barish sharab-e-arsh hai ye soch kar 'adam' barish ke sab huruf ko ulta ke pi gaya
Top 20 Sher Series
Top 20 Sher by Rain has often played
Rain has often played ke selected Top 20 sher ek clean reading flow me, writer aur full-detail links ke saath.
Total
20
Sher
20
Ghazal
0
Nazm
0
Featured Picks
Series se pehle kuch standout sher padhein.
barish sharab-e-arsh hai ye soch kar 'adam' barish ke sab huruf ko ulta ke pi gaya
barish sharab-e-arsh hai ye soch kar 'adam' barish ke sab huruf ko ulta ke pi gaya
us ne barish mein bhi khidki khol ke dekha nahin bhigne walon ko kal kya kya pareshani hui
us ne barish mein bhi khidki khol ke dekha nahin bhigne walon ko kal kya kya pareshani hui
main wo sahra jise pani ki hawas le dubi tu wo baadal jo kabhi tut ke barsa hi nahin
tamam raat nahaya tha shahr barish mein wo rang utar hi gae jo utarne wale the
ab bhi barsat ki raaton mein badan tutta hai jag uthti hain ajab khwahishen angdai ki till even now in rainy climes, my limbs are aching, sore the yen to stretch out languidly then comes to the fore

dhup ne guzarish ki ek bund barish ki
dhup ne guzarish ki ek bund barish ki
dur tak chhae the baadal aur kahin saya na tha is tarah barsat ka mausam kabhi aaya na tha
dur tak chhae the baadal aur kahin saya na tha is tarah barsat ka mausam kabhi aaya na tha
main chup karaata hun har shab umadti barish ko magar ye roz gai baat chhed deti hai
tut padti thin ghataen jin ki aankhen dekh kar wo bhari barsat mein tarse hain pani ke liye
tut padti thin ghataen jin ki aankhen dekh kar wo bhari barsat mein tarse hain pani ke liye
kachche makan jitne the barish mein bah gae warna jo mera dukh tha wo dukh umr bhar ka tha
kachche makan jitne the barish mein bah gae warna jo mera dukh tha wo dukh umr bhar ka tha
barsat ke aate hi tauba na rahi baqi baadal jo nazar aae badli meri niyat bhi
barsat ke aate hi tauba na rahi baqi baadal jo nazar aae badli meri niyat bhi
yaad aai wo pahli barish jab tujhe ek nazar dekha tha
daftar se mil nahin rahi chhutti wagarna main barish ki ek bund na be-kar jaane dun
daftar se mil nahin rahi chhutti wagarna main barish ki ek bund na be-kar jaane dun
sath barish mein liye phirte ho us ko 'anjum' tum ne is shahr mein kya aag lagani hai koi
sath barish mein liye phirte ho us ko 'anjum' tum ne is shahr mein kya aag lagani hai koi
chhup jaen kahin aa ki bahut tez hai barish ye mere tere jism to mitti ke bane hain
barsat ka baadal to diwana hai kya jaane kis rah se bachna hai kis chhat ko bhigona hai
kyun mang rahe ho kisi barish ki duaen tum apne shikasta dar-o-diwar to dekho
os se pyas kahan bujhti hai musla-dhaar baras meri jaan
hairat se takta hai sahra barish ke nazrane ko kitni dur se aai hai ye ret se hath milane ko
Explore Similar Collections
Top 20 Sher by Rain has often played FAQs
Rain has often played Top 20 me kya milega?
Rain has often played ke selected sher readable cards, internal detail links, aur writer discovery ke saath milenge.
Kya is page ki links internal hain?
Haan, collection links, writer links aur detail links sab Kuch Alfaaz ke internal routes par map kiye gaye hain.
Collection ko kaise explore karein?
Type filter (Sher/Ghazal/Nazm), featured picks aur similar collections rail use karke fast discovery kar sakte hain.