agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara
agar ye kah do baghhair mere nahin guzara to main tumhara
ya us pe mabni koi ta'assur koi ishara to main tumhara
ghhurur-parvar ana ka malik kuchh is tarah ke hain naam mere
magar qasam se jo tum ne ik naam bhi pukara to main tumhara
tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaun baazi
agar main jiita to tum ho mere agar main haara to main tumhara
tumhara ashiq tumhara mukhlis tumhara sathi tumhara apna
raha na in men se koi duniya men jab tumhara to main tumhara
tumhara hone ke faisle ko main apni qismat pe chhodta huun
agar muqaddar ka koi tuuta kabhi sitara to main tumhara
ye kis pe taaviz kar rahe ho ye kis ko paane ke hain vazife
tamam chhodo bas ek kar lo jo istikhara to main tumhara
agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara
ya us pe mabni koi ta'assur koi ishaara to main tumhaara
ghurur-parwar ana ka malik kuchh is tarah ke hain nam mere
magar qasam se jo tum ne ek nam bhi pukara to main tumhaara
tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaun bazi
agar main jita to tum ho mere agar main haara to main tumhaara
tumhaara aashiq tumhaara mukhlis tumhaara sathi tumhaara apna
raha na in mein se koi duniya mein jab tumhaara to main tumhaara
tumhaara hone ke faisle ko main apni qismat pe chhodta hun
agar muqaddar ka koi tuta kabhi sitara to main tumhaara
ye kis pe tawiz kar rahe ho ye kis ko pane ke hain wazife
tamam chhodo bas ek kar lo jo istikhara to main tumhaara
niyyat-e-shauq bhar na jae kahin
niyyat-e-shauq bhar na jaae kahin
tu bhi dil se utar na jaae kahin
aaj dekha hai tujh ko der ke baad
aaj ka din guzar na jaae kahin
na mila kar udaas logon se
husn tera bikhar na jaae kahin
aarzu hai ki tu yahan aae
aur phir umr bhar na jaae kahin
ji jalata huun aur sochta huun
raegan ye hunar na jaae kahin
aao kuchh der ro hi len 'nasir'
phir ye dariya utar na jaae kahin
niyyat-e-shauq bhar na jae kahin
tu bhi dil se utar na jae kahin
aaj dekha hai tujh ko der ke baad
aaj ka din guzar na jae kahin
na mila kar udas logon se
husn tera bikhar na jae kahin
aarzu hai ki tu yahan aae
aur phir umr bhar na jae kahin
ji jalata hun aur sochta hun
raegan ye hunar na jae kahin
aao kuchh der ro hi len 'nasir'
phir ye dariya utar na jae kahin
aankh mein pani rakho honton pe chingari rakho
aankh men paani rakho honton pe chingari rakho
zinda rahna hai to tarkiben bahut saari rakho
raah ke patthar se badh kar kuchh nahin hain manzilen
raste avaz dete hain safar jaari rakho
ek hi naddi ke hain ye do kinare dosto
dostana zindagi se maut se yaari rakho
aate jaate pal ye kahte hain hamare kaan men
kuuch ka ailan hone ko hai tayyari rakho
ye zaruri hai ki ankhon ka bharam qaaem rahe
niind rakho ya na rakho khvab meyari rakho
ye havaen ud na jaaen le ke kaghhaz ka badan
dosto mujh par koi patthar zara bhari rakho
le to aae shairi bazar men 'rahat' miyan
kya zaruri hai ki lahje ko bhi bazari rakho
aankh mein pani rakho honton pe chingari rakho
zinda rahna hai to tarkiben bahut sari rakho
rah ke patthar se badh kar kuchh nahin hain manzilen
raste aawaz dete hain safar jari rakho
ek hi naddi ke hain ye do kinare dosto
dostana zindagi se maut se yari rakho
aate jate pal ye kahte hain hamare kan mein
kuch ka ailan hone ko hai tayyari rakho
ye zaruri hai ki aankhon ka bharam qaem rahe
nind rakho ya na rakho khwab meyari rakho
ye hawaen ud na jaen le ke kaghaz ka badan
dosto mujh par koi patthar zara bhaari rakho
le to aae shairi bazar mein 'rahat' miyan
kya zaruri hai ki lahje ko bhi bazari rakho
ye zulf agar khul ke bikhar jae to achchha
ye zulf agar khul ke bikhar jaae to achchha
is raat ki taqdir sanvar jaae to achchha
jis tarah se thodi si tire saath kati hai
baaqi bhi usi tarah guzar jaae to achchha
duniya ki nigahon men bhala kya hai bura kya
ye bojh agar dil se utar jaae to achchha
vaise to tumhin ne mujhe barbad kiya hai
ilzam kisi aur ke sar jaae to achchha
ye zulf agar khul ke bikhar jae to achchha
is raat ki taqdir sanwar jae to achchha
jis tarah se thodi si tere sath kati hai
baqi bhi usi tarah guzar jae to achchha
duniya ki nigahon mein bhala kya hai bura kya
ye bojh agar dil se utar jae to achchha
waise to tumhin ne mujhe barbaad kiya hai
ilzam kisi aur ke sar jae to achchha
dost ban kar bhi nahin sath nibhane wala
dost ban kar bhi nahin saath nibhane vaala
vahi andaz hai zalim ka zamane vaala
ab use log samajhte hain giraftar mira
sakht nadim hai mujhe daam men laane vaala
subh-dam chhod gaya nikhat-e-gul ki surat
raat ko ghhuncha-e-dil men simat aane vaala
kya kahen kitne marasim the hamare us se
vo jo ik shakhs hai munh pher ke jaane vaala
tere hote hue aa jaati thi saari duniya
aaj tanha huun to koi nahin aane vaala
muntazir kis ka huun tuuti hui dahliz pe main
kaun aaega yahan kaun hai aane vaala
kya khabar thi jo miri jaan men ghula hai itna
hai vahi mujh ko sar-e-dar bhi laane vaala
main ne dekha hai baharon men chaman ko jalte
