Poetry Collection

Tasawwuf

Tasavvuf, or mysticism, has been one of the most popular subjects of study, especially in the philosophy and literatures of the Orient. It relates with the divine whom one reaches through multiple routes. While Sufi poets and writers have pondered closely over these, others too have developed their own perspectives on tasavvuf. The following verses would bring you close to their understanding of these aspects.

Total

83

Sher

42

Ghazal

41

Nazm

0

Featured Picks

Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.

GhazalRead Full

khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi

khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi na to tu raha na to main raha jo rahi so be-khabari rahi shah-e-be-khudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi na khirad ki bakhiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi chali samt-e-ghhaib siin kya hava ki chaman zuhur ka jal gaya magar ek shakh-e-nihal-e-ghham jise dil kaho so hari rahi nazar-e-taghhaful-e-yar ka gila kis zaban siin bayan karun ki sharab-e-sad-qadah aarzu khum-e-dil men thi so bhari rahi vo ajab ghadi thi main jis ghadi liya dars nuskha-e-ishq ka ki kitab aql ki taaq par juun dhari thi tyuun hi dhari rahi tire josh-e-hairat-e-husn ka asar is qadar siin yahan hua ki na aaine men rahi jila na pari kuun jalvagari rahi kiya khaak atish-e-ishq ne dil-e-be-nava-e-'siraj' kuun na khatar raha na hazar raha magar ek be-khatari rahi khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi na to tu raha na to main raha jo rahi so be-khabari rahi shah-e-be-khudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi na khirad ki bakhiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi chali samt-e-ghaib sin kya hawa ki chaman zuhur ka jal gaya magar ek shakh-e-nihaal-e-gham jise dil kaho so hari rahi nazar-e-taghaful-e-yar ka gila kis zaban sin bayan karun ki sharab-e-sad-qadah aarzu khum-e-dil mein thi so bhari rahi wo ajab ghadi thi main jis ghadi liya dars nuskha-e-ishq ka ki kitab aql ki taq par jun dhari thi tyun hi dhari rahi tere josh-e-hairat-e-husn ka asar is qadar sin yahan hua ki na aaine mein rahi jila na pari kun jalwagari rahi kiya khak aatish-e-ishq ne dil-e-be-nawa-e-'siraj' kun na khatar raha na hazar raha magar ek be-khatari rahi

GhazalRead Full

jag mein aa kar idhar udhar dekha

jag men aa kar idhar udhar dekha tu hi aaya nazar jidhar dekha i came into this world and looked around you, manifest, in every place, i found jaan se ho gae badan khali jis taraf tu ne aankh bhar dekha of life and spirit, bodies were devoid a gaze intense, wherever you deployed naala fariyad aah aur zaari aap se ho saka so kar dekha wailing, pleading, lamenting and sighing the things that i could do / i kept on trying un labon ne na ki masihai ham ne sau sau tarah se mar dekha the role of jesus, those lips did not play i tried, in hundred ways, myself to slay zor ashiq-mizaj hai koi 'dard' ko qissa mukhtasar dekha "he's someone who's the deeply ardent sort" the tale of 'dard' is just this simple, short jag mein aa kar idhar udhar dekha tu hi aaya nazar jidhar dekha i came into this world and looked around you, manifest, in every place, i found jaan se ho gae badan khali jis taraf tu ne aankh bhar dekha of life and spirit, bodies were devoid a gaze intense, wherever you deployed nala fariyaad aah aur zari aap se ho saka so kar dekha wailing, pleading, lamenting and sighing the things that i could do / i kept on trying un labon ne na ki masihai hum ne sau sau tarah se mar dekha the role of jesus, those lips did not play i tried, in hundred ways, myself to slay zor aashiq-mizaj hai koi 'dard' ko qissa mukhtasar dekha "he's someone who's the deeply ardent sort" the tale of 'dard' is just this simple, short

GhazalRead Full

tha mustaar husn se uske jo nur tha

tha mustaar husn se us ke jo nuur tha khurshid men bhi us hi ka zarra zuhur tha hangama garm-kun jo dil-e-na-subur tha paida har ek naale se shor-e-nushur tha pahuncha jo aap ko to main pahuncha khuda ke taiin malum ab hua ki bahut main bhi duur tha atish buland dil ki na thi varna ai kalim yak shoala barq-e-khiraman-e-sad-koh-e-tur tha majlis men raat ek tire partave baghhair kya shama kya patang har ik be-huzur tha us fasl men ki gul ka gareban bhi hai hava divana ho gaya so bahut zi-shuur tha munim ke paas qaqum o sanjab tha to kya us rind ki bhi raat guzar gai jo uur tha ham khaak men mile to mile lekin ai siphar us shokh ko bhi raah pe laana zarur tha kal paanv ek kasa-e-sar par jo aa gaya yaksar vo ustukhvan shikaston se chuur tha kahne laga ki dekh ke chal raah be-khabar main bhi kabhu kisu ka sar-e-pur-ghhurur tha tha vo to rashk-e-hur-e-bahishti hamin men 'mir' samjhe na ham to fahm ka apni qusur tha tha mustaar husn se us ke jo nur tha khurshid mein bhi us hi ka zarra zuhur tha hangama garm-kun jo dil-e-na-subur tha paida har ek nale se shor-e-nushur tha pahuncha jo aap ko to main pahuncha khuda ke tain malum ab hua ki bahut main bhi dur tha aatish buland dil ki na thi warna ai kalim yak shoala barq-e-khiraman-e-sad-koh-e-tur tha majlis mein raat ek tere partawe baghair kya shama kya patang har ek be-huzur tha us fasl mein ki gul ka gareban bhi hai hawa diwana ho gaya so bahut zi-shuur tha munim ke pas qaqum o sanjab tha to kya us rind ki bhi raat guzar gai jo ur tha hum khak mein mile to mile lekin ai siphar us shokh ko bhi rah pe lana zarur tha kal panw ek kasa-e-sar par jo aa gaya yaksar wo ustukhwan shikaston se chur tha kahne laga ki dekh ke chal rah be-khabar main bhi kabhu kisu ka sar-e-pur-ghurur tha tha wo to rashk-e-hur-e-bahishti hamin mein 'mir' samjhe na hum to fahm ka apni qusur tha

GhazalRead Full

khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi

khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi na to tu raha na to main raha jo rahi so be-khabari rahi shah-e-be-khudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi na khirad ki bakhiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi chali samt-e-ghhaib siin kya hava ki chaman zuhur ka jal gaya magar ek shakh-e-nihal-e-ghham jise dil kaho so hari rahi nazar-e-taghhaful-e-yar ka gila kis zaban siin bayan karun ki sharab-e-sad-qadah aarzu khum-e-dil men thi so bhari rahi vo ajab ghadi thi main jis ghadi liya dars nuskha-e-ishq ka ki kitab aql ki taaq par juun dhari thi tyuun hi dhari rahi tire josh-e-hairat-e-husn ka asar is qadar siin yahan hua ki na aaine men rahi jila na pari kuun jalvagari rahi kiya khaak atish-e-ishq ne dil-e-be-nava-e-'siraj' kuun na khatar raha na hazar raha magar ek be-khatari rahi khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi na to tu raha na to main raha jo rahi so be-khabari rahi shah-e-be-khudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi na khirad ki bakhiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi chali samt-e-ghaib sin kya hawa ki chaman zuhur ka jal gaya magar ek shakh-e-nihaal-e-gham jise dil kaho so hari rahi nazar-e-taghaful-e-yar ka gila kis zaban sin bayan karun ki sharab-e-sad-qadah aarzu khum-e-dil mein thi so bhari rahi wo ajab ghadi thi main jis ghadi liya dars nuskha-e-ishq ka ki kitab aql ki taq par jun dhari thi tyun hi dhari rahi tere josh-e-hairat-e-husn ka asar is qadar sin yahan hua ki na aaine mein rahi jila na pari kun jalwagari rahi kiya khak aatish-e-ishq ne dil-e-be-nawa-e-'siraj' kun na khatar raha na hazar raha magar ek be-khatari rahi

