Poetry Collection

Haar

Haar par curated selection jahan sher, ghazal aur nazm ko readable format me discover kiya ja sakta hai.

Total

18

Sher

15

Ghazal

3

Nazm

0

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

GhazalRead Full

agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara

agar ye kah do baghhair mere nahin guzara to main tumhara ya us pe mabni koi ta'assur koi ishara to main tumhara ghhurur-parvar ana ka malik kuchh is tarah ke hain naam mere magar qasam se jo tum ne ik naam bhi pukara to main tumhara tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaun baazi agar main jiita to tum ho mere agar main haara to main tumhara tumhara ashiq tumhara mukhlis tumhara sathi tumhara apna raha na in men se koi duniya men jab tumhara to main tumhara tumhara hone ke faisle ko main apni qismat pe chhodta huun agar muqaddar ka koi tuuta kabhi sitara to main tumhara ye kis pe taaviz kar rahe ho ye kis ko paane ke hain vazife tamam chhodo bas ek kar lo jo istikhara to main tumhara agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara ya us pe mabni koi ta'assur koi ishaara to main tumhaara ghurur-parwar ana ka malik kuchh is tarah ke hain nam mere magar qasam se jo tum ne ek nam bhi pukara to main tumhaara tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaun bazi agar main jita to tum ho mere agar main haara to main tumhaara tumhaara aashiq tumhaara mukhlis tumhaara sathi tumhaara apna raha na in mein se koi duniya mein jab tumhaara to main tumhaara tumhaara hone ke faisle ko main apni qismat pe chhodta hun agar muqaddar ka koi tuta kabhi sitara to main tumhaara ye kis pe tawiz kar rahe ho ye kis ko pane ke hain wazife tamam chhodo bas ek kar lo jo istikhara to main tumhaara

ye ek baat samajhne mein raat ho gai hai

ye ek baat samajhne men raat ho gai hai main us se jiit gaya huun ki maat ho gai hai main ab ke saal parindon ka din manaunga miri qarib ke jangal se baat ho gai hai bichhad ke tujh se na khush rah sakunga socha tha tiri judai hi vajh-e-nashat ho gai hai badan men ek taraf din tulua main ne kiya badan ke dusre hisse men raat ho gai hai main jangalon ki taraf chal pada huun chhod ke ghar ye kya ki ghar ki udasi bhi saath ho gai hai rahega yaad madine se vapsi ka safar main nazm likhne laga tha ki naat ho gai hai ye ek baat samajhne mein raat ho gai hai main us se jit gaya hun ki mat ho gai hai main ab ke sal parindon ka din manaunga meri qarib ke jangal se baat ho gai hai bichhad ke tujh se na khush rah sakunga socha tha teri judai hi wajh-e-nashat ho gai hai badan mein ek taraf din tulua main ne kiya badan ke dusre hisse mein raat ho gai hai main jangalon ki taraf chal pada hun chhod ke ghar ye kya ki ghar ki udasi bhi sath ho gai hai rahega yaad madine se wapsi ka safar main nazm likhne laga tha ki nat ho gai hai

GhazalRead Full

jahan nigar-e-sahar pairahan utarti hai

jahan nigar-e-sahar pairahan utarti hai vahin pe raat sitaron ka khel harti hai shab-e-visal tire dil ke saath lag kar bhi miri luti hui duniya tujhe pukarti hai shumar-e-shauq men uljhi hui shua-e-nazar hazar ruthte rangon ke ruup dharti hai ufuq se phutte mahtab ki mahak jaise sukun-e-bahr men ik lahar si ubharti hai pas-e-daricha-e-dil yad-e-bu-e-ju-e-nashat na jaane kab se khadi kakulen sanvarti hai dar-e-umid se ho kar nikalne lagta huun to yaas rauzan-e-zindan se aankh marti hai jahan se kuchh na mile husn-e-mazarat ke siva ye aarzu usi chaukhat pe shab guzarti hai jo ek jism jalati hai barq-e-abr-e-khayal to laakh zang-zada aaine nikharti hai jahan nigar-e-sahar pairahan utarti hai wahin pe raat sitaron ka khel haarti hai shab-e-visal tere dil ke sath lag kar bhi meri luti hui duniya tujhe pukarti hai shumar-e-shauq mein uljhi hui shua-e-nazar hazar ruthte rangon ke rup dhaarti hai ufuq se phutte mahtab ki mahak jaise sukun-e-bahr mein ek lahar si ubhaarti hai pas-e-daricha-e-dil yaad-e-bu-e-ju-e-nashat na jaane kab se khadi kakulen sanwarti hai dar-e-umid se ho kar nikalne lagta hun to yas rauzan-e-zindan se aankh marti hai jahan se kuchh na mile husn-e-mazarat ke siwa ye aarzu usi chaukhat pe shab guzarti hai jo ek jism jalati hai barq-e-abr-e-khayal to lakh zang-zada aaine nikhaarti hai

hum aaj rah-e-tamanna mein ji ko haar aae na dard-o-gham ka bharosa raha na duniya ka

~ Waheed Quraishi

You have reached the end.

Explore Similar Collections

Haar FAQs

Haar collection me kya milega?

Haar se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.