hai koi khvab ki tabir batane vaala
tum takalluf ko bhi ikhlas samajhte ho 'faraz'
dost hota nahin har haath milane vaala
dost ban kar bhi nahin sath nibhane wala
wahi andaz hai zalim ka zamane wala
ab use log samajhte hain giraftar mera
sakht nadim hai mujhe dam mein lane wala
subh-dam chhod gaya nikhat-e-gul ki surat
raat ko ghuncha-e-dil mein simat aane wala
kya kahen kitne marasim the hamare us se
wo jo ek shakhs hai munh pher ke jaane wala
tere hote hue aa jati thi sari duniya
aaj tanha hun to koi nahin aane wala
muntazir kis ka hun tuti hui dahliz pe main
kaun aaega yahan kaun hai aane wala
kya khabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna
hai wahi mujh ko sar-e-dar bhi lane wala
main ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte
hai koi khwab ki tabir batane wala
tum takalluf ko bhi ikhlas samajhte ho 'faraaz'
dost hota nahin har hath milane wala
ek pal mein ek sadi ka maza humse puchhiye
ik pal men ik sadi ka maza ham se puchhiye
do din ki zindagi ka maza ham se puchhiye
bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham
qiston men khud-kushi ka maza ham se puchhiye
aghhaz-e-ashiqi ka maza aap janiye
anjam-e-ashiqi ka maza ham se puchhiye
jalte diyon men jalte gharon jaisi zau kahan
sarkar raushni ka maza ham se puchhiye
vo jaan hi gae ki hamen un se pyaar hai
ankhon ki mukhbiri ka maza ham se puchhiye
hansne ka shauq ham ko bhi tha aap ki tarah
hansiye magar hansi ka maza ham se puchhiye
ham tauba kar ke mar gae be-maut ai 'khumar'
tauhin-e-mai-kashi ka maza ham se puchhiye
ek pal mein ek sadi ka maza hum se puchhiye
do din ki zindagi ka maza hum se puchhiye
bhule hain rafta rafta unhen muddaton mein hum
qiston mein khud-kushi ka maza hum se puchhiye
aaghaz-e-ashiqi ka maza aap jaaniye
anjam-e-ashiqi ka maza hum se puchhiye
jalte diyon mein jalte gharon jaisi zau kahan
sarkar raushni ka maza hum se puchhiye
wo jaan hi gae ki hamein un se pyar hai
aankhon ki mukhbiri ka maza hum se puchhiye
hansne ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarah
hansiye magar hansi ka maza hum se puchhiye
hum tauba kar ke mar gae be-maut ai 'khumar'
tauhin-e-mai-kashi ka maza hum se puchhiye
hosh walon ko khabar kya be-khudi kya chiz hai
hosh valon ko khabar kya be-khudi kya chiiz hai
ishq kiije phir samjhiye zindagi kya chiiz hai
un se nazren kya milin raushan fazaen ho gaiin
aaj jaana pyaar ki jadugari kya chiiz hai
bikhri zulfon ne sikhai mausamon ko shairi
jhukti ankhon ne bataya mai-kashi kya chiiz hai
ham labon se kah na paae un se hal-e-dil kabhi
aur vo samjhe nahin ye khamoshi kya chiiz hai
hosh walon ko khabar kya be-khudi kya chiz hai
ishq kije phir samjhiye zindagi kya chiz hai
un se nazren kya milin raushan fazaen ho gain
aaj jaana pyar ki jadugari kya chiz hai
bikhri zulfon ne sikhai mausamon ko shairi
jhukti aankhon ne bataya mai-kashi kya chiz hai
hum labon se kah na pae un se haal-e-dil kabhi
aur wo samjhe nahin ye khamoshi kya chiz hai
sar se pa tak wo gulabon ka shajar lagta hai
sar se pa tak vo gulabon ka shajar lagta hai
ba-vazu ho ke bhi chhute hue dar lagta hai
main tire saath sitaron se guzar sakta huun
kitna asan mohabbat ka safar lagta hai
mujh men rahta hai koi dushman-e-jani mera
khud se tanhai men milte hue dar lagta hai
but bhi rakkhe hain namazen bhi ada hoti hain
dil mira dil nahin allah ka ghar lagta hai
zindagi tu ne mujhe qabr se kam di hai zamin
paanv phailaun to divar men sar lagta hai
sar se pa tak wo gulabon ka shajar lagta hai
ba-wazu ho ke bhi chhute hue dar lagta hai
main tere sath sitaron se guzar sakta hun
kitna aasan mohabbat ka safar lagta hai
mujh mein rahta hai koi dushman-e-jaani mera
khud se tanhai mein milte hue dar lagta hai
but bhi rakkhe hain namazen bhi ada hoti hain
dil mera dil nahin allah ka ghar lagta hai
zindagi tu ne mujhe qabr se kam di hai zamin
panw phailaun to diwar mein sar lagta hai
bahut pahle se un qadmon ki aahat jaan lete hain
bahut pahle se un qadmon ki aahat jaan lete hain
tujhe ai zindagi ham duur se pahchan lete hain
miri nazren bhi aise qatilon ka jaan o iman hain
nigahen milte hi jo jaan aur iman lete hain
jise kahti hai duniya kamyabi vaae na-dani
use kin qimaton par kamyab insan lete hain
nigah-e-bada-gun yuun to tiri baton ka kya kahna
tiri har baat lekin ehtiyatan chhan lete hain
tabiat apni ghabrati hai jab sunsan raton men
ham aise men tiri yadon ki chadar taan lete hain
khud apna faisla bhi ishq men kaafi nahin hota
use bhi kaise kar guzren jo dil men thaan lete hain
hayat-e-ishq ka ik ik nafas jam-e-shahadat hai
vo jan-e-naz-bardaran koi asan lete hain
ham-ahangi men bhi ik chashni hai ikhtilafon ki
miri baten ba-unvan-e-digar vo maan lete hain
tiri maqbuliyat ki vajh vahid teri ramziyyat
ki us ko mante hi kab hain jis ko jaan lete hain
ab is ko kufr manen ya bulandi-e-nazar janen
khuda-e-do-jahan ko de ke ham insan lete hain
jise surat batate hain pata deti hai sirat ka
ibarat dekh kar jis tarah maani jaan lete hain