GhazalRead Full

jag mein aa kar idhar udhar dekha

jag men aa kar idhar udhar dekha tu hi aaya nazar jidhar dekha i came into this world and looked around you, manifest, in every place, i found jaan se ho gae badan khali jis taraf tu ne aankh bhar dekha of life and spirit, bodies were devoid a gaze intense, wherever you deployed naala fariyad aah aur zaari aap se ho saka so kar dekha wailing, pleading, lamenting and sighing the things that i could do / i kept on trying un labon ne na ki masihai ham ne sau sau tarah se mar dekha the role of jesus, those lips did not play i tried, in hundred ways, myself to slay zor ashiq-mizaj hai koi 'dard' ko qissa mukhtasar dekha "he's someone who's the deeply ardent sort" the tale of 'dard' is just this simple, short jag mein aa kar idhar udhar dekha tu hi aaya nazar jidhar dekha i came into this world and looked around you, manifest, in every place, i found jaan se ho gae badan khali jis taraf tu ne aankh bhar dekha of life and spirit, bodies were devoid a gaze intense, wherever you deployed nala fariyaad aah aur zari aap se ho saka so kar dekha wailing, pleading, lamenting and sighing the things that i could do / i kept on trying un labon ne na ki masihai hum ne sau sau tarah se mar dekha the role of jesus, those lips did not play i tried, in hundred ways, myself to slay zor aashiq-mizaj hai koi 'dard' ko qissa mukhtasar dekha "he's someone who's the deeply ardent sort" the tale of 'dard' is just this simple, short

GhazalRead Full

arz-o-sama kahan teri wusat ko pa sake

arz-o-sama kahan tiri vusat ko pa sake mera hi dil hai vo ki jahan tu sama sake how can earth and heaven, your vastness contemplate? it's just my heart, your glory, that can accommodate vahdat men teri harf dui ka na aa sake aina kya majal tujhe munh dikha sake the stigma of duality, on you there cannot be a mirror does not have the nerve / to show its face to thee main vo fatada huun ki baghhair-az-fana mujhe naqsh-e-qadam ki tarah na koi utha sake ---------- ----------- qasid nahin ye kaam tira apni raah le us ka payam dil ke siva kaun la sake it's not your task o messenger, you should go your way save for the heart, his message, who else can convey? ghhafil khuda ki yaad pe mat bhuul zinhar apne taiin bhula de agar tu bhula sake don't forget the thought of god, o foolish one, pay heed if you can, forgetfulness, of self is what you need ya-rab ye kya tilism hai idrak-o-fahm yaan daude hazar aap se bahar na ja sake o lord, what enchantment this / of knowledge and insight? cannot breach my being though try, a thousand times i might go bahs kar ke baat bithai bhi kya husul dil se utha ghhilaf agar tu utha sake though you may win an argument, will it be of use? the cloak upon your heart is what / you should try to lose itfa-e-nar-e-ishq na ho ab-e-ashk se ye aag vo nahin jise paani bujha sake love's fire can't be doused by tears, fully though be drenched this is not a fire which, by water can be quenched mast-e-sharab-e-ishq vo be-khud hai jis ko hashr ai 'dard' chahe laae ba-khud par na la sake in love's heady wine immersed, is that enraptured soul if rapture too, went after him, it would not reach its goal arz-o-sama kahan teri wusat ko pa sake mera hi dil hai wo ki jahan tu sama sake how can earth and heaven, your vastness contemplate? it's just my heart, your glory, that can accommodate wahdat mein teri harf dui ka na aa sake aaina kya majal tujhe munh dikha sake the stigma of duality, on you there cannot be a mirror does not have the nerve / to show its face to thee main wo fatada hun ki baghair-az-fana mujhe naqsh-e-qadam ki tarah na koi utha sake ---------- ----------- qasid nahin ye kaam tera apni rah le us ka payam dil ke siwa kaun la sake it's not your task o messenger, you should go your way save for the heart, his message, who else can convey? ghafil khuda ki yaad pe mat bhul zinhaar apne tain bhula de agar tu bhula sake don't forget the thought of god, o foolish one, pay heed if you can, forgetfulness, of self is what you need ya-rab ye kya tilism hai idrak-o-fahm yan daude hazar aap se bahar na ja sake o lord, what enchantment this / of knowledge and insight? cannot breach my being though try, a thousand times i might go bahs kar ke baat bithai bhi kya husul dil se utha ghilaf agar tu utha sake though you may win an argument, will it be of use? the cloak upon your heart is what / you should try to lose itfa-e-nar-e-ishq na ho aab-e-ashk se ye aag wo nahin jise pani bujha sake love's fire can't be doused by tears, fully though be drenched this is not a fire which, by water can be quenched mast-e-sharab-e-ishq wo be-khud hai jis ko hashr ai 'dard' chahe lae ba-khud par na la sake in love's heady wine immersed, is that enraptured soul if rapture too, went after him, it would not reach its goal

GhazalRead Full

tha mustaar husn se uske jo nur tha

tha mustaar husn se us ke jo nuur tha khurshid men bhi us hi ka zarra zuhur tha hangama garm-kun jo dil-e-na-subur tha paida har ek naale se shor-e-nushur tha pahuncha jo aap ko to main pahuncha khuda ke taiin malum ab hua ki bahut main bhi duur tha atish buland dil ki na thi varna ai kalim yak shoala barq-e-khiraman-e-sad-koh-e-tur tha majlis men raat ek tire partave baghhair kya shama kya patang har ik be-huzur tha us fasl men ki gul ka gareban bhi hai hava divana ho gaya so bahut zi-shuur tha munim ke paas qaqum o sanjab tha to kya us rind ki bhi raat guzar gai jo uur tha ham khaak men mile to mile lekin ai siphar us shokh ko bhi raah pe laana zarur tha kal paanv ek kasa-e-sar par jo aa gaya yaksar vo ustukhvan shikaston se chuur tha kahne laga ki dekh ke chal raah be-khabar main bhi kabhu kisu ka sar-e-pur-ghhurur tha tha vo to rashk-e-hur-e-bahishti hamin men 'mir' samjhe na ham to fahm ka apni qusur tha tha mustaar husn se us ke jo nur tha khurshid mein bhi us hi ka zarra zuhur tha hangama garm-kun jo dil-e-na-subur tha paida har ek nale se shor-e-nushur tha pahuncha jo aap ko to main pahuncha khuda ke tain malum ab hua ki bahut main bhi dur tha aatish buland dil ki na thi warna ai kalim yak shoala barq-e-khiraman-e-sad-koh-e-tur tha majlis mein raat ek tere partawe baghair kya shama kya patang har ek be-huzur tha us fasl mein ki gul ka gareban bhi hai hawa diwana ho gaya so bahut zi-shuur tha munim ke pas qaqum o sanjab tha to kya us rind ki bhi raat guzar gai jo ur tha hum khak mein mile to mile lekin ai siphar us shokh ko bhi rah pe lana zarur tha kal panw ek kasa-e-sar par jo aa gaya yaksar wo ustukhwan shikaston se chur tha kahne laga ki dekh ke chal rah be-khabar main bhi kabhu kisu ka sar-e-pur-ghurur tha tha wo to rashk-e-hur-e-bahishti hamin mein 'mir' samjhe na hum to fahm ka apni qusur tha

