dil se niklegi na mar kar bhi watan ki ulfat meri mitti se bhi khushbu-e-wafa aaegi
Poetry Collection
Deshbhakti
Patriotism is a noble sentiment. It has been presented in poetry in many different ways. The poets have brought certain aspects to our notice which we do not always notice. You may like to see various representations of this sentiment in these verses here.
Total
32
Sher
30
Ghazal
2
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil men hai dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil men hai ai shahid-e-mulk-o-millat main tire uupar nisar le tiri himmat ka charcha ghhair ki mahfil men hai vaae qismat paanv ki ai zoaf kuchh chalti nahin karvan apna abhi tak pahli hi manzil men hai rahrav-e-rah-e-mohabbat rah na jaana raah men lazzat-e-sahra-navardi duri-e-manzil men hai shauq se rah-e-mohabbat ki musibat jhel le ik khushi ka raaz pinhan jada-e-manzil men hai aaj phir maqtal men qatil kah raha hai baar baar aaen vo shauq-e-shahadat jin ke jin ke dil men hai marne vaalo aao ab gardan katao shauq se ye ghhanimat vaqt hai khanjar kaf-e-qatil men hai mane-e-izhar tum ko hai haya, ham ko adab kuchh tumhare dil ke andar kuchh hamare dil men hai mai-kada sunsan khum ulte pade hain jaam chuur sar-nigun baitha hai saaqi jo tiri mahfil men hai vaqt aane de dikha denge tujhe ai asman ham abhi se kyuun bataen kya hamare dil men hai ab na agle valvale hain aur na vo arman ki bhiid sirf mit jaane ki ik hasrat dil-e-'bismil' men hai sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil mein hai ai shahid-e-mulk-o-millat main tere upar nisar le teri himmat ka charcha ghair ki mahfil mein hai wae qismat panw ki ai zoaf kuchh chalti nahin karwan apna abhi tak pahli hi manzil mein hai rahraw-e-rah-e-mohabbat rah na jaana rah mein lazzat-e-sahra-nawardi duri-e-manzil mein hai shauq se rah-e-mohabbat ki musibat jhel le ek khushi ka raaz pinhan jada-e-manzil mein hai aaj phir maqtal mein qatil kah raha hai bar bar aaen wo shauq-e-shahadat jin ke jin ke dil mein hai marne walo aao ab gardan katao shauq se ye ghanimat waqt hai khanjar kaf-e-qatil mein hai mane-e-izhaar tum ko hai haya, hum ko adab kuchh tumhaare dil ke andar kuchh hamare dil mein hai mai-kada sunsan khum ulte pade hain jam chur sar-nigun baitha hai saqi jo teri mahfil mein hai waqt aane de dikha denge tujhe ai aasman hum abhi se kyun bataen kya hamare dil mein hai ab na agle walwale hain aur na wo arman ki bhid sirf mit jaane ki ek hasrat dil-e-'bismil' mein hai
watan ki sar-zamin se ishq o ulfat hum bhi rakhte hain
vatan ki sar-zamin se ishq o ulfat ham bhi rakhte hain khatakti jo rahe dil men vo hasrat ham bhi rakhte hain zarurat ho to mar mitne ki himmat ham bhi rakhte hain ye jurat ye shujaat ye basalat ham bhi rakhte hain zamane ko hila dene ke daave bandhne vaalo zamane ko hila dene ki taqat ham bhi rakhte hain bala se ho agar saara jahan un ki himayat par khuda-e-har-do-alam ki himayat ham bhi rakhte hain bahar-e-gulshan-e-ummid bhi sairab ho jaae karam ki aarzu ai abr-e-rahmat ham bhi rakhte hain gila na-mehrbani ka to sab se sun liya tum ne tumhari mehrbani ki shikayat ham bhi rakhte hain bhalai ye ki azadi se ulfat tum bhi rakhte ho burai ye ki azadi se ulfat ham bhi rakhte hain hamara naam bhi shayad gunahgaron men shamil ho janab-e-'josh' se sahab salamat ham bhi rakhte hain watan ki sar-zamin se ishq o ulfat hum bhi rakhte hain khatakti jo rahe dil mein wo hasrat hum bhi rakhte hain zarurat ho to mar mitne ki himmat hum bhi rakhte hain ye jurat ye shujaat ye basalat hum bhi rakhte hain zamane ko hila dene ke dawe bandhne walo zamane ko hila dene ki taqat hum bhi rakhte hain bala se ho agar sara jahan un ki himayat par khuda-e-har-do-alam ki himayat hum bhi rakhte hain bahaar-e-gulshan-e-ummid bhi sairab ho jae karam ki aarzu ai abr-e-rahmat hum bhi rakhte hain gila na-mehrbani ka to sab se sun liya tum ne tumhaari mehrbani ki shikayat hum bhi rakhte hain bhalai ye ki aazadi se ulfat tum bhi rakhte ho burai ye ki aazadi se ulfat hum bhi rakhte hain hamara nam bhi shayad gunahgaron mein shamil ho janab-e-'josh' se sahab salamat hum bhi rakhte hain

sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil mein hai

hum amn chahte hain magar zulm ke khilaf gar jang lazmi hai to phir jang hi sahi
sare jahan se achchha hindostan hamara hum bulbulen hain is ki ye gulsitan hamara the couplet expresses deep love and pride for the homeland, declaring it unsurpassed. by calling the people “nightingales” and the country a “garden,” it uses a nature metaphor to show a living bond: the land nourishes them, and they, in turn, fill it with song and life. the emotional core is gratitude, belonging, and collective identity.