tujhe ghata na hone denge karobar-e-ulfat men
ham apne sar tira ai dost har ehsan lete hain
hamari har nazar tujh se nai saugandh khati hai
to teri har nazar se ham naya paiman lete hain
rafiq-e-zindagi thi ab anis-e-vaqt-e-akhir hai
tira ai maut ham ye dusra ehsan lete hain
zamana vardat-e-qalb sunne ko tarasta hai
isi se to sar ankhon par mira divan lete hain
'firaq' aksar badal kar bhes milta hai koi kafir
kabhi ham jaan lete hain kabhi pahchan lete hain
bahut pahle se un qadmon ki aahat jaan lete hain
tujhe ai zindagi hum dur se pahchan lete hain
meri nazren bhi aise qatilon ka jaan o iman hain
nigahen milte hi jo jaan aur iman lete hain
jise kahti hai duniya kaamyabi wae na-dani
use kin qimaton par kaamyab insan lete hain
nigah-e-baada-gun yun to teri baaton ka kya kahna
teri har baat lekin ehtiyatan chhan lete hain
tabiat apni ghabraati hai jab sunsan raaton mein
hum aise mein teri yaadon ki chadar tan lete hain
khud apna faisla bhi ishq mein kafi nahin hota
use bhi kaise kar guzren jo dil mein than lete hain
hayat-e-ishq ka ek ek nafas jam-e-shahadat hai
wo jaan-e-naz-bardaran koi aasan lete hain
ham-ahangi mein bhi ek chashni hai ikhtilafon ki
meri baaten ba-unwan-e-digar wo man lete hain
teri maqbuliyat ki wajh wahid teri ramziyyat
ki us ko mante hi kab hain jis ko jaan lete hain
ab is ko kufr manen ya bulandi-e-nazar jaanen
khuda-e-do-jahan ko de ke hum insan lete hain
jise surat batate hain pata deti hai sirat ka
ibarat dekh kar jis tarah mani jaan lete hain
tujhe ghata na hone denge karobar-e-ulfat mein
hum apne sar tera ai dost har ehsan lete hain
hamari har nazar tujh se nai saugandh khati hai
to teri har nazar se hum naya paiman lete hain
rafiq-e-zindagi thi ab anis-e-waqt-e-akhir hai
tera ai maut hum ye dusra ehsan lete hain
zamana wardat-e-qalb sunne ko tarasta hai
isi se to sar aankhon par mera diwan lete hain
'firaq' aksar badal kar bhes milta hai koi kafir
kabhi hum jaan lete hain kabhi pahchan lete hain
zindagi kya hai ek kahani hai
zindagi kya hai ik kahani hai
ye kahani nahin sunani hai
hai khuda bhi ajiib yaani jo
na zamini na asmani hai
hai mire shauq-e-vasl ko ye gila
us ka pahlu sara-e-fani hai
apni tamir-e-jan-o-dil ke liye
apni buniyad ham ko dhani hai
ye hai lamhon ka ek shahr-e-azal
yaan ki har baat na-gahani hai
chaliye ai jan-e-sham aaj tumhen
shama ik qabr par jalani hai
rang ki apni baat hai varna
akhirash khuun bhi to paani hai
ik abas ka vajud hai jis se
zindagi ko murad paani hai
shaam hai aur sahn men dil ke
ik ajab huzn-e-asmani hai
zindagi kya hai ek kahani hai
ye kahani nahin sunani hai
hai khuda bhi ajib yani jo
na zamini na aasmani hai
hai mere shauq-e-wasl ko ye gila
us ka pahlu sara-e-fani hai
apni tamir-e-jaan-o-dil ke liye
apni buniyaad hum ko dhani hai
ye hai lamhon ka ek shahr-e-azal
yan ki har baat na-gahani hai
chaliye ai jaan-e-sham aaj tumhein
shama ek qabr par jalani hai
rang ki apni baat hai warna
aakhirash khun bhi to pani hai
ek abas ka wajud hai jis se
zindagi ko murad pani hai
sham hai aur sahn mein dil ke
ek ajab huzn-e-asmani hai
rasta bhi kathin dhup mein shiddat bhi bahut thi
rasta bhi kathin dhuup men shiddat bhi bahut thi
saae se magar us ko mohabbat bhi bahut thi
kheme na koi mere musafir ke jalae
zakhmi tha bahut paanv masafat bhi bahut thi
sab dost mire muntazir-e-parda-e-shab the
din men to safar karne men diqqat bhi bahut thi
barish ki duaon men nami aankh ki mil jaae
jazbe ki kabhi itni rifaqat bhi bahut thi
kuchh to tire mausam hi mujhe raas kam aae
aur kuchh miri mitti men baghhavat bhi bahut thi
phulon ka bikharna to muqaddar hi tha lekin
kuchh is men havaon ki siyasat bhi bahut thi
vo bhi sar-e-maqtal hai ki sach jis ka tha shahid
aur vaqif-e-ahval-e-adalat bhi bahut thi
is tark-e-rifaqat pe pareshan to huun lekin
ab tak ke tire saath pe hairat bhi bahut thi
khush aae tujhe shahr-e-munafiq ki amiri
ham logon ko sach kahne ki aadat bhi bahut thi
rasta bhi kathin dhup mein shiddat bhi bahut thi
sae se magar us ko mohabbat bhi bahut thi
kheme na koi mere musafir ke jalae
zakhmi tha bahut panw masafat bhi bahut thi
sab dost mere muntazir-e-parda-e-shab the
din mein to safar karne mein diqqat bhi bahut thi
barish ki duaon mein nami aankh ki mil jae
jazbe ki kabhi itni rifaqat bhi bahut thi
kuchh to tere mausam hi mujhe ras kam aae
aur kuchh meri mitti mein baghawat bhi bahut thi
phulon ka bikharna to muqaddar hi tha lekin
kuchh is mein hawaon ki siyasat bhi bahut thi
wo bhi sar-e-maqtal hai ki sach jis ka tha shahid
aur waqif-e-ahwal-e-adalat bhi bahut thi
is tark-e-rifaqat pe pareshan to hun lekin
ab tak ke tere sath pe hairat bhi bahut thi
khush aae tujhe shahr-e-munafiq ki amiri
hum logon ko sach kahne ki aadat bhi bahut thi
tanha tanha dukh jhelenge mahfil mahfil gaenge
tanha tanha dukh jhelenge mahfil mahfil gaenge
jab tak aansu paas rahenge tab tak giit sunaenge
tum jo socho vo tum jaano ham to apni kahte hain
der na karna ghar aane men varna ghar kho jaenge