GhazalRead Full

hum tujhse kis hawas ki falak justuju karen

ham tujh se kis havas ki falak justuju karen dil hi nahin raha hai ki kuchh aarzu karen o heaven! what desire, say, should i seek from you? when my heart no longer is, what hope can i pursue? mit jaaen ek aan men kasrat-numaiyan ham aaine ke samne jab aa ke hu karen ------------ ------------ tar-damani pe shaikh hamari na jaiyo daman nichod den to farishte vuzu karen the moistness of my hem, o priest, deem not a minor thing angels would perform ablution, if my hem i wring sar-ta-qadam zaban hain juun shama go ki ham par ye kahan majal jo kuchh guftugu karen from head to toe i am a tongue / with a flame like style but where is the courage that / i'd even speak a while? har-chand aaina huun par itna huun na-qubul munh pher le vo jis ke mujhe ru-ba-ru karen though a mirror, i am shunned, to such a great degree turns his face away, whoever's / brought in front of me ne gul ko hai sabat na ham ko hai e'tibar kis baat par chaman havas-e-rang-o-bu karen flowers lack endurance and / i too am discontent garden, on what ground should i / desire colour, scent? hai apni ye salah ki sab zahidan-e-shahr ai 'dard' aa ke baiat-e-dast-e-subu karen this is my advice that all / the pious of the land should come forth / and swear alleigance / to the goblet's hand hum tujh se kis hawas ki falak justuju karen dil hi nahin raha hai ki kuchh aarzu karen o heaven! what desire, say, should i seek from you? when my heart no longer is, what hope can i pursue? mit jaen ek aan mein kasrat-numaiyan hum aaine ke samne jab aa ke hu karen ------------ ------------ tar-damani pe shaikh hamari na jaiyo daman nichod den to farishte wuzu karen the moistness of my hem, o priest, deem not a minor thing angels would perform ablution, if my hem i wring sar-ta-qadam zaban hain jun shama go ki hum par ye kahan majal jo kuchh guftugu karen from head to toe i am a tongue / with a flame like style but where is the courage that / i'd even speak a while? har-chand aaina hun par itna hun na-qubul munh pher le wo jis ke mujhe ru-ba-ru karen though a mirror, i am shunned, to such a great degree turns his face away, whoever's / brought in front of me ne gul ko hai sabaat na hum ko hai e'tibar kis baat par chaman hawas-e-rang-o-bu karen flowers lack endurance and / i too am discontent garden, on what ground should i / desire colour, scent? hai apni ye salah ki sab zahidan-e-shahr ai 'dard' aa ke baiat-e-dast-e-subu karen this is my advice that all / the pious of the land should come forth / and swear alleigance / to the goblet's hand

GhazalRead Full

yar ko humne ja-ba-ja dekha

yaar ko ham ne ja-ba-ja dekha kahin zahir kahin chhupa dekha kahin mumkin hua kahin vajib kahin faani kahin baqa dekha diid apne ki thi use khvahish aap ko har tarah bana dekha surat-e-gul men khil-khila ke hansa shakl-e-bulbul men chahchaha dekha shama ho kar ke aur parvana aap ko aap men jala dekha kar ke daava kahin anal-haq ka bar-sar-e-dar vo khincha dekha tha vo bartar shuma-o-ma se niyaz phir vahi ab shuma-o-ma dekha kahin hai badshah-e-takht-nashin kahin kaasa liye gada dekha kahin aabid bana kahin zahid kahin rindon ka peshva dekha kahin vo dar-libas-e-maashuqan bar-sar-e-naz aur ada dekha kahin ashiq 'niyaz' ki surat sina-biryan o dil-jala dekha yar ko hum ne ja-ba-ja dekha kahin zahir kahin chhupa dekha kahin mumkin hua kahin wajib kahin fani kahin baqa dekha did apne ki thi use khwahish aap ko har tarah bana dekha surat-e-gul mein khil-khila ke hansa shakl-e-bulbul mein chahchaha dekha shama ho kar ke aur parwana aap ko aap mein jala dekha kar ke dawa kahin anal-haq ka bar-sar-e-dar wo khincha dekha tha wo bartar shuma-o-ma se niyaz phir wahi ab shuma-o-ma dekha kahin hai baadshah-e-takht-nashin kahin kasa liye gada dekha kahin aabid bana kahin zahid kahin rindon ka peshwa dekha kahin wo dar-libas-e-mashuqan bar-sar-e-naz aur ada dekha kahin aashiq 'niyaz' ki surat sina-biryan o dil-jala dekha

~ Shah Niyaz Ahmad Barelvi
GhazalRead Full

kabe ka shauq hai na sanam-khana chahiye

kaabe ka shauq hai na sanam-khana chahiye janana chahiye dar-e-janana chahiye saghhar ki aarzu hai na paimana chahiye bas ik nigah-e-murshid-e-mai-khana chahiye hazir hain mere jaib-o-gareban ki dhajjiyan ab aur kya tujhe dil-e-divana chahiye ashiq na ho to husn ka ghar be-charaghh hai laila ko qais shama ko parvana chahiye parvarda-e-karam se to zeba nahin hijab mujh khana-zad-e-husn se parda na chahiye shikva hai kufr ahl-e-mohabbat ke vaste har ik jafa-e-dost pe shukrana chahiye bada-kashon ko dete hain saghhar ye puchh kar kis ko zakat-e-nargis-e-mastana chahiye 'bedam' namaz-e-ishq yahi hai khuda-gavah har dam tasavvur-e-rukh-e-janana chahiye kabe ka shauq hai na sanam-khana chahiye jaanana chahiye dar-e-jaanana chahiye saghar ki aarzu hai na paimana chahiye bas ek nigah-e-murshid-e-mai-khana chahiye hazir hain mere jaib-o-gareban ki dhajjiyan ab aur kya tujhe dil-e-diwana chahiye aashiq na ho to husn ka ghar be-charagh hai laila ko qais shama ko parwana chahiye parwarda-e-karam se to zeba nahin hijab mujh khana-zad-e-husn se parda na chahiye shikwa hai kufr ahl-e-mohabbat ke waste har ek jafa-e-dost pe shukrana chahiye baada-kashon ko dete hain saghar ye puchh kar kis ko zakat-e-nargis-e-mastana chahiye 'bedam' namaz-e-ishq yahi hai khuda-gawah har dam tasawwur-e-rukh-e-jaanana chahiye

GhazalRead Full

tujhi ko jo yan jalwa-farma na dekha

tujhi ko jo yaan jalva-farma na dekha barabar hai duniya ko dekha na dekha mira ghhuncha-e-dil hai vo dil girafta ki jis ko kisu ne kabhu va na dekha yagana hai tu aah beganagi men koi dusra aur aisa na dekha aziyyat musibat malamat balaen tire ishq men ham ne kya kya na dekha kiya muj ko daghhon ne sarv-e-charaghhan kabhu tu ne aa kar tamasha na dekha taghhaful ne tere ye kuchh din dikhae idhar tu ne lekin na dekha na dekha hijab-e-rukh-e-yar the aap hi ham khuli aankh jab koi parda na dekha shab o roz ai 'dard' dar pe huun us ke kisu ne jise yaan na samjha na dekha tujhi ko jo yan jalwa-farma na dekha barabar hai duniya ko dekha na dekha mera ghuncha-e-dil hai wo dil girafta ki jis ko kisu ne kabhu wa na dekha yagana hai tu aah beganagi mein koi dusra aur aisa na dekha aziyyat musibat malamat balaen tere ishq mein hum ne kya kya na dekha kiya muj ko daghon ne sarw-e-charaghan kabhu tu ne aa kar tamasha na dekha taghaful ne tere ye kuchh din dikhae idhar tu ne lekin na dekha na dekha hijab-e-rukh-e-yar the aap hi hum khuli aankh jab koi parda na dekha shab o roz ai 'dard' dar pe hun us ke kisu ne jise yan na samjha na dekha