watan ki ret zara ediyan ragadne de mujhe yaqin hai ki pani yahin se niklega
lahu watan ke shahidon ka rang laya hai uchhal raha hai zamane mein nam-e-azadi firaq gorakhpuri presents freedom as something made vivid and credible by the martyrs’ blood. “color” suggests proof, intensity, and a visible reality born from sacrifice. the second line personifies “freedom” as a name that leaps through time, spreading and gaining force. the couplet’s emotional core is pride mixed with reverence for the cost paid to make liberty meaningful.
watan ke jaan-nisar hain watan ke kaam aaenge hum is zamin ko ek roz aasman banaenge
dilon mein hubb-e-watan hai agar to ek raho nikhaarna ye chaman hai agar to ek raho
isi jagah isi din to hua tha ye elan andhere haar gae zindabaad hindostan
zamin par ghar banaya hai magar jannat mein rahte hain hamari khush-nasibi hai ki hum bhaarat mein rahte hain
watan ki khak se mar kar bhi hum ko uns baqi hai maza daman-e-madar ka hai is mitti ke daman mein
us mulk ki sarhad ko koi chhu nahin sakta jis mulk ki sarhad ki nigahban hain aankhen
naqus se gharaz hai na matlab azan se hai mujh ko agar hai ishq to hindostan se hai
ye kah rahi hai ishaaron mein gardish-e-gardun ki jald hum koi sakht inqalab dekhenge
watan ki pasbani jaan-o-iman se bhi afzal hai main apne mulk ki khatir kafan bhi sath rakhta hun
ai ahl-e-watan sham-o-sahar jagte rahna aghyar hain aamada-e-shar jagte rahna
kahan hain aaj wo sham-e-watan ke parwane bane hain aaj haqiqat unhin ke afsane
hum bhi tere bete hain zara dekh hamein bhi ai khak-e-watan tujh se shikayat nahin karte
hai mohabbat is watan se apni mitti se hamein is liye apna karenge jaan-o-tan qurban hum
na hoga raegan khun-e-shahidan-e-watan hargiz yahi surkhi banegi ek din unwan-e-azadi
dukh mein sukh mein har haalat mein bhaarat dil ka sahaara hai bhaarat pyara desh hamara sab deshon se pyara hai
kya karishma hai mere jazba-e-azadi ka thi jo diwar kabhi ab hai wo dar ki surat
bhaarat ke ai saputo himmat dikhae jao duniya ke dil pe apna sikka bithae jao
be-zar hain jo jazba-e-hubb-ul-watani se wo log kisi se bhi mohabbat nahin karte
karwan jin ka luta rah mein aazadi ki qaum ka mulk ka un dard ke maron ko salam
wo hindi naujawan yani alam-bardar-e-azadi watan ki pasban wo tegh-e-jauhar-dar-e-azadi
main ne aankhon mein jala rakha hai aazadi ka tel mat andheron se dara rakh ki main jo hun so hun
khuda ai kash 'nazish' jite-ji wo waqt bhi lae ki jab hindostan kahlaega hindostan-e-azadi
Explore Similar Collections
Deshbhakti FAQs
Deshbhakti collection me kya milega?
Deshbhakti se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.