bachchon ke chhote hathon ko chand sitare chhune do
chaar kitaben padh kar ye bhi ham jaise ho jaenge
achchhi surat vaale saare patthar-dil hon mumkin hai
ham to us din raae denge jis din dhoka khaenge
kin rahon se safar hai asan kaun sa rasta mushkil hai
ham bhi jab thak kar baithenge auron ko samjhaenge
tanha tanha dukh jhelenge mahfil mahfil gaenge
jab tak aansu pas rahenge tab tak git sunaenge
tum jo socho wo tum jaano hum to apni kahte hain
der na karna ghar aane mein warna ghar kho jaenge
bachchon ke chhote hathon ko chand sitare chhune do
chaar kitaben padh kar ye bhi hum jaise ho jaenge
achchhi surat wale sare patthar-dil hon mumkin hai
hum to us din rae denge jis din dhoka khaenge
kin rahon se safar hai aasan kaun sa rasta mushkil hai
hum bhi jab thak kar baithenge auron ko samjhaenge
zindagi dard ki kahani hai
zindagi dard ki kahani hai
chashm-e-anjum men bhi to paani hai
be-niyazana sun liya ghham-e-dil
mehrbani hai mehrbani hai
vo bhala meri baat kya maane
us ne apni bhi baat maani hai
shola-e-dil hai ye ki shoala-saz
ya tira shola-e-javani hai
vo kabhi rang vo kabhi khushbu
gaah gul gaah rat-rani hai
ban ke maasum sab ko taad gai
aankh us ki badi siyani hai
ap-biti kaho ki jag-biti
har kahani miri kahani hai
donon aalam hain jis ke zer-e-nagin
dil usi ghham ki rajdhani hai
ham to khush hain tiri jafa par bhi
be-sabab teri sargirani hai
sar-ba-sar ye faraz-e-mahr-o-qamar
teri uthti hui javani hai
aaj bhi sun rahe hain qissa-e-ishq
go kahani bahut purani hai
zabt kiije to dil hai angara
aur agar roiye to paani hai
hai thikana ye dar hi us ka bhi
dil bhi tera hi astani hai
un se aise men jo na ho jaae
nau-javani hai nau-javani hai
dil mira aur ye ghham-e-duniya
kya tire ghham ki pasbani hai
gardish-e-chashm-e-saqi-e-dauran
daur-e-aflak ki bhi paani hai
ai lab-e-naz kya hain vo asrar
khamushi jin ki tarjumani hai
mai-kadon ke bhi hosh udne lage
kya tiri aankh ki javani hai
khud-kushi par hai aaj amada
are duniya badi divani hai
koi izhar-e-na-khushi bhi nahin
bad-gumani si bad-gumani hai
mujh se kahta tha kal farishta-e-ishq
zindagi hijr ki kahani hai
bahr-e-hasti bhi jis men kho jaae
buund men bhi vo be-karani hai
mil gae khaak men tire ushshaq
ye bhi ik amr-e-asmani hai
zindagi intizar hai tera
ham ne ik baat aaj jaani hai
kyuun na ho ghham se hi qimash us ka
husn tasvir-e-shadmani hai
suuni duniya men ab to main huun aur
matam-e-ishq-e-an-jahani hai
kuchh na puchho 'firaq' ahd-e-shabab
raat hai niind hai kahani hai
zindagi dard ki kahani hai
chashm-e-anjum mein bhi to pani hai
be-niyazana sun liya gham-e-dil
mehrbani hai mehrbani hai
wo bhala meri baat kya mane
us ne apni bhi baat mani hai
shola-e-dil hai ye ki shoala-saz
ya tera shola-e-jawani hai
wo kabhi rang wo kabhi khushbu
gah gul gah raat-rani hai
ban ke masum sab ko tad gai
aankh us ki badi siyani hai
aap-biti kaho ki jag-biti
har kahani meri kahani hai
donon aalam hain jis ke zer-e-nagin
dil usi gham ki rajdhani hai
hum to khush hain teri jafa par bhi
be-sabab teri sargirani hai
sar-ba-sar ye faraaz-e-mahr-o-qamar
teri uthti hui jawani hai
aaj bhi sun rahe hain qissa-e-ishq
go kahani bahut purani hai
zabt kije to dil hai angara
aur agar roiye to pani hai
hai thikana ye dar hi us ka bhi
dil bhi tera hi aastani hai
un se aise mein jo na ho jae
nau-jawani hai nau-jawani hai
dil mera aur ye gham-e-duniya
kya tere gham ki pasbani hai
gardish-e-chashm-e-saqi-e-dauran
daur-e-aflak ki bhi pani hai
ai lab-e-naz kya hain wo asrar
khamushi jin ki tarjumani hai
mai-kadon ke bhi hosh udne lage
kya teri aankh ki jawani hai
khud-kushi par hai aaj aamada
are duniya badi diwani hai
koi izhaar-e-na-khushi bhi nahin
bad-gumani si bad-gumani hai
mujh se kahta tha kal farishta-e-ishq
zindagi hijr ki kahani hai
bahr-e-hasti bhi jis mein kho jae
bund mein bhi wo be-karani hai
mil gae khak mein tere ushshaq
ye bhi ek amr-e-asmani hai
zindagi intizar hai tera
hum ne ek baat aaj jaani hai
kyun na ho gham se hi qimash us ka
husn taswir-e-shadmani hai
suni duniya mein ab to main hun aur
matam-e-ishq-e-an-jahani hai
kuchh na puchho 'firaq' ahd-e-shabab
raat hai nind hai kahani hai
zindagi se ek din mausam khafa ho jaenge
zindagi se ek din mausam khafa ho jaenge
rang-e-gul aur bu-e-gul donon hava ho jaenge
aankh se aansu nikal jaenge aur tahni se phuul
vaqt badlega to sab qaidi riha ho jaenge
phuul se khushbu bichhad jaegi suraj se kiran
saal se din vaqt se lamhe juda ho jaenge
kitne pur-ummid kitne khub-surat hain ye log
kya ye sab baazu ye sab chehre fana ho jaenge
zindagi se ek din mausam khafa ho jaenge
rang-e-gul aur bu-e-gul donon hawa ho jaenge
aankh se aansu nikal jaenge aur tahni se phul
waqt badlega to sab qaidi riha ho jaenge
phul se khushbu bichhad jaegi suraj se kiran
sal se din waqt se lamhe juda ho jaenge
kitne pur-ummid kitne khub-surat hain ye log
kya ye sab bazu ye sab chehre fana ho jaenge
main kahan hun kuchh bata de zindagi ai zindagi!