GhazalRead Full

mujhe shikwa nahin barbaad rakh barbaad rahne de

mujhe shikva nahin barbad rakh barbad rahne de magar allah mere dil men apni yaad rahne de qafas men qaid rakh ya qaid se azad rahne de bahar-surat chaman hi men mujhe sayyad rahne de mire nashad rahne se agar tujh ko masarrat hai to main nashad hi achchha mujhe nashad rahne de tiri shan-e-taghhaful par miri barbadiyan sadqe jo barbad-e-tamanna ho use barbad rahne de tujhe jitne sitam aate hain mujh par khatm kar dena na koi zulm rah jaae na ab be-dad rahne de na sahra men bahalta hai na ku-e-yar men thahre kahin to chain se mujh ko dil-e-nashad rahne de kuchh apni guzri hi 'bedam' bhali maalum hoti hai miri biiti suna de qissa-e-farhad rahne de mujhe shikwa nahin barbaad rakh barbaad rahne de magar allah mere dil mein apni yaad rahne de qafas mein qaid rakh ya qaid se aazad rahne de bahar-surat chaman hi mein mujhe sayyaad rahne de mere nashad rahne se agar tujh ko masarrat hai to main nashad hi achchha mujhe nashad rahne de teri shan-e-taghaful par meri barbaadiyan sadqe jo barbaad-e-tamanna ho use barbaad rahne de tujhe jitne sitam aate hain mujh par khatm kar dena na koi zulm rah jae na ab be-dad rahne de na sahra mein bahalta hai na ku-e-yar mein thahre kahin to chain se mujh ko dil-e-nashad rahne de kuchh apni guzri hi 'bedam' bhali malum hoti hai meri biti suna de qissa-e-farhad rahne de

GhazalRead Full

har taraf yar ka tamasha hai

har taraf yaar ka tamasha hai us ke didar ka tamasha hai ishq aur aql men hui hai shart jiit aur haar ka tamasha hai khalvat-e-intizar men us ki dar-o-divar ka tamasha hai sina-e-daghh daaghh men mere sahn-e-gulzar ka tamasha hai hai shikar-e-kamand-e-ishq 'siraj' is gale haar ka tamasha hai har taraf yar ka tamasha hai us ke didar ka tamasha hai ishq aur aql mein hui hai shart jit aur haar ka tamasha hai khalwat-e-intizar mein us ki dar-o-diwar ka tamasha hai sina-e-dagh dagh mein mere sahn-e-gulzar ka tamasha hai hai shikar-e-kamand-e-ishq 'siraj' is gale haar ka tamasha hai

GhazalRead Full

main yar ka jalwa hun

main yaar ka jalva huun ya dida-e-musa huun qatra huun na dariya huun basti huun na sahra huun jiina mira marna hai marne ko tarasta huun apni hi umidon ka bigda hua naqsha huun armanon ka gahvara hasrat ka janaza huun is alam-e-hasti men yuun huun ki main goya huun zinda huun magar bedam ik turfa-tamasha huun main yar ka jalwa hun ya dida-e-musa hun qatra hun na dariya hun basti hun na sahra hun jina mera marna hai marne ko tarasta hun apni hi umidon ka bigda hua naqsha hun armanon ka gahwara hasrat ka janaza hun is aalam-e-hasti mein yun hun ki main goya hun zinda hun magar bedam ek turfa-tamasha hun

GhazalRead Full

do-rangi khub nain yak-rang ho ja

do-rangi khuub naiin yak-rang ho ja sarapa mom ho ya sang ho ja tujhe jyuun ghhuncha gar hai dard ki bu lahu ka ghunt pi dil-tang ho ja kaha kis tarah dil ne tujh kuun ai ghham ki dil ki aarsi par zang ho ja yahi aahon ke taron men sada hai ki bar-e-ghham siin kham jyuun chang ho ja dua hai ai rah-e-ghham tul-e-umr ka qadam par hai to sau farsang ho ja gale men daal rusvai ki alfi alif khinch aah ka be-nang ho ja birah ki aag men sabit-qadam chal 'siraj' ab shama ka ham-rang ho ja do-rangi khub nain yak-rang ho ja sarapa mom ho ya sang ho ja tujhe jyun ghuncha gar hai dard ki bu lahu ka ghunt pi dil-tang ho ja kaha kis tarah dil ne tujh kun ai gham ki dil ki aarsi par zang ho ja yahi aahon ke taron mein sada hai ki bar-e-gham sin kham jyun chang ho ja dua hai ai rah-e-gham tul-e-umr ka qadam par hai to sau farsang ho ja gale mein dal ruswai ki alfi alif khinch aah ka be-nang ho ja birah ki aag mein sabit-qadam chal 'siraj' ab shama ka ham-rang ho ja

GhazalRead Full

hum aap hi ko apna maqsud jaante hain

ham aap hi ko apna maqsud jante hain apne sivae kis ko maujud jante hain ijz-o-niyaz apna apni taraf hai saara is musht-e-khak ko ham masjud jante hain surat-pazir ham bin hargiz nahin ve maane ahl-e-nazar hamin ko maabud jante hain ishq un ki aql ko hai jo ma-siva hamare nachiz jante hain na-bud jante hain apni hi sair karne ham jalva-gar hue the is ramz ko va-lekin madud jante hain yarab kase hai naaqa har ghhuncha is chaman ka rah-e-vafa ko ham to masdud jante hain ye zulm-e-be-nihayat dushvar-tar ki khuban bad-vaziyon ko apni mahmud jante hain kya jaane daab sohbat az khvesh raftagan ka majlis men shaikh-sahib kuchh kuud jante hain mar kar bhi haath aave to 'mir' muft hai vo ji ke ziyan ko bhi ham suud jante hain hum aap hi ko apna maqsud jaante hain apne siwae kis ko maujud jaante hain ijz-o-niyaz apna apni taraf hai sara is musht-e-khak ko hum masjud jaante hain surat-pazir hum bin hargiz nahin we mane ahl-e-nazar hamin ko mabud jaante hain ishq un ki aql ko hai jo ma-siwa hamare nachiz jaante hain na-bud jaante hain apni hi sair karne hum jalwa-gar hue the is ramz ko wa-lekin madud jaante hain yarab kase hai naqa har ghuncha is chaman ka rah-e-wafa ko hum to masdud jaante hain ye zulm-e-be-nihayat dushwar-tar ki khuban bad-waziyon ko apni mahmud jaante hain kya jaane dab sohbat az khwesh raftagan ka majlis mein shaikh-sahib kuchh kud jaante hain mar kar bhi hath aawe to 'mir' muft hai wo ji ke ziyan ko bhi hum sud jaante hain

GhazalRead Full

mera ji hai jab tak teri justuju hai

mira ji hai jab tak tiri justuju hai zaban jab talak hai yahi guftugu hai khuda jaane kya hoga anjam is ka main be-sabr itna huun vo tund-khu hai tamanna tiri hai agar hai tamanna tiri aarzu hai agar aarzu hai kiya sair sab ham ne gulzar-e-duniya gul-e-dosti men ajab rang-o-bu hai ghhanimat hai ye diid va did-e-yaran jahan aankh mund gai na main huun na tu hai nazar mere dil ki padi 'dard' kis par jidhar dekhta huun vahi ru-ba-ru hai mera ji hai jab tak teri justuju hai zaban jab talak hai yahi guftugu hai khuda jaane kya hoga anjam is ka main be-sabr itna hun wo tund-khu hai tamanna teri hai agar hai tamanna teri aarzu hai agar aarzu hai kiya sair sab hum ne gulzar-e-duniya gul-e-dosti mein ajab rang-o-bu hai ghanimat hai ye did wa did-e-yaran jahan aankh mund gai na main hun na tu hai nazar mere dil ki padi 'dard' kis par jidhar dekhta hun wahi ru-ba-ru hai

