ab rasm-e-vafa yaad nahin
kis ko chaha tha yahan kis ka gila yaad nahin
baat karne ko taraste hain masiha mere
zakhm to yaad hain zakhmon ki dava yaad nahin
ham se puchhe koi duniya ki malamat ka 'azab
log kya kahte hain ab bahr-e-khuda yaad nahin
ham ne duniya ke havadis ko jiya hai aise
ab to marne ki bhi ham ko to ada yaad nahin
itne sadme hain ki ab hosh nahin hai apna
ham ne kya khoya tha kya ham ko mila yaad nahin
log kahte hain ki duniya badi rangin hai miyan
ham ko to khaak ke zarron ke siva yaad nahin
jis ki khatir main zamane se lada tha tanha
aaj dekha to use mera pata yaad nahin
ab to har haath men patthar hi nazar aata hai
kis ne di thi hamen phulon ki qaba yaad nahin
log kahte hain ki 'sahil' tira 'alam kya hai
be-khudi aisi hai khud apna pata yaad nahin
shahr-e-be-mehr mein ab rasm-e-wafa yaad nahin
kis ko chaha tha yahan kis ka gila yaad nahin
baat karne ko taraste hain masiha mere
zakhm to yaad hain zakhmon ki dawa yaad nahin
hum se puchhe koi duniya ki malamat ka 'azab
log kya kahte hain ab bahr-e-khuda yaad nahin
hum ne duniya ke hawadis ko jiya hai aise
ab to marne ki bhi hum ko to ada yaad nahin
itne sadme hain ki ab hosh nahin hai apna
hum ne kya khoya tha kya hum ko mila yaad nahin
log kahte hain ki duniya badi rangin hai miyan
hum ko to khak ke zarron ke siwa yaad nahin
jis ki khatir main zamane se lada tha tanha
aaj dekha to use mera pata yaad nahin
ab to har hath mein patthar hi nazar aata hai
kis ne di thi hamein phulon ki qaba yaad nahin
log kahte hain ki 'sahil' tera 'alam kya hai
be-khudi aisi hai khud apna pata yaad nahin
You have reached the end.