main kahan huun kuchh bata de zindagi ai zindagi!
phir sada apni suna de zindagi ai zindagi!
so gae ik ek kar ke khana-e-dil ke charaghh
in charaghhon ko jaga de zindagi ai zindagi!
vo bisat-e-sher-o-naghhma ratjage vo chahchahe
phir vahi mahfil saja de zindagi ai zindagi!
jis ke har qatre se rag rag men machalta tha lahu
phir vahi ik shai pila de zindagi ai zindagi!
ab to yaad aata nahin kaisa tha apna rang-rup
phir miri surat dikha de zindagi ai zindagi!
ek muddat ho gai rutha huun apne-ap se
phir mujhe mujh se mila de zindagi ai zindagi!
jaane bargashta hai kyuun mujh se zamane ki hava
apne daman ki hava de zindagi ai zindagi!
rach gaya hai meri nas nas men miri raton ka zahr
mere suraj ko bula de zindagi ai zindagi!
main kahan hun kuchh bata de zindagi ai zindagi!
phir sada apni suna de zindagi ai zindagi!
so gae ek ek kar ke khana-e-dil ke charagh
in charaghon ko jaga de zindagi ai zindagi!
wo bisat-e-sher-o-naghma ratjage wo chahchahe
phir wahi mahfil saja de zindagi ai zindagi!
jis ke har qatre se rag rag mein machalta tha lahu
phir wahi ek shai pila de zindagi ai zindagi!
ab to yaad aata nahin kaisa tha apna rang-rup
phir meri surat dikha de zindagi ai zindagi!
ek muddat ho gai rutha hun apne-ap se
phir mujhe mujh se mila de zindagi ai zindagi!
jaane bargashta hai kyun mujh se zamane ki hawa
apne daman ki hawa de zindagi ai zindagi!
rach gaya hai meri nas nas mein meri raaton ka zahr
mere suraj ko bula de zindagi ai zindagi!
mutthi bhar logon ke hathon mein lakhon ki taqdiren hain
mutthi bhar logon ke hathon men lakhon ki taqdiren hain
juda juda hain dharm ilaqe ek si lekin zanjiren hain
aaj aur kal ki baat nahin hai sadiyon ki tarikh yahi hai
har angan men khvab hain lekin chand gharon men taabiren hain
jab bhi koi takht saja hai mera tera khuun baha hai
darbaron ki shan-o-shaukat maidanon ki shamshiren hain
har jangal ki ek kahani vo hi bhent vahi qurbani
gungi bahri saari bheden charvahon ki jagiren hain
mutthi bhar logon ke hathon mein lakhon ki taqdiren hain
juda juda hain dharm ilaqe ek si lekin zanjiren hain
aaj aur kal ki baat nahin hai sadiyon ki tarikh yahi hai
har aangan mein khwab hain lekin chand gharon mein tabiren hain
jab bhi koi takht saja hai mera tera khun baha hai
darbaron ki shan-o-shaukat maidanon ki shamshiren hain
har jangal ki ek kahani wo hi bhent wahi qurbani
gungi bahri sari bheden charwahon ki jagiren hain
har ek gham nichod ke har ek baras jiye
har ek ghham nichod ke har ik baras jiye
do din ki zindagi men hazaron baras jiye
sadiyon pe ikhtiyar nahin tha hamara dost
do chaar lamhe bas men the do chaar bas jiye
sahra ke us taraf se gae saare karvan
sun sun ke ham to sirf sada-e-jaras jiye
honton men le ke raat ke anchal ka ik sira
ankhon pe rakh ke chand ke honton ka mas jiye
mahdud hain duaen mire ikhtiyar men
har saans pur-sukun ho tu sau baras jiye
har ek gham nichod ke har ek baras jiye
do din ki zindagi mein hazaron baras jiye
sadiyon pe ikhtiyar nahin tha hamara dost
do chaar lamhe bas mein the do chaar bas jiye
sahra ke us taraf se gae sare karwan
sun sun ke hum to sirf sada-e-jaras jiye
honton mein le ke raat ke aanchal ka ek sira
aankhon pe rakh ke chand ke honton ka mas jiye
mahdud hain duaen mere ikhtiyar mein
har sans pur-sukun ho tu sau baras jiye
thi abhi subh abhi sham hui jati hai
thi abhi subh abhi shaam hui jaati hai
zindagi gardish-e-ayyam hui jaati hai
zindagi mohlat-e-taufiq-e-khum-ashami thi
zindagi fursat-e-yak-jam hui jaati hai
zindagi tair-e-sahra thi ba-shauq-e-parvaz
zindagi said-e-tah-e-dam hui jaati hai
zindagi daal rahi thi jo sitaron pe kamand
ab tamasha-e-lab-e-bam hui jaati hai
zindagi ye hai ki ba-in-hama-sauda-e-safar
zindagi hasrat-e-yak-gam hui jaati hai
zindagi ye hai ki jis ret pe jalte the qadam
ab vahi bistar-e-aram hui jaati hai
zindagi ye hai ki soya tha musafir thak kar
so ke uttha hai to ab shaam hui jaati hai
'mazhari' fan ka taqaza hai ki likhiye kuchh aur
ye ghhazal koshish-e-nakam hui jaati hai
thi abhi subh abhi sham hui jati hai
zindagi gardish-e-ayyam hui jati hai
zindagi mohlat-e-taufiq-e-khum-ashami thi
zindagi fursat-e-yak-jam hui jati hai
zindagi tair-e-sahra thi ba-shauq-e-parwaz
zindagi said-e-tah-e-dam hui jati hai
zindagi dal rahi thi jo sitaron pe kamand
ab tamasha-e-lab-e-baam hui jati hai
zindagi ye hai ki ba-in-hama-sauda-e-safar
zindagi hasrat-e-yak-gam hui jati hai
zindagi ye hai ki jis ret pe jalte the qadam
ab wahi bistar-e-aram hui jati hai