GhazalRead Full

bagh-e-jahan ke gul hain ya khaar hain to hum hain

baghh-e-jahan ke gul hain ya khaar hain to ham hain gar yaar hain to ham hain aghhyar hain to ham hain in the garden of the world / be rose or thorn, it's me if a lover, it is i, the rival too is me dariya-e-maarifat ke dekha to ham hain sahil gar vaar hain to ham hain aur paar hain to ham hain of the sea of knowledge, the shore i am, i see if this bank then, it is i, across it's also me vabasta hai hamin se gar jabr hai o gar qadr majbur hain to ham hain mukhtar hain to ham hain to only me / do both relate, opression, dignity if compelled, i am the one, i am the one who's free tera hi husn jag men har-chand maujzan hai tis par bhi tishna-kam-e-didar hain to ham hain though your beauty is in spate / for all the world to see yet if thirsting for your sight, there's one, then it is me alfaz-e-khalq ham bin sab mohmalat se the maani ki tarah rabt-e-guftar hain to ham hain words of the world, without me, were all absurdity the substance and the spirit / of eloquence, is me auron se to girani yak-lakht uth gai hai ai 'dard' apne dil ke gar baar hain to ham hain the grieving caused by others / was lifted easily if there's a burden on my heart / then it's only me bagh-e-jahan ke gul hain ya khar hain to hum hain gar yar hain to hum hain aghyar hain to hum hain in the garden of the world / be rose or thorn, it's me if a lover, it is i, the rival too is me dariya-e-marifat ke dekha to hum hain sahil gar war hain to hum hain aur par hain to hum hain of the sea of knowledge, the shore i am, i see if this bank then, it is i, across it's also me wabasta hai hamin se gar jabr hai o gar qadr majbur hain to hum hain mukhtar hain to hum hain to only me / do both relate, opression, dignity if compelled, i am the one, i am the one who's free tera hi husn jag mein har-chand maujzan hai tis par bhi tishna-kaam-e-didar hain to hum hain though your beauty is in spate / for all the world to see yet if thirsting for your sight, there's one, then it is me alfaz-e-khalq hum bin sab mohmalat se the mani ki tarah rabt-e-guftar hain to hum hain words of the world, without me, were all absurdity the substance and the spirit / of eloquence, is me auron se to girani yak-lakht uth gai hai ai 'dard' apne dil ke gar bar hain to hum hain the grieving caused by others / was lifted easily if there's a burden on my heart / then it's only me

GhazalRead Full

kasrat mein bhi wahdat ka tamasha nazar aaya

kasrat men bhi vahdat ka tamasha nazar aaya jis rang men dekha tujhe yakta nazar aaya jab us rukh-e-pur-nur ka jalva nazar aaya kaaba nazar aaya na kalisa nazar aaya ye husn ye shokhi ye karishma ye adaen duniya nazar aai mujhe to kya nazar aaya ik sarkhushi-e-ishq hai ik be-khudi-e-shauq ankhon ko khuda jaane miri kya nazar aaya jab dekh na sakte the to dariya bhi tha qatra jab aankh khuli qatra bhi dariya nazar aaya qurban tiri shan-e-inayat ke dil o jaan is kam-nigahi par mujhe kya kya nazar aaya har rang tire rang men duuba hua nikla har naqsh tira naqsh-e-kaf-e-pa nazar aaya ankhon ne dikha di jo tire ghham ki haqiqat aalam mujhe saara tah-o-bala nazar aaya har jalve ko dekha tire jalvon se munavvar har bazm men tu anjuman-ara nazar aaya kasrat mein bhi wahdat ka tamasha nazar aaya jis rang mein dekha tujhe yakta nazar aaya jab us rukh-e-pur-nur ka jalwa nazar aaya kaba nazar aaya na kalisa nazar aaya ye husn ye shokhi ye karishma ye adaen duniya nazar aai mujhe to kya nazar aaya ek sarkhushi-e-ishq hai ek be-khudi-e-shauq aankhon ko khuda jaane meri kya nazar aaya jab dekh na sakte the to dariya bhi tha qatra jab aankh khuli qatra bhi dariya nazar aaya qurban teri shan-e-inayat ke dil o jaan is kam-nigahi par mujhe kya kya nazar aaya har rang tere rang mein duba hua nikla har naqsh tera naqsh-e-kaf-e-pa nazar aaya aankhon ne dikha di jo tere gham ki haqiqat aalam mujhe sara tah-o-baala nazar aaya har jalwe ko dekha tere jalwon se munawwar har bazm mein tu anjuman-ara nazar aaya

GhazalRead Full

but bhi is mein rahte the dil yar ka bhi kashana tha

but bhi is men rahte the dil yaar ka bhi kashana tha ek taraf kaabe ke jalve ek taraf but-khana tha dilbar hain ab dil ke malik ye bhi ek zamana hai dil vaale kahlate the ham vo bhi ek zamana tha phuul na the araish thi us mast-ada ki aamad par haath men daali daali ke ek halka sa paimana tha hosh na tha be-hoshi thi be-hoshi men phir hosh kahan yaad rahi khamoshi thi jo bhuul gae afsana tha dil men vasl ke arman bhi the aur malal-e-furqat bhi abadi ki abadi virane ka virana tha uf-re bad-e-josh-e-javani aankh na un ki uthti thi mastana har ek ada thi har ishva mastana tha shama ke jalve bhi ya-rab kya khvab tha jalne valon ka subh jo dekha mahfil men parvana hi parvana tha dekh ke vo tasvir miri kuchh khoe hue se kahte hain haan haan yaad to aata hai is shakl ka ik divana tha ghhair ka shikva kyunkar rahta dil men jab ummiden thiin apna phir bhi apna tha begana phir begana tha 'bedam' is andaz se kal yuun ham ne kahi apni biiti har ek ne samjha mahfil men ye mera hi afsana tha but bhi is mein rahte the dil yar ka bhi kashana tha ek taraf kabe ke jalwe ek taraf but-khana tha dilbar hain ab dil ke malik ye bhi ek zamana hai dil wale kahlate the hum wo bhi ek zamana tha phul na the aaraish thi us mast-ada ki aamad par hath mein dali dali ke ek halka sa paimana tha hosh na tha be-hoshi thi be-hoshi mein phir hosh kahan yaad rahi khamoshi thi jo bhul gae afsana tha dil mein wasl ke arman bhi the aur malal-e-furqat bhi aabaadi ki aabaadi virane ka virana tha uf-re baad-e-josh-e-jawani aankh na un ki uthti thi mastana har ek ada thi har ishwa mastana tha shama ke jalwe bhi ya-rab kya khwab tha jalne walon ka subh jo dekha mahfil mein parwana hi parwana tha dekh ke wo taswir meri kuchh khoe hue se kahte hain han han yaad to aata hai is shakl ka ek diwana tha ghair ka shikwa kyunkar rahta dil mein jab ummiden thin apna phir bhi apna tha begana phir begana tha 'bedam' is andaz se kal yun hum ne kahi apni biti har ek ne samjha mahfil mein ye mera hi afsana tha

