teri surat se kisi ki nahin milti surat hum jahan mein teri taswir liye phirte hain
Poetry Collection
Tasweer
Apart from live images, pictures too are a subject of poetry. Pictures represent images but these images are static and do not act or speak. Even in silence they are preserved just for the love of it as they evoke memories and are held close to heart as a precious gift captured in a moment of the past.
Total
51
Sher
50
Ghazal
1
Nazm
0
Featured Picks
Is collection se writer-diverse top picks for quick reading.
teri surat se kisi ki nahin milti surat hum jahan mein teri taswir liye phirte hain
aap ne taswir bheji main ne dekhi ghaur se har ada achchhi khamoshi ki ada achchhi nahin
dil ke aaine mein hai taswir-e-yar jab zara gardan jhukai dekh li
apne jaisi koi taswir banani thi mujhe mere andar se sabhi rang tumhaare nikle
zindagi bhar ke liye ruth ke jaane wale main abhi tak teri taswir liye baitha hun
chup-chap sunti rahti hai pahron shab-e-firaq taswir-e-yar ko hai meri guftugu pasand the speaker is alone in the night of separation, talking to a mere image as if it were alive. the “night” becomes a patient listener, and the portrait becomes a substitute beloved that receives his words. the couplet captures loneliness and longing, where memory turns an inanimate picture into a companion. it also hints at self-deception: only the image “responds” by seeming to approve.
rang khushbu aur mausam ka bahana ho gaya apni hi taswir mein chehra purana ho gaya
ek kami thi taj-mahal mein main ne teri taswir laga di
mujh ko aksar udas karti hai ek taswir muskuraati hui
jo chup-chap rahti thi diwar par wo taswir baaten banane lagi
ek bar tujhe aql ne chaha tha bhulana sau bar junun ne teri taswir dikha di इस शे’र में इश्क़ की घटना को अक़्ल और जुनूँ के पैमानों में तौलने का पहलू बहुत दिलचस्प है। इश्क़ के मामले में अक़्ल और उन्माद का द्वंद शाश्वत है। जहाँ अक़्ल इश्क़ को मानव जीवन के लिए हानि का एक कारण मानती है वहीं उन्माद इश्क़ को मानव जीवन का सार मानती है।और अगर इश्क़ में उन्माद पर अक़्ल हावी हो गया तो इश्क़ इश्क़ नहीं रहता क्योंकि इश्क़ की पहली शर्त जुनून है। और जुनून का ठिकाना दिल है। इसलिए अगर आशिक़ दिल के बजाय अक़्ल की सुने तो वो अपने उद्देश्य में कभी कामयाब नहीं होगा। शायर कहना चाहता है कि मैं अपने महबूब के इश्क़ में इस क़दर मजनूं हो गया हूँ कि उसे भुलाने के लिए अक़्ल ने एक बार ठान ली थी मगर मेरे इश्क़ के जुनून ने मुझे सौ बार अपने महबूब की तस्वीर दिखा दी। “तस्वीर दिखा” भी ख़ूब है। क्योंकि उन्माद की स्थिति में इंसान एक ऐसी स्थिति से दो-चार होजाता है जब उसकी आँखों के सामने कुछ ऐसी चीज़ें दिखाई देती हैं जो यद्यपि वहाँ मौजूद नहीं होती हैं मगर इस तरह के जुनून में मुब्तला इंसान उन्हें हक़ीक़त समझता है। शे’र अपनी स्थिति की दृष्टि से बहुत दिलचस्प है। shafaq sopori
apni taswir banaoge to hoga ehsas kitna dushwar hai khud ko koi chehra dena
main ne to yunhi rakh mein pheri thin ungliyan dekha jo ghaur se teri taswir ban gai
bhej di taswir apni un ko ye likh kar 'shakil' aap ki marzi hai chahe jis nazar se dekhiye
dilli ke na the kuche auraq-e-musawwar the jo shakl nazar aai taswir nazar aai meer taqi meer portrays delhi as so altered and ghostly that it no longer feels like a living city. the lanes seem like drawn, lifeless “illustrated pages,” and every sight turns into a mere image. the metaphor suggests devastation and emotional numbness: reality has been reduced to a static scene. it is grief and nostalgia seeing the world as art because life has drained from it.
kuchh to is dil ko saza di jae us ki taswir hata di jae
main ne bhi dekhne ki had kar di wo bhi taswir se nikal aaya
lagta hai kai raaton ka jaga tha musawwir taswir ki aankhon se thakan jhank rahi hai
jis se ye tabiat badi mushkil se lagi thi dekha to wo taswir har ek dil se lagi thi
muddaton baad uthae the purane kaghaz sath tere meri taswir nikal aai hai
rafta rafta sab taswiren dhundli hone lagti hain kitne chehre ek purane album mein mar jate hain
rang darkar the hum ko teri khamoshi ke ek aawaz ki taswir banani thi hamein
sochta hun teri taswir dikha dun us ko raushni ne kabhi saya nahin dekha apna
ek mohabbat ki ye taswir hai do rangon mein shauq sab mera hai aur sari haya us ki hai
mujhe ye zoam ki main husn ka musawwir hun unhen ye naz ki taswir to hamari hai
main lakh ise taza rakhun dil ke lahu se lekin teri taswir khayali hi rahegi
khamushi teri meri jaan liye leti hai apni taswir se bahar tujhe aana hoga
koi taswir mukammal nahin hone pati dhup dete hain to saya nahin rahne dete
chahiye us ka tasawwur hi se naqsha khinchna dekh kar taswir ko taswir phir khinchi to kya the couplet values true creativity: real art should arise from inner imagination, not mere copying. ‘tasavvur’ (mental vision) is presented as the authentic source of a new image. reproducing an image by looking at an existing one becomes imitation, lacking freshness and personal feeling. the emotional core is a demand for originality in love and in art alike.
aa ki main dekh lun khoya hua chehra apna mujh se chhup kar meri taswir banane wale
Explore Similar Collections
Tasweer FAQs
Tasweer collection me kya milega?
Tasweer se related curated sher, selected ghazal excerpts aur context-friendly reading flow milega.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.