zindagi ye hai ki soya tha musafir thak kar
so ke uttha hai to ab sham hui jati hai
'mazhari' fan ka taqaza hai ki likhiye kuchh aur
ye ghazal koshish-e-nakaam hui jati hai
jahan ahd-e-tamanna khatm ho jae
jahan ahd-e-tamanna khatm ho jaae
azab-e-javedani zindagi hai
rulati hai mujhe kyuun chandni raat
yahi ik raaz meri zindagi hai
khalish ho dard ho kahish ho kuchh ho
faqat jiina bhi koi zindagi hai
halak-anjam takmil-e-tamanna
baqa-e-arzu hi zindagi hai
jigar men tiis lab hansne pe majbur
kuchh aisi hi hamari zindagi hai
vo chahe jis qadar bhi mukhtasar ho
mohabbat ki javani zindagi hai
umiden mar chukin main ji raha huun
ajab be-ikhtiyari zindagi hai
javani aur hangamon se khali
ye jiina hai ye koi zindagi hai
guzari thiin khushi ki chand ghadiyan
unhin ki yaad meri zindagi hai
mohabbat donon janib se mohabbat
na puchho aah kaisi zindagi hai
jahan ahd-e-tamanna khatm ho jae
azab-e-jawedani zindagi hai
rulati hai mujhe kyun chandni raat
yahi ek raaz meri zindagi hai
khalish ho dard ho kahish ho kuchh ho
faqat jina bhi koi zindagi hai
halak-anjam takmil-e-tamanna
baqa-e-arzu hi zindagi hai
jigar mein tis lab hansne pe majbur
kuchh aisi hi hamari zindagi hai
wo chahe jis qadar bhi mukhtasar ho
mohabbat ki jawani zindagi hai
umiden mar chukin main ji raha hun
ajab be-ikhtiyari zindagi hai
jawani aur hangamon se khali
ye jina hai ye koi zindagi hai
guzari thin khushi ki chand ghadiyan
unhin ki yaad meri zindagi hai
mohabbat donon jaanib se mohabbat
na puchho aah kaisi zindagi hai
dekh mahrumi ki barakat zinda hun
dekh mahrumi ki barakat zinda huun
main tire ghham ki badaulat zinda huun
jannaten hain murda jismon ke liye
ye saza hai ya inayat zinda huun
is khizan men kante tak bhi mar chuke
phir bhi kahti hai vo nikhat zinda huun
sach hai duniya nafraton ki hai magar
main yahan bhi ba-mohabbat zinda huun
likh rakhe hain main ne bhi fazl-e-azab
malik-e-roz-e-qayamat zinda huun
dekh mahrumi ki barakat zinda hun
main tere gham ki badaulat zinda hun
jannaten hain murda jismon ke liye
ye saza hai ya inayat zinda hun
is khizan mein kante tak bhi mar chuke
phir bhi kahti hai wo nikhat zinda hun
sach hai duniya nafraton ki hai magar
main yahan bhi ba-mohabbat zinda hun
likh rakhe hain main ne bhi fazl-e-azab
malik-e-roz-e-qayamat zinda hun
zakhm nasur koi hone se
zakhm nasur koi hone se
dard ugta hai dard bone se
vo tha markuz mere markaz par
aur udhadta raha main kone se
chalo ab hans ke dekh lete hain
dil pighalte nahin hain rone se
ise ham suud ab kahen ya ziyan
mil gaya khvab niind khone se
vo andheron men hi rahe akhir
bujh gae jo charaghh dhone se
din men bhi raat ka saman hoga
jagte men yuun sab ke sone se
meri mitti hai ab talak kachchi
ghul na jaun kahin bhigone se
ab samundar nipat akela hai
kya mila kashtiyan dubone se
mere saae se ye bhi zahir hai
nuur haail hai mere hone se
zakhm nasur koi hone se
dard ugta hai dard bone se
wo tha markuz mere markaz par
aur udhadta raha main kone se
chalo ab hans ke dekh lete hain
dil pighalte nahin hain rone se
ise hum sud ab kahen ya ziyan
mil gaya khwab nind khone se
wo andheron mein hi rahe aakhir
bujh gae jo charagh dhone se
din mein bhi raat ka saman hoga
jagte mein yun sab ke sone se
meri mitti hai ab talak kachchi
ghul na jaun kahin bhigone se
ab samundar nipat akela hai
kya mila kashtiyan dubone se
mere sae se ye bhi zahir hai
nur hail hai mere hone se
zindagi wadi o sahra ka safar hai kyun hai
zindagi vaadi o sahra ka safar hai kyuun hai
itni viran miri rah-guzar hai kyuun hai
tu ujale ki tarah aa ke lipat ja mujh se
ik andhera sa idhar aur udhar hai kyuun hai
roz milta hai koi dil ko lubhane vaala
phir bhi tu hi mira mahbub-e-nazar hai kyuun hai
ghar ki tasvir bhi sahra ki tarah hai lekin
farq itna hai ki divar hai dar hai kyuun hai
jis ko dekhun vahi barbad hua jaata hai
aadmi kya hai mohabbat ka khandar hai kyuun hai
main samundar huun magar pyaas hai qismat meri
mere daman men agar 'ashk' guhar hai kyuun hai
zindagi wadi o sahra ka safar hai kyun hai
itni viran meri rah-guzar hai kyun hai
tu ujale ki tarah aa ke lipat ja mujh se
ek andhera sa idhar aur udhar hai kyun hai
roz milta hai koi dil ko lubhane wala
phir bhi tu hi mera mahbub-e-nazar hai kyun hai
ghar ki taswir bhi sahra ki tarah hai lekin
farq itna hai ki diwar hai dar hai kyun hai
jis ko dekhun wahi barbaad hua jata hai
aadmi kya hai mohabbat ka khandar hai kyun hai
main samundar hun magar pyas hai qismat meri