GhazalRead Full

fida kar jaan agar jaani yahi hai

fida kar jaan agar jaani yahi hai are dil vaqt-e-be-jani yahi hai yahi qabr-e-zulekha siin hai avaz agar hai yusuf-e-sani yahi hai nahin bujhti hai pyaas aansu siin lekin karen kya ab to yaan paani yahi hai kisi ashiq ke marne ka nahin taras magar yaan ki musalmani yahi hai birah ka jaan kandan hai nipat sakht shitab aa mushkil asani yahi hai piro tar-e-palak men dana-e-ashk ki tasbih-e-sulaimani yahi hai mujhe zalim ne giryan dekh bola ki is aalam men tufani yahi hai zamin par yaar ka naqsh-e-kaf-e-pa hamara khatt-e-peshani yahi hai vo zulf-e-pur-shikan lagti nahin haat mujhe saari pareshani yahi hai na phirna jaan dena us gali men dil-e-be-jan ki baani yahi hai kiya raushan charaghh-e-dil kuun mere 'siraj' ab fazl-e-rahmani yahi hai fida kar jaan agar jaani yahi hai are dil waqt-e-be-jaani yahi hai yahi qabr-e-zulekha sin hai aawaz agar hai yusuf-e-sani yahi hai nahin bujhti hai pyas aansu sin lekin karen kya ab to yan pani yahi hai kisi aashiq ke marne ka nahin taras magar yan ki musalmani yahi hai birah ka jaan kandan hai nipat sakht shitab aa mushkil aasani yahi hai piro tar-e-palak mein dana-e-ashk ki tasbih-e-sulaimani yahi hai mujhe zalim ne giryan dekh bola ki is aalam mein tufani yahi hai zamin par yar ka naqsh-e-kaf-e-pa hamara khatt-e-peshani yahi hai wo zulf-e-pur-shikan lagti nahin hat mujhe sari pareshani yahi hai na phirna jaan dena us gali mein dil-e-be-jaan ki bani yahi hai kiya raushan charagh-e-dil kun mere 'siraj' ab fazl-e-rahmani yahi hai

GhazalRead Full

sanam hazar hua to wahi sanam ka sanam

sanam hazar hua to vahi sanam ka sanam ki asl hasti-e-nabud hai adam ka adam isi jahan men goya mujhe bahisht mili agar rakhoge mire par yahi karam ka karam abhi to tum ne kiye the hamari jan-bakhshi phir ek dam men vahi nimcha alam ka alam vo gul-badan ka ajab hai mizaj-e-ranga-rang fajar kuun lutf to phir shaam kuun sitam ka sitam na rakh 'siraj' kisi khub-ru sen chashm-e-vafa sanam hazar hua to vahi sanam ka sanam sanam hazar hua to wahi sanam ka sanam ki asl hasti-e-nabud hai adam ka adam isi jahan mein goya mujhe bahisht mili agar rakhoge mere par yahi karam ka karam abhi to tum ne kiye the hamari jaan-bakhshi phir ek dam mein wahi nimcha alam ka alam wo gul-badan ka ajab hai mizaj-e-ranga-rang fajar kun lutf to phir sham kun sitam ka sitam na rakh 'siraj' kisi khub-ru sen chashm-e-wafa sanam hazar hua to wahi sanam ka sanam

GhazalRead Full

justuju karte hi karte kho gaya

justuju karte hi karte kho gaya un ko jab paaya to khud gum ho gaya kya khabar yaran-e-rafta ki mile phir na aaya us gali men jo gaya jab uthaya us ne apni bazm se bakht jaage paanv mera so gaya mujh ko hai khoe hue dil ki talash aur vo kahte hain ki jaane do gaya khair hai kyuun is qadar betab hain hazrat-e-dil aap ko kya ho gaya vo miri balin pe aa kar phir gae jaag kar mera muqaddar so gaya aaj phir 'bedam' ki halat ghhair hai mai-kasho lena zara dekho gaya justuju karte hi karte kho gaya un ko jab paya to khud gum ho gaya kya khabar yaran-e-rafta ki mile phir na aaya us gali mein jo gaya jab uthaya us ne apni bazm se bakht jage panw mera so gaya mujh ko hai khoe hue dil ki talash aur wo kahte hain ki jaane do gaya khair hai kyun is qadar betab hain hazrat-e-dil aap ko kya ho gaya wo meri baalin pe aa kar phir gae jag kar mera muqaddar so gaya aaj phir 'bedam' ki haalat ghair hai mai-kasho lena zara dekho gaya

GhazalRead Full

mein ghash mein hun mujhe itna nahin hosh

men ghhash men huun mujhe itna nahin hosh tasavvur hai tira ya tu ham-aghhosh jo nalon ki kabhi vahshat ne thani pukara zabt bas khamosh khamosh kise ho imtiyaz-e-jalva-e-yar hamen to aap hi apna nahin hosh utha rakkha hai ik tufan tu ne are qatre tira allah-re josh main aisi yaad ke qurban jaun kiya jis ne do-alam ko faramosh hai beganon se khali khalvat-e-raz chale jaaen na ab aaen mire hosh karo rindo gunah-e-mai-parasti ki saaqi hai ata-pash o khata-posh tire jalve ko muusa dekhte kya naqab uthne se pahle ud gae hosh karam bhi us ka mujh par hai sitam bhi ki pahlu men hai zalim aur ru-posh piyo to khum ke khum pi jaao 'bedam' are mai-nosh ho tum ya bala-nosh mein ghash mein hun mujhe itna nahin hosh tasawwur hai tera ya tu ham-aghosh jo nalon ki kabhi wahshat ne thani pukara zabt bas khamosh khamosh kise ho imtiyaz-e-jalwa-e-yar hamein to aap hi apna nahin hosh utha rakkha hai ek tufan tu ne are qatre tera allah-re josh main aisi yaad ke qurban jaun kiya jis ne do-alam ko faramosh hai beganon se khali khalwat-e-raaz chale jaen na ab aaen mere hosh karo rindo gunah-e-mai-parasti ki saqi hai ata-pash o khata-posh tere jalwe ko musa dekhte kya naqab uthne se pahle ud gae hosh karam bhi us ka mujh par hai sitam bhi ki pahlu mein hai zalim aur ru-posh piyo to khum ke khum pi jao 'bedam' are mai-nosh ho tum ya bala-nosh

GhazalRead Full

bhul kar tu sare gham apne chaman mein raqs kar

bhuul kar tu saare ghham apne chaman men raqs kar jaag ai darvesh-e-jan mere badan men raqs kar daal kar chadar vafa ki tu mazar-e-ishq par dar-e-mansuri pe aa is pairahan men raqs kar tu gareban-chak jo nikla hai ghham ki bhiid men ja chala ja chhod sab tu us ke man men raqs kar bargah-e-husn men jhuk kar salami pesh kar bandh kar ghungru gulon ke bankpan men raqs kar kis liye jalne nahin deti charaghhon ko mire ai hava tu ja kahin koh-o-daman men raqs kar ye rumuz-e-maarifat tujh par ayaan honge tabhi pi tariqat ka subu aur is agan men raqs kar bhul kar tu sare gham apne chaman mein raqs kar jag ai darwesh-e-jaan mere badan mein raqs kar dal kar chadar wafa ki tu mazar-e-ishq par dar-e-mansuri pe aa is pairahan mein raqs kar tu gareban-chaak jo nikla hai gham ki bhid mein ja chala ja chhod sab tu us ke man mein raqs kar bargah-e-husn mein jhuk kar salami pesh kar bandh kar ghungru gulon ke bankpan mein raqs kar kis liye jalne nahin deti charaghon ko mere ai hawa tu ja kahin koh-o-daman mein raqs kar ye rumuz-e-marifat tujh par ayan honge tabhi pi tariqat ka subu aur is agan mein raqs kar

