nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi
nahin nigah men manzil to justuju hi sahi nahin visal mayassar to aarzu hi sahi na tan men khuun faraham na ashk ankhon men namaz-e-shauq to vajib hai be-vuzu hi sahi kisi tarah to jame bazm mai-kade vaalo nahin jo bada-o-saghhar to hav-hu hi sahi gar intizar kathin hai to jab talak ai dil kisi ke vada-e-farda ki guftugu hi sahi dayar-e-ghhair men mahram agar nahin koi to 'faiz' zikr-e-vatan apne ru-ba-ru hi sahi nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi nahin visal mayassar to aarzu hi sahi na tan mein khun faraham na ashk aankhon mein namaz-e-shauq to wajib hai be-wuzu hi sahi kisi tarah to jame bazm mai-kade walo nahin jo baada-o-saghar to haw-hu hi sahi gar intizar kathin hai to jab talak ai dil kisi ke wada-e-farda ki guftugu hi sahi dayar-e-ghair mein mahram agar nahin koi to 'faiz' zikr-e-watan apne ru-ba-ru hi sahi