mere daman mein agar 'ashk' guhar hai kyun hai
kuchh meri sun kuchh apni suna zindagi
kuchh miri sun kuchh apni suna zindagi
dard-e-dil aur thoda badha zindagi
zindagani ke fan se huun la-ilm main
zindagi karna mujh ko sikha zindagi
tu ne ab tak vafa ki bahut shukriya
shukriya shukriya shukriya zindagi
har qadam thokaren zakhm har gaam hain
kab talak duun bata khun-baha zindagi
ye kya har gaam bas lan-tarani vahi
giit koi naya gunguna zindagi
ye bhi batla zara tujh ko kaisa laga
maut se jab hua samna zindagi
raushni kyuun siyahi men dhalne lagi
tujh se 'arif' hui kya khafa zindagi
kuchh meri sun kuchh apni suna zindagi
dard-e-dil aur thoda badha zindagi
zindagani ke fan se hun la-ilm main
zindagi karna mujh ko sikha zindagi
tu ne ab tak wafa ki bahut shukriya
shukriya shukriya shukriya zindagi
har qadam thokaren zakhm har gam hain
kab talak dun bata khun-baha zindagi
ye kya har gam bas lan-tarani wahi
git koi naya gunguna zindagi
ye bhi batla zara tujh ko kaisa laga
maut se jab hua samna zindagi
raushni kyun siyahi mein dhalne lagi
tujh se 'arif' hui kya khafa zindagi
rah gai lut kar bahaar-e-zindagi
rah gai lut kar bahar-e-zindagi
zindagi hai sogvar-e-zindagi
meri nazron men hasin dhoka hai ik
jis ko kahte hain bahar-e-zindagi
kulfaten kuchh talkhiyan kuchh hadse
ab yahi hai yadgar-e-zindagi
mit raha ho jo kisi ke ishq men
phir kahan us ko qarar-e-zindagi
tiri ulfat tera ghham tera khayal
kuchh yahi hai karobar-e-zindagi
apna dil hi jab paraya ho gaya
kaun ho ab raz-dar-e-zindagi
tere dam se thi baharon men bahar
ab kahan hai vo bahar-e-zindagi
sukhe patton se ye kahti hai khizan
yuun utarta hai khumar-e-zindagi
apne daman se hava dete raho
bujh na jaae ye sharar-e-zindagi
ai 'shafaq' kis ne bigada hai ise
kaun hai parvardigar-e-zindagi
rah gai lut kar bahaar-e-zindagi
zindagi hai sogwar-e-zindagi
meri nazron mein hasin dhoka hai ek
jis ko kahte hain bahaar-e-zindagi
kulfaten kuchh talkhiyan kuchh hadse
ab yahi hai yaadgar-e-zindagi
mit raha ho jo kisi ke ishq mein
phir kahan us ko qarar-e-zindagi
teri ulfat tera gham tera khayal
kuchh yahi hai karobar-e-zindagi
apna dil hi jab paraya ho gaya
kaun ho ab raaz-dar-e-zindagi
tere dam se thi bahaaron mein bahaar
ab kahan hai wo bahaar-e-zindagi
sukhe patton se ye kahti hai khizan
yun utarta hai khumar-e-zindagi
apne daman se hawa dete raho
bujh na jae ye sharar-e-zindagi
ai 'shafaq' kis ne bigada hai ise
kaun hai parwardigar-e-zindagi
marifat ke liye aagahi ke liye
ma'rifat ke liye agahi ke liye
nur-e-haq chahiye raushni ke liye
ji rahe hain kisi ki khushi ke liye
varna kya hai yahan zindagi ke liye
aap apna ta'aruf sar-e-anjuman
kitna mushkil hai ik ajnabi ke liye
dasht-e-ghhurbat men kuchh aur mumkin nahin
jugnuon ke siva raushni ke liye
rakh diye absharon ne dil khol kar
dasht men ek pyasi nadi ke liye
vaqt ke aage us ne bhi rakh di sipar
jo tha mashhur apni khudi ke liye
'rahbar' e'zaz 'ohda qayadat ana
masala ban gae aadmi ke liye
ma'rifat ke liye aagahi ke liye
nur-e-haq chahiye raushni ke liye
ji rahe hain kisi ki khushi ke liye
warna kya hai yahan zindagi ke liye
aap apna ta'aruf sar-e-anjuman
kitna mushkil hai ek ajnabi ke liye
dasht-e-ghurbat mein kuchh aur mumkin nahin
jugnuon ke siwa raushni ke liye
rakh diye aabshaaron ne dil khol kar
dasht mein ek pyasi nadi ke liye
waqt ke aage us ne bhi rakh di sipar
jo tha mashhur apni khudi ke liye
'rahbar' e'zaz 'ohda qayaadat ana
masala ban gae aadmi ke liye
~ Rahbar Tabani Dariyabadi
rabte bhi rakhta hun raste bhi rakhta hun
rabte bhi rakhta huun raste bhi rakhta huun
har kisi se milta huun fasle bhi rakhta huun
ghham kahan manata huun chhod jaane valon ka
tod kar ta'alluq main dar khule bhi rakhta huun
mausamon ki gardish se main nikal to aaya huun
yaad par khizaon ke hadse bhi rakhta huun
vaqt ke mutabiq ab khud ko hai agar badla
vaqt ko badalne ke hausle bhi rakhta huun
bhar ke ek din ghaav saare bhuul jaate hain
zakhm so purane kuchh an-sile bhi rakhta huun
go kisi bhi manzil ki ab nahin talab mujh ko
har ghadi main pairon men aable bhi rakhta huun
manta huun 'abrak' main baat yaar logon ki
soch ke magar apne zaviye bhi rakhta huun
rabte bhi rakhta hun raste bhi rakhta hun
har kisi se milta hun fasle bhi rakhta hun
gham kahan manata hun chhod jaane walon ka
tod kar ta'alluq main dar khule bhi rakhta hun
mausamon ki gardish se main nikal to aaya hun
yaad par khizaon ke hadse bhi rakhta hun
waqt ke mutabiq ab khud ko hai agar badla