GhazalRead Full

kyun aa gae hain bazm-e-zuhur-o-numud mein

kyuun aa gae hain bazm-e-zuhur-o-numud men azad mard ho ke rahe ham quyud men salik hai kyuun takhayyul-e-tark-e-vajud men naqsh-e-suvar ka rang hai tere shuhud men jo aa gae tajalli-e-tanzih-e-zat men mahdud kis tariq se honge hudud men raz-e-darun-e-parda ze-rindan-e-mast purs salik hai kyuun hijab-e-shuhud-o-vajud men arini o lan-tarani ka sab raaz khul gaya kya nashsha-e-ghharib hai sharb-ul-yahud men ai gul jahan men jin ko tira ishq ho gaya vo khaar se khatakte hain chashm-e-husud men mashhur-e-khalq jo hai vo maqbul-e-haq nahin kyuun ahmaqon ko naaz hua hai numud men taaat nahin hai vo ki jo ho be-huzur-e-qalb ai shaikh kya dhara hai ruku-o-sujud men hai bul-ajab ye zamzama-e-saut-e-sarmadi kis tarah aae maariz-e-guft-o-shunud men suufi ye sahv mahv hue sadd-e-bab-e-uns kya imbisat kar-gah-e-hast-o-bud men tar-e-nafas se hai tan-e-khaki basa hua hai ankabut lipti hui tar-o-pud men suufi yahi hai nur-e-savad-e-hijab-e-qalb zulmat hui jo sina-e-sozan ke duud men faiz-e-nigah-e-rahbar-e-kamil ka hai asar 'saqi' hai mahv taat-e-rabb-e-vadud men kyun aa gae hain bazm-e-zuhur-o-numud mein aazad mard ho ke rahe hum quyud mein salik hai kyun takhayyul-e-tark-e-wajud mein naqsh-e-suwar ka rang hai tere shuhud mein jo aa gae tajalli-e-tanzih-e-zat mein mahdud kis tariq se honge hudud mein raaz-e-darun-e-parda ze-rindan-e-mast purs salik hai kyun hijab-e-shuhud-o-wajud mein arini o lan-tarani ka sab raaz khul gaya kya nashsha-e-gharib hai sharb-ul-yahud mein ai gul jahan mein jin ko tera ishq ho gaya wo khar se khatakte hain chashm-e-husud mein mashhur-e-khalq jo hai wo maqbul-e-haq nahin kyun ahmaqon ko naz hua hai numud mein taat nahin hai wo ki jo ho be-huzur-e-qalb ai shaikh kya dhara hai ruku-o-sujud mein hai bul-ajab ye zamzama-e-saut-e-sarmadi kis tarah aae mariz-e-guft-o-shunud mein sufi ye sahw mahw hue sadd-e-bab-e-uns kya imbisat kar-gah-e-hast-o-bud mein tar-e-nafas se hai tan-e-khaki basa hua hai ankabut lipti hui tar-o-pud mein sufi yahi hai nur-e-sawad-e-hijab-e-qalb zulmat hui jo sina-e-sozan ke dud mein faiz-e-nigah-e-rahbar-e-kaamil ka hai asar 'saqi' hai mahw taat-e-rabb-e-wadud mein

GhazalRead Full

ye ek shan-e-khuda hai main nahin hun

ye ik shan-e-khuda hai main nahin huun vahi jalva-numa hai main nahin huun zamana pahle mujh ko dhundta hai magar tera pata hai main nahin huun tire hote miri hasti ka kya zikr yahi kahna baja hai main nahin huun sada-e-nahno-aqrab kah rahi hai ki tu mujh se juda hai main nahin huun vo khud tashrif-farma-e-jahan hain tumhen dhoka hua hai main nahin huun kahan main aur kahan khabt-e-anal-haq koi mere siva hai main nahin huun mujhe 'azad' duniya kyuun na puuje kisi ka naqsh-e-pa hai main nahin huun ye ek shan-e-khuda hai main nahin hun wahi jalwa-numa hai main nahin hun zamana pahle mujh ko dhundta hai magar tera pata hai main nahin hun tere hote meri hasti ka kya zikr yahi kahna baja hai main nahin hun sada-e-nahno-aqrab kah rahi hai ki tu mujh se juda hai main nahin hun wo khud tashrif-farma-e-jahan hain tumhein dhoka hua hai main nahin hun kahan main aur kahan khabt-e-anal-haq koi mere siwa hai main nahin hun mujhe 'azad' duniya kyun na puje kisi ka naqsh-e-pa hai main nahin hun

GhazalRead Full

yun gulshan-e-hasti ki mali ne bina dali

yuun gulshan-e-hasti ki maali ne bina daali phulon se juda kaliyan kaliyon se juda daali sar rakh ke hatheli par aur lakht-e-jigar chun kar sarkar men laae hain arbab-e-vafa daali ruuya kahun main is ko ya muzhda-e-bedari ghhul hai ki naqab us ne chehre se utha daali allah-re tasavvur ki naqqashi o nairangi jab ban gai ik surat ik shakl mita daali saaqi ne sitam dhaya barsat men tarsaya jab fasl-e-bahar aai dukan utha daali khun-e-dil-e-ashiq ke us qatre ka kya kahna duniya-e-vafa jis ne rangin bana daali 'bedam' tire girya ne tufan utha daale aur nalon ne duniya ki buniyad hila daali yun gulshan-e-hasti ki mali ne bina dali phulon se juda kaliyan kaliyon se juda dali sar rakh ke hatheli par aur lakht-e-jigar chun kar sarkar mein lae hain arbab-e-wafa dali ruya kahun main is ko ya muzhda-e-bedari ghul hai ki naqab us ne chehre se utha dali allah-re tasawwur ki naqqashi o nairangi jab ban gai ek surat ek shakl mita dali saqi ne sitam dhaya barsat mein tarsaya jab fasl-e-bahaar aai dukan utha dali khun-e-dil-e-ashiq ke us qatre ka kya kahna duniya-e-wafa jis ne rangin bana dali 'bedam' tere girya ne tufan utha dale aur nalon ne duniya ki buniyaad hila dali

GhazalRead Full

qad tera sarw-e-rawan tha mujhe malum na tha

qad tira sarv-e-ravan tha mujhe maalum na tha gulshan-e-dil men ayaan tha mujhe maalum na tha dhuup men ghham ki abas ji kuun jalaya afsos us ke saae men amaan tha mujhe maalum na tha yaar ne abru o mizhgan siin mujhe said kiya sahib-e-tir-o-kaman tha mujhe maalum na tha sab jagat dhund phira yaar na paaya lekin dil ke goshe men nihan tha mujhe maalum na tha khaak tere qadam-e-pak ki ai nur-e-nigah surma-e-dida-e-jan tha mujhe maalum na tha main samajhta tha ki us yaar ka hai nam-o-nishan yaar benam-o-nishan tha mujhe maalum na tha roza-daran-e-judai kuun kham-e-abru-e-yar mah-e-id-e-ramazan tha mujhe maalum na tha nigah-e-shokh ne dil ek karishme men liya kya bala saif-e-zaban tha mujhe maalum na tha shab-e-hijran ki na thi taab mujhe misl-e-'siraj' rukh tira nur-fishan tha mujhe maalum na tha qad tera sarw-e-rawan tha mujhe malum na tha gulshan-e-dil mein ayan tha mujhe malum na tha dhup mein gham ki abas ji kun jalaya afsos us ke sae mein aman tha mujhe malum na tha yar ne abru o mizhgan sin mujhe said kiya sahib-e-tir-o-kaman tha mujhe malum na tha sab jagat dhund phira yar na paya lekin dil ke goshe mein nihan tha mujhe malum na tha khak tere qadam-e-pak ki ai nur-e-nigah surma-e-dida-e-jaan tha mujhe malum na tha main samajhta tha ki us yar ka hai nam-o-nishan yar benam-o-nishan tha mujhe malum na tha roza-daran-e-judai kun kham-e-abru-e-yar mah-e-id-e-ramazan tha mujhe malum na tha nigah-e-shokh ne dil ek karishme mein liya kya bala saif-e-zaban tha mujhe malum na tha shab-e-hijran ki na thi tab mujhe misl-e-'siraj' rukh tera nur-fishan tha mujhe malum na tha