waqt ko badalne ke hausle bhi rakhta hun
bhar ke ek din ghaw sare bhul jate hain
zakhm so purane kuchh an-sile bhi rakhta hun
go kisi bhi manzil ki ab nahin talab mujh ko
har ghadi main pairon mein aable bhi rakhta hun
manta hun 'abrak' main baat yar logon ki
soch ke magar apne zawiye bhi rakhta hun
pahle to zehn se khalal nikle
pahle to zehn se khalal nikle
phir kisi guftugu ka hal nikle
mujh ko to apne raste jaana hai
aap kyuun saath saath chal nikle
jitna tum chaho mujh ko rusva karo
kuchh to ehsan ka badal nikle
apne lahje ko main ne jab badla
us ke mathe ke saare bal nikle
raag aisa alapa hai us ne
khud-ba-khud saare diip jal nikle
duur se vo jo lag rahe the gulab
paas se dekha to kanval nikle
biij boe the jis ke ai 'najmi'
ped men bas usi ke phal nikle
pahle to zehn se khalal nikle
phir kisi guftugu ka hal nikle
mujh ko to apne raste jaana hai
aap kyun sath sath chal nikle
jitna tum chaho mujh ko ruswa karo
kuchh to ehsan ka badal nikle
apne lahje ko main ne jab badla
us ke mathe ke sare bal nikle
rag aisa alapa hai us ne
khud-ba-khud sare dip jal nikle
dur se wo jo lag rahe the gulab
pas se dekha to kanwal nikle
bij boe the jis ke ai 'najmi'
ped mein bas usi ke phal nikle
kya hua kuchh to batana kya hua
kya hua kuchh to batana kya hua
dil ka duniya se lagana kya hua
sochta huun baith kar main ye kabhi
ham se pahle ka zamana kya hua
ja rahe ho chhod kar ghar 'ali-shan
aap ka ye ghar basana kya hua
haar kar haara hua lagta nahin
tera mujh se jiit jaana kya hua
so rahe ho khaak odhe kyuun 'mujib'
aap ka aram-khana kya hua
kya hua kuchh to batana kya hua
dil ka duniya se lagana kya hua
sochta hun baith kar main ye kabhi
hum se pahle ka zamana kya hua
ja rahe ho chhod kar ghar 'ali-shan
aap ka ye ghar basana kya hua
haar kar haara hua lagta nahin
tera mujh se jit jaana kya hua
so rahe ho khak odhe kyun 'mujib'
aap ka aaram-khana kya hua
jo dekhte hain ghurub-e-aftab hote hue
jo dekhte hain ghhurub-e-aftab hote hue
hamen bhi dekhenge ik roz khvab hote hue
dayar-e-'ishq men husn-o-shabab hote hue
diye jalae hain kyuun mahtab hote hue
jinhon ne ashk hamare liye bahae hain
vo kaise dekhenge ham par 'azab hote hue
bhatak rahe hain jihalat ke tapte sahra men
hamare paas ik aisi kitab hote hue
ghiri hui hai bhala ziist kyuun andheron men
charaghh hote hue mahtab hote hue
vo bakhsh dega mujhe ek sachchi tauba par
mire gunah bahut be-hisab hote hue
khamosh baitha raha main lihaz men us ke
har ek baat ka 'najmi' javab hote hue
jo dekhte hain ghurub-e-aftab hote hue
hamein bhi dekhenge ek roz khwab hote hue
dayar-e-'ishq mein husn-o-shabab hote hue
diye jalae hain kyun mahtab hote hue
jinhon ne ashk hamare liye bahae hain
wo kaise dekhenge hum par 'azab hote hue
bhatak rahe hain jihaalat ke tapte sahra mein
hamare pas ek aisi kitab hote hue
ghiri hui hai bhala zist kyun andheron mein
charagh hote hue mahtab hote hue
wo bakhsh dega mujhe ek sachchi tauba par
mere gunah bahut be-hisab hote hue
khamosh baitha raha main lihaz mein us ke
har ek baat ka 'najmi' jawab hote hue
za’m-e-hasti ek lamhe mein hawa ho jaega
za’m-e-hasti ek lamhe men hava ho jaega
jab haqiqat se tumhara samna ho jaega
main hamesha ke liye samjhunga khud ko sarbarah
aur phir ik din mira beta bada ho jaega
samne rakh kar haqaeq hausle tartib do
varna paiman-e-mohabbat khokhla ho jaega
dil mira tutega ummiden fana ho jaengi
is se badh kar tum batao aur kya ho jaega
dekhiye sahab hai kursi zarf valon ke liye
jab koi kam-zarf baithega khuda ho jaega
titliyan rakht-e-safar bandhengi mar jaenge phuul
aap ke jaane se manzar bad-numa ho jaega
chhodiye beja pareshani ka hasil kuchh nahin
jo bhi achchha ya bura hona hua ho jaega
kaun deta hai hamesha saath 'nazir' dekhna
shaam hote hi ye saaya bevafa ho jaega
za’m-e-hasti ek lamhe mein hawa ho jaega
jab haqiqat se tumhaara samna ho jaega
main hamesha ke liye samjhunga khud ko sarbarah
aur phir ek din mera beta bada ho jaega
samne rakh kar haqaeq hausle tartib do
warna paiman-e-mohabbat khokhla ho jaega
dil mera tutega ummiden fana ho jaengi
is se badh kar tum batao aur kya ho jaega
dekhiye sahab hai kursi zarf walon ke liye
jab koi kam-zarf baithega khuda ho jaega
titliyan rakht-e-safar bandhengi mar jaenge phul
aap ke jaane se manzar bad-numa ho jaega
chhodiye beja pareshani ka hasil kuchh nahin
jo bhi achchha ya bura hona hua ho jaega
kaun deta hai hamesha sath 'nazir' dekhna
sham hote hi ye saya bewafa ho jaega