GhazalRead Full

kaun-o-makan mein yaro aabaad hain to hum hain

kaun-o-makan men yaaro abad hain to ham hain is arz aur sama ki buniyad hain to ham hain vahdat se ta-ba-kasrat sab se zuhur apna gar ek hain to ham hain haftad hain to ham hain sab marz-bum-e-alam hai jalva-gah apni viran hain to ham hain abad hain to ham hain aqlim-e-khair-o-shar men hai hukm apna jaari gar daad hain to ham hain be-dad hain to ham hain is gulshan-e-jahan men sab hai bahar apni gar qumri hain to ham hain shamshad hain to ham hain hain jauhar apne yaaro har rang men numayan gar teghh hain to ham hain jallad hain to ham hain hai dast-gah apni sab shai men kar-farma gar fasd hain to ham hain fassad hain to ham hain ye dargir-e-alam sab apni halaten hain gar daam hain to ham hain sayyad hain to ham hain ye raaz ham ne 'asim' 'khadim'-safi' se paaya gar rushd hain to ham hain irshad hain to ham hain kaun-o-makan mein yaro aabaad hain to hum hain is arz aur sama ki buniyaad hain to hum hain wahdat se ta-ba-kasrat sab se zuhur apna gar ek hain to hum hain haftad hain to hum hain sab marz-bum-e-alam hai jalwa-gah apni viran hain to hum hain aabaad hain to hum hain aqlim-e-khair-o-shar mein hai hukm apna jari gar dad hain to hum hain be-dad hain to hum hain is gulshan-e-jahan mein sab hai bahaar apni gar qumri hain to hum hain shamshad hain to hum hain hain jauhar apne yaro har rang mein numayan gar tegh hain to hum hain jallad hain to hum hain hai dast-gah apni sab shai mein kar-farma gar fasd hain to hum hain fassad hain to hum hain ye dargir-e-alam sab apni haalaten hain gar dam hain to hum hain sayyaad hain to hum hain ye raaz hum ne 'asim' 'khadim'-safi' se paya gar rushd hain to hum hain irshad hain to hum hain

GhazalRead Full

teri inayaton ka ajab rang dhang tha

teri inayaton ka ajab rang dhang tha tere huzur pa-e-qanaat men lang tha sahra ko raundne ki havas pa-ba-gil hai ab yuun tha kabhi ki daman-e-afaq tang tha daman ko tere thaam ke rahat badi mili ab tak main apne aap se masruf-e-jang tha hangam-e-yad dil men na aahat na dastaken shorish-kade men raat khamoshi ka rang tha tu aaya laut aaya hai guzre dinon ka nuur chehron pe apne varna to barson ka zang tha raqs-e-junun men bhi tha tariq-e-hunar ka dhab sufi-e-ba-safa tha koi ya malang tha kya asman uthate mohabbat men jab ki dil tar-e-nigah men uljhi hui ik patang tha teri inayaton ka ajab rang dhang tha tere huzur pa-e-qanaat mein lang tha sahra ko raundne ki hawas pa-ba-gil hai ab yun tha kabhi ki daman-e-afaq tang tha daman ko tere tham ke rahat badi mili ab tak main apne aap se masruf-e-jang tha hangam-e-yaad dil mein na aahat na dastaken shorish-kade mein raat khamoshi ka rang tha tu aaya laut aaya hai guzre dinon ka nur chehron pe apne warna to barson ka zang tha raqs-e-junun mein bhi tha tariq-e-hunar ka dhab sufi-e-ba-safa tha koi ya malang tha kya aasman uthate mohabbat mein jab ki dil tar-e-nigah mein uljhi hui ek patang tha

GhazalRead Full

apna jamal mujh kun dikhaya rasul aaj

apna jamal mujh kuun dikhaya rasul aaj aajiz ki iltimas kuun karna qubul aaj ai mehrban tabib shitabi ilaaj kar tere birah ke dard siin hai dil men suul aaj marham tire visal ka lazim hai ai sanam dil men lagi hai hijr ki barchhi ki huul aaj gul-ru baghhair khana-e-bulbul kharab hai murjha raha hai sehn-e-gulistan men phuul aaj be-fikr huun azab-e-qayamat siin ai 'siraj' din-e-mohammadi kuun kya huun qubul aaj apna jamal mujh kun dikhaya rasul aaj aajiz ki iltimas kun karna qubul aaj ai mehrban tabib shitabi ilaj kar tere birah ke dard sin hai dil mein sul aaj marham tere visal ka lazim hai ai sanam dil mein lagi hai hijr ki barchhi ki hul aaj gul-ru baghair khana-e-bulbul kharab hai murjha raha hai sehn-e-gulistan mein phul aaj be-fikr hun azab-e-qayamat sin ai 'siraj' din-e-mohammadi kun kya hun qubul aaj

GhazalRead Full

apna pata mujhe bata bahr-e-khuda tu kaun hai

apna pata mujhe bata bahr-e-khuda tu kaun hai tujh pe hain saare mubtala bahr-e-khuda tu kaun hai nam-e-khuda suna kiya tere siva nahin mila saari sifat se hai bhara bahr-e-khuda tu kaun hai tera hasad to naam tha ho gaya banda kis tarah teri hi zaat hai baqa bahr-e-khuda tu kaun hai tere se hast kul hui thi tu adam men be-nishan haadi muzil hai barmala bahr-e-khuda tu kaun hai malik-e-do-jahan hai tu chahe jise ata kare kar de gada ko badsha bahr-e-khuda tu kaun hai tere karam se ai shaha main ne khuda-numa hua tha tu fana baqa mila bahr-e-khuda tu kaun hai 'markaz'-e-jumla-kaenat mazhar-e-zat-e-kibriya tere siva nahin hua bahr-e-khuda tu kaun hai apna pata mujhe bata bahr-e-khuda tu kaun hai tujh pe hain sare mubtala bahr-e-khuda tu kaun hai nam-e-khuda suna kiya tere siwa nahin mila sari sifat se hai bhara bahr-e-khuda tu kaun hai tera hasad to nam tha ho gaya banda kis tarah teri hi zat hai baqa bahr-e-khuda tu kaun hai tere se hast kul hui thi tu adam mein be-nishan hadi muzil hai barmala bahr-e-khuda tu kaun hai malik-e-do-jahan hai tu chahe jise ata kare kar de gada ko baadsha bahr-e-khuda tu kaun hai tere karam se ai shaha main ne khuda-numa hua tha tu fana baqa mila bahr-e-khuda tu kaun hai 'markaz'-e-jumla-kaenat mazhar-e-zat-e-kibriya tere siwa nahin hua bahr-e-khuda tu kaun hai

Explore Similar Collections

Tasawwuf FAQs

Tasawwuf collection me kya milega?

Tasawwuf se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.

Kya is page ki links internal hain?

Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.

Collection ko kaise explore karein?

Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.